Ghalib Ghazals Roman Urdu

35
http://mirzaghalib.weebly.com/mirza-ghalib-sher-o-shayari-and-ghazals.html 1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? [ guftgoo = conversation ] 2. na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ? [ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ] 3. yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ? [ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree, KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching, adoo = enemy ] 4. chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? [ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity, rafoo = mending/darning ] 5. jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? [ justjoo = desire ] 6. ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ? 7. woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ? [ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine, gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like the smell of musk ] 8. piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ? [ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ] 9. rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? [ guftaar = speech/discourse ] 10. huaa hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata

description

Important Ghazal from Deewan e Ghalib in Roman Urdu with Meaning of Important words.Poetry is Highlighted with Yellow Highlighter for better viewing.

Transcript of Ghalib Ghazals Roman Urdu

  • http://mirzaghalib.weebly.com/mirza-ghalib-sher-o-shayari-and-ghazals.html

    1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?

    tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

    [ guftgoo = conversation ]

    2. na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada

    koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

    [ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]

    3. yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse

    wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

    [ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree,

    KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching,

    adoo = enemy ]

    4. chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan

    hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

    [ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,

    rafoo = mending/darning ]

    5. jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga

    kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

    [ justjoo = desire ]

    6. ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal

    jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

    7. woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez

    siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

    [ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine,

    gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like

    the smell of musk ]

    8. piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar

    yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

    [ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]

    9. rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee

    to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

    [ guftaar = speech/discourse ]

    10. huaa hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata

  • wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?

    [ musaahib = comrade/associate ]

    *****************************************

    1. husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai

    us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai

    [ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]

    2. bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah

    jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

    [ bosa = kiss ]

    3. aur baazaar se le aaye agar TooT gaya

    saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

    [ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]

    4. be_talab daiN to maza usme siwa milta hai

    woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

    [ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]

    5. unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq

    woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

    6. dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?

    ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

    [ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]

    7. ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya

    jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

    [ ham_suKHan = together, tesha = axe ]

    8. qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye

    kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai

    [ ma'aal = result ]

    9. KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz

    shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

    [ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/

    God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ]

  • 10. hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin

    dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai

    *****************************************

    1. GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke

    ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke

    [ bosa = kiss, tishna = thirsty ]

    2. KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye

    hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke

    [ KHastagee = injury/sickness, shikawa = complaint,

    hathkanDe = tactics, charKH = sky, neelee_faam = blue colour/

    complexion ]

    3. KHat likhenge garche matlab kuchch na ho

    ham to aashiq haiN tumhaare naam ke

    4. raat pee zamzam pe mai aur subh_dam

    dhoye dhab'be jaam-e-'eharaam ke

    [ zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy,

    mai = wine, subh_dam = at dawn, 'eharaam = dress for 'haj' ]

    5. dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar

    ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke

    [ halqa = ring/circle, daam = net/trap ]

    6. shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar

    dekhiye kab din fireiN hammaam ke

    [ GHusl = bath, sehat = health, hammaam = a hot bath where a masseur

    gives massage and bath ]

    7. ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya

    warna ham bhee aadmee the; kaam ke

    *****************************************

    1. naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka

    kaaGHazee hai pairhan har paikar-e-tasweer ka

    [ naqsh = copy/print, fariyaad = complaint, tehreer = hand

    writing, kaaGHazee = delicate, pairhan = dress,

    paikar = appearance ]

  • 2. kaave-kaave saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch

    subah karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

    [ kaave-kaave = hard work, saKHt_jaanee = tough life,

    joo = canal/stream, sheer = milk, joo-e-sheer = to create a

    canal of milk, here means to perform an impossible task ]

    3. jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye

    seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka

    [ iKHtiyaar = authority/power, shamsheer = sword ]

    4. aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye

    mudda'a 'anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

    [ aagahee = knowledge/intution, daam = net/trap,

    shuneed = conversation, 'anqa = rare, aalam = world/universe,

    taqreer = speech/discourse ]

    5. bus ke hooN 'GHalib' aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa

    moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka

    [ aseeree = imprisonment/captivity, zer-e-pa = under the feet,

    moo = hair, aatish_deeda = roasted on fire, halqa = ring/circle ]

    *****************************************

    1. kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse

    jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse

    [ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ]

    2. KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai

    ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse

    [ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ]

    3. woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee

    ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse

    [ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/

    admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ]

    4. udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai

    na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse

    [ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ]

    5. sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai

    ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

  • 6. takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin

    woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse

    [ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ]

    7. hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee

    na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse

    [ nabard-e-ishaq = struggle in love ]

    8. qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib'

    woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse

    *****************************************

    1. dil se teree nigaah jigar tak utar gayee

    donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

    2. shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq

    takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

    [ shaq = crack/split, firaaq = separation,

    pardaadaaree = to hide, esp. fault ]

    3. woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?

    uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

    [ baada = wine, shabaana = night, sahar = morning ]

    4. uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se

    baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

    [ baare = at last, koo-e-yaar = lover's street ]

    5. dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa

    mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

    [ dil_fareb = heart alluring, naqsh = copy/print, pa = leg,

    mauj = wave/enjoyment, KHiraam = speed ]

    6. har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee

    ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee

    [ bulhawas = greedy, husn_parastee = to appreciate beauty,

    shiaar = habit, aabru = respect/honour, sheva = manner/habit ]

    7. nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka

    mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

  • 8. farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya

    kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

    [ farda = yesterday, dee = tomorrow, tafarqa = difference ]

    9. maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe

    woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

    [ walwale = enthusiasm ]

    *****************************************

    1. miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN

    kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

    [ KHoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire,

    iltihaab = flame, 'azaab = sorrow ]

    2. kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?

    shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

    [ jahaan-e-KHaraab = world of problems, shab = night,

    hijr = separation ]

    3. taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar

    aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

    [ taa = so that, 'ahad = promise ]

    4. qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN

    maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

    [ qaasid = messenger ]

    5. mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam

    saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

    [ bazm = meeting/"mehafil", saaqee = bar tender ]

    6. jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?

    kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

    [ munkir-e-wafa = one who denies loyalty, fareb = illusion/fraud

    badGHumaaN = suspicious, baab = company ]

    7. maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se

    Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

    [ muztarib = anxious/disturbed, wasl = meeting with the lover,

    KHauf = fear, raqeeb = opponent, pech-o-taab = predicament ]

  • 8. mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai

    jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

    [ mai = bar, haz'z-e-wasl = joy of meeting, KHudaa_saaz = god's gift,

    iztiraab = anxiety ]

    9. hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke

    hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

    [ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]

    10. laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka

    laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

    [ itaab = anger ]

    11. woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye

    jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

    [ naala_dil = crying heart, KHas = hay/grass, shigaaf = crack,

    aaftaab = sun/face ]

    12. woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye

    jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

    [ sehar = magic, muddaa talbee = fulfillment of a desire,

    safina = boat, ravaaN = move, saraab = mirage ]

    13. 'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee

    peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN

    [ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon ]

    *****************************************

    1. daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN

    KHaak 'eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN

    [ daayam = always ]

    2. kyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ?

    insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN

    [ gardish = bad time/luck, mudaam = always ]

    3. yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?

    loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN

    [ harf = alphabet, muqarrar = again ]

  • 4. had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste

    aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN

    [ uqoobat = pain ]

    5. kis waaste 'azeez naheeN jaante mujhe ?

    laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN

    [ laal = a kind of gem, zumurrud = green colored gem,

    zar = gold, gauhar = gem ]

    6. rakhte ho tum qadam meree aaNkhoN se kya dareGH

    rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN

    [ dareGH = regret/grief, mehar = sun, maah = moon ]

    7. karte ho mujhko man'a-e-qadam_bos kis liye ?

    kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ?

    [ bosa = kiss ]

    8. 'GHalib' wazifaa_KHwaar ho, do shaah ko duaa

    woh din gaye ki kehte the;, "naukar naheeN hooN maiN"

    [ wazifaa_KHawaar = pensioner ]

    *****************************************

    1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?

    aaKHir is dard kee dawa kya hai

    2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar

    ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?

    [ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]

    3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN

    kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?

    4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood

    fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

    5. ye paree chehara log kaise haiN ?

    GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?

    [ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,

    ishwa = coquetry ]

    6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?

  • nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?

    [ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]

    7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?

    abr kya cheez hai, hawa kya hai ?

    [ abr = clouds ]

    8. hamko unse wafa ki hai ummeed

    jo naheeN jaante wafa kya hai

    9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"

    aur darvesh kee sada kya hai ?

    [ darvesh = beggar, sada = voice ]

    10. jaan tum par nisaar karta hooN

    maiN naheeN jaanata duaa kya hai

    11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'

    muft haath aaye to bura kya hai ?

    *****************************************

    1. woh aake KHwaab meiN taskeen-e-iztiraab to de

    wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-KHwaab to de

    [ taskeen = satisfaction, iztiraab = anxiety, tapish = burn/passion,

    mazaal = strength ]

    2. kare hai qatl lagaawat meiN tera ro dena

    teree tarah koee teGH-e-nigah ko aab to de

    [ lagaawat = affection, tegh = sword, aab = cool ]

    3. dikhaake jumbish-e-lab hee tamaam kar hamko

    na de jo bosa, to muNh se kaheeN jawaab to de

    [ jumbish = motion/vibration, bosa = kiss ]

    4. pila de oak se saaqee jo hamse nafrat hai

    pyaala gar naheeN deta na de, sharaab to de

    [ oak = palm of the hand contracted so as to hold water ]

    5. 'Asad' KHushee se mere haath paaNv phool gaye

    kaha jo usne zara mere paaNv daab to de

    *****************************************

  • 1. ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair

    jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair

    2. kehte haiN, jab rahee na mujhe taaqat-e-suKHan

    jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair

    [ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]

    3. kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN

    lewe na koee naam 'sitamgar' kahe baGHair

    [ sitamgar = oppressor ]

    4. jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham

    sar jaaye ya rahe, na rahaiN par kahe baGHair

    5. choDooNga maiN na us but-e-kaafir ka poojna

    choDe na KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair

    [ but = idol/lover, KHalq = world ]

    6. maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam

    chalta naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair

    [ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]

    7. har chand ho mushaahit-e-haq ki guftagoo

    bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair

    [ mushaahit = God, baada = wine ]

    8. behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat

    sunta naheeN hooN baat muqarrar kahe baGHair

    [ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]

    9. 'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz

    zaahir hai tera haal sab un par kahe baGHair

    *****************************************

    1. shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa

    qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa

    [ raqeeb = opponent, sar-o-saamaaN = with belongings,

    qais = 'majanooN', uriyaaN = nude ]

  • 2. zaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab !

    teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa

    [ daad = justice, seena-e-bismil = wounded heart, par = wings,

    afshaaN = rattle ]

    3. boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil

    jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa

    [ boo = fragrance, gul = flower, naalaa = cry, dood = smoke, esp.

    from a lamp that's been extinguished ]

    4. thee nau_aamoz_fana'a himmat-e-dushwaar_pasand

    saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla

    [ nau_aamoz = beginner, dushwaar = difficult ]

    5. dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya 'GHalib'

    aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla

    [ giryaaN = weeping, qatra = drop ]

    *****************************************

    1. 'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha

    jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

    [ niyaaz = desire/an offering ]

    2. jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue

    hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

    [ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp,

    darKHur = worthy ]

    3. marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN

    shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

    [ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand,

    baazoo = shoulder ]

    4. bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai

    yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa

    [ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,

    imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]

    5. waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn

    GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

  • [ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]

    6. go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar

    lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

    [ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]

    7. dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN

    haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

    8. bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'

    jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

    [ bedaad = injustice ]

    *****************************************

    1. na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota

    duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?

    2. huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka

    na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota

    [ behis = shocked/stunned, zaanooN = knee ]

    3. huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai

    wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?

    [ muddat = duration/period ]

    *****************************************

    1. hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle

    bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

    2. Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par

    wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle

    [ KHooN = blood, chashm = eye, tar = wet, dam_ba_dam = continously ]

    3. nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin

    bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

    [ KHuld = heaven, be_aabaru = disgrace, koocha = street ]

    4. bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka

    agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle

  • [ daraazee = length/delay, qaamat = stature, turra = an ornamental

    tassel worn in the turban, pech-o-KHam = curls in the

    hair/complexity ]

    5. magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye

    huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

    6. huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee

    fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle

    [ mansoob = association, baada_aashaamee = association with

    drinking ]

    7. huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee

    wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle

    [ tavaqqo = expectation, KHastagee = weakness, daad = justice,

    KHasta = broken/sick/injured, teGH = sword, sitam = cruelity ]

    8. mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa

    usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

    9. zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle

    jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

    10. KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim

    kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

    11. kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz

    par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle

    [ waaiz = preacher/advisor ]

    *****************************************

    1. ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN

    kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

    [ hijr = separation, dar = door, saba = wind,

    naamaabar = messanger ]

    2. woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai

    kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

    3. nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko

    ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?

    [ dast-o-baazoo = hands & shoulders ]

    4. tere jawaahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhaiN ?

  • ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN

    [ jawaahir = jewels, tarf = golden belt, kulah = crown,

    auj = height/position, taal'a = luck, laal-o-guhar = diamonds

    & pearls ]

    *****************************************

    1. koee din gar zindagaanee aur hai

    apne jee meiN hamne THaanee aur hai

    2. aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN

    soz-e-GHam haay nihaanee aur hai

    [ dozaKH = hell, soz = passion/heat, nihaanee = internal/hidden ]

    3. baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN

    par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai

    [ sar_giraanee = pride ]

    4. deke KHat muNh dekhta hai naamabar

    kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai

    [ naamabar = messenger ]

    5. qaata-e-'amaar hai aksar nujoom

    woh balaa-e-aasmaanee aur hai

    [ qaata-e-'amaar = killers, nujoom = stars,

    balaa-e-aasmaanee = natural calamity ]

    6. ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam

    ek marg-e-naagahaanee aur hai

    [ balaayeN = calamities, marg = death, naagahaanee = sudden/

    accidental ]

    *****************************************

    1. aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak

    kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

    2. daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg

    dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak

    [ daam = net/trap, mauj = wave, halqa = ring/circle, sad = hundred,

    nahaNg = crocadile, sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred

  • jaws, guhar = pearl ]

    3. aashiqee sabr talab aur tamanna betaab

    dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

    [ sabr = patience, talab = search ]

    4. ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin

    KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

    [ taGHaful = neglect/ignore ]

    5. partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem

    maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

    [ partav-e-khur = sun's reflection/light/image, shabnam = dew,

    fana'a = mortality, inaayat = favour ]

    6. yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil

    garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

    [ besh = too much/lots, fursat-e-hastee = duration of life,

    GHaafil = careless, raqs = dance, sharar = flash/fire ]

    7. GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz

    shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

    [ hastee = life/existence, juz = other than, marg = death,

    sahar = morning ]

    *****************************************

    1. meherabaaN hoke bula lo mujhe chaaho jis waqt

    maiN gaya waqt naheeN hooN ke fir aa bhee na sakooN

    2. zauf meiN taana-e-aGHayaar ka shikawa kya hai ?

    baat kuchch sar to naheeN hai ke uTha bhee na sakooN

    [ zauf = weakness, taana = taunt, aGHayaar = enemy,

    shikawa = complaint ]

    3. zehar milta hee naheeN mujhko sitamgar, warana

    kya qasam hai tere milne kee, ke kha bhee na sakooN

    [ sitamgar = oppressor ]

    *****************************************

  • 1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage

    hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

    [ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]

    2. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek

    ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

    [ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]

    3. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor

    juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

    [ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,

    ashiya = things/items ]

    4. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote

    ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

    [ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

    5. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?

    too dekh ke kya rang tera mere aage

    6. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?

    baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

    [ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,

    but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

    7. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar

    rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

    [ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,

    sahaba = wine, esp. red wine ]

    8. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa

    kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

    [ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

    9. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr

    ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

    [ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]

    10. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam

    majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

    [ farebee = a fraud/cheat ]

    11. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate

  • aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

    [ hijr = separation ]

    12. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho

    aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

    [ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

    13. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai

    rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

    [ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]

    14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera

    'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

    [ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the

    same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]

    *****************************************

    1. fir kuchch is dil ko beqaraaree hai

    seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai

    [ zoya = searcher, zaKHm-e-kaaree = deep wound ]

    2. fir jigar khodane laga naaKHun

    aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai

    [ aamad = arrival, fasl = season/harvest ]

    3. qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz

    fir wahee parda-e-'amaaree hai

    [ niyaaz = desire, 'amaaree = rider's seat with a canopy on an

    elephant or camel ]

    4. chashm-e-dallaal -e- jins-e-ruswaaee

    dil KHareedaar-e-zauq-e-KHwaaree hai

    [ chashm = eye, jins = things/items, zauq = taste ]

    5. wohee sad_rang naala farsaayee

    wohee sad_goona ashq_baaree hai

    [ sad = hundred, naala farsaayee = lamenter, sad_goona = hundred

    times, ashq_baaree = lamentation ]

    6. dil hawa-e-KHiraam-e-naaz se fir

  • mahshristaan-e-beqaraaree hai

    [ KHiraam = speed, mahshar = the last day/"qayaamat ka din",

    mahshristaan = place of the last day ]

    7. jalwa fir arz-e-naaz karta hai

    roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai

    [ jalwa = splendour, jaaN_sipaaree = resigning one's life into

    the hands of another ]

    8. fir usee bewafa pe marte haiN

    fir wohee zindagee hamaaree hai

    9. fir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz

    garm baazaar-e-fauj_daaree hai

    [ dar = abode, fauj_daaree = military court ]

    10. ho raha hai jahaan meiN andher

    zulf kee fir sarishta_daaree hai

    [ sarishta_daaree = a regulator's position ]

    11. fir kiya paara-e-jigar ne sawaal

    ek fariyaad-o-aah-o-zaaree hai

    [ paara = fragment ]

    12. fir hue haiN gawaah-e-ishq talab

    ashq_baaree ka hukm_zaaree hai

    [ talab = search/desire/request, ashq_baaree = lamentation ]

    13. dil-o-mizhgaaN ka jo muqadamaa tha

    aaj fir uskee roob_qaaree hai

    [ mizhgaaN = eyelids, roob_qaaree = to put the mind into work ]

    14. be_KHudee be_sabab naheeN 'GHalib'

    kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai

    [ be_KHudee = rapture, be_sabab = without any reason,

    pardaadaaree = to hide, esp. fault ]

    *****************************************

    1. rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye

    dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye

  • [ be_baak = outspoken/bold, paak = pure/clean/holy ]

    2. sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee

    the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye

    [ sarf = expenditure, baha = value/price, mai = bar,

    aalaat = instruments/apparatus, maikashee = boozing ]

    3. ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum

    baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye

    [ dahar = world, baare = atlast ]

    4. kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar

    parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye

    [ chaak = slit/torn ]

    5. pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka

    aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye

    [ wujood = existence, adam = non existence,

    KHas-o-Khaashaak = destroyed ]

    6. karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila

    kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye

    [ taGHaaful = negligence, gila = complaint, KHaak = dust/ashes ]

    7. is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash

    dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye

    [ GHamnaak = grief stricken ]

    *****************************************

    1. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?

    woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

    [ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night,

    roz = day, maah = month, saal = year ]

    2. fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?

    zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?

    [ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]

    3. dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa

    shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ?

  • 4. thee woh ik shaKHs ke tasavvur se

    ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?

    [ tasavvur = imagination, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]

    5. 'eisa aasaaN naheeN lahoo rona

    dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

    [ haal = spiritual ecstasy ]

    6. hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq

    waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?

    [ qamaar_khaana = casino, girah = knot/joint ]

    7. fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN

    maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?

    [ wabaal = calamity ]

    8. muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'

    wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN ?

    [ muzmahil = exhausted/idle, quwa'a = limbs, anaasir = elements,

    'eitdaal = moderation ]

    *****************************************

    1. ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

    agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

    [ wisaal-e-yaar = meeting with lover ]

    2. tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa

    ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

    [ 'eitabaar = trust/confidence ]

    3. teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda

    kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota

    [ 'ehed = oath, oostuwaar = firm/determined ]

    4. koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko

    ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

    [ teer-e-neemkash = half drawn arrow, KHalish = pain ]

    5. ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh

    koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

  • [ naaseh = councellor, chaarasaaz = healer,

    GHamgusaar = sympathizer ]

    6. rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta

    jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

    [ rag = nerve, sang = stone, sharaar = flash/gleam ]

    7. GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai

    GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota

    [ jaaN_gulis = life threatning ]

    8. kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai

    mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota

    9. hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya

    na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota

    [ GHarq = drown/sink ]

    10. use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa

    jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

    [ yagaana = kinsman, yaktaa = matchless/incomparable, dooee = duality ]

    11. ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !

    tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota

    [ masaail = topics, tasawwuf = mysticism, walee = prince/friend,

    baada_KHwaar = boozer ]

    *****************************************

    1. dhota hooN jab maiN peene ko us seem_tan ke paaNv

    rakhata hai zid se kheeNch ke baahar lagan ke paaNv

    [ seem_tan = silver bodied, lagan = a basin ]

    2. dee saadgee se jaan paDooN kohakan ke paaNv

    haihaat ! kyoN na TooT gaye peerzan ke paaNv

    [ kohakan = a mountain digger, haihaat = alas !, peerzan = old woman ]

    3. bhaage the; ham bahut see uskee saza hai ye

    hokar aseer daabte haiN raahzan ke paaNv

    [ aseer = prisoner, raahzan = robber ]

  • 4. marham ki justjoo meiN ghira hooN jo door-door

    tan se siwa figaar hai is KHastaa_tan ke paaNv

    [ justjoo = desire, figaar = wounded ]

    5. allaah re zauq-e-dasht-e-nawrdee ki baad-e-marg

    hilte haiN Khud-ba-KHud mere andar qafan ke paaNv

    [ zauq = taste, dasht-e-nawrdee = to roam around in wilderness,

    marg = death ]

    6. hai josh-e-gul bahaar meiN yaaN tak ki har taraf

    uDate hue ulajhte haiN murGH-e-chaman ke paaNv

    [ murGH = bird ]

    7. shab ko kisee ke KHwaab meiN aaya na ho kaheeN

    dukhte haiN aaj oos but-e-naazuk_badan ke paaNv

    [ but = idol/beloved ]

    8. 'GHalib' mere kalaam meiN kyoNkar maza na ho ?

    peeta hooN dhoke KHusrau-e-sheereeN_suKHan ke paaNv

    [ kalaam = writing/speech, sheereeN = sweet, suKHan = speech/words,

    KHusrau-e-sheereeN_suKHan = this is pointed at Badshah Zafar ]

    *****************************************

    1. hairaaN hooN dil ko ro'ooN ki peetooN jigar ko maiN ?

    maqdoor hooN to saath rakhooN nauhaagar ko maiN

    [ maqdoor = capable, nauhaagar = mourner/lamenter ]

    2. choDa na rashk ne ki tere ghar ka naam looN ?

    har ek se poochta hooN ki jaaooN kidhar ko maiN ?

    [ rashk = jealousy ]

    3. jaana paDa raqeeb ke dar par hazaar baar

    'ei kaash jaanta na teree rahguzar ko maiN

    [ raqeeb = opponent, rahguzar = road/path ]

    4. hai kya jo kas ke baaNdhiye meree bala dar'e

    kya jaanta naheeN hooN tumhaaree kamar ko maiN ?

    5. lo woh bhee kahate haiN ki yeh be_nang-o-naam hai

    yeh jaanta agar to luTaata na ghar ko maiN

  • 6. chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath

    pehchaanta naheeN hooN abhee raahabar ko maiN

    [ rau = currents, raahabar = guide ]

    7. KHwaahish ko 'ahamqoN ne parastish diya qaraar

    kya poojta hooN us but-e-bedaadgar ko maiN ?

    [ 'ahmaq = fool/idiot, parastish = worship, but = idol/lover,

    bedaadgar = cruel ]

    8. fir be_KHudee meiN bhool gaya raah-e-koo-e-yaar

    jaata wagarna ek din apnee KHabar ko maiN

    [ be_KHudee = rapture, koo-e-yaar = lover's street ]

    9. apne pe kar raha hooN qiyaas 'ahl-e-dahar ka

    samjha hooN dil_pazeer mata'a-e-hunar ko maiN

    [ qiyaas = supposition, 'ahl = people, dahar = period/era,

    pazeer = receiving, mata'a = wealth, hunar = skill ]

    10. 'GHalib' KHuda kare ki sawaar-e-samand-e-naaz

    dekhooN 'alee_bahaadur-e-aalee_guhar ko maiN

    [ sawaar = ride, samand = horse, aalee_guhar = belonging to a

    high caste or a rich family ]

    *****************************************

    1. dard minnat_kash-e-dawa na huaa

    maiN na achchaa huaa, bura na huaa

    [ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]

    2. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?

    ik tamaasha huaa gila na huaa

    [ raqeeb = opponent, gila = complaint ]

    3. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?

    too hee jab KHanjar aazma na huaa

    4. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb

    gaaliyaaN khaake be_maza na huaa

    [ sheereeN = sweet ]

    5. hai KHabar garm unke aane kee

    aaj hee ghar meiN boriya na huaa !

  • [ boriya = mat, here it refers to groceries ]

    6. kya woh namrood kee KHudaaee thee

    bandagee meiN tera bhala na huaa

    [ namrood = an old king who used to say that he was god ]

    7. jaan dee, dee huee usee ki thee

    haq to ye hai ke haq adaa na huaa

    8. zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama

    kaam gar ruk gaya rawa na huaa

    [ rawa = right/lawful ]

    9. rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?

    leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa

    [ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ]

    10. kuchch to paDhiye ki log kehte haiN

    "aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"

    *****************************************

    1. koee ummeed bar naheeN aatee

    koee soorat nazar naheeN aatee

    2. maut ka ek din mu'ayyan hai

    neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?

    [ mu'ayyan = definite ]

    3. aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee

    ab kisee baat par naheeN aatee

    4. jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad

    par tabeeyat idhar naheeN aatee

    [ sawaab = reward of good deeds in next life, taa'at = devotion,

    zahad = religious deeds or duties ]

    5. hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN

    warna kya baat kar naheeN aatee ?

    6. kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN

    meree aawaaz gar naheeN aatee

    7. daaGH-e-dil gar nazar naheeN aata

  • boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee

    [ chaaraagar = healer/doctor ]

    8. ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee

    kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee

    9. marte haiN aarzoo meiN marne ki

    maut aatee hai par naheeN aatee

    10. kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'

    sharm tumko magar naheeN aatee

    *****************************************

    1. nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane

    kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane

    [ nuktaacheeN = critic/sweetheart ]

    2. maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil

    uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

    3. khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay

    kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane

    4. GHair firta hai liye yooN tere KHat ko ki agar

    koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane

    5. is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya

    haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na bane

    [ nazaakat = elegance ]

    6. keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai

    parda choDa hai woh usne ki uTHaaye na bane

    [ jalwaa_garee = manifestation ]

    7. maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe

    tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane

    8. bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe

    kaam woh aan paDa hai, ki banaaye na bane

    9. ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'

    ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

    [ aatish = fire ]

  • *****************************************

    1. ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee

    meree wehshat, teree shohrat hee sahee

    [ wehshat = solitude, shohrat = fame ]

    2. qata`a keeje na ta`alluq ham se

    kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee

    [ qata'a = break/intercept, ta'alluq = relation/connection,

    'adaavat = hatred/animosity ]

    3. mere hone meiN hai kya ruswaaee ?

    'ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee

    [ majlis = assembly, KHalwat = isolation ]

    4. ham bhee dushman to naheeN haiN apne

    GHair ko tujh se mohabbat hee sahee

    5. apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !

    aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee

    [ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,

    GHaflat = negligence ]

    6. 'umr harchand ke hai barq-e-KHiraam

    dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee

    [ barq = lightning, KHiraam = manner of walking ]

    7. ham koee tarq-e-wafa karte haiN

    na sahee ishq, museebat hee sahee

    [ tarq = relinquishment ]

    8. kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf

    aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee

    [ falak = sky ]

    9. ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge

    be_niyaazee teree `aadat hee sahee

    [ tasleem = greeting/saluting, KHoo = habit,

    be_niyaazee = independence ]

    10. yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad'

    gar nahee wasl to hasrat hee sahee

  • [ wasl = meeting, hasrat = desire ]

    *****************************************

    1. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?

    royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

    [ sang = stone, KHisht = brick ]

    2. dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN

    baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

    [ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode,

    rehguzar = path/way ]

    3. jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz

    aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

    [ jamaal = beauty, faroz = shining/luminous, meher = sun,

    neem_roz = mid day, nazzaara_soz = beautiful/worth seeing ]

    4. dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah

    tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?

    [ dashna = dagger, GHamza = amorous glance, jaaN_sitaaN = distroying

    life, naawak = a kind of arrow, aks = image ]

    5. qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN

    maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

    [ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,

    nijaat = release/liberation ]

    6. husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm

    apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?

    [ husn_zan = favourable view, bulhawas = slave of passions/very

    greedy, 'eitmaad = reliance/dependance ]

    7. waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a

    raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?

    [ GHuroor = pride, iz'z-o-naaz = respect and beauty,

    hijaab = veil/modesty, paas = regard, waz'a = behaviour ]

    8. haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee

    jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

    [ parast = worshipper, deen = religion/faith ]

  • 9. 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?

    roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?

    [ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]

    *****************************************

    1. muddat huee hai yaar ko mehmaaN kiye hue

    josh-e-qadah se bazm chiraaGHaaN kiye hue

    [ qadah = goblet ]

    2. karta hooN jama'a fir jigar-e-laKHt-laKHt ko

    arsa hua hai daawat-e-mizhgaaN kiye hue

    [ laKHt = piece, mizhgaaN = eyelid ]

    3. fir waz'a-e-'ehtiyaat se rukane laga hai dam

    barsoN hue haiN chaak girebaaN kiye hue

    [ waz'a = conduct/behaviour, 'ehtiyaat = care, chaak = torn,

    girebaaN = collar ]

    4. fir garm_naala haay sharar_baar hai nafas

    muddat huee hai sair-e-chiraaGHaaN kiye hue

    [ sharar_baar = raining sparks of fire, nafas = breath ]

    5. fir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chala hai ishq

    saamaan-e-sad_hazaar namakdaaN kiye hue

    [ pursish = enquiry, jaraahat (or jiraahat) = surgery, sad = hundred,

    namakdaaN = container to keep salt ]

    6. fir bhar raha hai KHaama-e-mizhgaaN ba_KHoon-e-dil

    saaz-e-chaman_taraazee-e-daamaaN kiye hue

    [ KHaama = pen, mizhgaaN = eyelid, saaz = disposition,

    taraazee = consenting ]

    7. baa_ham_digar hue haiN dil-o-deeda fir raqeeb

    nazzaara-o-KHayaal ka saamaaN kiye hue

    [ ham_digar = mutual/in between, saamaaN = confront ]

    8. dil fir tawaaf-e-koo-e-malaamat ko jaai hai

    pindaar ka saman_kada weeraaN kiye hue

    [ tawaaf = circuit, koo = lane/street, malaamat = rebuke/blame,

  • pindaar = pride/arrogance, saman_kada = house of jasmine flowers,

    here it means temple ]

    9. fir shauq kar raha hai KHareedaar kee talab

    arz-e-mata'a-e-'aql-o-dil-o-jaaN kiye hue

    [ talab = search, mata'a = valuables ]

    10. dauDe hai fir harek gul-o-laala par KHayaal

    sad_gul_sitaaN nigaah ka saamaaN kiye hue

    11. fir chaahta hooN naama-e-dildaar kholna

    jaaN nazr-e-dil_farebee-e-unwaaN kiye hue

    [ naama-e-dildaar = love letter, unwaaN = title/preface ]

    12. maange hai fir kisee ko lab-e-baam par hawas

    zulf-e-siyaah ruKH pe pareshaaN kiye hue

    [ lab-e-baam = the corner of a terrace, siyaah = black/dark ]

    13. chaahe fir kisee ko muqaabil meiN aarzoo

    soorme se tez dashna-e-mizhgaaN kiye hue

    [ muqaabil = confronting, dashna = dagger, mizhgaaN = eyelids ]

    14. ik nau_bahaar-e-naaz ko taaqe hai fir nigaah

    chehra furoGH-e-mai se gulistaaN kiye hue

    [ nau_bahaar-e-naaz = lover, furoGH = light/bright ]

    15. fir jee meiN hai ki dar pe kisee ke paDe rahaiN

    sar zar-e-baar-e-minnat-e-darbaaN kiye hue

    [ zar = money/wealth, baar = burden/load, minnat = supplicate ]

    16. jee DhoonDta hai fir wohee fursat ke raat din

    baiTHe rahaiN tasavvur-e-jaanaaN kiye hue

    [ tasavvur = imagination ]

    17. 'GHalib' hameiN na cheD ki fir josh-e-ashq se

    baiTHe haiN ham tahayya-e-toofaaN kiay hue

    [ tahayya = determined ]

    *****************************************

    1. bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona

    aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona

  • [ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]

    2. giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki

    dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona

    [ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]

    3. waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko

    aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona

    4. jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai

    jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona

    [ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]

    5. ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch

    id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona

    [ ishrat = joy/delight, shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]

    6. le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat

    too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona

    [ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness, sad_rang = hundred

    colours ]

    7. ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana

    lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona

    [ ishrat = joy/delight, paara = fragment/piece, lazzat = taste,

    reesh = wound, GHarq = drown/sink, namakdaaN = container to

    keep salt ]

    8. kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba

    haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona

    [ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed/

    embarrassed ]

    9. haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'

    jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona

    [ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]

    *****************************************

    1. fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya

    dil jigar tashna-e-fariyaad aaya

  • [ deeda-e-tar = wet eyes, tashna (or tishna ) = thirsty ]

    2. dam liya tha na qayaamat ne hanoz

    fir tera waqt-e-safar yaad aaya

    [ hanoz = yet/still ]

    3. saadgee haay tamanna, yaanee

    fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya

    [ nai_rang = fascinating ]

    4. uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil

    naala karta tha jigar yaad aaya

    [ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ]

    5. zindgee yoN bhee guzar hi jaatee

    kyoN tera raahguzar yaad aaya ?

    6. kya hee rizwaaN se laDaayee hogee

    ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya

    [ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ]

    7. aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN

    dil se tang aake jigar yaad aaya

    [ jurat = courage/valour ]

    8. fir tere kooche ko jaata hai KHayaal

    dil-e-gumgashta magar yaad aaya

    [ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ]

    9. koee weeraanee-see-weeraanee hai

    dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

    [ dasht = desert ]

    10. maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad'

    sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya

    [ sang = stone ]

    *****************************************

    1. kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?

    na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

  • [ nawaa_sanj = singer, fuGHaaN = clamour ]

    2. woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz'a kyoN badleiN ?

    subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?

    [ KHoo = habit, waz'a = conduct/behaviour, subak_sar = light headed/

    unsteady, sar_giraaN = arrogant/proud ]

    3. kiya GHam_KHwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko

    na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?

    [ GHam_Khawaar = comforter, taab = courage/patience,

    raazdaaN = friend ]

    4. wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra

    to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?

    [ sang_dil = hard hearted/merciless, sang-e-aastaaN = threshold ]

    5. qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam

    giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?

    [ qafas = cage/prison, roodaad = report/statement ]

    6. ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao

    ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?

    [ nihaaN = hidden ]

    7. GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho juRm kiska hai

    na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?

    [ jazba = desire/feeling, shikwa = complaint,

    kashaakash = struggle/dilemma, darmiyaaN = betwwen ]

    8. ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?

    hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ?

    [ fitna = quarrel, KHaanaa_weeraanee = ruinning of home ]

    9. yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ?

    `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

    [ 'adoo = enemy, imtihaaN = examination ]

    10. kaha tumne ki "kyoN ho GHair ke milne meiN ruswaaee ?"

    baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"

    [ ruswaaee = disgrace, baja = right/correct ]

    11. nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'

    tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?

  • [ taa'an = taunter, be_mehar = unkind/repulsive ]

    *****************************************

    1. zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai

    ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

    [ zulmat = darkness, daleele = proof, sahar = morning ]

    2. nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal

    muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai

    [ muzda = good news, wisaal = meeting, nazzaara-e-jamaal = seeing

    a beautiful face, aashtee = harmony/friendship/peace, chashm = eye,

    gosh = ear ]

    3. mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab

    'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai

    [ mai = bar, KHud_aara = self adorer, hijaab = veil,

    tasleem = greeting ]

    4. gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna

    kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai

    [ gauhar = pearl/gem, ikd-e-gardan = necklace, KHubaaN = a beautiful

    person/sweetheart, auj = highest point/summit, farosh = merchant ]

    5. deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast

    bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

    [ deedaar = appearance, be_KHarosh = quite/dead ]

    6. 'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil

    zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

    [ waaridan = arrivals, bisaat = chess, hawa = desire/greed,

    zinhaar = be warned !, hawas = lust/greed, na-o-nosh = feasting/

    drinking ]

    7. dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho

    meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

    [ deedaa= sight, ibrat = admonition, gosh = ear, naseehat = advice,

    niyosh = listener ]

    8. saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee

    mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

  • [ aagahee = wisdom, mutrib = singer, rahazan = robber,

    tamkeen = authority/power ]

    9. ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat

    daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai

    [ gosha = corner, baaGHbaan = gradener, kaf = sleeve,

    gul_farosh = florist ]

    10. lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang

    yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai

    [ KHiraam = speed, zauq = taste, sada = sound, chang = lute,

    firdaus = paradise, gosh = ear ]

    11. ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN

    nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai

    [ suroor = pleasure, soz = passion/heat ]

    12. daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee

    ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

    [ firaaq = separation, sohabat = company ]

    13. aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN

    'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai

    [ GHaib = hidden/mysterious, mazaameeN = topics, sareer = scratching

    sound made by a pen, KHaama = pen, nawa = sound, sarosh = angel ]

    *****************************************

    1. hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur

    karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur

    [ gumaaN = doubt/suspicion ]

    2. yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat

    de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur

    3. abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand

    hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

    [ abroo = eyebrow, paiband = patch ]

    4. tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge

    le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur

    5. harchand subak_dast hue but_shikanee meiN

  • ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

    [ subak_dast (or sabuk_dast both are correct) = expert,

    but_shikanee = iconoclast, sang = stone, giraaN = heavy ]

    6. hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota

    hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur

    [ deeda = eye, KHooNnaaba = mixture of blood and water,

    {KHooNnaaba = KHooN (= blood) + aab (= water)}, fishaaN = shed

    /spread, KHooNnaaba_fishaaN = to sheds tears of blood ]

    7. marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay

    jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

    [ jallaad = executioner ]

    8. logoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka

    har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

    [ Khursheed = sun, taab = power/courage, nihaaN = hidden ]

    9. leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn

    karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

    [ fuGHaaN = clamour ]

    10. paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale

    ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur

    [ naale = lamentation, tab'a = temperament ]

    11. haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche

    kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur

    [ suKHanwar = poet ]

    *****************************************