Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ......

73

Transcript of Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ......

Page 1: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale
Page 2: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 1

©Arun Bansal

Year 2012 Version 1.0

Arun Bansal, #3110 GF, LIG Flats

Sector 52

Chandigarh 09855443849

www.merikavita.info

[email protected]

Published By

Saahb Informatics

www.saahbinformatics.com

Page 3: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 2

Nahin samjh aati mujhko

In aaeeno ki

Yeh haan kyon kehte hein Usi sawal per

Jis per unko inkaar hai

Woh chale bhi gaye, raazi khushi ji bhi rahe hein

Main hoon ki ek sawal liye, larjata hi reh gaya

Safeene toofano mein utaaro to sahi

Dar se na maro, dar ko maaro to sahi

Sirf uske aane ka khaab na dekho 'saahb'

Ek baar use dil se pukaaro to sahi

Koee to masla suljhe aakhir, haan ho ya na ho Yeh lazjishon ke lamhein, har saans per bhari hein

Teri tasweer se aksar hum yeh puchhtey hein Kya tumhaare saath woh nahin aa sakte they

Humaare rishtey ka matlab jo puchha maine us se

Muskura ke ret per likha aur thokar se mita diya

Zubaan ne tere siwa har lafz se inqaar kar diya Aur dil tera naam bataane ko tyaar nahin

Meri khamoshi koee samjha hi nahin

Main aapko pukaarta hi reh gaya

Mere lab sulgane lage, zubaan jal gayee

Tere khyaal mein tha, tera naam le baitha

Page 4: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 3

Sabaab e ishaq hai khuda ki ibaadat jaise

Farak hai ismein koee hindu muslmaan nahin

Baat yeh nahin humko koee aur nahin

Wafa tabiyat mein 'saahb' jaati nahin

Rakas kar hawa ki tarah mere humsafar

Yeh vasal hai, iska maza naseeb se milta hai

Nahin samjhe ho mayne ishaq ke abhi Shikwa hai deri ka, abhi kache ho

Har tammana tarak karni padti hai ishaq mein Ishaq ho jaaye to paakeeza zehan kar deta hai

Taveel mohabbat ki raatein, us tareekiyaan

Neend aati nahin sehar hoti nahin woh milte nahin

Shams o kamar ke iraade theek nahin hein, kahe deta hoon

Baandh rakhe hein chakkar din raat ke, teri chhat ke

Guzar bhi jaane de ab guzre huye lamhon ko Yeh samjh bhi le ki jo beet gaya woh beet gaye

Page 5: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 4

Jo aur na mila mujhko jo ilzaam le sake

Mera dil o taqdeer phir mere kaam aa gayee

Rok ke dekh saans do pal zara

Kya zindgi ko yeh mushkil nahin

Khuli hawa mein nazar utha to sahi Kya jeene ko itna bhi mumkin nahin

Reh gayee hein jo kaante bankar

Aisi yaad ko yaad se kya fayda

Zindgi abhi aur bhi baaki hai

Aao kuchh phulon ki koshish karein

Unko aaj bhi yeh gumaan hai barbaad kar diya Humein aaj bhi yeh weham hai, rota hoga mujhko

Teri nazar ka waar dil ab tak nahin bhula Tumko ginti bhi yaad nahin deewano ki

Ab to ginti bhi shayad yaad nahin hogi aapko

Ek nazar dekhte ho phir umar bhar nahin dekhte

Shehar mein aur bhi to umeedwaar they tere

Meri hi barbaadi ka khyaal kyon aaya tujhe

Teri yaad ko tere naam tere ehsaas ko

Dil mein dafna diya hai,

Qabaristaan bana diya hai

Page 6: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 5

Mere dil ab ek qabaristaan hai

Jismein dafan hai

Teri yaad tera khyaal tera naam Aur ehsaas tera

Tera deewana hoon deewangi ki saza paayee hai

Har pather per ek nayee muskuraht aayee hein

Log maarne se pehle tera mera naam lete hein Aur mera dil kehta hai duhayee hai duhaaye hai

Woh mujhse puchh rahe hein asar e mohabbat kya hai

Meri nazar uthti hai, lab hilte hein, taras jaata hoon

Ehsaas e wafa hai tez hota mujh per 'saahb' Guzar jaye kissi tarah yeh raat, shukar ho

Dil lagaane se pehle yeh sharat bata di hoti Rona padega jaagna padega aur jeena padega

Main khuda khuda kehta hoon, log shaq kahte hein ‘saahb’

Humne tujhko naam e khuda diya hai, tum samjhte nahin

Nahin zindgi itni bhi seemeet

Nazar se pare bhi ek jahaan hai

Yeh woh mehfil hai jise Sirf deewane ji sakte hein

Page 7: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 6

Kissi tarah meri nazar ko rok lo

Mere bus mein nahin, tujhse hata loon

Khaab meri bhi na dekhiye uski surat

Mohabbat raaz ki baat hai, raaz rakhiye

Humaara dard humdardon ne kam na hone diya

Haal puchhtey rahe, 'saahb' yaad dilaate rahe

Khel nazar ke nazar khelne lagi

Nazar ne nazar se nazar ko hara diya Log prastish karte hein mohabbat ki

Humein to bus nazar ne marwa diya

Sabar karoon bhi to kis baat per

Samjhaane waale yeh bhi nahin kehte Aaj nahin to kal, woh milenge zarur

Na samjh saki duniya mere ilm ko Puchhti hai jeb mein maal kitna

Jaate jaate daaman chhod gaye

Mere kafan ka kiya khyaal kitna Baat baat pe zikar chhed leta hai

Tauba karta hai dil sawaal kitna

Ved g dawa ki jagah dua hi dene lage Sochiye to bura tha haal kitna

Tere tassavur mein yun gaafil they hum

Yeh bhi na pata chala ki, tum aa ke lot gaye

Nahin rahi pehle si rishton mein mithaas o mehak

Waqt badal gaya umar badal gayee, zarurtein badal gayee

Page 8: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 7

Chiraag e wafa na kissi kaam aayaa kissi ke

Jis taraf bhi roshan hua hai, andhera hua hai

Shab ko aaena dikha de koee

Mujhse puchhti hai, rote kyon ho

Suljha sako jo masla dil ka baat bane

Duniya jeet kar khush hona badi baat nahin

Tere labon per bikhar gayee kuchh boondein Pyaas bujhti hai aapki, koee jala jaata hai

Shaq ki gunjaish nahin, yakeen phir bhi nahin aata Tum ja chuke ho, main zinda hoon, yakeen nahin aata

Mujhe samjhaane aaye they mere humdard yaar

Maine abhi abhi samjha ke unko bheja hai

Kiska hai yeh khyaal ki, juda nahin hota

Chain dil mein o neend aankh mein nahin

Use meri aankh mein ashak nazar na us roz Yun woh roz kehta tha, yahi meri zindgi hein

Page 9: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 8

Kya use mere aansoo nazar nahin aaye honge

Inhi aankhon ki kabhi woh badi tareef karta tha

Dard ko kam karna hai to use maan lena chahiye

Jo apna ho nahin sakta use, gair kar dena chahiye

Khaab hi samjh mujhko aankh to mila

Ek pal hi sahi, mujhko nazar to laga

Umar bhar ke waadon ka wafa hona, ho na ho

Bus ek baar kabhi, bina waade ke to aa

Log to apno ko daga de jaate hein Hum to begaane hi they humesha se

Afsaana hi to hai zindgi 'saahb' Kissa khatam, mehfil khatam

Jal gayee zubaan kissa sunane waale ki

Zikar hi zikar mein tera naam aa gaya

Dil ko baddua di kosa bura bhala bhi kaha

Deewana magar abhi tak mere seene mein hai

Seekha hai zara si zindgi mein humne kya kya Wafa ki hadein dekhi hein, bewafa log dekhein hein

Page 10: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 9

Suljhate nahin hein rishtey, man mein gaanth ho to

Thoda waqfa chhod dein ton, mohabbat lot aati hein

Kyon lagta hai ki mushkil ka hal nahin hota

Kya kabhi aaj ke baad koee kal nahin hota

Log rishtey dil o jazbaat badal jaate hein Phir kya taqdeeron ka koee badal nahin hota

Bus ek yahi baat napasand hai aapki humein

Aajkal bhi mohabbat mein wafa dhundhtey ho

Hanstey gaate duniya ki mehfil khatam ho gayee Hum dil milaane ko haath milaate hi reh gaye

Log mile aur mil kar bichhad bhi gaye

Hum sochtey hi reh gaye, qaabil kaun hai

Nikalta tha dum kissi ne yun hi keh diya tum aate ho

Ek jhuth ne mujhko sakoon bhari rukhsati de di

Pehchaana nahin gaya mujhse unka chehra bigda hua

Woh khaab mein kuchh aur they, saamne aur they

Jab se badli hai fiza, jaldi ghar aana chhod diya

Adhunikta ki daud mein unhone sharmaana chhod diya Humne fariyaad ki, ki hum yaad hein ki nahin 'saahb'

Woh muskuraye tum kya ho, humne zamaane chhod diya

Page 11: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 10

Kharch kyon nahin karte yeh hansi Muskuraane mein kanjoosi kyon

Jo ho chuka woh to ho hi chuka hai

Beete lamhon ki ab mayusi kyon

Titliyon ke par bhi dekhna kabhi

Bahaar ke mausam mein roosi kyon Nasha kabhi hawaon ka bhi kijiye

Yun na puchihye yeh khushi kyon

Itna bhi nasamjh nahin hai ‘saahb’

Magar dil ko is dhokhe se gurez nahin

Mohabbat barbaad hi kare yeh zaruri to nahin Humne khuda bhi hote dekhe hein is talab mein

Pyaas badhti hi gayee saaki ki nazar se Koee bhi paimaana phir kaam na aaya mere

Baad shaadi ke woh zulf achhi kyon nahin lagti

Jo haasil na ho sake to umar bhar yaad aati hai

Woh muskraate bhar hein, main gaafil hua jaata hoon

Uski ek nazar mein woh hai jo deewana kar de

Seekhiye kuchh to in tooti huyee daaliyon se

Shajar kat bhi jaye to roshni ko jalta hai

Woh jaise ki dhup chhan ke aa rahi ho zara

Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho

Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale Poori kaynaat ne use khdua maan liya ho jaise

Page 12: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 11

Tanhaayee mein sabse pehle teri yaad hi aayee mujhe

Yeh aur baat hai ki tanhaa bhi teri hi wajah se hoon

Dil de dein to woh jaan maangte hein

Farmayish haq hai mehboob ka ishaq mein

Jo rishta kanch ka ho aur kaano se kacha

Kab tak bacha sakoge aise bandhan ko

Kya kya na kiya maine us rishte ko bachaane ke liye Usne todte waqt itna kaha, tum kissi kaam ke nahin

Har shakhas lahoo luhaan hai us shehar ka Sufi hona ab sharat nahin pather uthaane ke liye

Jo pather hi utha le woh sufi kaisa

Deewaane ko tere gunahgaaron ne maara hai

Chiraag e nazar se dhundhta hoon, nahin milta

Jo dil jalaata hoon to sirf tu hi tu hai

Woh nahin jaante ki kya kho rahe hein woh

Mera kya hai, thoda rokar yeh waqt kat jayega

Page 13: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 12

Yahi hai sabar ka takaaza aur mohabbat ka dastoor bhi

Woh haal puchhe beemaar se, humein kahein achha hoon

Vaid ji unko samjha dijye kissi tarah

Mareez se dum e akhiri haal nahin puchhtey

Phir tere chehre ki kitaab le baitha hoon Har warq pe likha hai, tere hein tere hein

Siway aakhiri harf ke, jahaan tum alvida keh gaye

Kaaran meri maut ka kissi ki samjh nahin aaya

Mujhko aapki zarurat thi, vaid g dawa karte rahe

Kuchh kitaabein ulti bhi padhi jaati hein 'saahb' Main phir se soch raha hoon kaise kab hum mile they

Mohabbat na sahi nafrat hi karta mujhse

Tod kar bhi kaash koee rishta rakhta

Wafa ke mayne badal gaye hein aajkal

Sanam se dost ban jana adhunikta hai

Saath rehte hein bina kissi shart ke Sirf dost mere dost sirf dost nahin hote

Page 14: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 13

Bichhad kar bhi kayam rehti hai dosti

Ek dusre ke puraane dost ke saath

Mohabbat ki khaani mein aaj 'saahb' Yeh kaisa ajeeb mod aa gaya hai

Janoon e dil bhi ab woh joshmand nahin raha

Is adawat mein ab woh pehle si baat nahin

Ab janoon per taari ho gaya hai fikar e rozgaar

Is adawat mein ab woh pehle si baat nahin rahi

Janoon e ishaq ho raha hai kam dheere dheere Taareef meri teri ab sirf sach nahin bol paata

Woh mujhko bhi utna nahin dekhta jitna aaeene ko

Mujh se zyaada mohabbat usko, khud apne aks se hai

Tarak haya ke parde kar diya humne

Jis din elaan e mohabbat kar diya

Mehsoos nahin hota hoga kya usko

Haal to ab mera gair bhi puchh lete hein

Aur do chaar din hai 'saahb' vaid g kehte hein Tum yeh samjha rahe ho thode din aur lagenge aane mein

Page 15: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 14

Usne yeh keh ke khat faad diya

Mera usko bus yahi jawab hai

Yeh sunke ki bach bhi sakta hai 'saahb'

Besakhta woh keh baithey, marta kyon nahin

Meri mayiyat ka sun ke muskuraane lage

Aakhiri zakham tha laash ko lagaane lage

Bus yahi sakoon bhari ek baat mere saath huyee

Mujhe bhulne mein usko bhi zamaane lage

Sar laakh patka humne ishaq ke aitbaar se Dagabaazi fitrat mein thi, na jaani thi na gayee

Woh kaha karta aksar badlega nahin Shayad agaaz se hi dil wafadaar na tha

Teri nazar ne bahaar ko bhi hairaan kar diya

Jis tarah gayee, phool rangeen karti gayee

Ek hi ghar mein reh kar bhi ajnabi rahe barson

Jo apne huye to ek hi nazar mein khuda ho gaye

Mujhse mera haal puchhne wale, yeh humdardi kyon Ishaq hai to baat aur hai, sirf dosti manjoor nahin

Page 16: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 15

Na puchha us fakeer ko ‘saahb’ ek mazaar ke liye bhi

Mohabbat koee mazhab nahin hoti, ibadat nahin hoti

Na maana gaya use fakeer, fakeeri ke haal mein bhi Deewangi koee mazhab nahin, janoo koee ibadat nahin

Saleeka e mohabbat abhi tak nahin aaya mujhko

Tere zikar per mehfil mein bhi, ro padta hoon main

Beech bachaav baat chali to kayee baar magar Use zara bhi wafa pasand na thi, mujhe bewafaee

Teri nazar mein jo pehle se hi gir chuka hai 'saahb' Ab kya zarurat hai use baar baar aansoo banane ki

Usko jaana hi tha, yeh tai tha pehle se

Na jaane kyon wajah woh mujhko bataane laga

Teri tez o teekhi nigaah rokti hai mujhe magar

Main nakamyaab hoon aansoo aankh ke rokne mein

Nahin rukti mere roke se aankhein meri

Dil ki tarah inko bhi adawat aa gayee hai

Page 17: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 16

Nahin samjhe abhi tak 'saahb' yeh cheez kya hai

Yun hazaaron log yahaan mayne wafa samjha ke gaye hein

Sab unhi per chhod diya hai ab to maine

Mazar per diya jalayein ya dil, marzi hai

Bada kathin sawal puchhtey ho

Mujhse mera haal puchhtey ho

Kaisa lagta hai bichhad ke unse

Mera maut per khyaal puchhtey ho

Aaj dillagi ban ke reh gayee hai mohabbat

Humne woh zamaana dekha hai Mohabbat adab ki kitaab hua karti thi

Udti hai jo khaak mere dil ki hasrtein hongi Abhi abhi jalaya hai, bus thodi der ki baat hai

Yeh maana ki khuda bhi kar sakti hai mohabbat, aadam ko

Ungliyon per gine ja sakte hein magar, jinko raas aayee hai

Mere haath aaj bhi wohi hein aur lakeerein bhi

Phir kaise taqdeere badal gayee, taseer badal gayee

Nahin manjoor usko mere wafa bhare haathon ki garmi Raahein kaisi bhi hon woh haath se haath hata deta hai

Page 18: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 17

Mera gunaah mohabbat thi, pata chala

Padha yahi karte they, sabse kiya karo

Sikhaya gaya tha mujhe ki mohabbat paakeeza hoti hai

Tafteesh mein puchha gaya, yeh gunaah kaise kiya

Siwaye aarzoo o hasrat kuchh na mila

Roz e hashar teen baar meri talaashi huyee

Hardard samjhaate hein ki jo beeta gaya bhul jao Yeh koee batata nahin ‘saahb’ kaise aur kya karoon

Log puchhtey hein mujhse bhul kyon nahin jaate use Khudkashi ki maano rai de rahe hein, lehza badal ke

Kaise nibha ki hai uske o uski yaadon ke saath

Nahin kaabil e bardashat magar, zarf ki baat hai

Sabar ka imtehaan hi sahi, jayaz hai ‘saahb’

Mohbbat mein aazmayish bhi kareena hai

Meri nazar mein woh ab murravat nahin rahi Tum bhi badal gaye ho, waqt bhi badal gaya hai

Page 19: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 18

Zindgi ne yahi chaha tha shayad

Milna bichhadne ki pehli sharat thi

Nayee umar ka naya naya shauq hai 'saahb'

Khizaan mein bhi gul khilaye jaate hein

Rizk mein zameen bhi nahin haasil unko

Assmaan ke sitaare tod kar laye jaate hein

Inko nahin kuchh bhi sach jhuth gunaah Jaisi ban jaye waisi baat banaye jaate hein

Naye daur ki aashiki ka anzaam dekhiye Chulha jalta nahin, dil jalaye jaate hein

Jisne paala posa is kaabil kiya

Jab tum uske nahin ho sake

Kya gum jo tumhaara koee nahin hua

Ghunt ghunt pee ise, sabar kar thoda thoda

Yeh mai e mohabbat hai, koee sharaab nahin hai

Sim mobile mein double lakhtey hein

Aur zarurat ke waqt miss call dete hein Baatein karte hein chaand sitaaron ki

Ek choclate bhi maang lo to taal dete hein

Wafa karna inke bus ki baat nahin dosto Koee haan karde to nukas daal dete hein

Deewaron se lipt ke rona aadat hai jinki

Ek nazar pe kissi ki umar nikaal dete hein

Umar guzar gayee chhedte o taadte nayee umar ko

Marte dum yeh khwahish ki, roye woh jo jawan nahin

Dekhi nahin jaati humse unki bekraari ab to

Aaeene se pehle hum hi bata dete hein, khubsurat ho

Page 20: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 19

Bahut chalaak bante ho 'saahb' ishaq ke khel mein

Jisko jitni hansi aati hein pehle, utna rota hai

Apna apna maqsad tha dono ka, ek mod per Ek mud gaya, dusre ne aankhein band kar li

Hoti nahin haasil har kissi ko yeh daulat

Yeh khazaana e ishaq hai, sabka haq nahin

Jiska haq tha usko ata ho gaya waaeez Ab samjha lo dil ko, gar ho sake to

Faasle mohabbat ke mita kar to dekh

Kabhi humko bhi muskura kar to dekh

Maayne ishaq ke khul jayenge tum per Kabhi humko humsa chaah kar to dekh

Khaab o hasrton mein jeene se kya hoga

Kabhi khud bhi yahaan aakar to dekh Kya kho rahe hein ho, tumhe andaaza nahin

Jaane se pehle mujhe pakar to dekh

Umar ke alag alag daur mein har baat juda hoti hai Mohabbat pehle napasand phir milti o juda hoti hai

Woh daur bhi aata hai jab ilzaam o talkhiyaan hein

EK mod per aa ke 'saahb' mohabbat bhi khuda hoti hai

Peer o fakeeron ka hai yeh mazhab mohabbat!

Jise aaj ishaq vishak keh ke badnaam kar diya hai

Peer o fakeeron ka hai yeh mazhab

Wafa hi bus ibbadat ka kareena hai

Page 21: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 20

Jo ishaq ke hein asal mein mureed

Dard ki baat ko zubaan pe nahin laate

Aaj bhi shikwa hai unko meri baat per 'saahb'

Sar jhuka ke jab kaha tha, tumhaare qabil nahin

Kissi ne aatish kaha o kissi ne dariya e aag

Phulon si cheez ko angaara bana ke rakh diya

Woh nahin bhula aaj tak meri ek galti ko ‘saahb’ Main maafil maang chuka khudkashi kar chukka

Shukarguzaar hoon mohbbat ka insaan bana diya Mujhko bhi keemat e dard o wafa pata chali hai

Khushi gumi ka saath raha hai yun meri zindgi mein

Lab mukuraye hein jab jab, 'saahb' aankh bhar aaye hai

Kuchh hi baras beete hein un sitaaron ka kya hua

Jinhe tod laane ka wada subho shaam karte they Ab laakh baar kehti hoon to sawa laakh bahana hai

Hai woh din mera ki kaha har kaam karte they

Saamne reh ke bhi teen din se dekha tak nahin mujhko

Kabhi apne khyaal o khaab bhi mere naam kartey they

Ab kahaan naseeb humko woh teri agosh ki garmahtein

Kaanton ki sej hai, phul samjh ke araam karte they

Na jaane kya ho jaata hai ishaq ko nikaah ke baad

Hum bhi wohi tum bhi wohi, mil ke mukaam kartey they

Page 22: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 21

Badi hairaan hoon is dil per main Khawahish poori ho jaye to 'saahb'

Wohi chhod kar ise har cheez chahiye

Aa gaye hein aap se tu tak taalukaat

Nazdeekiyaan bhi adab cheen leti hein

Kissi tarah bacha ke bhaage hein jaan hum

Humne taareef mein ek sher kya keh diya Woh deewan khol ke baithe gaye

Dil aaya bhi to ek kavi per apna Pehli hi raat deewaan per jaan nikal gaye

Nazar se doori ka ehsaas tak nahin hua

Jab maine dekha use to bahut kareeb laga

Mar ke bhi nahin chhoota peechha unse

Logon ne likhwa diya qabar per, deewana tha

Uski surat per hi likha tha ki dagabaaz hai Kya dekhte seerat uski, kya tafteesh karte

Page 23: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 22

Woh kaabil e tafteesh hi na tha 'saahb'

Nazar milte hi nazar churaani padi humein

Na jaane bhar aati hai aj bhi uske khyaal se

Meri hokar bhi yeh nazar ab meri nahin hai

Humne prastish se khuda kiya use nawazish ko

Sajda nahin kar sakte, humaara mazhab aur hai

Mehsoos nahin hota hai magar hai yahin Woh adab woh khaloos o wafa ki khushbu

Jiska jitna dil tha utni mohabbat ki usne Kam zarf rakhne waale bewafa bewafa kehne lage

Kal kya hone waala hai na tum jaante ho na main Aao milkar baithey, thoda aaj ka bhi fikar karein

Dastaan chhedein phir nayee, shamas o kamar ki Mohabbaton ka bhi thoda naya naya sa zikar karein

Chees dil ki nazar mein utrane lagi hai ‘saahb’

Mushkil ho raha hai ab mohabbat ko raaz rakhna

Log meri aankhon se padh na lein kahin naam tera Aajkal har kissi se nazar chura leta hoon main

Page 24: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 23

Bhulaya kiye din raat use kissi bhi tarah

Usne bhi yaad aane ki mere dost had kardi

Masla uski tangdilli ka tha Meri ibaadat mein kami na thi

Log wajah puchhtey hein muskurata kyon hoon aise waqt per

Aakhiri dum bhi baaz nahin aate woh tirshi nazar o tanz se

Jab tak main

samjh pata

ki hua kya hai Zindgi

guzar chuki thi

Khatti meethi behas maano roz ki baat hai

Kuchh aansoo o muskurahat roz ki baat hai Zindgi ek masla hai maano dhup chaanv ka

Yahaan milna bichhadna to roz ki baat hai

Suabh ki roshni mein apka aks dekhne waale

Shab bhar jaaga karte hein, sehar ko der se uthne waale Mohabbat ki dastaan mein, aftaab ki pehli kiran nahin hoti

Tinka hein hum to is dariya e ishaq mein

Tum lehar ho le jao jis tarah chaho mujhe

Apne apne zarf ki baat hai mohabbat Raaz hai ya numayish, sab tum per hai

Page 25: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 24

Khuda na is taraf na us taraf aashiq ke ‘saahb’ Aur jisko bhi dekhta hai who, khuda lagta hai

Kahaan kissi qaabil tha dil mera

Teri nazar ne ise talabgaar bana diya

Jabse aapne ek nazar dekha hai ise

Kasam se dil ab muslmaan nahin raha

Dil mera tha aur har aarzoo teri

Bina kiraye ki aapne kabza kiya

Ghar mazloom ka kabza kiya Dil mera rehtey aap hein

Unko samjhaane se kya fayda 'saahb'

Rona jinhein takleef nahin shauq lage hai

Us nigaah ko samjhaane ka kya fayda

Rona jinhein takleef nahin shauq lage hai

Haasil e ishaq mera yeh nikla hai Aitbaar mat karo, dhokha nahin ho sakta

Page 26: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 25

Deewane ki samjh mein nahin aata kuchh bhi Ja bhi rahe ho samjha bhi rahe ho rula bhi rahe ho

Bhulawa de rahe ho ki bhul jayein tumhe

Zakham laga bhi rahe ho hansa bhi rahe ho

Yeh to samjh gaye ki teri khushi isi mein hai

Bujha bhi rahe ho hawa de ke jala bhi rahe ho Wafa karne waalon ke haath kuchh nahin aata

Samjha bhi rahe ho dara bhi rahe ho mita bhi rahe ho

Har taraf hai aah o dard ki hi guftgu

Phir bhi bada mohabbat ka naam sunte hein

Bura kaun hota hai mohabbat mein, kaho Ishq aashik janoo husan wafa ya waqt

'Saahb' saahilon se umeed rakhne waale Kashtiyaan paani mein nahin utaara karte

Yeh kiska mazaar banwa diya hai tumne, mere ghar ke saamne

Maana ki aakhiri hasrat thi magar, mera hi koocha magar kyon

Wasal o hijar ke kisse bahut huye

Mehfil mein naye daur ki baat ho

Utrati hai dhup sardi ki dheere dheere aangan mein

Mujhe yaad aata hai dheere dheere sakrta hua naqab

Tum apni naazr ko mujhse door hi rakha karo zara

Aane bahaane jab dekha yahaan wahaan lagi jaati hai

Page 27: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 26

Uljhane zindgi ki kabhi kabhi lehza talkh kar deti hein

Yun dil to har kissi ka mohabbat ke liye hi bana hai

Badi badli si hai zindgi ki raahein 'saahb'

Kissi ne saath chalne ka wada jo kar liya hai

Sehar ke pal hein bade hi ajeeb se Neend bhari hai aankhon mein

Uthne ka man nahin

Bhul jao gulaab o phulon ki baatein

Titliyaan naach rahi hein dekho kyon Unka ek ishaara hai bahaar ko 'saahb'

Nahin bhulaye jaate woh alfaaz o waade unke Yeh aur baat hai bhula diya gaya hoon main

Mere dil ki haalat yeh hai ki sabka yakeen kar le

Dhokha usne diya hai kyon, yeh hi tafteesh karni hai

Kaise keh diya tumne ki bhul jao

Kaise sun saka main, aur zinda raha

Sulah huyee hai unse aakhir is baat per Gair ko humaare saamne nahin dekhenge

Page 28: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 27

Teri aarzoo mein baithey hein, tere waade pe baithey hein

Yakeen e mohabbat bhi hai, tum aaoge, yun nahin khaab hi sahi

Raatein ishaq ki hein yeh, khumaar mein rehta hoon

Har pal umeed hai aankhon mein intezaar mein rehta hoon

Har shai mein rangeeniyaan o khushbu nihaan hein Mujhe na chhedo aajkal, 'saahb' pyaar mein rehta hoon

Unko hai afsos ek hi mere maut per

Auron ki tarah deewana tadpa kyon nahin

Dil ko itna bhi mat tarsayo ek nazar ke liye Nahin lubhaate wohi shazar jo sukh jaate hein

Zindgi kahin umeed o aasha ki kirano ka naam hai Ameer gharon mein machhaliyaan sajawat ki cheez hein

Nahin rukta kahin 'saahb' paani ka bahaaw

Zameen thamegi to aasmaan ko rasta kar lega

Mera hota to haan karta mujhko

Bus muskura diya mere sawal per

Surakh gulaabon ki khushbu per sabne daad di Kaanton ne farz nibaah kiya, zikar tak nahin

Page 29: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 28

Aaj pehchaana nahin gaya mujhse uska chehra

Barson ho gaye yun mujhko aaeena dekhte

Khaab achhe to lagte hein magar, thaka dete hein

Aankhein khulna nahin chahti, band hone ke baad

Khuda ke naam per dukaan chalti hai shekh ki

Mazhab ki aad mein na jaane kitne paap hote hein

Ek baaba si pargtiya, duje paida hoye aap ji

Us pun di kheti kitti, tusaan wadhayia paap ji Raam raam karda si oho, tuhaada paisa jaap ji

Apno ka saath, sardi mein bhi garmahat la deta hai Unka muskuraana hi, mere har din ho khaas bana deta hai

Yakeen maniye unko yaad hai meri shakal aaj bhi

Nazar churani padti hai aaeeno se kabhi kabhi

Dheere dheere se

Kadam dar kadam woh aa gaya Kya tum sun sake uski aahat

Badlaaw mehsoos kiya??

Theek theek kaho

Naye saal mein aapne

Naya kya kiya

Mujhe nahin shikayat unse kuchh bhi aur

Gair ki bajaye mujhse keh dete, samjh jaata

Page 30: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 29

Chiraag e mehfil mein 'saahb' nazar aayee mujhe unki hi ada

Jalti thi jalaati thi, mit ti thi mitaati thi, deewana o hasti deewane ki

Justju teri mujhe kahaan kahaan nahin le gayee

Us dar pe bhi gaye, jo gali bhi manjoor nahin thi

Subah ka samay bahut khaas tha 'saahb'

Jaan bach gayee shab e firaak se

Bhula de jo dil ki har sahi o galat Mohabbat wohi shauq hai jo suli chadha de

Garmahat josh ishaq o mohabbat janoon Un haathon mein sirf lakeerein nahin hein

Sikha de jo humko zindgi wohi mohabbat hai

Bewafa woh hi hote hein, jo mohabbat nahin karte

Nahin dil ki salaah bhi galat koee Aur akal bhi kuchh bura nahin kehti

Mohabbat aur kuchh nahin 'saahb'

Yahi dil o dimaag ki jung hai

Sur o saaj ki duniya mein nagmein chun raha hoon main

Abhi gumon ke liye waqt nahin, sapne bun raha hoon main Khushbuyon ka daur abhi aur chalega thodi der 'saahb'

Tum phulon per chal sako, kaantein chun raha hoon main

Page 31: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 30

Chehra dekhiye ya dil unka yeh aapki marzi hai

Woh fansa hi lege tumhe, tumhaari yahi kismat hai

Farak kye hai wafa o bewafa mein, sirf be ka

Kitni jaane gayee hein, is alfaaz ke liye

Utri jaati hein chaandni is umeed mein aasmaan se

Badla legi unse, jinhe chaand dekhne aata hai

Koee to ada aisi bhi ho tere sitam ki Na kahin dekhi na suni na kahi gayee ho

Jo lagaane pe aaye to dil o zehan mein aag laga de Nahin to khyaal tera woh jharna hai, seetal kar deta hai

Jigar o dil ka nahin hota mel jahaan

Himmat har ke log bewafa ho jaate hein

Shehar mein naam bahut suna hai unka

Aur yeh bhi hai pata koee batata nahin

Dil bhi samjh nahin saka abhi tak hua kya hai Akal sawal puchhti hai, jhuth dar jhuth bolta hai

Page 32: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 31

Dil bhi samjh nahin saka abhi tak hua kya hai Akal sawal puchhti hai, dil jhuth bole jaata hai

Bahut gayee aur kaafi abhi baaki hai 'saahb'

Yeh zindgi sikhaati kuchh hai, bitaati kuchh hai

Kitaabein o zindgi mein itna sa farak hai

Zindgi Woh nahin jo kitaabein sikhaati hein

E mohabbat tujhe kya chahiye mujhse aur Dil chain o sakoon neend, mazaar bhi le lo

Hum samjhtey hi reh gaye ki samjhega woh Na usne manaya mujhe na mujhse maana gaya

Hum nibha karte bhi to kab tak 'saahb'

Mazaar pe usne likhwa diya, gumnaam koee

Haath uth gaye sabke ‘saahb’

Sawal tha deewana kaun hai

Keemat ishaq ki lagaane baithey ‘saahb’ Mazaar tak bik gaya, daam chukaane mein

Page 33: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 32

Shirkat mehfil mein ki usne yeh soch kar

Ek do nahin chalo aaj katal e aam sahi

Tere khyaal se mohbbat kya hai tu hi bata

Mera to dil o zehan ab kaam nahin karte

Mere dil mein ek dhundhli si tasweer hai Tujhse milaata hoon to milti si lagti hai

Chura lena kissi ki aankh se nami

Labon pe muskurahat rakh dena

Haath pe haath rakhna mushkil waqt mein Sard raahon mein garmahat rakh dena

Shayad kissi ko intezaar ho khaab ka Chupke se neend ki aahat rakh dena

Jab kabhi koee bewafayee kare kissi se

Uske har kadam per chahat rakh dena

Sulag uthi hai raat ki nazar bhi

Tujhe sirf hum nahin dekhte 'saahb'

Charakh ghumta hi reh gaya din o raat

Usne ek nazar mein sameen o asmaan bandh liye

Sabar karo samjha rahe they woh mujhe

Koee yeh nahin bata raha tha, kaise

Page 34: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 33

Humne maangi ek tasweer unse Woh tunke nazar lagana chahte ho

Humne kaha ki achhe lag rahe ho

Woh samjhe kareeb aana chahte ho

Ek hasrat ki baat hai sirf

Woh kehte hein pataana chahtey ho Hum mitna chahtey hein un per 'saahb'

Woh darte hein mitaana chahte ho

Shehar ki hawaon mein mitti to hai khushbu nahin

Gaanv se nikal to aaya hoon, gaanv dil se nahin niklata

Zikar e mohabbat kyon aa jata hai baar baar

Kya hua 'saahb' watan o adab ki baaton ko

Jazbaat mere jab bekaaboo se hone lage

Raaz khulne se pehle khudkashi kar li

Logon ne pehle bhi dekha hoga kissi ka haal Khuda ki kasam tera raaz maine nahin khulne diya

Aadtein yeh mohabbat ki badal daaliye

Raaz ki baat ka zikar mehfil mein theek nahin

Yeh jaante huye bhi ki manzil ek hai

Log ikhtiyaar karte hein raaste juda

Sirf daulat o shorat ke liye jeete hein Aur paisa hi ban jaata hai unka khuda

Page 35: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 34

Kahaan they tum jab akal bant rahi thi Ji apki mohabbat mein khoya khoya sa tha

Main puchhti hoon jo woh jawab kyon nahin dete

Ji tafteesh ke waqt main soya soya sa tha

Yeh laal aankhein kya dara rahe ho mujhe

Ji rone se pehle bhi thoda roya roya sa tha Kavi ke saath zindgi! utha le kissi ko to

Bhagwaan bhi pareshaan mujhse hoya hoya sa tha

Maan bhi jao ab zid kaisi mere humsafar

Yun kavi ki kavita ne man dhoya dhoya sa tha

Lakeerein dekhiye ya dil ki suniye 'saahb'

Haasil nahin to kya hua, hasrat mein to hai

Mujhse ameer kaun hai is duniya mein Dil jigar aankh sab bhari bhari si hai

Bahut pachhtaye hum woh sawal unse puchh kar Nazdeekiyaan chahi thi, dua salaam se bhi gaye

Hairaan hein vaid g 'saahb' marta kyon nahin

Woh nahin aaye abhi tak, jaan kaise nikal jaye

Marwa diya yaaron ne use mohabbat keh ke

Bachpan se nazar tirchhi thi unki, ab pata chala

Bikhar ke reh gayee chaandni uske alfaazon per Waada karte karte uski baat per wafa chamak uthi

Page 36: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 35

Reh gaye phir se akele hum tanha

Jamjama khub tha, dafanayee se pehle

Maare mohabbat ke mar hi na jayein kahin 'saahb'

Yeh kaisa rog hai waada kuchh aur ata kuchh aur hai

Pehle nazar ladi phir woh khud ladne lagi

Baad bewajah si thi magar badhne lagi

Mohabbat ki pehli seedhi thi nafrat 'saahb'

Yahi agaaz tha mohabbat parvaan chadhne lagi

Behas kis baat ki mere mehboob aakhir Mujhse na sahi kissi se to hogi, jazbaat samjho zara

Na woh tadap na woh aahein, na woh hasrat na woh aarzoo Shab e visaal mein woh baat nahin jo shab e hijraan mein thi

Kya pata phir se tumhe woh pyaar de sakoon na de sakoon

Tumhe khuda ka waasta mere mazaar pe shirkat nahin karna

Ujaad de ab tu is dil ki bastiyaan 'saahb'

Tang aa gaya hoon, hasrton ke shor o gul se

Use sitamgar na samjho mere humdum Yeh zakham to wafa ka inaam diya hai

Page 37: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 36

Jo roothta hai to rooth jaye meri bala se Tum manane ki baat karte ho

Hum palat ke dekha bhi nahin karte

Sabar kijiye kuchh der aur, phir dafan karenge

Lote nahin hein unki baraat se abhi yaar mere

Pilaya hai na jaane kya usne apni nazar se

Mujhe hosh nahin qatal ki baaki waardaat kya huyee

Hum woh kar guzre jo manzoor na tha humko

Teri khushi ko humne, rakeeb ko dua de di

Dekh kar bhi mehfil mein jo tune andekha kar diya Mera hi zarf tha ki zinda mehfil se ‘saahb’ aa gaye

Yeh kya kar diya hai tune, ek nazar se mujhko Laakh dawa kar chuke vaid g, araam aata nahin

Mujhi se puchhtey hein, batayo marz kya hai Lab larzte hein, hontho per tera naam aata nahin

Aankhon ko to samjha liya humne Zamaane ka dar dikha kar

Dil ko magar behla na sake 'saahb'

Bechara siskata hi reh gaya

Tamaam raat isi soch mein nikal gayee Sehar ho gayee to, dil ko jawab kya denge

Page 38: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 37

Tarkeebein kaam na ayee kissi bhi tarah

Ek khaab ki aarzoo mein humesha ke liye sona pada

Lekar to aayee thi, khaab aapke hi, saath mein

Aankhon ne teri tasweer ke liye, sone se inkaar kar diya

Lekar to aayee thi neend, khaab aapke hi, saath mein

Toot na jayein kahin, humne sone se inkaar kar diya

Bewajah hi ek baat ka batangad bana rahe ho tum

Zarf khud ka nahin tha, wajah mohabbat bata rahe ho tum

Meri bewafayee ko parkhane waale, girebaan dekho apna Abhi tak zinda khade ho, aur mujhe suna rahe ho tum

Kya tumko nahin pata tha mohabbat ki rasmon ka Jo ab apne farishton ki kasam kha rahe ho tum

Behkao dil ko yeh keh ke ki, dhokhebaaz tumhi they

Yun samjho ki main nahin, mujhe chhod ke ja rahe ho tum Bewajah hi ek baat ka batangad bana rahe ho tum

Zarf khud ka nahin tha, ........

Laazmi hai vasal ke baad hijar bhi 'saahb'

Zindgi jannat o dozakh dono se banti hai

Sakhat jaan hai 'saahb' ki jaati nahin

Barson se ek hi byaan hai, Aaj marta hoon, abhi marta hoon

Reh gayee hawa mein ghum kar ungliyaan uski Main padhta hi reh gaya, mera naam to nahin

Page 39: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 38

Mil jaye jo khareedar dil ka kahin kissi ko

Puchhna ujhde huye dyaar ka kya daam rakha hai

Kausar ki mai ka waada karke shekh ji Kehte hein haath ka jaam chhod do

Jannat ki hoor ka khaab dikha ke

Kehte hein tum uska dil tod do

Main puchhta hoon, shekh ji khuda pa liya

Ghabra ke bole, tum masjid aana chhod do

Yun to hum bhi samjh lete hein fitrat insaan ki

Kya kahein 'saahb' uski surat se dhokha kha gaye

Ukta gaye ‘saahb’ shekh ji samjhaate samjhaate humko

Bole chhudwa de na kahin masjid mujhse, udhar aana nahin

Humaare haath mein sirf chahat hi reh gayee

Jisse chaha tha use kismat kahin aur le gayee

Keh do aashiko se zara tameez barta karein Aah karein wah karein, awaaz na ho magar unchi

Nahin mila koee aur jo tera badal karta

Humne bhi apni hi tarah zindgi guzaar di

Unko ek nazar ki mohabbat umar bhar yaad rahi

Umar bhar nazar mein rakhne waale maan baap bhul gaye

Page 40: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 39

Dard ko tawajo di unhone farz per

Rote rahe chup karwaana bhul gaye

Sehal tha ‘saahb’ rona ro pade

Mohabbat bus ki baat na thi

Chalaak bante ho bahut aazmaana chahtey ho

Mohabbat nahin hua kkarti, shaq ki buniyaad per

Sanwar ke nikle they jinke liye

Kissi aur ke liye sanwre they woh Hum mukura ke se reh gaye 'saahb'

Woh puchh raha hai yeh tyaari kiske liye

Jis taraf se guzar jaate hein shekh ji Rind o mohtarma damaan chhupa lete hein

Dilaasa de rahi hai kaynaat saari

Woh uksaawe mein kaynaat ke hi aaye they

Meri mohabbat ka yeh ajaam Socha na tha maine

Wo hi dilaasa de rahe hein

Jisne unko uksaya tha

Jab tak lafz na mile they ‘saahb’ jazbaat ko Band muthi ka gohar they, ab khaak hein

Page 41: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 40

Saath bhi kabhi kabhi ranz ban jaata hai

Dooriyaan baaees hoti hein deewangi ka

Marhum ne bhi jalaya humko to

Sirf zakhamon mein dard na tha

Suljhe huye alfaaz they unke magar

Main nazar mein uljh ke hi reh gaya

Numayish laga di usne mohabbat ki mehfil mein Girebaan chak kar liya, 'saahb' zubaan khol di

Dillagi ki hai usne mohabbat nahin Jab dekhta hai usko sar se paanv dekhta hai

Itna sheerin ki mithaas ghul jaye

Naam uska jaise shehad o chashni

Phir wohi imtihaan ki baatein 'saahb'

Mohabbat ki hai ya padhne baitha hoon

Shekh ji ruk gaye mujhe dekh kar

Kya mila aakhir ko khaak e zameen Main bhi hans diya jawab mein 'saahb'

Haan kam se kam mujhe khaak to haasil hai

Page 42: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 41

Bantne se badhti hai mohabbat magar

Mazhub se mohabbat baant bhi deti hai

Dard woh raaz hai jo baanta nahin jaata

Yeh cheez apni, sirf apni hua karti hai

Jis taraf nikal gaye khushboo bikhar gayee

Mila jula usmein asar mein duayon ka bhi tha

Sulg uthey mere alfaaz woh kahaani likhte likhte Dastaan mein wafa thi bewafayee bhi aur mohbbat bhi

Jo yaad aakar kaanto ki chubhan de Aise sanam ko bhulaana hi achha hai

Rishta khataas ki had tak bigad jaye

To aise saath ko mitaana hi achha hai Jahaan baat niklane se raaz khulta ho

Mehfil mein baat ghumaana hi achha hai

Jis dil se zindgi ko sakoon na ho Us dil ka badal jaana hi achha hai

Sun kar woh meri halat e naazuk

Saaf mukar gaye yeh keh ke

Abhi kaam hai thoda,

Tum chalo hum aate hein

Page 43: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 42

Na shaq o shuba hai kissi baat per unko Phir aazma rahe hein meri mohabbat kyon

Dil ko nahin garz kissi se

Yeh to mujhe bhi behka deta hai

Dil se badhkar bewafa kaun hai 'saahb'

Jiska hota hai usi ko behka deta hai

Nahin mayne ishaq ke dil samjha ab tak Puchh raha hai woh chala kyon gaya

Raas aane lagi hai mohabbat mujhko ab Zindgi ke aur gam ab gam nahin lagte mujhko

Sabar kis baat ka kijiye aakhir 'saahb'

Dil nahin neend nahin sakoon nahin woh nahin

Shehar ki galiyaan badi tang thi 'saahb'

Log ghar mein rehna pasand karte hein

Mehki hai hawa khijaan ke mausam mein

Woh kissi kaam se paidal hi nikal pade hein

Page 44: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 43

Kis tarah rokiye unko sharart se

Khamosh ho jate hein to maza nahin rehte

Yeh jhuth hai ki sirf samander mein hote hein

Kuchh moti to 'saahb' aankh mein milte hein

Nazar mein bhi shabnam ke katre hua karte hein

Jo phulon per bikhri hai, paani ki boondein hongi

Ashak bhari nazar se dekha usne mujhe Maine daaman chhod ke sar jhuka diya

Nishaan waqt ke aaeeno mein kya dekhte ho Yeh lakeerein samjha rahi hein, zindgi mujhko

Hum bhi samjha karte they pather hai seene mein

Unko dekhkar khdua yaad aaya, sajde aa gaye

Bemaani hai mohbbat ki baatein yahaan

Unki mehfil mein sirf sitam ki baat karo

Bhulaye se nahin bhulti mujhko woh nazar Waada kar gayee thi jo, intezaar karna, lotungi

Page 45: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 44

Sahi o seedha samjhaya hota jo yaaron ne humein

Zinda hote hum bhi is mukaam per nahin aate

Sabar ki intehaan hone ko hai ab to 'saahb' Na mayiyat Na janaza mazaar per bhi nahin aate

Raahein mohabbat ki chuni usne

Aur elaan e jung kar diya

Naaz bahut tha unko apni jawani per

Raat dhal gayee baat badal gayee

Zarurat mohbbat ki nahin ilaaz ki hai unko Unki yaad mein nahin, sach mein bhul jaate hein

Zid woh bhi mohabbat ke naam per Shekh ji tum na suno, khuda khuda karo

Sirf kaantein hein jo kissi kaam ke nahin lagte

Aur yeh bhi hai kaante na hote to kuchh nahin bachta

Mohabbat mein wafa o bewafa nahin dekhe jaate

Is riwayat mein sab jayaz hai sab najayaz hai

Woh samet kar mera sab le gaye Main apni hi cheez maangta reh gaya

Page 46: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 45

Haal na puchiye mujhse mera

Yeh rog guftgu se failta hai

Woh meri baat pe naraaz kyon ho gaya

Sanwra jab tha isi tareef ke liye

Lamhein beet jaate hein, sadiyaan nahin jaati

Woh ek nazar unki aur mera dil chain o sakoon

Nazakat ki baat ‘saahb’ unse na kiya karo Woh parda utha lein to kalayee mud jaati hai

Kis tarah suljhegi yeh guthi mohabbat ki ‘saahb’

Unki julf o jabin mein hazaar kham o pech hein

Milti nahin raahat jazbaat e dil se

Neend to neend karwat bhi bhari hai

Aitbaar e dil bhi daad ke kaabil

Khanjar abhi tak uske haath mein Gawahi de raha hai woh kaatil nahin

Na badli gayee karwat bhi dard ke maare ‘saahb’

Khaab kya neend bhi bhaari hai tere deewane per

Page 47: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 46

Marz e dil hai la-ilaaj ‘saahb’, vaid g kyon aayein hein

Apka naam kharaab na ho, dawa nahin dua kijiye

Sehal nahin hota kissi per yun mar mitna

Koee deewana hi yeh haunsla rakhta hai

Mere dil mein hazaar lehrein uth ke reh jaati hein

Zara zara si baat pe sau baal jabeen per unki pad jaate hein

Waqt per zor nahin kissi ka magar Kaash ki laut aata ’saahb’ tum na jaate

Nahin jaane denge tujhe rok lenge 'saahb' Yeh weham tere jaane ke baad bhi bana raha

Meri aankhon mein do pal to ruke hote

Ashak bhi teri hi tarah bewafa nikle

Yeh naye daur ke log hein, paisa hi khuda hai inka

Gareeb ki nazar bhi lag jaye to nahaate hein woh Ameer ki car chheente bhi daal de, to muskura padte hein

Nahin hua hai asar un per kissi baat ka Na minnat o ashak na mayiayt o janaaza

Page 48: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 47

Tum kya ilaaj karoge vaid g, marz hi samjhe nahin

Yeh dil ke azaar hein, inko dawa nahin dua chahiye

Vaid g aa gaye hein, chai pilayo inko

Mera kya, aise bhi jaana hai, waise bhi

Mere dil ki ajeeb si zid hai 'saahb'

Teri aarzoo hai dhadkana bhi nahin chahta

Itna pasand aa gaya hai tera andaaz e khamoshi isko Dhadkano ka dhadkna bhi dil ko shor o gul lagta hai

Shukar khuda ka woh shayri samjhe 'saahb' Main janoon mein haal e dil keh gaya tha

Itihaas gawah hai maut ke baad mazaar bante hein

Jeete ji inhi fakeeron per pather barsa karte hein

Kabool nahin hoti har dua dil se bhi maangi huyee

Aisa hota 'saahb' to tum mujhe kab ke mil gaye hote

Birha birha karte karte sham o shab guzre Sehar dupehre chalte chalte zindgi guzar gayee

Page 49: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 48

Saabit ho gaya ki gunaah usi ka tha

'saahb' mohbbat uski ek tarfa nikli

Bakhsh do mujhe e gam e mohbbat

Pehla gunaah samjh ke maaf kar do

Swera nahin hota unki shab ka

Shaam dhale jinke dil bewafa ho jaate hein

'saahb' woh misaal dene lage ishaq ki Zubaan se nikla kuchh nahin kuchh nahin

Mere dil ka tadpna jab unse dekha na gaya Nazar pher ke kehne lage, bade kam zarf ho

Bus itni si baat pe tadap rahe ho 'saahb'

Mohabbat mein yeh kam zarfi nahin chalti

Tumhaari nazar ko aur kuchh kaam nahin hai Sare shehar phirti hai katal e aam karte

Ab puchh rahe ho ki marte kyon nahin hum

Jo jaan bachi hoti 'saahb' to aapke naam karte

Bhar gayee aankh o nazar tere zikar se Main bata raha tha, tujhe bhula kaise

Page 50: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 49

Bigad gaye hein halaat mere dil ke

Shayad dil ko unki nazar lag gayee hai

Bus itni si iltiza hai meri

Bewafa hone se pehle

Yeh hunar, Mujhe bhi sikha dena

Zikar e mohabbat gunaah hai masjid mein jaise

Kufar hai rindon ke beech mein khuda laana

Ab maafiyaan maango ya minnatein karo shekh ji Kausar mein aab hai, sharab nahin baha karegi

Wakaalat ki hai meri akal ne bhi aaj dil ki Dono sehmat ho gaye hein, dil sarphira hai

Baat yeh nahin ki dagabaazi huyee hai

Muda yeh ki bharosa! aaj ke zamaane mein??

Ab kar rahein hein meri tasweer se baatein

Zindgi rehte jinko meri shakal manzoor na thi

Mere sab faisle aarzoo hi reh gaye Woh kab ja chuka, bewafa hokar

Page 51: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 50

Chiraag e shehar mein bhi andhkaar hai

Gaanv mein chand bhi nikle, roshni hoti hai

Nahin ghul o gulaab ki mehak mein woh baat

Jo teri saanson o julf se reh reh ke aati hai

Anna hi the dil to kissi per bhi aa jaata

Kismat ki baat hai, yeh tum nikle woh bhi aise

Badal jaate hein kirdaar magar Mohabbat ka munch nahin badlta

Sirf tum hi nahin ho umeedwaar unke Yeh line dekho, raashan ki nahin hai

Saal beshak badal gaya ho, mohabbat wohi hai

Dil wohi hai, janoon wohi hai, kirdaar wohi hai

Kam zarf hote hein woh dil jo mohabbat mein toot jaate hein

Yeh ibaadat hai khuda ki 'saahb' yahaan koee kushta nahin hota

Haath milaane waale to hazaaron mil jaate hein Dil milaane waala 'saahb' sirf ek milta hai

Page 52: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 51

Nahin chiraag e wafa milte woh pehle jaise

Roshni ki bajaye in se andhera failta hai

Dilaasa de rahe hein log mujhe, sab theek hoga

Main puchhta hoon koee ek bata do, jo bach gaya tha

Ashkon ki wajah na puchh mujhse

Ro raha hoon ab aur na rula mujhko

Nazar to hai magar, nazar ko nahin aata nazar

Meri nazar ko lag gayee na jaane kiski nazar Itna yaad hai ki jhuki thi uthi thi phir jhuki thi

Bus phir na hosh raha na hi kuchh raha nazar

Kafas mein reh kar bhi 'saahb' aasmaan dekhta hoon

Tere jaane ke baad bhi teri gali tera makaan dekhta hoon

Ek khala sa reh gaya hai tere jaane ke baad yahaan Dil kaise o kitna ho gaya hai veeraan dekhta hoon

Dair o haram mein gunj rahe hein naakoos o ajaan

Shayad so gaye hein khuda o insaan dekhta hoon Dil neend chain o sakoon hosh o hawaas soch o samjh

Sab gaya jo bach gaya jism o samaan dekhta hoon

naakoos>> shankh

Usne nahin suna mera kuchh bhi kaha Bashar ki baaton mein aa kar bewfa ho gaya

Khuda kya karega mohabbat ki kahaani mein aakar

Ek mod per tumhe zindgi ki tarah chhod dega

Bhul jayo ki mohabbat ka miyaar kya tha Yeh yaad rahe ki wafa aaj gunaah ka kaam hai

Page 53: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 52

Chand alfaaz vaid ke, aakhri waqt per kaam aaye

Zor ki saans lo, dil mein unka naam lo, aur yeh tum mare

Log khud kam zarfi ka shikaar ho jaate hein

Yeh jhuth hai jhuth ki mohabat maar deti hai

Bhul nahin sakte jo hua dil ke saath

Aise mein dil ko hi bhula dena achha

Saath rehte huye rishton mein khataas Aise mein dooriyaan badha dena achha

Humse na puchho ki woh ehsaas kya tha

Humse na puchho ki aakhir hua kya tha Humne sirf mohabbat hi nahin chhodi

Mohabbat ka zikar bhi chhod diya hai

Meri samjh mein yeh nahin aata ki shor kaisa ‘saahb’

Ek hi dil mein dhadkane aur tum kyon nahin reh sakte

Haadson se saath hai puraana meri jeesat ka

Dil gaya nazar gayee neend chain o sakoon gaya

Kismat ki baazi dekhiye to kiske haath lagegi Akal ka apna tark hai,Dil bhi zid per kayam hai

Page 54: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 53

Mere dil ke aaj bhi wohi mijaaz hein

Teri bewafayee bhi, ise badal na saki

Na sambhaala gaya tujhse itna sa dil mera

Mujhe dekh tera har gam o sitam, kaise rakha hai

Chehre pe zardi dekh kar andaaze na laga

Raunak laut aayegi jo woh laut aayega

Nigaahein chura gaye woh mere sawal per Shukar khdua ka inkaar tha magar sehal nahin

Uski marzi se ki hai bahut dafa minnatein humne Woh tasweer mein sirf hansta hi rehta hai 'saahb'

Woh adab o khaloos mohabbat ka

Chhodiye kya puraani baat le baithey

Jala do yeh wafa ki kitaabein!!!!

Behkaati hein!!

Jo mohabbat ki baat kare, soch le Asoolan ab wafa nahin ki jaati

Page 55: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 54

Sirf nigaah o nazar ka aitbaar mat kijiye Mohabbat se pehle dil bhi parkh lijiye

Keemat vasal ki hijar ke baad hi padti hai

Jo maza lena hai to thoda taras lijiye

Aao min lein zara faasla kitna hai humaare darmiyaan

Ek teri ana ek meri ana, aur yeh zarurtein zindgi ki

Jab tak charcha na hua tha, ghar se kharch milta tha mujhe

Bedakhal ho ke, fikar e rizak tujhse bhi zyaada waqt maangta hai

Mohbbat mein hai hi kya aaho dard ke siwa Itni si baat ko shayar khuda kahe jaate hein

Yun hi aankhein dikha rahe ho zara si baat per Tumne bhi to inkaar kar diya, baat barabar samjho

Bahut sun liya humne ki teri nahin nahin

Humne tewar dikhaye unki haan nikal gayee

Sumjha chuke hein hum apni nazar 'saahb'

Jo dekhna hai unhe, dil mein dhundha karo

Badal kar woh karwat reh gaye Main kaha 'saahb' jaate ho to jao

Page 56: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 55

Aur hai hi kya aah o dard ke siwa, mohabbat

Ek gunaah ko shayron ne, haseen kar diya hai

Mere mohtsib ne mujhe masjid dikhayee thi

Baaton ne shekh ki, maikade ki raah pakda di

Bikte dekhe hein jazbaat bhi humne bazaar mein 'saahb'

Ruth jaate hein bache aksar baap se khaali haath aane per

Thak chale hein hum tere hijar ki rasam nibhaate nibhaate Mazaar per meri ab to do pal kar do 'saahb' saaye vasal ke

Sahaare ishaq ke mil kar bhi na mile mujhko Usne haan to ki magar, majboor hoon bhi keh diya

Paraye shehar mein kisne awaaz di hai mujhe

Kaun hai jo aaj mere dil mein sada de raha hai

Yeh aaj phir mere dil mein shor o gul kaisa

Yaadon ki basti mein phir se danga ho gaya hai

Mere humsafar mujhse waada kar manzil ka Yeh mukaam to hum khud bhi tai kar lein

Page 57: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 56

Behtari kismein thi meri, yeh main bhi jaanta tha

Woh der tak samjhaate rahe, unko bhul jaane mein hai

Woh gurbaton ke din magar befikar raatein

Yeh naram bistar, per karwaton mein guzarti hai

Nazar e buland unki dekhti hein mujhko

Main sar jhuka ke zameen dosh hua jaata hoon

Kasoor e dil hai khafa woh saraapa hein

Sunta hoon ki hosh karo, behosh hua jaata hoon

Tere dil ki ulfatein hein, aur mujhko janjaal Sau baar inkaar kar chuke, phir wohi sawal hai

Rang e hina unke haath per surkh ho raha hai Meri khaab ki aisi taabeer, bhi mera ek khaab hai

Fikar e haakim hai sirf satta Awaam ke liye sirf taqreerein hein

Kismat ko kosiye to kis liye

Unke Jaise apne bhi lakeerein hein Chunaav ka mausam hai, sheerin

Jo bolein, qaum ki taqdeerein hein

Chamkati hein sirf sach per ‘saahb’ Khuda jaane yeh kaisi shamsheerein hein

Khula pinjra kisko rok sakta hai 'saahb'

Majboori hai un paron ki, jo tumne tod diye

Majboot iraade they uske magar

Aandhiyaan waqt ki zyaada tez nikli

Page 58: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 57

Sahi baat hai, khamoshi mein sab raaz hai

Jo baat nikli, to baat na ban jaye kahin

Vaid g dawa ki potli le ke aaye hein

Hazaaro jo kar na sake, ab yeh karenge

Dard aur bada diya vaid g ki tafteesh ne

Kaun tha kahaan mila tha pata kya hai

Humaara hi zarf hai ki zakham dene waale ko dost kehte hein Warna aaj ki fizaan mein 'saahb' naam e dosti bhi gunaah hai

Hum ta-umar samjhota hi karte reh gaye ‘saahb’ Kabhi bache they kabhi naujawan kabhi puraane

Shareefon mein gine jaate rahe hein hum bhi

Yakeen nahin aata aapko, haalat e mazaar dekh lo

Jab apni aayee pe aati hai mohabbat

Aadtein kya zindgi chhoot jaati hai

Samjha lo in aankhon ko, dil ke raaz khulte hein Suli chadhwa dengi yeh gardan katwa dengi 'saahb'

Page 59: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 58

Zindgi ka kya hai ab nahin aur ab nahin

Tum yeh socho ki bach gaye to kya hoga

Khud hi aag laga di khud ko humne

Aur koee tareek na tha raaz bana rahe

Jo tumko nahin zarurat to na sahi

Magar sansein chalengi teri yahi saza hai

Bata ke bhi karenge sitam tujhe woh

Jo hum kar sake they kuchh, tum hi kar lena

Sab ke honthon per thi hansi magar ek tumhi chup they Sach sach kaho e sitamgar, sitam ke baad thoda taras bhi aaya

Teri sohabat mein aa ke achhe ho jaate hein

Kuchh marz aise bhi, vaid g la-ilaaz keh dete hein

Kahaan ja raha hai ab mujhe chhod kar

Bacha mujhko ya maar de, kaam poora kar

Aur kab tak karte rahenge galtiyaan Kabhi to 'saahb' bada hona hi padega

Page 60: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 59

Khuda na sahi khud ke to kaabil bano

Yeh galtiyaan aur kitni o kab tak

Nishaan nahin yeh saugaat e mohabbat hai

Jaan se zyaada inti tum hifazat karna

Aaj o kal mein chali jayegi yeh mohabbat ki umar

Jo hasrat e gunaah hai to aaj karlo abhi karlo

Koee farak nahin ab mujhko tumhaare hone na hone se Mazaar ban gaya duniya chhoot gayee dil badal gaya

Sabki khaamiyaan ginaaye jaate hein Girebaan nahin dekhte, khud kya hein

Abhi tak haar jeet ka karobaar hai

Mohabbat barson huye nahin badli

Woh abhi tak haar jeet se baahar nahin nikle Mohabbat karke bhi karobaar se baahar nahin nikle

Humne kahaa bhi ki tumhe kya pata mohabbat ka

Woh bole chhodo yaar tum baahar nahin nikle

Aaye to zarur woh mohabbat ke shehar mein shekh ji Daaman bacha liya yeh kehke, seedha hoor se karenge

Page 61: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 60

Na kiya khyaal unhone mera itna bhi

Tanha chhod diya, tamaashe ke liye

Aage hi raha hai do qadam ishaq se

Husn woh hai jisne aag laga di hai

Apni apni naza hai 'saahb'

Humne kya dekha tumne kya dekha

Ilzaam ishaq ko de rahe hein woh Tanha reh gaye khud ki galtiyon se

Hasrton ke parde mein ja ke chhupe hein woh Marzi unki thi ilzaam dil o kismat per hai

Na jeene ki hasrat na marne ka shauq

Pather hai use aashik bhi kyon kehna

Dum mohabbat ka fikar haar o jeet ka Afsaana ishaq ka dard o aah ki baatein

Kuchh suna sunata kissa hai 'saahb'

Woh khus ko aashik saabit karte hein

Yahaan sabhi se milna hi padta hai 'saahb' Yeh duniya hai koee ujdi mazaar nahin hai

Page 62: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 61

Jise hum sabse zyaada yaad karte hein 'saahb'

Phir kyon ek din use hi bhul jaana chahtey hein

Hum chalte hi chale gaye apni dhun mein

Yeh bhi na dekha manzilein peeche chhut gayee

Khud mein rakha hota dum thoda, haath pakad lete

Jo inkaar hi karne se dar gaye ‘saahb’ aage kya hoga

Theek se pehchaana hi nahin aapne 'saahb' Zubaan per inkaar tha, nazar to padh lete

Dil ko na dhamkayiye zara si baat per ‘saahb’ Ab yeh amaanat hai kissi ki, apka nahin hai

Ishaq ke rang kis per huye hein zaahir ‘saahb’

Kissi ne kuchh dekha, kissi ne kuchh dekha hai

Safar e ishaq mein ‘saahb’ yeh ehsaas hi nahin hua

Manzilein kab chalte chalte peechhe Chhoot gayee

Khuda ne puchha ki guzar waqt lauta doon 'saahb' Na jaane kya yaad aa gaya, kehne lage nahin-nahin

Page 63: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 62

Kahin aaraam farma rahi hongi yaadein, rehne do

Lamhein jo guzar gaye, unhein guzra hi rehne do

Yeh sukhe huye phul o zard ho chuki tasweerein Bikhar jayengi haath na laga jahaan hein rehne do

Woh sach mein pareshaan hein ishaq ke azaar se Kabhi dawa karte hein neend nahin aati,

Kabhi kehte hein bus utha hi nahin gaya

Ruswayee hai sirf aashik o shayron ki

Aam log bhul jaate hein yeh gunaah karke

Mausam e baarish mein woh tere pehlu ki garmiyaan

Yaad aane se baarish ho rahi hai baahar bhi ander bhi Yahi aankhein hein jo rang badal jaati hein 'saahb'

Yeh shabnam ke katre bhi aur ashk e samander bhi

Woh ab dard ko dard maanta hi nahin hai Itni si umar mein dil ne kya kya dekh liya

Shareek e hayat hai gam o khushi

Apni hi daulat mein farak na kar

Jaagir e dil aur hai hi kya ‘saahb’

Ek aarzoo hazaar usi ke tukde hein

Jawani ka safar guzarta hai, saath ki talaash mein ‘saahb’ Peeri mein samjh aati hai who ander hi tha kahin, mila nahin

Page 64: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 63

Talaash e yaar meri kahaan take le gayee mujhko 'saahb'

Masjid maikada mazaar o dargaah, laut ke ghar aa gaya hoon

Mohabbat ki aandhi mein har jazbaat uda de

Yeh gunaah nahin kar sakta to dil ka gala daba de

Jo hona tha woh to ho chuka, gunaah aapse

Ab zameer jaaga hai, to phir se sule de

Thoda to sabar kar mere mehboob, milenge hum

Is duniya ke baad bhi to jannat bhi karni hai

Deewaane ki har hasrat pe toofaan utha hai Mohabbat kya maang li kyamat barpa ho gayee

Kisse yun bhi adhure reh jaate hein ‘saahb’ Sunaate sunaate sunaane waale so jaate hein

Kuchh na-maloom si baatein Jinka zikar bhi na ho

Kabhi kabhi ban jaati hein

Yaadein! Woh bhi aisi

Ki peecha chhudana mushkil

Keh to diya maine ki jaise teri khushi

Qaid hua jaata hoon, teri aankhon mein

Shab e visal le gaye, shaam de ke chale gaye Kaanton ko phulon kaliyon ka naam de ke chale gaye

Intezaar mein makhiyaan hi na maarne lagein kahin

Humaari tasweer se karo baatein, kaam de de chale gaye

Page 65: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 64

Imtihaan e ishaq ab aur kya lenge woh

Dil le chuke ‘saahb’ ab kya jaan lenge who

Woh chura ke chaand le gayee apne sanam ke liye

Raat jaate jaate mere khaab thokar se tod gayee

Mazaar e asshik per diya nahin dil jalayo

Ibaadat ke kaayde hein ‘saahb’ shor na ho

Zindgi barham hai meri mere libaas ki tarah

Log baahar se pather maarte hein Tumhaari yaadein bheetar se

Jab jahaan bhi laga ki manjil kareeb hai ‘saahb’ Ek naya mod aaya aur hum phir se door ho gaye

Zikar e firak hua hai jab jab mehfil mein

Dil khol ke hansa hai raat bhar rone waala

Na huyee paar humse dehleez e gurbat

Jo khaab bhi aaya kabhi neend toot gayee

Bewafa kaun hota hai is jahaan mein Mohabbat wohi hai kirdaar badal jaate hein

Page 66: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 65

Shaheed e mohabbat ka kahin zikar nahin hua

Log yeh charcha karte rahe woh jeet gaya/2

Kat gayee zindgi isi soch mein humaari

Aayenge jodne kabhi woh marham layenge

Woh bewfa na samjhein kahin, Unse keh dena koee

Intezaar hi kar raha tha, 'saahb' jab tak tha

Vasal ke baad hijar o thode aansoo Aur tum dawa karte ho zindgi dekhi hai

Daam e mohabbat chukaana padta hai jaan dekar Woh pareshaan hai kal rona pad gaya hijar mein

Tasweer e yaar mujhe thoda araam de sakti hai

Vaid g dawa se dono ka waqt kharaab hoga

Bahur zor lagaya samjhaane waalon ne apna magar

Katal karna hi pada deewana ka, ziddi tha jhuka nahin

Aa gayee hai zid per mohabbat ab to Jaan le ke rahegi yeh deewangi meri

Page 67: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 66

Khamosh rehna seekh rahe hein 'saahb'

Aitraaz hai unko, sirf woh hi bol sakte hein

Mili hai mohabbat humko kis tarah se kya kahein

Mazaar bana hai apna tab kahin samjhe hein woh

Tarkeebein aur bhi this magar

Siway mazaar ke woh kahin milne nahin aaye

Ishaq ko dhundh rahe hein kuchh log phir se Amaada hein katal e aam ko kuchh log phir se

Mehfil mein har koee idhar udhar jhaankne laga ‘saahb’ Woh maasumiyat se puchh baithey yeh mohabbat kya hai

Tarqeebein saari badal lijiye apni

Is zamaane mein maangne se nahin

Chheen ne milta hai ‘saahb’

Nahin badal saka mera janoon e mohabbat

Uska nashukar ho ke chale jaana 'saahb'

Mohabbat o muqaddar mein kya rishta 'saahb' Aashik uski chaal dekhte hein, haath ki lakeer nahin

Page 68: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 67

Woh humein dekhti rahi der tak, sochti rahi

Phir do phul rakh diye mazaar per, afsos hai keh ke

Jo kaabil e ishaq na ho, use jaane do

Behtar hai bekadar ko bhula diya jaye

Toote huye aaeene jodne se kya haasil Behtar hai koee libaas saja diya jaye

Unki ek nazar se aa jata hai karaar

Aisi mein woh apna kahein, kya khub

Mohabbat ko baazi kehne waale haar jeet samjhate hein Jisko roohon ki talab hai ‘saahb’ use koee aur talab nahin

Taras gayee hein aankhein meri dusri nazar ko

Yeh kaisi pyaas tumne pehli nazar mein laga di hai Sirf jism ki boo hai rooh ki khushbu nahin hai

Seerat dekhi nahin kehte surat ne aag laga di hai

Teri aagosh mein garmiyaan to hein aaj bhi magar

Who pehle sa sakoon ‘saahb’ jaane kahaan reh gaya

Dil ko dil hi rehne do 'saahb', masjid na karo

Mohabbat mazhub nahin khuda khuda na karo

Haan mujhko mohabbat hai 'saahb' maar daalo Main nahin bata sakta kis se, kitni, aur kyon

Page 69: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 68

Akal maari gayee hai lehron ki

Use choom rahi hein, jo sirf mera hai

Koee to sikha de adab usko mohabbat ke

Assolan ishaq mein sirf tarsa jaata hai

Yahi jaydaad hai aashik ki 'saahb'

Ek hasrat duja aarzoo baaki intezaar hai

Maashre mein badi der tak charcha ka baaees raha Aise lagte to na they ‘saahb’ jaise mohabbat kar guzre

Haasil e zindgi aur kya hai 'saahb'

Tasavur khyaal aahein aur intezaar

Tumhe kaise bata doon naam uska, tafteesh karne waale

Yeh woh lafz hai jo maine bhula diya raaz rakhane ke liye

Ro pada woh jaane kis baat per

Main to keh diya tha, jao!!!

Sab dekhne waale ki nazar mein tha, kamaal e duniya Kissi ko mehfil nazar aayee ‘saahb’ koee tanha reh gaya

Page 70: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 69

Auraak zard nahin hote ‘saahb’ is kitaab ke

Sadiyaan ho gayee mohabbat ki dastaan ko

Shaatir dilmaag hein tere shehar ke log, muskura diye

Ya phir guzre hein sabhi kabhi na kabhi teri gali se

Shayad shaatir dimaag hein tere shehar ke log

Ya phir guzri hai sab per wohi, jo mere saath huyee hai

Nahin pesh jaati meri unki nazar ke aage 'saahb' Dil ghabra jaata hai, Zubaan ko maut pad jaati hai

Ab ki souun to soya hi reh jauun Jo uthu ‘saahb’ to sirf uthne ke liye

Ab nahin hota mujhse aur zabat

Dawa ya zehar jo bhi hai de do

Chaar kandhe judne bhi mushkil ho gaye mujhko

Jab yeh khabar fail gayee, mohabbat mein jaan di hai

Kabhi keh diya ki khushi ke hein kabhi gam ke yeh aansoo Apni hi jaydaad ko maine, apne hi lafzon se baant diya

Page 71: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 70

Umar guzar gayee chori chakkaari mein hi

Kabhi aankhin chura li usne, kabhi dil mera

Kissi ke liye kaun jaagta hai yahaan 'saahb'

Apna hi chain o sakoon dhundhtey hein ro ro kar log

Meri har aarzoo ko usne talkh kar diya yeh keh ke

Sirf maangne se nahin milti, churaane ka hunar seekho

Logon ke kehne per jaya karo 'saahb'

Log to mujhe bhi deewana hi kehte hein

Kis kis batayiye ab ja ke haal e dil apna Aap hi andaaza laga lein jo aapke dil aaye

Nahin meri koee sharat ki tum bhi mohabbat karo

Jo tumhaara kaam hai tum karo, humaara hum karenge

Badli badli si hai nazar unki mere sawal per

Jawab dena tha usne, bilkul jawab hi de diya

Kafas ke parindon ko bahaar na dikha 'saahb' Katal karde magar dil mein koee hasrat na jaga

Page 72: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 71

Itni bhi kya be-aitbaari tumko 'saahb' Aazmaane se pehle aazma rahe ho

Aazmaane ke kaabil hoon ya nahin

Martey bhi hein to apne hi janoon ke liye

You kissi ke liye kissi ko koee fursat nahin

Sab kuchh jab pehle se tai hai 'saahb'

Apeel kaise muqadam kaisa insaaf kaisa

Kashtiyaan toofaan se bhi guzar jaati hein agar Musaafir ko nakhuda per o Naakhuda ko khud per yakeen ho

Fana kar deti hai 'saahb' har boond ko sehra ki tishnagi Milne waale ka lihaaz nahin karti, mohabbat ka lihaaz nahin karti

Haar jeet ka faisla jung mein hota hai

Mohabbat mein sirf o sirf mohabbat hai

Mera jism to chhod doge magar

Meri rooh ka kya karoge batayo

Dil ka kya hai dhadka na dhadka ‘saahb’ Mohabbat hai mar ke bhi mohabbat rahegi

Page 73: Shabnam: Boondein Baarish Ki - merikavita.info Boondein Baarish Ki.pdf · Mere bus mein nahin, ... Jaise khushboo ne ek libaas pehan liya ho Payal mein jharna baandh kar hawa sa chale

Shabnam: Boondein Baarish Ki

‘ S A A H B ’

Page 72

Shaoor e ishaq hai aaya jis jis ko 'saahb'

Raaz daba ke seene mein gumnaam ho gaya hai

Mit jayegi dil o zehan ki sab khushkiyaan 'saahb'

Kabhi kabhi mohabbat ki kitaab padha karo

Baat jeene marne ki ‘saahb’ kahaan se aa gayee beech mein

Hum mile tum mile mohabbat huee juda ho gaye, zindgi hai

Utaar chadaav dekhte dekhte likhne per majboor ho gaye ‘saahb’ Yun samjhe yahi hein, mohabbat ke baad sabse bada gunaah hai

Jo mohabbat ki baat hai to ashkon ki baat na kijiye

Yeh khuda ki ibaadat si hai, ise tohmat na dijiye Arey samjhaye se samjhate nahin hein akde jaate hein

Accha bhayee aap mariye magar hum per reham kijiye