Bkdk

download Bkdk

of 5

Transcript of Bkdk

  • 8/16/2019 Bkdk

    1/5

    Baat Kuchh Dil Ki

    (Music)

    (Actor comes and takes position on stage..... stays quiet for few moments ...andthen starts speaking.)

    Baat kuchh dil ki, kuchh ehsaas .... naya kuchh bhi nahi . Aap soch rahe honge kiagar naya kuchh hai nahi toh fir kehne ki kya zaroorat ? Aur yeh sochna sahi bhihai ki jab naya kuchh hai nahi toh kyun bewajah keh kar sab ko batana ya fir jatane ki koshish karna ki dil mey kuchh hai, humesha hi kuchh hai , kuchh aisa jo

    kehne ke baad bhi baki reh jaata hai ……

    Kya aapne kabhi gaur kiya hai ki kyun aisa hota hai ki jab hum kisi se pyaar kartehain toh izhaar karne ke baad bhi dil mey lagta rehta hai ki kuchh kehna baki rehgaya, ya jab dil khol kar kisi se shikwa aur shikayat karte hain toh uske baad bhikahin na kahin kuchh baki reh jata hai, kyun kabhi saari baatein lavzon meybaahar nahi aati. Kya sab kuchh keh dene se humey darr lagta hai? Yaa fir sabkuchh kabhi baahar aa sakta hi nahi ?

    Shayad yahi sach hai ki chaah kar bhi hum sab kuchh keh nahi paate jo dilmey hota hai.... Par kyun? Hum jo mehsoos karte hain ya jo khayal humare dilmey paida hote hain woh hoobahoo darshaana shayad utna aasaan nahi. Abmisaal ke taur par chaliye kisi insaan ki ek din ki din-charya ko hi le lije. Ek aamaadmi ki zindagi mey har din har kaam ek hi samay par lagbhag shuru hota hai aurkhatam hota hai, magar kuchh chhoti chhoti baatein ya chhoti si ghatna aisi hotihai jo har din se kuchh alag hoti hai. Us alag ghatna ko woh kuchh pal ke liyemehsoos karta hai aur fir bhool bhi jata hai. Aisa hote-hote na jaane kitni anginatbaatein ya mamuli kisse uske dimag ke ek kone mey kahin jama hoti jati hain.Jaise raah chalte kayi naye chehron ko dekhna, ya kayi nayi aawaazon ka kaanonmey padna. Magar woh saari baatein, ghatnaayein ya baatein itni mamuli lagtihain ki woh hum kisi ko keh nahi sakte aur na hi bata sakte hain. Par in mamulibaaton ki ek moti parat dar parat humare dimag mey saalon tak jama hoti rehti

  • 8/16/2019 Bkdk

    2/5

    hain. Yahi woh nayi baatein,ghatnaayein,aawaazein ya drishya hain jo humaredimag ke andar roz ek alag vyaktitwa ko janm deti hongi ya anchaahi ya anjaanisurat bhi ban jaati hongi dilo dimag mey aur humey uska andaaza bhi nahi hotahai.

    Ab aap fir soch rahe honge ki aisa kyun? Mey koi scientist nahi hun aur na hiinsaani dimag ki vichitrata ka vishleshan kar sakti/ sakta hun. Par kya aisa nahi haiki humara dimag har din ek naye tareeke ko apnaata rehta hai, kuchh humeshabadalta rehta hai aur humey pata bhi nahi chalta. Har din ek naya beej ya fir kayinaye beej dimag ke andar drishya aur dhwani ke maadhyam se jaate hain aurunse soch ka ek naya hi paudha janm leta hai. Na jaane kitni anginat baaton kamishran dimag mey din par din aur saal dar saal hota rehta hai aur hum sirf keh

    paate hain woh baatein jo upri taur par humare dimag mey hoti hain, andar kioohaapoh toh hum samajh hi nahi paate.

    Kuchh samay pehle ki baat hai, ek raat do bhai, Baadal aur Vikaas apni motor-bikepey baithe highway se sheher ki taraf aa rahe the. Vikas bike chala raha tha aurBaadal uske peechhe baitha tha. Galati se Vikas ne signal dekha nahi aur laal battihone ke bawajood bike aage le jata gaya. Traffic police ne usse pakad liya aurgusse mey usse apni lathi se do baar zor se peeta. Traffic police ka yeh karna galat

    tha par jo uske baad Baadal ne kiya woh keh pana bahut hi dardnaak hai. Usne ustraffic police-man se lathi chheeni aur uske sir pey tab tak maarta raha jab tak kiuska sir fat na gaya. Aaspaas ke logon ne use kisi tarah pakad kar kaabu kiya parusse dekh kar lag raha tha jaise ki koi junoon us par sawaar ho. Traffic police-manburi tarah se lahuluhaan tha. Use turant hospital le jaya gaya aur doctors ne uski jaan bacha li. Lekin baadal ab salaakhon ke peechhe hai. Aap yeh soch rahe hongeki shayad Baadal ek maansik rogi hai.

    Baadal aam taur par bahut hi seedha sada insaan hai. Itna seedha ki har koi uskesaath mazaak karta hai, uske dost uski taang kheenchte rehte hain, aur woh kuchhkeh nahi pata unhe. Thoda dabbu aur bhaawuk kism ka hai woh. Bachpan mey doteen baar usne raastey mey dekha tha ki kabhi-kabhar traffic police-men kis tarahkisi rikshaw wale ko ya fir bheed ko controle karne ke liye lathi ka istemaal kardete hain. Bachpan ke us masoom dil mey woh lathi chahe kisi anjaan par hi padi

  • 8/16/2019 Bkdk

    3/5

    thi par uske dil mey ek aaghaat kar gayi. Woh roya nahi par andar hi andar bilakhraha tha. Kayi baar usne apne pita ko dekha tha apni maa ke upar haath chalatehue, use maarte hue. Woh baccha tha, sirf rone ke alaawa kuchh kar nahi paaya.Yeh baatein woh kisi se keh nahi paaya par dimag ke ek kone mey ek krodh paaltaraha .... anjaane mey. Swabhaav se dabbu, roz marrah ki chhed-chhaad aur andardimag mey kahin palta krodh, inhi sab baaton ke mishran se bana ek alag hivyakteetwa, aur in sabse anjaan Baadal.... shayad yahi kaaran tha ki apnechhote bhai ke upar woh yeh waar bardaash nahi kar paaya aur khud par se kaabukho baitha. Bachpan ki ghatnaon se panapta hua woh krodh is tarah baahar nikla.Lekin kya ab bhi puri tarah baahar aa paya. Kya kahin kuchh baki nahi reh gayahoga, ek alag vyaktitwa jo uski jaankaari ke bina hi uske andar aakaar le chuka hai,woh vyaktitwa kya ek aur naya ya bada roop nahi lega? Fir kayi saalon tak badaltebadalte....

    Roz marrah ki dincharya ko hum itna mamuli samajhte hain, un anubhavon koitna mamuli samajhte hain ki unhe yaad rakhna ya kehna zaruri nahi lagta. Parhumara avchetan man yani ki subconscious mind kabhi kuchh nahi bhoolta.Sochiye beete har saal ke har pal ka har anubhav wahan kaid hai aur aane walehar pal ka bhi hota rahega. Aur yeh saari mamuli baatein humare andar kyaparivartan la rahi bina humari jaankaari ya anumati ke, uska humey kuchh patanahi, kyunki woh humare kaabu mey nahi. Aur yeh har din badalta anubhavon kataal-mel sirf kabhi-kabhi apni jhalak dikhata hai, humari pratikriyaon ke roop mey.Jo bahar aati hain woh sirf pratikriyaaein hain,waastavik anubhav nahi.

    Kuchh baatein toh dimag mey is kadar apni jakad banane lagti hain ki jo baateinhum kehna bhi chahte hon unhe bhi baahar aane nahi deti .Sochiye roz ek nayibaat har ek pichhli baat se milkar ek naya roop le rahi hai, har din baaton ki eknayi gutthi ban rahi, lekin sirf pratikriyaaon se yeh pata hi nahi chal sakta ki woh

    baat aakhir shuru mey aayi kab thi dimag mey,uski utpatti hi kahan se hui, kyunkishuruaat se ant tak ka safar toh hum jaante hi nahi, yani pratikriyaaon kekaaranon ko hum kabhi poori tarah samajh sakte hi nahi, sirf ek anumaan bharlaga sakte hain.

    Apni ek dost ki hi ghatna batati hun. Reema, Reema ek bahut hi tez tarrar ladki

  • 8/16/2019 Bkdk

    4/5

    hai, kisi se nahi darti, bilkul bindaas. Koi usse panga lene ki koshish nahi karta. Ekbaar toh usne raastey mey ek ladke ki pitayi kar di thi chhed-chhad karne par.Lekin kal raat jab parking lot se woh apni gaadi nikaalne gayi tab ek aadmiachanak se aaya aur reema ko ek chhoora dikha ke dhamkane laga, uska bag aur jo bhi jewellery usne pehen rakhi thi woh turant dene ke liye kaha.Reema darrgayi ! bilkul darr gayi! Kuchh der toh usse samajh hi nahi aaya, fir darr se usneapna bag aur saari jewellery us aadmi ko de di. Woh aadmi saamaan lekar bhaggaya lekin Reema abhi bhi dari hui thi, soch rahi thi aisa kyun hua?

    Usne yeh baat mujhe batayi aur baat-cheet se jitna mey samajh payi/ paya meywoh batane ki koshish karti/ karta hun. Poori baat keh paungi/ paunga yeh yakeense kehna zara mushkil hai.....(a mysterious laugh). Baat un dinon ki hai, jab Reema

    school mey padhti thi. Ek din apne doston ke saath woh jhooth bol kar moviedekhne gayi, ghar mey bahana banaya ki school ke baad seedha coaching centre jayegi. Lekin ghar lautatey waqt kafi shaam ho gayi, saare dost apne apne raaste ja chuke the aur woh ek sunsaan gali se aa rahi thi ki achaanak usse aisa ehsaashua ki do log uska peechha kar rahe hain. Woh seham si gayi. Jaise hi woh do loguske bahut kareeb aaye woh puri taakat laga ke itna tez bhaagi ki seedha apneghar ke paas hi ja kar ruki. Usne peechhe dekha toh koi bhi nahi tha, bas wahi rozwali chehel pehel thi ghar ke aas paas. Ek baar ke liye use laga ki yeh sirf uskawehem raha ho. Kuchh din baad woh yeh wakiya bhool gayi. Par iss ghatna kebaad anjaane mey ek jhootha saahasi vyaktitwa apnane lagi, nidar aur nishfikradikhne ka ek jhoota mukhauta apna liya..... anjaane mey. Lekin parking lot mey jab waise hi sunsaan maahoul mey woh aadmi achanak se aa gaya, toh saalonpehle hue us waakiye ka asar tab saamne aaya. Kahin na kahin ek darr uske dilmey humesha tha, upar se saahasi banne ki bharsak koshish ke baawajood wohdarr bahar nahi nikal paaya.

    Toh mere kehne ka matlab sirf yeh hai ki agar aapko yeh lagta hai ki duniya meykuchh log toh aise hain jinhe aap bahut achhi tarah jaante hain ya jo apne dil kihar baat aap se khul kar vyakt kar dete hain aur kuchh bhi chhupate nahi toh meykehti hun ki ek baar fir soch kar dekhiye ki kya yeh mumkin hai? Mey yeh nahi kehrahi ki woh jaan boojh kar aisa karte honge, par kya yeh sach-much mumkin hai kikoi bhi insaan apne dil ki har baat keh sake? Kya uske dil mey kuchh kahin na

  • 8/16/2019 Bkdk

    5/5

    kahin baki nahi rehta?

    (by Vijaylaxmi Kothari)