Irfan Haider 2013 - 2014

29
1 Irfan Haider Nauhas 2013 - 2014

description

Nauhas Of Famous Nawha Khwan Irfan Haider

Transcript of Irfan Haider 2013 - 2014

Page 1: Irfan Haider 2013 - 2014

1

Irfan Haider

Nauhas 2013 - 2014

Page 2: Irfan Haider 2013 - 2014

Contents1. Aahista Chalo.....................................................................................................................................3

2. Abbas (A.s.) E Nawjawanam.........................................................................................................5

3. Zehra (S.a.) Ko Do Pursa................................................................................................................8

4. Aai Gul E Narjis (S.a.)....................................................................................................................11

5. Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Mere Allah (S.w.t.).....................................................................14

6. Dua Karo Amma (S.a.)..................................................................................................................17

7. Chalo Chalo Husainiyo..................................................................................................................19

2

Page 3: Irfan Haider 2013 - 2014

1. Aahista Chalo

Damish Ka Hai Safar, Be Rida Hai Aale Nabi (S.a.w.w.)Na Mehmile, Na Kajawa Hai, Na Haudaj Hai Koi…..Aseer Sub The Magar, Ek Hi Rasan Mein Bandhe,Gala Sakina (S.a.) Ka Hai , Shane Haram Ke Jakde HueRasan Jo Khich Ti Hai, Karti Hai Sakina (S.a.)….. Nale

Thairo……, Aahista Chalo, Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista ChaloAahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..

Hai Amma Gala Is Tarha Jakda Hai Rasan MeinDo Gaam Bhi Chal Ne Ki Nahi Jaan Badan Mein…..2Khulva Do Rasan…..2, Kardo Yeh Ehsan, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Kis Shan Se Nikli Thi Savari Mere Ghar SeAmmu Mujhe Khud Laaie The Mehmil Mein Bitha Ke…..2Ek Yeh Hai Safar….2 Hai Phupi Jaan Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Yeh Dekh Ke Rote Hai Mere Baba (A.s.) Sina ParRone Pe Mujhe Durre Lagata Hai Sitamgar (L.a.)……2Rote Hi Ishi…..2 Gam Me Chacha Jaan (A.s.)Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Kya Din Hain Mere Naaz Utha Ta Nahi KoiAmma Mere Sanson Ka Bharosa Nahi Koi…..2

3

Page 4: Irfan Haider 2013 - 2014

Chehre Se Aziyat Hai…..2 Numaya, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Main Aap Ke Zakhmon Se Bhi Wakif Hun Phuphi JaanKutch Wade Nibha Ne Hai Mujhe Barsare Zindan…..2Bas Kehti Hun Mai…..2, Ba Haal E Pareshan,Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Mar Jaiengi Mar Jaiengi Is Rah Mein MuztarDada Ko Sada Deti Hun Har Gaam Tadap Kar…..2Ya Shah E Najaf (A.s.)…..2 Sayed E Zeeshan,Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Aai Amma Kaleje Mein Ulajhne Lagi SanseAb Aur Safar Karne Ki Takat Nahi Mujhme…..2Ja Paungi Kya…..2 Jaanib E Zindan,Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

Aai Mazhar O Irfan Sakina (S.a.) Ki Fuga ParZainab (S.a.) Ne Kaha Main Bhi Tadap Jaati Hun Dukhtar…..2Jub Kehti Hai Tu…..2 Mujhse Meri Jaan,Rassi Se Gala Khichta Hai Mera…..Aahista Chalo…..

Aahista Chalo, Aai Phupi Amma, Rassi Se Gala Khichta Hai Mera….. Aahista Chalo

4

Page 5: Irfan Haider 2013 - 2014

2. Abbas (A.s.) E Nawjawanam

Jub Hue Bazue Abbas (A.s.) Kalam….. Dariya ParGir Ke Thanda Hua Hazrat (A.s.) Ka Alam …… Dariya ParGark E Khoon Ho Gya Woh Behre Karam….. Dariya Par

Girte Hi Ghode Se Aaka (A.s.) Ko Pukara Ro KarShah (A.s.) Khaime Se Chale, Tha Yehi Nauha Lab Par

Baradar Bardar…..2Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarSitae Kudey Kaunam…..2 Baradar BaradarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Sadaien Teri Sun Kar Chal Hai Dil Pe Khanjar, Abbas (A.s.) E NawjawanamMadad Ko Aao Aaqa Sitam Hua Hai Mujhpar……2Labon Pe Aagaya Dam……2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Sakina (S.a.) Dar Pe Baith Bularahi Hai Tujhako, Abbas (A.s.) E NawjawanamTujhe Khabar Hai Gazi (A.s.) Na Jeene Denga Usko……2Tere Bichad Ne Ka Gam……2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Tadap Rahin Hai Behnein, Gashi Hui Hai Taari, Abbas (A.s.) E NawjawanamUjad Gai Abhi Se Wahan Ali (A.s.) Ki Beti…..2Meri Kamar Hui Kham…..2Baradar Bardar

5

Page 6: Irfan Haider 2013 - 2014

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Ajeeb Hai Yeh Gurbat, Tadap Rahe Hai Dono, Abbas (A.s.) E NawjawanamYeh Gam Mila Qaiyamat Tadap Rahe Hai Dono…..2Wahan Tum Aur Yahan Hum…..2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Utha Ke Khali Koonze Yeh Tashnalab Pukare, Abbas (A.s.) E NawjawanamJo Tu Nahi Hai Gazi (A.s.) Kise Dil Ab Pukare…..2Lahu Lahu Hai Aalam….2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Na Jee Sakunga Main Bhi Tere Bina Alamdar (A.s.), Abbas (A.s.) E NawjawanamJo Tera Ghar Se Jana Rulaienga Alamdar (A.s.)…..2Bapa Karunga Matam……2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Kareeb E Bawafa Jub Pohuch Gai Shahe Deen (A.s.), Abbas (A.s.) E NawjawanamJabeen Se Khoon Hata Kar, Yeh Kehte The Shahe Deen (A.s.)……2Kaho Humein Labe Dam,Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar……2Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

6

Page 7: Irfan Haider 2013 - 2014

Sada Yeh Sheh Ki Sunkar Tadap Gaya Alamdar (A.s.), Abbas (A.s.) E NawjawanamMujhe Hai Yeh Khijalat, Karam Hai Sub Azadar…..2Kaha Junhi Gaya Dam…..2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

Tu Irfan E Wafa Hai , Mai Mazhar E Masaib, Abbas (A.s.) E NawjawanamMain Uska Hun Jo Tere Bayan Kare Masaib…..2Yeh Marta Bhi Hai Kam…..2Baradar Bardar

Abbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar BardarAbbas (A.s.) E Nawjawanam……2, Baradar Bardar

7

Page 8: Irfan Haider 2013 - 2014

3. Zehra (S.a.) Ko Do Pursa

Karbobala Ke Dash Me, Be Aasra Aale Nabi (A.s.)Maare Gai Ansar Sub, Zakhmi Hua Ibne Ali (A.s.) Munis Nahi Yawar Nahi, Ghazi (A.s.) Nahi Akbar (A.s.) NahiBikhre Padhe Hai Jabaja, Lashe Kahin Aur Sar Kahain

Matam Karo Ahle Aza, Ghar Lut Gaya Shabbir (A.s.) KaPurse Ko Aaie Sayyada (S.a.) , Matam Karo Ahle AzaPursa Bhare Ghar Ka Hai Yeh, Jo Karbala Mein Lut Gaya

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa…..3

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) KaEk Do Pahar Mein Lut Gaya, Makhdomaye Aalam (S.a.) Ka GharKaunain Ki Shehzadiyan (S.a.) Nauhakuna Hai Nange SarTumse Ali (A.s.) Ki Ladli, Kehti Hai Yeh Sar Peet Kar

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa…2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

Aai Rone Walo Kya Kahe, Kaisi Hui Hum Par JafaKohe Musibat Gir Pada, Hum Ho Gaie Be AasraHar Majlis E Shabbir (A.s.) Mein Aati Hai Zainab (S.a) Ki Sada

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa….2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

Paamal Hai Farwa (S.a.) Ka Dil, Paamal Qasim (A.s.) Ka BadanMara Gaya Nawshah Bhi, Pardes Me Tashnadahan

8

Page 9: Irfan Haider 2013 - 2014

Shawl E Aza Pahne Hue, Kehti Hai Ek Shab Ki Dulhan

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa….2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

Nana Ki Jo Tasveer Tha , Rukhsat Hua Kha Kar SinaEk Hath Seene Par Rakhe, Behosh Hai Akbar (A.s.) Ki MaanZinda Rahun Kaise Bhala, Hai Umme Laila (S.a.) Ki Fuga

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa….2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

Kya Asr Ka Hungam Tha, Jub Shah Par Khanjar ChalaRote Rahe Beshor Ki Mazloom Ka Sukha GalaMadar Ko Dekha Dasht Mein Aur Zer E Lab Kehne Laga

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa….2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

Sham E Ghariba Aa Gai, Karbobala Roti RahiJalti Hui Is Khaak Par, Baithi Rahi Aale Nabi (A.s.)Dasht E Bala Mein Marsia, Karti Rahi Binte Ali (A.s.)

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa….2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

Hai Mazhar O Irfan Bhi Farshe Aza Par MatamiAankhon Se Jaari Alqama, Purse Ka Hain Haq To Yehi

9

Page 10: Irfan Haider 2013 - 2014

Marham Dil E Zehra (S.a.) Ka Hai, Nauha Gari, Sina Zani,

Husain (A.s.) , Ya Husain (A.s.), Husain (A.s.) Bekafan, Husain (A.s.) BekhataSub Mil Ke Azadaron , Zehra (S.a.) Ko Do Pursa….2

Barbad Hua Ran Mein, Ghar Aale Payambar (A.s.) Ka

10

Page 11: Irfan Haider 2013 - 2014

4. Aai Gul E Narjis (S.a.)

Al Ajal Ya Imam (A.t.f.s.)…..5Al Ajal Al Ajal Ya Imam E Zaman (A.t.f.s.) Al Ajal …..3

As Salmo Alaika Ya, Sahebuz Zaman (a.t.f.s.)

Tera Hai Intezar , Aaja……….Ya Imam (A.t.f.s.)Zainab (S.A) Ke Pursa Dar, Aaja……….Ya Imam (A.t.f.s.)Waris E Zulfeqar, Aaja……….Ya Imam (A.t.f.s.)

Al Ajal Ya Imam E Zaman (A.t.f.s.)

Aa Jaiyea Bus Aap Ka Hi Intezar HaiIs Daur Ka Ilaj Faqat Zulfeqar Hai

Behre Inteqam E Pehlu E Zehra (S.a.) …..2Behre Inteqam E Khoon E Husain (A.s.) , Husain (A.s.), Husain (A.s.), Husain (A.s.)..Aai Gul E Narjis (S.a.) Biya, Biya…..5

Aaisa Ho Ek Aashura, Kaabe Mein Majlis Ho BarpaTum Mimbar Pe Jalwa Numa, Tum Padho Majlis Hum NauhaAap Bina Ho Kaise Khwab Yeh Pura,Kaabe Se Nikle Julus E Ashura

Aai Ibne Sar Allah (S.w.t.),Jaan E Sher E Khuda (A.s.)Waris Ul Aaimma (A.s.)Aai Hujjat E Khuda (A.t.f.s.)

Behre Inteqam E Pehlu E Zehra (S.a.) …..2Behre Inteqam E Khoon E Husain (A.s.) , Husain (A.s.), Husain (A.s.), Husain (A.s.)..Aai Gul E Narjis (S.a.) Biya, Biya…..5

11

Page 12: Irfan Haider 2013 - 2014

Tu Hai Farzand E Zehra (S.a.), Todh Ke Sadiyon Ka Pehra Tu Hi Jiska Waris Hai, Kabe Pe Tu Woh Alam LehraHum Hi Nahi Hai Azadar Hai Tu Bhi, Tera Alam Hai Alamdar Hai Tubhi

Aai Ibne Saar Allah (S.w.t.)……….

Sath Tere Yeh Ahle Aza, Jaaie Sham Aur KarbobalaKabr E Shahe Deen (A.s.) Par Jaa Kar, De Tujhe Tere Jad Ka Pursa Aaisa Banaie Wahan Matami Halqa, Jis Mein Ali (A.s.) Bhi Ho Hasan (A.s.), Bhi Aur Mustafa (S.a.w.w.)

Aai Ibne Saar Allah (S.w.t.)……….

Qatilane Sheh (A.s.) Ko Mitade, Sara Jahan Yeh Mil Ke Sada DeSaiyad Us Shohda….. Husain (A.s.) Husain (A.s.) Mazloom E Karbala….. Husain (A.s.) Husain (A.s.) Waris Ul Ambiya….. Husain (A.s.) Husain (A.s.) Aai Ibne Saiyada….. Husain (A.s.) Husain (A.s.)

Sare Zamane Me Yehi Goonje Ek NaaraAai Gul E Narjis (S.a.) Biya, Biya…..5

Aap Hi Qaid Ho Hamare, Farsh E Aza Pe Har Dil Yeh PukareSaiyadush Shohda (A.s.) ….. Husain (A.s.) Husain (A.s.) Mazloom E Karbala (A.s.)….. Husain (A.s) Husain (A.s.) Waris Ul Ambiya(A.s.) ….. Husain (A.s.) Husain (A.s.) Aai Ibne Saiyada (A.s.) ….. Husain (A.s.) Husain (A.s.)

Masjid Mein Bhi, Madir Mein Bhi Goonje Ek Naara…. Husain (A.s.), Husain (A.s.) .Aai Gul E Narjis (S.a.) Biya, Biya…..5

Yeh Jahan Bhool Na Jaaie Kahin Karbobala….Al Madad Ya Imam E Zamana (A.t.f.s.) Jaa Baja Dekhe Nigahen Yehi Farsh E Aza….Al Madad Ya Imam E Zamana (A.t.f.s.)

Kaun Hai Waris E Farsh E Aza Maula (A.t.f.s.)12

Page 13: Irfan Haider 2013 - 2014

Kise Bulaie Tere Siva…..2

Aai Gul E Narjis (S.a.) Biya, Biya…..5

Marqad E Khairun Nisa (S.a.) Pe Tu Rauza Bana….Al Madad Ya Imam E Zamana (A.t.f.s.)Zulm Ki Zad Pe Hai Rauza Bibi Zainab (S.a) Ka….Al Madad Ya Imam E Zamana (A.t.f.s.)Jub Likha Tujhko Ariza Yahi Baat Likhi,Kise Bulaie Tere Siva…..2

Aai Gul E Narjis (S.a.) Biya, Biya…..5

Haye……Manzar Yeh Padh Ke Aaj Bhi Hote Hai Dil Figar Baithe Hue Hai Aap Musalle Pe Ashk BaarDehodi Pe Zuljana Ho Alam Bhi Hai Sog War Pehlu Me Zulfeqar Hai Chalne Ko Bekarar, Chalne Ko Bekarar

Wird E Zaban Hai Ziyarat E Nahiya Bar Bar…..

Haye…..

Ho Salam Un Pe Ke Jin Lashon Ko Pamal Kiya Ho Salam Us Pe Dame Qatl Jo Pyasa Hi RahaHo Salam Us Pe Ke Paikar Se Chida Jis Ka GalaHo Slam Us Pe Jo Tukdon Mein Bata WawailaJis Ka Lasha Raha Mehroom E Qafan Us Pe SalamJiska Loota Gaya Ek Din Mein Chaman Us Pe Salam

Husain (A.s.) Maula…..5

Haye……Jis Ke Seene Main Hai Barchi Ki Aani Us Ko SalamJo Tha Hum Shakle Rasul E Madani (S.a.w.w.) Us Ko SalamAag Jis Bibi Ke Daman Mein Lagi Usko Salam

13

Page 14: Irfan Haider 2013 - 2014

Noke Naiza Se Rida Jiski Chini Us Ko SalamJinke Bazu Hue Paband E Rasan Un Pe SalamJinke Zakhmi Hue Durron Se Badan Un Pe Salam

Husain (A.s.) Maula…..4

Sad Alvida Husaina….. Husain (A.s.) , Husain (A.s.) , Husaina Wa Hasrata Husaina….. Husain (A.s.) , Husain (A.s.) , Husaina Wa Gurbata Husaina ….. Husain (A.s.) , Husain (A.s.) , Husaina Aai Be Khata Husaina ….. Husain (A.s.) , Husain (A.s.) , Husaina

Husain (A.s.) Maula, Husain (A.s.) Maula

14

Page 15: Irfan Haider 2013 - 2014

5. Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Mere Allah (S.w.t.)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Hua Pehla Qatl Mere Baba, Sajjad (A.s.) Ka Khaime Ke Aandar….. Haye, Haye, Haye…..Bhai Ki Sadae Halmin Par, Labaik Na Keh Paya Uth KarPhir Uske Baad Baba, Ek Zinda Lash Bankar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.S)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Yeh Sham E Ghariba Mein Baba Zainab (S.a.) Pe Qaiyamat Tooti Thi…..Haye, Haye, Haye…..Jub Nok E Sina Se Aada Ne……, Mere Sar Se Chadar Chini ThiUs Din Se Dil Me Lekar, Be Chadri Ka Khanjar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.s)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Woh Rat Kati Aur Aaie Sahar, Phir Qaidi Bani Har Saydani ……Haye, Haye, Haye…..Jub Dekhi Mere Shano Mein Rasan……, Gairat Ke Khuda Ki Saans RukiKarbobala Se Nikla Do Baar Qatl Ho Kar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.s)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Jub Aaie Mohibbon Ki Basti, Taqseem Ridaien Hone Lagi…… Haye, Haye, Haye……Nau Baar Ridaien Humko Mili….., Nau Baar Ridaien Cheeni GaiKarbal Se Taba Kufa, Kufe Se Sham Ja Kar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.S)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

15

Page 16: Irfan Haider 2013 - 2014

Wahan Eid Manaie Jaati Thi, Aaiene Lagaie Jaate The…… Haye, Haye, Haye…..Sadat Ki Aamad Par Baba, Bazar Sajaie Jaate TheBazar Mein Jo Pohuchi, Aale Nabi (A.s.) Khule Sar , Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.S)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Darbar E Sitam Ka Woh Manzar, Main Bhool Nahi Sakti Baba….. Haye, Haye, Haye,…..Hai Kaun Aseeron Mein Zainab (S.a)….., Jub Aake Sitamgar (L.a.) Ne PoochaAaise Kai Masaib , Kalbe Hazeen Pe Seh Kar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.S)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Na Baap Ko Apne Maktal Mein, Sajjad (A.s.) Kafan De Paya Tha…..Haye, Haye, Haye…….Be Gusl O Kafan Hi Zinda Mein ….., Lachar Bahan (S.a.) Ko Dafnaya,Ho Kar Reha Wahan Se, Is Gam Ka Zahar Pee Kar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.s)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

Irfan Aur Mazhar Rote Hue, Jub Sham Ke Rahon Se Guzre…..Haye, Haye, Haye…..Bazzare Jafa Darbar E Sitm….., Har Gaam Yeh Jumle Yaad AaieYesrab Ke Aurton Se Kyun Kehrahi Thi Muztar, Har Mod Pe Qatla Hua Sajjad (A.s)

Allah (S.w.t.)…..3…..Mere Allah (S.w.t.)Guzri Jahan Jahan Se Saidaniyan (S.a.) Khule Sar ,Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad (A.s)

16

Page 17: Irfan Haider 2013 - 2014

6. Dua Karo Amma (S.a.)

Medina Chod Chala, Aaj Mohammad (S.a.w.w.) Ka Nawasa (A.s.),Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Wade Nibhaien Sare…..2, Pardes Jaane Wale,Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Lahu Se Apne Sajaunga, Karbala Ki Zameen,Main Garm Ret Pe Rakh Dunga, Khoon Bhari Yeh Jabeen,Kardunga Ghar Ka Ghar Ka Main…..2, Khud Maut Ke Hawale,

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Tamam Ambiya Roienge , Dekh Kar Manzar,Utha Ke Aag Ke Daria Se, Apne Hathon Par,Launga Unke Lashe…..2, Jo God Ke Hai Pale,

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Zamana Kehta Hai Baba (A.s.) Ko , Saqi E Kausar, To Kyun Na Pyas Bujha Du Main , Karbala Ja Kar,Sub Khoon Ke Hai Pyase…..2, Amma Woh Sham Wale,

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Yeh Zulm Dekhna, Aai Amma, Karbala Aake,Mere Watan Se ,Mere Ghar Se, Mere Aankhon Se,Akbar (A.s.) Ke Sath Rukhsat…..2, Ho Jaienge Ujale,

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

17

Page 18: Irfan Haider 2013 - 2014

Na Kant Le Yeh Laeen Aakar , Bezaban Ka Sar, Zameen Ko Soupunga Yeh Keh Ke, Lasha E Asgar (A.s.)Aai Khaak E Karbal Tu…..2 , Is Chand Ko Chupa Le

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Bana Ke Turbat E Asgar (A.s.) Jo, Ran Se AaungaLibas E Kohna Jo Zainab (S.a.) Se, Mai Mangaunga Goonjenge Karbala Mein …..2 , Pardesion Ken Nale

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Jo Chut Ke Sham Ke Zindan Se, Aainge Kaidi,Tumhe Sunaienge Roro Kar, Dasta Apni,Nana Woh Zakhme Dil Ho…..2 ,Ya Pav Ke Ho Chale ,

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Ghlu E Khush Pe Jub Honga, Shimr (L.a.) Ka Khanjar,Kahengi Ret Ke Teele Par, Zainab (S.a.) E Muztar,Koi Sitamgaron Se…..2, Shabbir (A.s.) Ko Bachale

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

Woh Chahe Mazhar O Irfan Ho, Ya Kalam Unka,Tum Un Ko Ajr Me De Dena, Haq Shifaat Ka,Jis Ne Mere Masaib…..2, Ashar Mein Hai Dhale

Dua Karo Amma….., Dua Karo Nana…..2

18

Page 19: Irfan Haider 2013 - 2014

7. Chalo Chalo Husainiyo

Husain (A.s.) , Husain (A.s.), Husain (A.s.), Ya Husain (A.s.) …..Haiya Ala….. Khairil AmalYa Husain (A.s.) …..2

Farzand E Zehra (S.a.), Abaabdillah (A.a.)Sada De Rahe Hai Maqtal Se

Tumhe Rasool (S.a.w.w.) Ki Beti Ka Salam…..Har Jaga Majlise Bapa Karna …..Karbla Walon Se Wafa Karna…..Zindagi Waqf E Karbala Karna…..Sunnat E Zainab (S.a) O Sajjad (A.a) Nibha Ne Ke Liye……

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Husaini (A.s.) Fiqr Ko Zinda Rakho Badhao Kadam Nazar Mein Rakho Alamdar E Karbala (A.s.) Ka HaramKaisi Kismet Kahan Ki Taqdeerein ,Chod Kar Dahar Ki Yeh Jagirein, Tod Kar Waqt Ki Yeh Zanjirein,Apne Bacchon Ko Alamdar Banana Ke Liye……

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Zameen Se Arsh E Moalla Ka Fasla Hai Bahut ,Magar Husaini Qabile Ka Hausla Hai Bahut, Binte Zehra (S.a.) Pe Bharosa To Karo,Apni Takhleek Pe Socha To Karo,

19

Page 20: Irfan Haider 2013 - 2014

Sath Woh Dengi Irada To Karo, Chand Par Parcham E Abbas (A.s.) Laga Ne Ke Liye….

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Jahan Husain (A.s.) Nahi Ho Woh Koi Dil To Nahi Qasam Husain (A.s.) Ki Yeh Kaam Bhi Mushkil To Nahi…..2Marefat Kya Hai Bata Ne Ke LiyeRoz Meraj Pe Jaane Ke LiyeUski Tauker Badha Ne Ke LiyeHauze Kausar Me In Ashkon Ko Mila Ne Ke Liye…..

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Arsh Ho Khuld Ho Kausain Ya Karbal Ki Zameen Tum Azadar Ho Tum Par Koi Pabandi Nahi…..2Haisiyat Apni Khudaya SamjhoYeh Bi Zehra (S.a.) Ki Hai Ata SamjhoKya Hai Yeh Zikre Karbala SamjhoSari Dunia Ko Aza Khana Bana Ne Ke Liye ……

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Shahe Dilgir Ki Hum Sheer Ka Matam Na Ruke Saans Ruk Jaaie Yeh Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Ruke …..2Dunia Walon Ne Isko Kya Jana Kya Hai Shabbir (A.s.) Ka Yeh Afsana Qaid Khana Ho Ya Aza Khana Maqsad E Hazrat E Shabbir (A.s.) Bata Ne Ke Liye …..

20

Page 21: Irfan Haider 2013 - 2014

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Ek Halqa Ho Azadaron Barahe Matam,Hai Ishi Baat Mein Poshida Baq E Matam …..2Sub Ke Seenon Mein Ho Tazeem E AzaHo Ne De Na Nahi Taqseem E Aza Han Ishe Kehte Hai Tanzeem E Aza Halqae Matam E Shabbir (A.s.) Badha Ne Ke Liye …..

Chalo Chalo Husainiyon, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Kya Kabhi Bhool Sake Sham E Ghariba Ka DhuaDasht E Shabbir (A.s.) Pe Asgar (A.s.) To Kabhi Lash E Jawan (A.s.)…..2Goonji Makhtal Mein Yeh Zainab (S.a.) Ki Sada Ro Ke Yeh Khaak Nashinon Se Kaha Rahe Kufa Ho Ke Bazar E Jafa Mere Mazloom Ka Paigam Suna Ne Ke Liye …..

Chalo Chalo, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2Chalo Chalo…..

Jub Mila Hukm E Rihaie To Yeh Zainab (S.a.) Ne Kaha Qaidiyon Aao Kare Matam E Shabbir (A.s.) Bapa

Aao Fizza Padho Hadees E Kisa…..Marsiya Tum Padho Qulsoom (S.a.) Zara …..Zakari Tum Karo Aai Zainul Liba (A.s.)…..Aaisa Matam Ho Mere Bhai Ka …..Goon Uthi Mazhar O Irfan Sada …..Khuld Se Aa Gaie Hai Maa Zehra (S.a.)…..Nauha Sunne Ko Mere Baqir (A.s.) Ka

21

Page 22: Irfan Haider 2013 - 2014

Ya Abbasa (A.s.) …..Husaina …..2Ya Mazlooma (A.s.)….. Husaina …..2

Ya Abbasa (A.s.) …..Husaina …..2Ya Mazlooma (A.s.)….. Husaina …..2

Ya Asgara (A.s.)……. HusainaYa Akbara (A.s.)….. Husaina

Ya Qasima (A.s.)….. HusainaYa Zainaba (S.a) ….. Husaina

Ya Sakina (S.a) ….. HusainaYa Alia (A.s.) ….. Husaina

Ya Fatema (S.a.) ….. HusainaHusain (A.s.) , Husain (A.s.) …..

22