Pyaar Ki Ek Kahani

51
It’s not just a Lovestory, it’s a song. It’s a saga.

description

It's not just a Lovestory. It's a song. It's a saga. This is a one of it's kind love story. When you read this collection of poems in order, they narrate to you, a love story.

Transcript of Pyaar Ki Ek Kahani

Page 1: Pyaar Ki Ek Kahani

It’s not just a Lovestory, it’s a song. It’s a saga.

Page 2: Pyaar Ki Ek Kahani

AYE ZINDAGI

Har subah uthta hoon main rozi roti kamane ko

Sochta hoon, kis mod par le aayi hai yeh zindagi

Kisi ka na ishq mila hai,

Na hi kisi ki bandagi.

Mohaulle se nikalta hoon aate jaate daftar se

Sab apna apna kaam chhod mera muh tadte hain.

Gham chha jaata hai, jahan se main nikalta hoon,

Dil karta hai ki muh chhupaloon apna chaddar se.

Sab khush haal hain apni zindagi se,

Main hi kyon hoon itna khafa?

Aisa kausa kaam hai jo karta hai karne vale ki aisi haalat?

Haan janaab, karta hoon main logon ke talaaq ki vakaalat.

Dil kya jaane pyaar ka swaad

Zindagi bhar sirf nafrat hi mili hai

Log kehte hain panauti mujhe,

Bear k idol se zindagi sili hai.

Izzat toh uski hoti hai, jo dilon ko milata hai

Voh hi mahan, voh hi bhagwaan, vo hi sabka jahan

Main toh bani banayi shadiyan tudvata hoon

Sabki nazar mein main toh hoon haiwaan

Page 3: Pyaar Ki Ek Kahani

Dil toh karta hai, ek kamre mein apne aap ko band karloon

Par kaam karna majboori hai

Aisa kaam karke khud ko kaise pasand karloon

Badhti jaa rahi apne aap se meri doori hai

Hoon main tujhse naaraz aye zindagi

Na kisi ka ishq mila hai

Na hi kisi ki bandage

Page 4: Pyaar Ki Ek Kahani

MUSAFIR GRAHAK

Kehte hain subah ke sapne sach nahi hote

Sapne dekhne ka kya faayda?

Pehle dikha ke phir tod deta hai

Kaisa zaalim hai khuda ka yeh kaayda

Maine chhod diya zindagi se ummeed rakhna

Main akela hi rahoonga

Yeh tanhaayi aur akelapan

Main akela hi sahoonga

Sham ko main nikalta hoon thandi hawaa khaane

Nazar daalta hoon us kachchi sadak par

Mitane meri berozgaari, koi toh grahak dikhjaaye

Vaise bhi duniya banati hai chehre banati hai meri ek hi jhalak par

Dikhta hai ek akela, chalta musafir

Haath mein ataichi, chehre par zor

Dheere dheere, sehme sehme

Badhta hai meri or

Dekhta hai voh chaaron taraf

Saara mauholla uspar dhikkar kar raha hai

Par mauholla kya jaane uski majboori?

Voh bhi uske talaaq ko rokne ke liye andar hi andar mar raha hai

Page 5: Pyaar Ki Ek Kahani

Aata hai voh mere paas, sir jhukae

Deta hain mujhe voh ataichi, jo aaya tha voh lekar

Main use voh leta hoon sonchte hue,

Khuda tu kaise khush hai yeh sab dekhkar?

Mujhse milkar chala jata hai voh

Mujhe apne akelepan mein sadne

Main toh tallaq karwaata hoon janaab

Akele rehne ki aadat hai, akele hi chhod diya hai duniya ne mujhe marne

Page 6: Pyaar Ki Ek Kahani

MERE MAUHOLLE AAYI EK PARI

Subah ki ghanti uthati hai sabko

Koyal ki kuhuk se neend khulti hai

Roz ka aam admi kaam karne lag jaata hai

Subah ki chaay banti hai aur kisaan ki bhains dhulti hai

Mehek aati hai har subah gaushaala se

Aalas ko peeche chhod sab kaam par nikal jaate hain

Main chup chap jaata hoon bazaar

Mere aate hi mujhse door jaane ke liye sabhi vyapaari sabha se bikhar jaate hain

Daahini taraf hai ameeron ka nivaas

Baahini or kismat ke maaron ka

Beech mein rehte hain saahukaar aur zamindaar

Main nukkad par rehta hoon kyonki mera nahi koi yaar, yaaron ka

Koi nahi mera apna yahan

Sab mujhse rehte hain khafa

Koi naya aata nahi hai yahan rehne

Ummeed bhi hai mujhse bewafa

Phir ek din hua jaise jaadu

Jaise khuda ki meherbani mujhpe aa giri

Apsara jaise vo mauholle mein aayi

Ek hi nazar mein aise laga jaise hum dono ki kismat aa mili

Page 7: Pyaar Ki Ek Kahani

Pehli baar dil dhadakne laga

Ummeed ki chahat jagi

Phir mujhe yaad aayi kadhvi hakeekat

Paas na jaa paunga uske, vo bhi mujhko shola lagne lagi

Beech bazaar mein muh khole khada tha

Tank raha tha uska chehra

Jaise vo meri taraf aane lagi, jaadu sa chhane laga

Aisa laga ki kuch hai humare beech. Kuch gehra.

Vo mere paas se guzri

Uski mehek thi man lubhani

Ek din tujhe apna main banaunga

Yeh baat maine apne mann mein thaani

Page 8: Pyaar Ki Ek Kahani

KYA YEH PYAAR HAI

Tu chalti hai toh aati hai bahaar

Pheeki lagti hai sher ki dahaad

Akela rehta hai dil hamesha

Par lagta hai khuda ne kiya ek hamsafar ka jugaad

Phool bhi teri hasi ke aage sharmaye

Teri ek nazar hi mera dil dhadkaaye

Main gaa toh nahi sakta magar

Tujhe dekhkar dil bhi taraane gungunaye

Tera chehra hi mera sukoon hai

Tera ishq hi mera junoon hai

Mere ragon mein daudta hai tera ishq

Tera ishq hi mera apna khoon hai

Tere paas hoon jab agar megha barse

Tujhe choone ko mera dil tarse

Par mein aisa nahi karta

Mauholle ki nafrat aur teri sharafat ke darr se

Tujhe main paaoon, yeh hai meri chaahat

Tera chehra dekhne se hi milti hai raahat

Tujhse zyaada khoobsurat ladki maine dekhi nahi

Tu hai khuda ki koi anokhi banaawat

Page 9: Pyaar Ki Ek Kahani

Maine pehle nahi dekha tumsa haseen

Iss baat ka hai mujhe pura yakeen

Dekha hai maine pariyon ka mela

Magar tumsa koi maine dekha shaayad hi hai kahin

Teri zulfein jab lehraatin hain

Lagta hai jaise voh mere gaalon ko sehlaatin hain

Mujhe jo abhi ho raha hai

Kya voh sach much mohobbat kehlati hai?

Tere palko ki ek jhapak mujhe deti hai chhaya

Paani ki tarah behti hai teri kaaya

Mujhe pehle kabhi hua nahi, isliye nahi pata

Kya yeh pyaar hai, ya phir koi maaya?

Page 10: Pyaar Ki Ek Kahani

PEHLI MULAKAT

Dopahar ko khaat par araam farma raha tha

Use theesri baar dekhne par, besharam dil bhi sharma raha tha

Voh chalet aa rahi thi meri or

Yahi dekhkar tham gaya baaki saara shor

Jaise jaise voh aati gayi aage

Samay thamne laga ho, aisa laage

Safed kaagaz vo laa rahi hai

Shaayad vo koi kaam se aa rahi hai

Hakeekat mujhpe aa jhapki

Yaad aaya ki ishq ki duniya mere haath se jaa chuki kabki

Sapne dekhta rahega tu kab tak?

Bhulja pyaar ko, nafrat mein jeeta aaya hai tu ab tak

Vo mujhse aake boli, “suna aap ek vakeel hain?

Meri aap hi madad kar sakte hain, is baat ka mujhe poora yakeen hai”

“main kaise karoon apki madad?

Kya hai aapka yahan aane ka sabab?”

Voh boli “mere bhai ko sata rahe the kuchh log

Khudko bachane ki koshish ki, par raha hai jail ki saza vo bhog”

Maine kaha “main nahi kar sakta uski zamanat

Main to karta hoon talaak ki vakaalat”

Page 11: Pyaar Ki Ek Kahani

Yeh sunke vo do kadam peechhe gayi

Jaise mauholle ki nafrat se vo bhi keenche gayi

Vahi hua jiska mujhe darr tha pehle

Ab vo mujhse nahi milegi; na agle din, na agle haftem na agle mahine

“maaf kijiyega, mujhe nahi tha pata

Galat mat samajhna, aapse nahi hai koi khata

Socha tha aap kuchh aur karte hain

Isliye shaayad mauhollewaale aapse darte hain”

Main muskuraya, “darr? Nahi yeh log mujhse karte hain nafrat

Aapko maafi mangne ki nahi hai koi zaroorat”

Vo bhi muskurayi, “mujhe nahi lagta ki aap hain koi bure insaan

Kyon rehte hain aap is ghar mein, jo hai itna sunsaan?”

Main bola, “kahani hai badi lambi,

Kya aapko nahi hai ghar jaane ki thodi jaldi?”

Vo boli, “mauholle mein sabko janna zaroori hai

Aur aapko jaanne mein kahan ki majboori hai?”

Maine khatiye ko apne paas kheecha

Socha “aaj khuda mere saath hai, nahi dikha sakti kismet mujhe ab neecha”

Usse bola “baitho. Aao sunaoon meri yeh kahani

Hai to nayi hi, par sunne mein lagegi jo sadiyon puraani”…

Page 12: Pyaar Ki Ek Kahani

KAHANIYAAN - 1

“Us din sirf das saal ka tha

Duniya ke taur tareekon se anjaan

Dekh raha tha duniya ka sabse khaufnaak nazara

Kaise do dilon ke beech kadvahat laa raha tha bhagwaan

Do hanson ka joda kehlate the voh

Is jahaan ki sabse pyaari Jodi

Pandrah saal ki shaadi ko

Ek chhoti si pudiya ne todi

Ek kasam khaai thi baba ne maa se

Dhuein se rahengein door

Magar peene ki zid thi itni puraani

Ek mazboot bharose ko kardiya chakna choor

Maa ne shaayad galat aadmi par bharosa kiya

Meri pehli ibaadat ko laga ek dhakka

Kachchi umar thi, kachche irade the

Lekin is ek ghatna ne, kardiya shaadi ke bare mein mera irada pakka

Shadi shraap nahi hai, par vardaan bhi nahi

Yeh baat maine us din jaana

Aaj ek se pyaar, kal usi se dhokha,

Aisa toh roz chalta rahega, maine maana

Page 13: Pyaar Ki Ek Kahani

Phir poore dus saal baad aayi

Maa-baba ki pachcheesvi varshgaanth

Baba se kabki bichhdi hui meri maa, ghar aa rahi thi

Kaali raat thi, kaali barsaat

Baba achaanak maa ke samne aaye

Aur thama unka haath

Dari hui meri maa, haath chhuda kar ghar aayi

Baba ne kiya unka peecha

Mein gusse mein chillake chowkhat par aaya aur bola

‘chale jaao baba! Tumne dikhaya tha maa ke bharose aur pyaar ko neecha!’

Baba gidgidaye, ‘aisa nahi hai jaisa tum log sochte ho

Main aya hoon tumhe batane

Anjaan khatre the tumhari jaan ko

Main tumhara baap hoon, mujhe dharti par bheja gaya hai tumhe unke raaste se hatane’

Pachchees saal maa ne intazaar kiya tha baba ka

Maa ke kaan, baba ki baat sunne ko taras rahe the

Unko itna rote hue pehle kabhi nahi dekha

Aankhon mein se jaise aasuon ke teer baras rahe the

Page 14: Pyaar Ki Ek Kahani

Maa ne baba ka haath thaama

‘sunao tumhari kahani’, voh boli

Magar kismet ne phir ek tamacha maara humein

Jab baba ke badan ko cheerti aayi, ek jaanleva goli

Khoon mein laplapaate baba neeche girgaye

Pachcheesvi saalgirah pe toda dum

Samajh nahi aaya ke kya hua,

Khauf, darr, aur ghum ke beech jujh rahe the hum

Maa toot gayi is sadme mein

Baba ko doosri baar unhone khoya tha

Voh bhi chali gayi baba ke saath, mujhe chhodke

Toot gaya us suhaane bhavishy ka sapna, jo maine apne aap ke liye boya tha”

Page 15: Pyaar Ki Ek Kahani

PEHLI MULAAKAT KI RAAT

Mere aankhon mein tha paani

Voh boli “badi dukhbhari thi aapki kahaani”

Mujhe yakeen tha ki maine usko kardiya tha tang

Meri pehli mulakat uske saath, maine kardi bhang

Main has pada aur bola “kya tumne lagta hai ye hakeekat hai?

Talaaq vakeelon ka bharosa mat karo. Ye meri ek naseehat hai”

Voh boli “sach nahi toh kya hai ye, mujhpe karo meherbaani”

“Nahi nahi, yeh to hai keval ek filmy kahaani”

Voh hasi aur boli “achhi hai. Bahut achhi hai

Bhagwaan na kare ki ye sachchi hai”

“Talaaq karwaata hoon. Yeh kala mere ragon mein rehti hai

Kabhi kabhi ye apne aap mere labon pe aati hai”

“Maa baba ke bichhadne ke baad

Mujhe ek baat aayi yaad

Pehle humen rehti hai jeevansaathi chunne ki azaadi

Phir hoti hai araam se shaadi

Phir ek din tanaav mein lagta hai ki shaadi nahi koi mazaak

Phir se azaadi chaahiye, lene aajao talaaq”

Vo muskurai

Mere dil mein baji shehnai

Page 16: Pyaar Ki Ek Kahani

Vo boli “par sab log nahi rehte hain nakhush

Shaadi bhatke logon ka hota hai ankush”

Main haske bola, “sabke liye toh nahi

Unke liye main karta hoon vahi jo unke liye sahi”

Uski aankhon mein thi jhalak hasi ki

Uski nazar mujhko pyaar se dasi thi

“Maine tumhe mere bare mein bata diya

tumhe maine kaafi der tak sata diya”

Vo muskura ke boli “nahi nahi aisa nahi hai

Meri bhi kahani vaisi hi kahin hai”

Mai bola, “magar tumhe ab jaana hai,

Koi tumhe bulaane aa raha hai”

“Maaf kijiyega, haan mujhe jaana hoga

Kal phir ummeed hai ki aapse milna hoga”

Usne le li mujhse bidaai

Mere saath phir rehgayi meri tanhaai

Vo chali gayi lekin paas thi mere dil ke

Mera mann khush ho gaya usse milke

Meri hui usse pehli mulakaat

Neend nahi aayegi mujhe aaj ki raat

Page 17: Pyaar Ki Ek Kahani

NAYI DOSTIYAAN

Bazaar mein aaj kafi shor tha

Aaj guruwaar jo tha

Hungama chaaron or tha

Har kisi pe tarakki karne ka bhaar jo tha

Main gaya uske ghar ke paas

Dekhne ki kab vo aayegi aaj

Vo aagayi thi mere dil ko raas

Par mujhe pata tha, hamara rishta nahi sweekarega samaj

Door se dekh raha tha main

Voh khadi thi apni car ke paas

Aankhen sek raha tha main

Aur vo jaa rahi thi bazaar ke paas

Main ghar legaya apne saath meri tanhaayi

Agar aana ho, to voh khud aayegi

Dheere dheere band hone lagi dil ke shehnayi

Meri zindagi ko use jaana ho, to vo khud chali jayegi

Baithe baithe ho gayi shaam

Aayi nahi vo ab tak

Intazaar mein neend ho gayi meri haram

Sone jaa raha tha main, intazaar karun main kab tak

Page 18: Pyaar Ki Ek Kahani

Jaise hi main gaya andar

Dekha use main aate hue

Kud utha mere dil ka Bandar

Thumak rahi thi uski kamar mujhe rijhaate hue

Main bahar phir se aa gaya

Chehre par mere ek unkahi anjaani muskaan leke

Lagta hai main uske dil ko bhaa gaya

Dekho aa gayi meri jaan, uske sang mera jahaan leke

Hum der raat tak baat karte rahe

Sunte sunate ek doosre ko apni baaten

Uske baad, roz hum mulakat karte rahe

Chahe garmi ho ya phir barsaaten

Aise hui humaari pehchaan

Mauholle mein mera pehla chaahne vaala mila

Achha hai ki vo yahan rehti hai, nahi hai yahan ki mehmaan

Page 19: Pyaar Ki Ek Kahani

LADKA BADA ANOKHA

Hui shuruaat ek naye rishte ki

Lagaa ki baat thi ye zindagi ki

Na hi koi kishte ki

Baat thi us ladke mein koi gazab ki

Uske saath na mauholle ka darr rehta hai

Na hi kisi ke mazhab ki

Aankhe meechke uspe karti hoon bharosa

agar voh kudne ko kahe,

toh chabutra lagta hai haveli ka jharokha

ab ke pehle nahi ki kisi ki itni fikr

itna dil ke kareeb aa gaya hai vo

ki har lavz mein rehta hai mere, uska hi zikr

uski parvah karna toh jaise hai meri fitrat

uske khayaal mujhe itne aate hain

mere liye ban gaye vo aafat

raat mein neend nahi aati

bas dhyaan uske ghar ke khaat par rehta hai

subah ko uthoon, to meri apni awaaz mujhe nahi suhaati

Page 20: Pyaar Ki Ek Kahani

vo hi hai mera aasma, voh hi hai zamee

uske saath hoon to sab kuch hai

phir nahi rehti koi kami

mere dost samajh rahe hain ke mujhe ho gaya hai pyaar

pyaar? Voh kya hota hai?

“Pyaar jaisa kuch nahi hota”, baba ne kaha tha pichli baar

Us ladke ko main apna sab kuch dene ko thi taiyaar

Vo hi mera pehla sachcha dost tha

Is mauholle mein tha vo hi mera sansaar

Man manne ko nahi manta mera, kaise karoon ezhaar

Parvah uski hi karti hoon main sada

Haan, mujhe us deewane se shaayad ho gaya hai pyaar.

Page 21: Pyaar Ki Ek Kahani

KYA HAI HAMARA BHAVISHY?

Do saal ho gaye use jaane mujhe

“mujhe tumse pyar hai” usse kahane mujhe

Kehke bhi vo kya karegi

Vo meri to nahi ho sakegi

Hum kabhi ek nahi ho sakte

Hum dono apne aap mein nahi kho sakte

Main ek talaaq vakeel, vo ek khoobsurat ladki

Aisi baat sonchke hi mere mann mein bijli kadki

Magar jaane bagair toh main nahi reh sakta

Ye anjaanapan main nahi seh sakta

poochhoonga usse main kal uske dil ki baat

bhagwaan kare ke vo mujhe nakaarde, nahi to so nahi sakoonga main kal raat

Aaj hum chale baazar

Hoke hum taiyaar

Maine liya tha thaan

Banaunga use main apni jaan

Page 22: Pyaar Ki Ek Kahani

Teen ghanton ke baad

Dekhke baazar abaad

Ab sach ko jaanna hoga

Kare vo mujhse pyaar ya nahi, ye maanna hoga

Maine dheere se use dekha

Uski aankhon ke aage, duniya ko kar diya andekha

Meri nazar ki baat vo pehchaan gayi

“Haan.” Kehke vo bhi vahan se bhaag gayi

Aisa lag raha tha ke seena phat jaayega

Samajh nahi aa raha tha ke dil ka deewanapan kab ghat jayega

Vahi khada reh gaya main haath neech latkaye

Dekh raha tha use jaate hue, kamar yahan se vahan chhalkaye

Chup chap main gaya ghar

Vahi hua jiska mujhe tha darr

Mujhe pata hai ki ishq bhaav khaaega

Mauholla humare rishte ko nahi chaahega

Khush hoon main kyun nahi ye mujhe nahi malum

Sonch raha hoon, “aaj sabse bada din hai, jaante ho na tum?”

Maayus nahi tha main, na hi tha main khush

Ek hi pal mein ban gaya, ya lut gaya mera sab kuch

Page 23: Pyaar Ki Ek Kahani

Ho raha hoga uska bhi yahi haal

Kaisa hai kismet ka ye janjaal?

Kardiya maine usse apne pyaar ka exhaar

Par aisa kyun lage hai ke lut gaya mera sansaar?

Kya sach mein jee payega humara pyaar?

Page 24: Pyaar Ki Ek Kahani

KARNA PURA YE KAAM

Phir mulakat hui agle din

Meri jaan se milne main pahuncha

Baat nahi kar rahi thi vo mujhse

Ek hi din mein bikhar gaya sansaar samucha

Bas chup chap uske saaye mein

Baitha tha mein aankhen band kiye

Vo bhi kuch nahi bol rahi thi

Main bhi baitha tha bina ghamand kiye

Chuppi main baithe the hum dono bahut der

Phir vo uthke chali gayi ghar

Main bhi sar jhukake vahan se uth gaya

Mann mein leke bhavishya ka darr

Agle din baat karne gaya main usse

Kyon vo is baat ko taal rahi thi?

Zaroori hai humein baat saaf karna

Kyon vo is jale par namak aur daal rahi thi?

Vo peeche mudkar jaane lagi

Na jaane kyun, par vo bhi bhaav khaane lagi

Page 25: Pyaar Ki Ek Kahani

Main bhaaga uske peeche

Pukaarke uska naam

Humein baat karna hai iske bare mein

Pura karna hai humein ye kaam

Maine uska haath thaama

Aur usko apne paas kheecha

“kya chaahti ho tum is rishte se?”

Maine zor se poocha

“Kya chaah sakti hoon main?” vo boli

Sach bataaun to mujhe bhi nahi tha pata

Bade pechida the haalat

Uspar chid uth rahi thi mujhko, par nahi thi koi khata

Main vahan se palatkar jaane laga

Usne mujhe dheere se roka

“Mujhe pata hai ke humare rishte ko koi nahi samajh sakta

Aur ise aage badhane se hum apne aap ko de rahe hain dhokha”

Main bola “kya tum kehna chaahte ho

ke humein ye khatm karna hoga meri jaan?”

vo dheere se gham mein muskurayi aur boli

“haan.”

Page 26: Pyaar Ki Ek Kahani

SAMET KE SAARA JAHAAN

Samaan bandh gaya tha

Ummeed ka ghada toot gaya tha

Kalki train pakadke main jaa raha hoon

Duniya se saara sampark mera choot gaya tha

Udaas hoke dil behek gaya

Kyun main ab chain se so bhi na sakoon?

Mann nahi lage hai koi bhi kaam mein

Ab toh vakalat mein bhi nahi hai koi sukoon

Kyun kiya maine kuch bhi aisa?

Mere paagalpan ki hai ye kaali kartooth

Sar phira ho gaya tha main tab

Naa samjhi ka sawaar tha mujhpe bhoot

Meri saari zindagi main yahan pada raha

Aaj teen saal baad, phaans liya hai mujhe maya ka ye jaal

Samraat tha mein akelepan ka, ab nahi reh sakta akela

Karma kar sakta hai pehelwaano ka bhi yahi haal

Page 27: Pyaar Ki Ek Kahani

Murjhaaye hue phool sa main baitha tha ghar pe

Raat ko bhi theek se so na saka

Dukh ka saaya itna mandra raha tha mere aas paas

Chaahun to bhi main theek se ro na saka

Jaag kar main gaya baahar khaat pe

Dekh raha tha sadak ki or

Dekhte dekhte aankh lagi hi thi

Achaanak aayi awaaz bilji ke kadak ki zor

Ghabra ke main chamak gaya

Boondein girne lagi barsaat ki

Chaah raha tha ke vo mujhe dikhegi par nahi thi vo vahan

Sannata tha yahan, shaanti gaayab ho gayi raat ki

Baitha raha main sonchte hue key a gaon mera ab nahi

Par vaise hi peeche se awaaz aayi, “Rahul”

Main palta dekhne ke kaun hai.

Vo khadi thi… “maaf karna, mujhse ho gayi thi bhool”

Main hairaan tha

Vo mere saamne thi roobaroo

Andar le ke gaya main use

Kya uska pyaar sachmein tha hoobahoo?

Page 28: Pyaar Ki Ek Kahani

Kahaani thi uski badi romanchak

Raat bhar humnein baat ki

Uski galat fehmi, meri galat fehmi door hui

Humnein ek naye rishte ki shuruaat ki…

Page 29: Pyaar Ki Ek Kahani

USKA RASTA CHHODU NA

Do mahine ho gaye us raat ko

Shaanti mil gayi us halaat ko

Hum bhi bhool gaye us baat ko

Ab do mahine ho gaye the us vakeel ke guptghaat ko

Tezi se badh rahi thi zindagi

Aakhir mil rahi thi us hi ki bandagi

Sir par chha gayi thi deewangi

Samajh aa gaya tha ki vahi thi meri zehnasee

Badal gaya tha mera naseeb

Phir bhi pyaar ki duniya mein main tha gareeb

Chain bas tabhi aata tha jab main tha uske kareeb

Ab to tha aata jaata har pal ajeeb

Samaj ke khilaaf ja rahe the hum

Do mahine se sabko bana rahe the hum

Ek doosre ke saath rehne ki kasmein kha rahe the hum

Zindagi ki ek khoufnaak sadak bichhaa rahe the hum

Page 30: Pyaar Ki Ek Kahani

Kya aisa karna asaan tha?

Nahi, ye yudh bada hi ghamasaan tha

Humaare is rishte mein chupa, ekta ka ek nishaan tha

Vo vaishy gharaane ki thi, main to bola bhala sa ek kisaan tha

Vakaalat maine chhod diya

Bandishon ko bhi tod diya

Meri nafrat ko maine bator diya

Jeevan ki patri ko maine mod diya

Use mile bagair din na kate

Kisi aur se mera ya pyaar na bate

Uske chehre se mera dhyaan na hate

Chaahke bhi dil ka akelapan na ghate

Shaam ko vo mujhse milne aayi

Door karne meri tanhayi

Aayi jaise uparwaale ki thi vo badhai

Uske saath toh kum lage zindagi ki khai

Koi sarhad nahi thi, gehra tha ye pyaar

Anokha tha mera yaar

Nahi thi hum dono ke beech koi deewar

Par kya rakh paayengen hum isko barkaraar?

Page 31: Pyaar Ki Ek Kahani

Sochenge hum iske bare mein kabhi aur

Humpe hai kisika bhi nahi zor

Mere chain ko le gaya tanaav ka chor

Karke badan ke hisse hisse mein shor

Is raste par hai mujhe chalna

Uske peeche peeche hai jalna

Ye kasam main todu na

Main uska rasta chhodu na

Page 32: Pyaar Ki Ek Kahani

DIL KARTA HAI

Uski nazron ki lehron mein beh jaane ka dil karta hai

Uske hoton ke sargam mein reh jaane ka dil karta hai

Jab jab uske khayaal mujhko aate hain

Tab tab use apne pyaar mein baandhke lejaane ka dil karta hai

Sitaare jab nikal aate hain raat mein, main so nahi sakta

Uske bina itna akela rehta hoon, kisi par sar rakh kar ro nahi sakta

Jab bhi tanhaayi ki chape mein aata hai dil

Uske khoobsoorti ke noor mein dehjaane ka dil karta hai

Sehta hoon main gaaliyaan sirf uske liye

Nahi hai fikr mujhe apne liye

Bas itna usse chaahta hoon main

Mujhse hai use pyaar, yeh uska keh jaane ka dil karta hai

Uske ghar main aaunga

Use main sabke saamne lekar jaaunga

Papaji se uska haath maangne aaunga

Use apna banakar le jaane ka dil karta hai

Page 33: Pyaar Ki Ek Kahani

Aaj yeh baat tay hone ko hai

Dono dilon ke eek hone ka samay hone ko hai

Baat pakki karoonga main use bulake

Usko dulhan jaise sajaane ka dil karta hai

Rooh mein mere uske hi ishq ka junoon hai

Mere sargam, uske raag, dono ka ek anokha suroor hai

Jab bhi main uske ghar ke paas jaata hoon

Use doli mein bithake use chura lejane ka dil karta hai

Page 34: Pyaar Ki Ek Kahani

BAAT SAAF

Kahani badhti gayi aage

Samay beetta gaya

Bandhna tha ab rishte ki dor

Mere andar ka pyaar cheekhta gaya

Usne apne papa se ki baat

Aur agle din mere paas aayi

Seedhe chalke, rote hue

Na vo lachak rahi thi, na hi vo balkhai

“kya hua?” main uthke bola

Vo chillai “tumne mujhe diya hai dhokha!”

Main achambhe mein tha

Vo palatke jaane lagi aur maine use roka

“batao to sahi ki maine kya kiya?”

Mehenga pad gaya akhiyon ka jharokha

Vo palatke boli, “tumne jhooth bolkar mera dil jeeta”

Mujhe kuch nahi aaya samajh

“kaunsa jhooth? Maine to tumse aaj tak sirf sach bola hai”

Vo boli “tum soch kar bolo, vaise bhi apne alava tumhe nahi kisi ki garaj”

Page 35: Pyaar Ki Ek Kahani

Vo chali gayi rote hue ghar

Aur main sochta reh gaya

Kya kaha tha maine aisa

Jisse itna gussa hoke yaar mera be gaya?

Phir achanak jaise koi bijli kadki

Mujhe yaad aayi ek baat

Jhooth maine usse kaha tha

Jhoothi thi humaari pehli mulakaat!

Jab main usse pehli baar mila tha

Main sunayi thi use ek kahani

Usko kaha tha maine ki vo jhoothi kahani thi

Par thi vo asal mein mere ateet ki sachchi zubani

Jhooth ke bal par maine uska dil jeeta hai

Jayaz hai uski narazgi

Chala main uthke uske ghar usko manane

Baat batani thi usko raaz ki

Jaise hi main pahucha

Maine dekha ki vo kar rahi thi mera intazaar

Itna gehra tha use mujhpar vishwaaas

Main bhi maafi mangne ko ho gaya taiyyar

Page 36: Pyaar Ki Ek Kahani

Maine kaha, “mujhe aisa nahi karna chahiye tha

Kardo please mujhe maaf”

“nahi chahiye tumhare maafi ki maang

Kyon kiya aisa, ye baat kardo saaf”

“Tumhare baba ki vajah se

Tumse nahi keh saka puri baat

Tum nayi aayi thi is mauholle mein

Naye the tumhare liye haalat

Tumse sirf ek baar baat karna tha mujhe

Toh suna di thodi si kahani us raat

Pata tha ki ek din tumhare baba ko mere bare mein malum padega

Aur darr tha ki chhoot jayega tumhara saath”

Vo boli, “vakeelon ki tarah hi swarthy ho tum

Mujhe hona chahiye tha pata

Ab sach batakar manao mujhe

Ki hai tumne bahut badi khata”

Toh maine aarambh ki punah meri kahani

Sach keh kar thi use jo manani…

Page 37: Pyaar Ki Ek Kahani

KAHANIYAAN – 2

“maa baba ke baad, toot sa gaya tha main

Saare jahan se chhoot sa gaya tha main

Jaanne nikla main ab kyat ha aakhir yeh sach

Jise bataate bataate baba bhi nahi sake bach

“padhi baba ki maine dairy

Bhari hui thi usme shairi

Ek jagah se doosri, dhoondta gaya surag

Lekin nahi dikh raha tha sach ka ek bhi chiraag

“dhoondte dhoondte aa pahuncha main yahan

Pata chala ki yahin hain vo saare jawaab jinke liye main dhoond raha tha saara jahaan

Mauholle ke kone mein tha ek makaan

Jiska maalik tha fauj mein ek jawaan

“makaan toh tha us vaqt khaali

Rehta tha vahan sirf ek vafadaar maali

Kuch dinon ke baad pata chala ki us makaan ka malik mere baba ka mitr hai

Thodi baatcheet ke baad saaf hota gaya ye dhundla sa chitr hai

“baba the mere ek police ufser

Jinke mitr ke saath unhone atankvaad mitane ki lee thi shapath pasraspar

Shaadi ke baad unhe bulaya gaya kashmir

Hum sabki jaane uda le gaya ye judaai ka teer

Page 38: Pyaar Ki Ek Kahani

“lautke aane ki nahi thi baba ki ummeed

Kyonki maut ko de rahe the vo dil se khushaamdeed

Kashmir se pachchees saal baad magar vo aaye

Unse ajnaan, maut ka nyauta saath laaye

“aatankiyon ko pakadna unka kaam tha

Aur ek bhi galati karna haram tha

Par baba ne ki galati is baar

Ve aaye vaapas lautke

Aatankiyon ne unhe dhoondkar diya unko maar

“is beech us mitr se sarkaar ne liya isteefa

Apne dost ko bachane ke chakkar mein

usne aatankiyo ko sheher mein aane ka diya nyota

dost bhi maara gaya, aur kaptaan banne ka uska iraada bhi

rehta hai vo isi mauholle ke us hi makaan mein

aur naam hai uska Faraada Veer

“tumhare baba hi the mere baba ke vo veer mitr

Jinhe saari fauj maanti hai dalidr

Yahi kaaran hai ki ve karte hain mujhse nafrat

Shaayad yahi kaaran hai ke unhone ki tumhare saath kal vaali harkat

Page 39: Pyaar Ki Ek Kahani

“yahi kaaran hai ke hum do kabhi ek nahi ho sakte

Tumhare baba mere saath ek chat ke neeche rehna to kya, nahi so sakte

Ab jao, koi aaya hai tumhe le jaane

Mere saath dekh liya toh hum dono ki jayengin jaanein…”

Page 40: Pyaar Ki Ek Kahani

PYAAR HAI EK KHEL

Khaamosh sham thi

Main bhi khamosh tha

Is chuppi mein kuch samajh nahi aaya

Sab kuch madhosh tha

Vo chalti hui aayi mere paas

Aur boli “tumne jo kahani sunaayi kal

Vo sach hai main janti hoon”

Mera ladkhadata dil achanak gaya sambhal

Main halke se muskuraya

“ek baar jhooth bolkar tumhe khoya hai

Dobara thodi na tumhara dil dukhaunga?

Tumhe nahi pata, kale ek raat mein kitna mera dil roya hai

Usne mera haath dheere se thaama

Aur “par hona hoga humko juda

Mere baba ki yahi hai maang”

Kya aisa sach mein ho raha tha, khuda?

Sunkar aa gaya main achambhe mein

Zindagi mein pehli baar ehsaas hua darr ka

Maine use roka, par vo rote hue bhaagi

Maine sochliya, ki us ladki ko jaane na dega ye ladka

Page 41: Pyaar Ki Ek Kahani

Main uske peeche dauda

Poochte hue ki baba ne kyon inkaar kiya

Vo boli, “kyonki unke ghaav ab tak bhare nahi”

Maine poocha, “toh phir tumne kyon ikraar kiya?!”

Vo rote hue boli, “tum ghar laut jao

Kaam nahi hai tumhara yahan!”

“abhi jaa raha hoon, kal lautke aaunga,

Is ishq mein kabool nahi hai, sirf tumhara hi bayaan!”

Main chala gaya ghar palatkar

Pehli baar hua tha asli vaala pyaar

Magar kudrat ko meri khushi bardaasht nahi

Karaadi usne meri jaan se meri takraar

Bahut taala hai humne is shaadi ko

Ab nahi sakta main ye jhel

Ya to shaadi karoonga, ya use chhod dunga

Pyaar toh lag raha hai sirf ek khel

Page 42: Pyaar Ki Ek Kahani

USKE GHAR

Agle din darr darr ke uske ghar gaya

Kaise samna karoon Faraada Veer ka?

Jaanta hoon ki insaan hai vo,

Koi visfot hone vale bum nahi

Saans lekar ghanti bajaayi

Andar kadam rakha ghar ke

Sonch raha tha apnea p mein, manobal badhane,

“tub hi shehenshah hai, tu kisi se kum nahi”

Ameeron ka ghar tha, alishaan makaan

Faraada Veer aaye mujhse milne

Vo bole, “tum jaante ho tum mera mann nahi badal sakte

Tumme mujhe manane ka dum nahi”

Main muskurake bola, “main yahan aaya hoon

Aapko manane nahi, aapko dhamkane

Uthake le jaaunga Pari ko

Pakki baat hai, koi jhoothi kasam nahi”

Vo has pade, “mazaak achha hai

Tum bologe aur hum maan lenge

Hum Faraada Veer hain, koi vakeel nahi

Darengein tumse hum nahi”

Page 43: Pyaar Ki Ek Kahani

Main darwaaze ki or badhte hue bola,

“main toh aaya tha sifr chetavni dene

Jo aapko maine de di hai

Aap nahi dare, us baat ka koi gham nahi”

Main nikla unke ghar se, aur Pari mere peeche aayi

Vo mujhko rok kar, mujhpe chillayi

“dhamkee kyon de baba ko?!

Ye shaadi karne ka koi dhung nahi!”

“baat sunn meri sahi se

Pyaar kiya hai tujhse maine

Agar uske liye dushman banane pade

Toh banaloonga, hum kisi ke yaarum nahi”

“unki marzi ke bina main shaadi nahi karungi

Pyaar tumse maine bhi kiya hai

Aur shaadi ke liye tumhe baba ko manana hoga

Sharm karo, baba hain vo mere, tumhare dushman nahi”

“talaaq karwaaya hoon zindagi bhar

Mujhe manana nahi aata

Waqt chahiye uske liye, nazakat chahiye charitr mein

Mujhme vo sharam nahi”

Page 44: Pyaar Ki Ek Kahani

Vo bhadki “chalte ban tu phir na lautna!

Mooh main tera nahi dekh sakti

Chala jaa kahin door tu

Paththar jaisa bankar yahan jum nahi!”

Yeh bolkar vo chali gayi,

Yakeen nahi hua apne kaanon par

Dung tha main vahan khade khade

Kya Pari ab mere sung nahi?

Page 45: Pyaar Ki Ek Kahani

CHALA JAYEGA MERA YAAR

Pyaar karti hoon main usse

Magar aise shaadi nahi kar sakti

Baba ne mujhe itna pyaar diya hai

Unko tod kar main andar hi andar nahi mar sakti

Jaane ke liye usko maine gusse main kaha tha

Andar se toh tooti hoon saari ki saari main

Mohobbat ke saath-saath mera bhi maan hai

Nahi koi naazuk si bechaari main

Thand thodi padne par, baat karni hogi aaram se

Abhi toh bahut tanaav hai

Baba ko is sadme se bahar aane ko samay lagega

Bahut gehra yeh ghaav hai

Deewana hai vo, use samajh nahi

Halaat gehre hain, vo nadan hai

Phir bhi hua hai mujhe usse pyaar

Aakhir dil se vo ek achha insaan hai

Dobara lautke vo is ghar mein na aaye

Is baat ka rakhna hoga mujhe poora dhyaan

Kyunki baba use maarne ko aadmi bhejdenge

Vo use chhodenge nahi, hain ve bahut bade haiwaan

Page 46: Pyaar Ki Ek Kahani

Agle din gayi main usse baat karne

Vo bandh raha tha apna gharbaar

Usne meri taraf ek baar bhi nahi dekha

Mauholla chhodne ko tha vo taiyyaar

Main boli, “main tumse shaadi karna chaahti hoon,

Par abhi iska sahi vaqt nahi”

Vo muskuraya, “Faraada kabhi nahi maanengein”

Maine usko samjhaya, “vo itne bhi sakht nahi”

Vo bola, “mere jaane ke baad

Mujhe maarne ka aadesh kiya

Mujhme thoda toh dimaag hai,

Unki sab kriyaaon ka maine samavesh kiya”

Main usse aur jhooth nahi keh sakti thi

“haan vo tumhe maarna chaahte hain zaroor

Par mere baat karne ke baad shaayad nahi maarengein

Kyonki vo samajhte hain ki humaari shaadi hi hai mera fitoor”

Usne mujhe apne saamne se hataate hue kaha,

“kal main chala jaaunga tumhari zindagi se

Agar Veerji mane, toh tumhare ghar aane par mujhe keh dena

Nahi toh chhutkara tumhe miljayega meri bandage se”

Page 47: Pyaar Ki Ek Kahani

Vo apni jagah theek tha,

kitna karega vo intezaar?

Mujhe apne baba ko manana hoga ek din mein

Nahi toh humesha ke liye chala jayega mera yaar

Page 48: Pyaar Ki Ek Kahani

SACHCHE PYAAR KI KAHANI

Main gidgida rahi thi

Par baba nahi maane

Humaara pyaar sachcha hai,

Uss baat ko nahi maane

Vo aayega tab vo use maardenge

Main aisa hone nahi de sakti

Uska khoon mere sar hoga

Main use humesha ke liye sone nahi de sakti

Main kamre mein baithe ro rahi thi

Tabhi neeche se kisi ne mera naam pukara

Vo aa gaya tha mujhse door jaane ke liye

Kaisi kismat mili hai isko he bhagwaan, bechara

Main neeche daudi usse milne

Khada tha vo vahan, bandhe apna samaan

Mujhe dekhte hi usne muskuraate hue kaha,

“lagta hai tum nahi dila sakti ho mujhe jeevandaan”

Main use marne nahi de sakti thi

Maine badi koshish ki

“ruk jao tum, main baba se baat phir karoongi”

Vo bola, “ab ghadi nahi hai ugr hone ke kashish ki”

Page 49: Pyaar Ki Ek Kahani

Utne mein hi baba ke log bandookon ke saath bahar aaye

Vo muskuraya, “Pari, mujhe ab yahan se chalna hoga”

Use jaane dena hoga mujhe, nahi toh vo marjayega

Zindagi bhar is pyaar ko khone ki aag mein mujhe jalna hoga

Utne mein baba aaye baahar, aur unhone kaha,

“bach kar toh tum yahan se jaa nahi sakte

Badla toh mera hoga poora

Kyonki tum mere in aadmiyon ko haraa nahi sakte”

Mere mann mein ek jhatka laga

Main palatkar baba se boli,

“shaadi nahi karvaana hai toh mat karao

Magar use maarna hai, toh mujhpar chalao goli!”

Usne mujhe halke se dhakla aur mere baba se kaha,

“main jaa raha hoon, maarna ho toh maar dijiye

Mera pyaar sachcha hai aur main marne se nahi darta

Peet ke peechhe se maut ke ghaat utaar dijiye!”

Usne mujhse kuch kaan mein kaha

Aur peeche mudkar jaane laga

Baba uski himmat dekhkar dung the

Lagta hai ki uska aashiqana, Faraada Veer ki goliyon ko darane laga

Page 50: Pyaar Ki Ek Kahani

Main ro rahi thi vahin khadi khadi

Uske aakhri shabd mann mein sahej rahi thi

Dikh raha tha uska muskurata chehra sham ke aasmaan mein

Uski jaati hui rooh ko main aakhri baar dekh rahi thi

Kehke gaya vo sachcha aashiq,

“tere aur mere sachche hain, rishtey yeh maasoom se

Dauhrayengein milan ki yeh kahani aur ek baar agle janam mein

Aur milengen, toh zara Dhoom se!”

Page 51: Pyaar Ki Ek Kahani

Love is not defined by your past or future. Love is felt in the present. Don’t let the past or future destroy

you love. Ever.