Ghulu

8
GHULU 1 Sawaal: Masumeen AS k baaray men "Ghuloo" (hud se barhaana) kya hai?>>Jawab: Wahaabi Imam Muhammad Bin Abdul Wahaab ne apni kitabon [Al Toheed , Majmoo al Moalifaat, Fazalul Islam, Fazaailul Quran, Risaailul Shaksiaa, Majmoo al Risaail, Sharootal Salaat, Risaailatul Aolaa, Mukhtasir Zaadul Meyaad, Alrud Alal Rafizaa aur Mukhtasirul Seerat] men pehlay Logon men "Ghuloo" ka khof bitha kr Hzoor SAWW k Fazaail se Roka phr Un ko Apnay Jaisa Bashar Bana dya 2 "Ghuloo" k Issi Ghalat Tassawur ka aaj Shiyat Shikaar hai. Wahaabi Aqaaid waalay Shia Molviyon ne bhi Ghuloo ka khof bitha kr Masumeen AS k Fazaail Majlison se khatam karwaaey aur Fuqaha ko Masumeen AS k Baraabar Lay aaey. Ab har Fazeelat "Ghuloo" hai aur Fazaail Bayaan krnay walay "Jaahil aur Ghaali". Loge Fazaail Batana to Door sun'nay se bhi darnay Lagay hen. Aaj Shiyat Zaahiri Ibaadaat tak reh gaee hai aur "Maarifat" ka Naam o Nishaan Nahi Raha. 3 Hazoor SAWW ne Zamana e Ghaibat e Imam Qaim AS k Baaray men frmya: Meri Ummat pr Aik Aisa Zamaana bhi aaega Jab Masjiden Aabaad Nazar aaen gi Magar Hidayat se khaali hon gi: Ref Biharul Anwar Urdu, Hisa 12, sfha 76>>Khud hi dekhain Wohi Shia Jo Ahlebait AS ki Azmat ki khaatir Apni Gardanain katwaatay thay Aaj Un ki shaan men honay waali Gustaakhiyon ko sun kr Tehreeri ya Qoali Jawaab bhi Nahi daitay. Masumeen AS ki Nazar men Ghuloo kya hai dekhtay hen: 4 Imam Sadiq AS ne Farmaya: Hamaray liay Rab Qaraar do k Jis ki taraf Hum Rujoo krtay hen. Is k Baad Hamari Fazeelat men Jo chaaho kaho Mumkin hi Nahi k tum Hamara Huq Adaa karo. Hamaray Aloom o Maarifat men se Tum tak "Alif" bhi Mukammal Nahi puhancha: Ref Alqatrato Min Bihaar-e-Manaqib-e-Alnabi Wal Itratey Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 69, Bihaarul Anwaar Mutafaqo Alaih Ba Mutabiq Masaail u Shariya. 5 Hzrt Ali AS ne Frmaya: Hmaaray Mutaaliq Ghuloo Na krna kyun k Hum Khuda k Banday hen. Is k ilaawa Hmaari Fazeelat men Jo Chaaho kaho: Ref Khisaal Shekh Suduq, Alqatra Ayatullah Ahmad Mustnbat Trjuma Manaqibe Ahlebait Hisa 1 Sfha 68>>Hazoor SAWW ne Frmaya: Hmen Khuda ki Makhlooq kehnay k Baad Hmari Jo Fazilat Bayaan krna

description

Ghulu, Shia aqaid

Transcript of Ghulu

GHULU

1

Sawaal: Masumeen AS k baaray men "Ghuloo" (hud se barhaana) kya hai?>>Jawab: Wahaabi Imam Muhammad Bin Abdul Wahaab ne apni kitabon [Al Toheed , Majmoo al Moalifaat, Fazalul Islam, Fazaailul Quran, Risaailul Shaksiaa, Majmoo al Risaail, Sharootal Salaat, Risaailatul Aolaa, Mukhtasir Zaadul Meyaad, Alrud Alal Rafizaa aur Mukhtasirul Seerat] men pehlay Logon men "Ghuloo" ka khof bitha kr Hzoor SAWW k Fazaail se Roka phr Un ko Apnay Jaisa Bashar Bana dya

2

"Ghuloo" k Issi Ghalat Tassawur ka aaj Shiyat Shikaar hai. Wahaabi Aqaaid waalay Shia Molviyon ne bhi Ghuloo ka khof bitha kr Masumeen AS k Fazaail Majlison se khatam karwaaey aur Fuqaha ko Masumeen AS k Baraabar Lay aaey. Ab har Fazeelat "Ghuloo" hai aur Fazaail Bayaan krnay walay "Jaahil aur Ghaali". Loge Fazaail Batana to Door sun'nay se bhi darnay Lagay hen. Aaj Shiyat Zaahiri Ibaadaat tak reh gaee hai aur "Maarifat" ka Naam o Nishaan Nahi Raha.

3

Hazoor SAWW ne Zamana e Ghaibat e Imam Qaim AS k Baaray men frmya: Meri Ummat pr Aik Aisa Zamaana bhi aaega Jab Masjiden Aabaad Nazar aaen gi Magar Hidayat se khaali hon gi: Ref Biharul Anwar Urdu, Hisa 12, sfha 76>>Khud hi dekhain Wohi Shia Jo Ahlebait AS ki Azmat ki khaatir Apni Gardanain katwaatay thay Aaj Un ki shaan men honay waali Gustaakhiyon ko sun kr Tehreeri ya Qoali Jawaab bhi Nahi daitay. Masumeen AS ki Nazar men Ghuloo kya hai dekhtay hen:

4

Imam Sadiq AS ne Farmaya: Hamaray liay Rab Qaraar do k Jis ki taraf Hum Rujoo krtay hen. Is k Baad Hamari Fazeelat men Jo chaaho kaho Mumkin hi Nahi k tum Hamara Huq Adaa karo. Hamaray Aloom o Maarifat men se Tum tak "Alif" bhi Mukammal Nahi puhancha: Ref Alqatrato Min Bihaar-e-Manaqib-e-Alnabi Wal Itratey Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 69, Bihaarul Anwaar Mutafaqo Alaih Ba Mutabiq Masaail u Shariya.

5

Hzrt Ali AS ne Frmaya: Hmaaray Mutaaliq Ghuloo Na krna kyun k Hum Khuda k Banday hen. Is k ilaawa Hmaari Fazeelat men Jo Chaaho kaho: Ref Khisaal Shekh Suduq, Alqatra Ayatullah Ahmad Mustnbat Trjuma Manaqibe Ahlebait Hisa 1 Sfha 68>>Hazoor SAWW ne Frmaya: Hmen Khuda ki Makhlooq kehnay k Baad Hmari Jo Fazilat Bayaan krna Chaaho Bayaan karo Tum Hmaari Azmat tk Nahi puhanch sktay: Ref Alqatra Ayatullah Ahmad Mustnbaat trjuma Mnaqibe Ahlebait Hisa 1 Sfha 68

6

Masumeen AS k Aqwaal k Mutabiq Un ko Seedha Seedha Khuda kehna "Ghuloo" ya "Hud se Barhaana" haiJaisay Mazallah "Ali Allah" kehna. Uss k ilaawa Qoal e Masum k Mutabiq Hum Chaahain bhi to Unn ki Fazeelat Bayaan Nahi kr saktay, Ghuloo krna to Door ki Baat hai. Aik shaks Apni Aqal k Mutabiq Jitna Tassawur e Toheed o Imaamat Rakhta hai wo uski Aqal ki Hud hai na k Sifaat e khuda o Maasum ki. Shekh Suduq ki 4 kitabon se Imam AS ka qoal paish hai :

7

Imam Raza AS ne Frmaya: Imamat Muqaam o Martabey k Aetebaar se Is se Buland tar hai k Logon ki Aqlain Is ko paa saken aur Apney Iradey aur Nazriat k sath is tak puhanch saken: Ref [Alal sharaaey, Ayunul Akhbar, Kamaluddeen, Imaali] Shekh Suduq, Alqatraa Ayatullah Ahmad Mustanbat tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 Safha 69>>In Aqwaal k Paish e Nazar Agr koi Molvi ye Baat karay k Masum AS ki koi Fazilat Bayaan kr k Hum ne Masum ko Khuda se mila diya . .

8

. . to Na sirf wo Muqassir (Yaani Masum AS k Fazaail ko Jaan Boojh k kam krnay ya Unn k Fazaail se Inkar krnay waala) hai Balkay Mushrik bhi hai kyun k Masum AS ne Bataaya k Muqaam e Imamat ko Aqal Samajh Nahi Sakti aur Wo Molvi Na sirf Ye Muqaam Samajh Gya Balkay Uss ki Hud se bhi Waaqif hai. Phr wo Allah ki Hadood bhi Jaanta hai aur Toheed o Imamat ka Mawaazna kr k Bata sakta hai k kis Fazeelat se Muqaam e Imamat, Muqaam e Toheed se Mil Jaata hai.

9

Imam Ali Raza AS: Imaamat k Muta'liq Aqlain Sar Gardaa'n, Fehm o Sha'oor Hairat men, Fikren Pareshaan aur Aankhen Kmzor hen, Barey Barey Jhootey Nzar Aatey hen, Hukmaa Pareshan, Khutba Goongey Nzar aatey hen. Sahibaane-ILM Jahaalat men Chaalaak, Hoshiyar Aajiz hojatey hen. Kisi ki Taqat Nhi k Muqam-e-Imamt ki Shaan Bayan kr skay [Kamaluddin,Ayunul Akhbar,Imaali] Sheikh Suduq , Alqatrata Ayatullah Ahmad Mustnbaat Trjuma Manaqibe-Ahlebait Hisa 1 Sfha 70

10

Issi SMS silsilay men Hum Waazay Qurani Ayaat o Musatanad Ahaadees k Zariyay Unn Tamaam Fazaail pe Tafseel se Baat Karen gay Jinhen Muqassir to "Ghuloo" kehta hai Lekin Unn k Na Maan'nay se Hum Muqassir ho Jaatay hen>>Imam Baqir AS ne Farmaya: Ahlebait k Fazaail ka Inkaar krna Kufr hai: Ref ALQATRAA Ayatullah Ahmad Mustanbaat Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Sfha 56>>

1

Ahlebait AS k kin Fazaail ko Ghuloo Ya Hud se Barhaana Bataaya Jaata hai?>>Jawaab:

-Murdon ko zinda krna

-Rozi Daina

-Aik Wqt men 1 se Zyada Muqaamaat pr hona>>Murdon ko zinda krnay pe baat krtay hen>>Hazoor SAWW ne Frmaya: Khuda ne Apney Rasulon ko Farishton pr aur Mujhey sab Nabion aur Rasulon pr Fazilat di. Mairay Baad Ye Fazeelat Ali aur Us k Baad waley Imamon k liay hai: Ref Alqatra Ayatullah Ahmad Mustanbaat Trjuma Manaqibe-Ahlebait Hisa 1 Sfha 75

2

Masumeen AS, Anbiya aur Farishton se Afzal hen to In k paas Allah k diay huay Ikhtiyaaraat o Kamaalaat bhi In se ziada hongay. Ye buhat aasaan tha k Hum Ayatullah Hussain Raza ki kitab "Nehjul Israar" se Hazrat Ali AS ka "Khutba tul Bayaan" Likh detay Jo Sunni Kitabon "Mu'alimul Itrat" aur "Manaqib e Murtazwi" men bhi hai Magar Buhat se Logon ko wo Fazaail Hazam Nahi hotay is liay Quran se Anbiya k kamaalaat paish hen. Yaqeenan Masumeen AS k . .

3

. . Kamaalaat o Iktiyaraat Anbiyaa se Buhat Buland hen>>ALQURAN:

"Aur Wo (Issa), Bani Isareel Ki Taraf Rasool Hoga aur In se kahay ga k Mein Tumharay Paas Tumharay Rab Ki Nishaani Laaya Hun. Mein Tumharay Liye Mitti se Parindaa Banaaoon ga Phir Uss Mein Phoonk Maaroon ga To Woh Allah K Hukum Say Parinda Bann Jaaega Aur Allah K Hukm Say Mein Paidaaishi Andhay Ko Aur Korhi Ko Acha kar doon ga Aur Murdon Ko Zinda Karoon ga: Ref Sura Aal e Imran Ayat 49

4

Hazrat Issa AS Allah k Hukm se Na sirf Murday Zinda kr Rahay hen Balkay Mitti ki Parinday Bana kr Unn men Rooh Phoonk kr Paida bhi kar Rahay hen. Kya Masumeeen AS k paas Hzrt Issa AS se kam Ikhtiyaaraat hen? Yaad Rahay k ye Wohi Hzrt Issa AS hen Jo Imam e Qaaim AS ki Imaamat men Ummatti ki Haisiyat se Namaaz Parhain gay. Jab Ummati Paida kr Raha hai aur Murdon ko Zinda kr Raha hai to Imaam k Paas kya kya Ikhtiyaaraat hon gay Ye Aqal Nahi Samajh sakti.

5

Quran ki 2 Ayaat Aik Doosray se Ikhtilaaf Nahi Rakhteen>>ALQURAN: Ibrahim ney kaha Maira Rab to wo hai Jo Zinda krta aur Maarta hai:Ref Sura Baqra Ayat 258>>Lekin Sura Aal e Imran Ayat 49 men Zinda to Hazrat Issa AS kr Rahay hen to Pataa Ye Chala k Hazrat Issa AS ka Allah k Hukm se Murdon ko Zinda krna Asal men Allah ka Zinda krna hi hai Warna to inn 2 Ayaat men Ikhtilaaf hoga Jo k ho Nahi Sakta. Na sirf Murdon ko Zinda karna Balkay Kaainaat k har . .

6

. . Chotay Baray kaam k peechay Khuda e Buzurg o Bartar kaar Farma hai Lekin Har kaam k Zariyay Mukhtalif hen. Ab Agar Hum kahain k Masumeen AS, Allah k Hukm se Zinda ya Paida kr sktay hen to Unn ka ye Amal Allah ka Amal hi samjha jaega. Ye Nahi Samjhain gay to Hum Unn ko Hzrat Issa AS se kam Samjhain gay. Murdon ko Zinda krna Insaani Aqal k Mutaabiq Aik Bara kaam hai. Allah k Liay to Itna Maamooli hai k Wo Ye ikhtiyaar Apnay Bandon ko bhi De Skta hai.

7

Khuda ne Ye Kaam to Bani Israaeel k Aam Insaanon se Karwaaya>>ALQURAN: "Jab Tum ney Aik Shaks ko Qatal kr Daala Phr Aik Doosrey Pe Uss ka Ilzaam Daalney Lagey aur Allah ko Zaahir krna tha Jo Tum Chupaatey thay. Hum ne kaha is Gaaey ka Aik Tuk'ra Maqtool k Jism ko Laga do. Allah yun hi Murdon ko Zinda kr k Tumhen Tumhari Aqal Mandi k Liye Apni Nishaaniyan Dikhata hai": Ref Sura Baqra Ayaat 72, 73>>Allah k Hukm pe Gaaey k Tuk'ray men Ya Bani Israael k . .

8

. . Gunaahgaaron men to ye Kamaal aa Jaata hai k wo Allah k Hukm pe Murda Zinda kr Len Lekin Masumeen AS Aisa Nahi kr sktay. Hum Masumeen AS ko Gaaey k Aik Tuk'ray Ya Unn Logon se bhi kam Smajhtay hen kya? Hzrt Issa AS k Baad k Zamanay k Logon men bhi Tassawur e Toheed Buhat Chota tha aur Wo bhi Yehi Samjhtay thay k koi Allah ki Chuni hui Hasti Na Paida kr Skti hai Na Murda Zinda kr Skti hai Balkay Jo ye kaam karay ga Wo Ya to Allah hai ya Uss ki Aulaad

9

Yaad Rahay k Parinday Paida krnay aur Murdon ko Zinda krnay waalay Wohi Hzrt Issa AS hen Jin ki Waalida ko Unn ki Wilaadat k Liay Allah k Ghar se Door Bhej Diya Gaya tha to Kya Nahi Kar Sakta Hoga Woh Khuda ka Shaahkaar Jis k Zahoor k Liay hi Allah ne Apnay Ghar ko Chuna. Mazhar ul Ajaaib ki Ye Fazeelat Bataana Ghuloo Kaisay Ho Gaya>>

10

Imam Muhammad Baqir AS ki khidmat men Aap k Aik Shia, Maalik e Jahni Haazir huay aur Imam AS se kaha: "Khudaawand e Aalam ne Aap ko kaisi Azmat O Buzargi Ataa Frmaaee hai k Aap ko Apni Makhlooq pr Apni Hujjat Qaraar Dya hai". Ye Sun Kar Imam AS Muskuraaey aur Farmaya:"Aey Maalik e Jahni Maamla to Iss se bhi Buhat Zyaada Buland hai Jo Tum Samajh Rahay ho": Ref Biharul Anwaar Urdu Hisa 4 Safha 54>>Allah Asr e Hazir men Hmain Wila e Ali AS pr Qaaim Rkhay!

1

Kya Masumeen AS ko Rozi dainay ka Ahl Samajhna Ghuloo hai Hisa 2>>Shekh Suduq ki kitab Ayun e Akhbar e Raza (Urdu) se Masumeen AS ka Bataya hua Tassawur e Toheed daikhtay hen. Aaj Zyada Hawalay Issi Kitab se hen is liay sirf Safha no dya Jaaega. Masumeen AS k mutabiq Tassawur e Toheed ki Samajh hi ye hai k Allah ko kisi bhi Soorat Samjha Nahi Ja sakta. Imam Raza AS ne farmaya:"Allah Iss se Baala tar hai k Aqal Uss ko Samajh sakay": Ref sfha 229

2

Hzrt Ali AS ne Frmaya:"Ashyaa e Kaainaat k paas Allah k idraak ka koi tareeka Nahi":Ref sfha 207>>Allah pr Kaifiyat aur Jismaani had bandi Nahi. Imam Raza AS ne frmaya:"Allah kisi kaifiyat ka paband Nahi":Ref sfha 203>>Kitab k Sfha 203 se 206 pe Imam k Aqwaal hen k Quran men Jo Allah ki kaifiyaat aur Jismaani Hisay Bayaan huay, Wo Ya to kisi ki taraf Ishara hai Ya Logon ko Samjhanay k liay hai Jaisay "Allah In se Mazaaq krta hai":Ref Sura Baqra Ayat 15

3

Jis tarah Allah Ka Chehra WAJ'HILLAH: Ref Sura Baqra Ayat 272>Allah ka haath BAY YAD'ILLAH: Ref Sura Hadeed Ayat 29>>YAD'ULLAH HAY: Ref Sura Fatah Ayat 10 Waghaira. Aema k Mutabiq, Allah pr Asmaa, Sifaat aur Alfaaz ka itlaaq Nahi hota. Hzrt Ali AS:"Allah Ashyaa ki Maanind Nahi k Uss pe Sifaat Waaqay hon. Koi Wasf Uss ka Ahaata Nahi kr sakta":Ref Sfha 207>>Imam Ali Raza AS:"Jis ne Allah k sifaat maanay uss ne Zaat e Khudawandi men Shak kia": Ref sfha 262

4

Imam Raza AS ne Frmaya:"Jin Sifaati Alqaab ka Allah pr Itlaaq hota hai Wo to Tabdeel Honay Waali Sifaat hen aur Samjhaanay k Liay in Alfaaz ka Sahaara Lya Jaata hai": Ref Sfha 297">>Imam Ali Raza AS ne farmaya: "Alfaaz men itni Wus'at Nahi k Allah ki Haqeeqat ko bayaan karay aur Na hi Uss k Mutaliq Sawaal ka Jawaab denay k Liay Munasib Alfaaz hen: Ref sfha 265>>Masumeen AS ne ye bataya k Jinhen Hum Allah k Asmaa e Aazam samjhtay hen wo sirf . .

5

. . hamain samjhaanay k Liay hen warna Wo sifaat ka paband Nahi aur Uss ko bayaan karnay k Liay Alfaaz hi paida Nahi huay. Imam Ali Raza AS ne Frmaya:"Allah ne Apnay Naam is Liay Nahi rakhay k Wo Apnay Aap ko Inn se Pukaaray Balkay Allah ne Ye Naam Makhlooq ki Aasaani k liay Rakhay hen:Ref Sfha 221>>Imam Ali Raza AS ne farmaya: Hum ne Allah ko Uss k Ghair (Jo Allah Nahi hai) se Pahchaana. Uss ka Ism, Uss ki sift, Uss ka Amr Makhlooq hen: sfha 294

6

Imam Ali Raza AS ne farmaya: Khuda ne Baaz Logon ko Apnay Asmaae Husna se Mosoom kar k Unhen Mohtaram Banaya: Ref Sfha 255>>Imam Raza AS k Mutabiq Ye Naam aur Sifaat Uss ki Makhlooq k Naam aur Sifaat hen. Iss kitab men sfha 254 se 259 pr Imam Raza AS ne Tafseel se Samjhaya hai k Ye Naam Makhlooq k kis tarah hen.Aesa is Liay hai k Allah ka idraak Nahi kya Ja skta aur Uss ko Naamon aur Sifaat ka paband Nahi kia Ja sakta aur Insaan ko Uss ki Maarifat k . .

7

. . Liay kuch Naam aur Sifaat Batana Zaroori tha, is Liay Uss ki Makhlooq k Naam, Uss k Naam Bataaey gaey. Makhlooq k Naam khaliq ko kyun diay gaey? Imam Raza AS ne frmaya:"Makhlooq se Khaliq ki daleel Li Jaaegi. Agr Uss k Asmaa Uss ki daleel Na hotay to ibadat Allah ki Na hoti Uss k Asmaa ki hoti: Ref sfha 299>>Issi Liay Allah ki Wo Makhlooq Jin k Ye Asmaa hen Khaliq ki daleel ban kar rehtay hen aur Aam Makhlooq Inn k Zariyay se Khaliq ko Pahchanti hai

8

Masumeen AS ka Ye Qoal aksar aap ne parha hoga k Imam Allah ki Makhlooq par Uss ski daleel o hujjat hai>>Hazrat Ali AS ne farmaya: Ahlebait sir'r e Khuda (Raaz e Khuda) k Ameen hen: Ref Khutba No 2 Nehjul Balagha>>Masumeen AS ne Ye bhi bataya k Allah Faa'il (yani kaam karnay wala) Nahi, Allah kisi kaam ka sirf Irada Rakhta hai aur Uss ki Ye Shaan Nahi k wo Faa'il (kaam krnay waala) ho jaisa k Asma e Husna men Ziada tar Alqaab Uss k kaam karnay . .

9

. . k mutaliq hen maslan Qahaar: Qahar Naazil krnay Waala. Is ki Wazaahat Imam ne ye batai hai k Allah k Liay har cheez ko Azal se Abad tak maan'na zaroori hai aur Faa'il k liay Maf'ool zaroori hai to Agar Allah Faa'il hota phr Maf'ool ko bhi Azal se Abad tak maan'na parta Jis se Allah k Ilaawa kisi aur ko bhi Azal se Abad tak maan'na parta aur Shirk hojata. Maslan Faa'il Qahaar hai Yaani Qahar Naazil karnay waala to Agar Qahaar Azal se hai to jis . .

10

. . par Qahar Naazil kya Ja Raha hai wo bhi Azali hona chahiyay. Imam Ali Raza AS ne farmaya: Allah k Naam aur Kaam sirf samajhanay k liay hen: Ref sfha 261>>Allah Faa'il Nahi balkay Faa'il paida krta hai. Ab agar Allah faa'il Nahi to Makhlooq ki Haajaat kon puri karaiga (haajat poori karna bhi to fale yani kaam hai). Imam Raza AS ne frmaya: "Allah ne Makhlooq ki Haajaat ko Aik doosray se Waabasta kr diya aur baaz ko baaz pr fazilat di": Ref sfha 291

11

Yaani Allah Haajaat poori karnay ka Iraada Rakhay ga aur (kyun k wo Faa'il nahi ) iss liay fazeelat rakhnay waali makhlooq Allah ka iraada samajh kar (Faa'il k tor par) doosri makhlooq ki haajaat poori karay gi (kyun k Allah ne makhlooq ki haajaat ko fazeelat rakhnay waali makhlooq se waabasta kar dia). Allah in Faa'il tak apna Amar kaisay puhnchata hai?

12

Imam Raza AS: Jb Allah Apnay Bandon k Amoor k Liay kisi ka intikhaab krta hai to iss k seenay ko kushaada krta hai, is k dil men hikmat k chashmay jaari karta hai aur is ko har tarah ka ILM ILhaam krta hai: Ref Sfha 390>>Ab ye Fazilat wali Mkhlooq kon hai jo Allah ka Irada samajh kr doosron ki haajaat poori kr rahi hai. Imam Raza AS: Allah ne Muhammad o Aal e Muhammad ko Wo Fazilat Ataa ki hai jis ki haqeeqat tak Aqal Parwaaz Nahi kr skti: Ref Sfha 418

13

Ab hamain Imam k Qoal ka matlab samajh aaya. Hazrat ALI AS ne farmaya: Hum Wo hen Jo baraah e raast Allah se Neamatain Lay kar parwaan charhtay hen aur doosray Hamaaray ahsaan parwarda hen: Ref Nehjulbalagha maktoob 28>>Hazrat Ali AS ne farmaya: is ummat men se kisi ko Aal e Muhammad S.A.W.W par Qayaas Nahi kya ja sakta. Jin logon par Un k Ahsaanaat hamesha Jaari rahay hon Wo Inn k barabar Nahi ho saktay: Ref Khutba No 2 Nehjul Balagha.

14Imam Ali Raza AS ne ye bhi bataya k Allah inhi Faa'il k Amal ko Apna Amal kehta hai ALQURAN (Aey Rasool) Jis ne tumharay haath pay bayat ki Uss ne Allah k haath pe Bayat ki: Ref Sura Fatah Ayat 10>>Aur Jab Quran men farmaan hota hai k Allah Hukm daita hai to Wo khud hukm logon tak Nahi punhchata hai. ye kaam us k faa'il kartay hen (Yani Rasul ya Masumeen AS) Leken bataya ye Jaata hai k Allah ne hukm diya kyun k Faa'il ban'na Uss k Shaayaan e shaan Nhi

15Kyun k Haajaat sb se pehlay Allah k Irada karnay se poori hoti hen is Liay Aik Amr ka maan'na zaroori hai. Imam Raza AS ne frmaya: Jis Cheez ka Allah ne Inhain Maalik banaya is cheez ka Haqeeqi Maalik Wo Khud hai aur Jis cheez pr Inhain Qudrat di is pr haqeeqi Qaadir wo khud hai: Sfha 252>>yani Masumeen AS ko Allah ki Ataa k baghair Raziq maan'na sahi Nahi. issay taqweez kehtay hen aur Imam k mutabiq ye Shirk hai. Shekh Suduq ki ye kitab zaroor parhain

1

In batoon se hamain ye pata chala k agr hum Masumeen AS ka bataya hua Aqeeda e Toheed rkhain to "Ghulu" Na mumkin ho jata hai. Maslan agar koi shaks Minbar par Masumeen AS ki sifaat bata raha ho to Hum sochain gay k ye shaks Ghulu nahi kr skta kyun k Allah to Sifaat ka paband hi nahi. Phr koi Masumeen AS ki fazilat bayaan kar raha ho, to bhi Ghulu Na Mumkin hai kyun k Khuda Alfaaz men Bayaan hi Nahi ho sakta.