Moat o Hayat

6
1 Kya Masumeen AS ko Rozi denay ka Ahal Samajhna Ghuloo hai? Jawab: Afsos hai k Hamaray Masumeen AS Tassawur e Toheed pe Lambay Lambay Khutbay de kar aur Taweel Manaaziray kr k chalay gaey Jo k Aaj bhi Shekh Suduq ki Mustanad kitabon men Mojud hen aur Hamaara Chota sa Tassawur e Toheed Wahee'n khara hai. Masum AS k Manaa krnay k Bawajud Hum ne Allah ko itna Chota Samajh lia k har koi uskay Baraabar aa Jaata hai. Masumeen AS ne bhi is par Afsos kia hai. 2 Imam Ali Raza AS ne Frmaya: Aey Parwardigaar Loge Tujh se Jaahil Rahay aur Tairay Liay Andaazay Muqarar kiay aur Ghalat Andaazon se Tairi Tauseef ki. Khudaya Mein Inn se Baizaar hoon Jinhon ne Tashbeeh k Zariyay se Tairi Justajoo ki Jb k koi Cheez Tairi Misaal Nahi Rakhti. In Logon pr Jo Tairi Neamaat hen Wohi Bazaahir Tairay Liay in ki Rahnumaa hen. In Logon ne Tujhay Tairi Makhlooq k Barabar Tahraaya: Ref Ayun e Akhbar e Raza Urdu Shekh Suduq Sfha 198 3 Imam k Aakhri Jumlon pr ghor kren. Inn Logon ne Milnay Waali Neamaton ko Raahnuma Banaatay huay Allah ko Uss ki Makhlooq k Barabar Samajh Lia. Dobara Ghore karain Makhlooq ko Allah k Barabar Nahi Samjha Balkay Allah ko Makhlooq k Barabar Samjha. Kis se Barabar Samjha? Milnay Waali Neamaton se ! Ab Nehjul Balagha Jisay Ayatullah Nasir Makarim Shirazi ne Apni kitab Hamaray Aqaaid men Shia Mazhab ki Mustanad Tareen kitab kaha hai se Imam ka Qoal paish hai 4 Hazrat Ali AS ne farmaya: Hum Wo hen Jo Baraah e Raast Allah se Neamatain Le kar Parwaan Char'htay hen aur Doosray Hamaaray Ahsaan Parwarda hen: Ref Nehjulbalagha maktoob 28>>Ye khat Hazrat Ali AS ne Maaviya k Naam Likha hai Jis men Ahlebait AS k Ausaaf par Fakhar kia gaya hai. Ab Maula k Jumlon par Ghore karain aur Sochain Agar sab Logon ko hi Neamatain Allah se Baraah e Raast

description

Shia adaid.

Transcript of Moat o Hayat

1Kya Masumeen AS ko Rozi denay ka Ahal Samajhna Ghuloo hai?Jawab: Afsos hai k Hamaray Masumeen AS Tassawur e Toheed pe Lambay Lambay Khutbay de kar aur Taweel Manaaziray kr k chalay gaey Jo k Aaj bhi Shekh Suduq ki Mustanad kitabon men Mojud hen aur Hamaara Chota sa Tassawur e Toheed Wahee'n khara hai. Masum AS k Manaa krnay k Bawajud Hum ne Allah ko itna Chota Samajh lia k har koi uskay Baraabar aa Jaata hai. Masumeen AS ne bhi is par Afsos kia hai.2Imam Ali Raza AS ne Frmaya: Aey Parwardigaar Loge Tujh se Jaahil Rahay aur Tairay Liay Andaazay Muqarar kiay aur Ghalat Andaazon se Tairi Tauseef ki. Khudaya Mein Inn se Baizaar hoon Jinhon ne Tashbeeh k Zariyay se Tairi Justajoo ki Jb k koi Cheez Tairi Misaal Nahi Rakhti. In Logon pr Jo Tairi Neamaat hen Wohi Bazaahir Tairay Liay in ki Rahnumaa hen. In Logon ne Tujhay Tairi Makhlooq k Barabar Tahraaya: Ref Ayun e Akhbar e Raza Urdu Shekh Suduq Sfha 1983Imam k Aakhri Jumlon pr ghor kren. Inn Logon ne Milnay Waali Neamaton ko Raahnuma Banaatay huay Allah ko Uss ki Makhlooq k Barabar Samajh Lia. Dobara Ghore karain Makhlooq ko Allah k Barabar Nahi Samjha Balkay Allah ko Makhlooq k Barabar Samjha. Kis se Barabar Samjha? Milnay Waali Neamaton se ! Ab Nehjul Balagha Jisay Ayatullah Nasir Makarim Shirazi ne Apni kitab Hamaray Aqaaid men Shia Mazhab ki Mustanad Tareen kitab kaha hai se Imam ka Qoal paish hai4Hazrat Ali AS ne farmaya: Hum Wo hen Jo Baraah e Raast Allah se Neamatain Le kar Parwaan Char'htay hen aur Doosray Hamaaray Ahsaan Parwarda hen: Ref Nehjulbalagha maktoob 28>>Ye khat Hazrat Ali AS ne Maaviya k Naam Likha hai Jis men Ahlebait AS k Ausaaf par Fakhar kia gaya hai. Ab Maula k Jumlon par Ghore karain aur Sochain Agar sab Logon ko hi Neamatain Allah se Baraah e Raast Mil Rahi hen to Hazrat Ali AS is Baat par Fakhar kyun kar Rahay hen . .

5sab ki taraah Unhain bhi Baraah e Raast Milnay pe Fazilat kya hai? Yehi Baat hai to Doosray Un k Ahsan Parwarda kaisay ho gaey? Imam k Qoal se Sabit hai k Sirf Masumeen AS Allah se Baraah e Raast Neamatain Laitay hen aur Baaqi Allah se Neamatain Wasool krnay men Masumeen AS k Ahsan Parwarda hen Yani Allah unhen Inhi k Zariyay se Neamatain Deta hai ALQURAN: Imaan Waalo Allah say daro aur Uss tak Puhanchnay ka Waseela Talaash karo: Ref Sura Maeda Ayat 356Allah ne har Cheez ka Aik Nizaam banaya. Us ki Marzi se har Aik k Rizq ka Faisla hota hai phr Oolil Amr Farishton samait Uss ki Mkhluq pr Uss ki hujjat hen Humain un Farishton se koi bhi Cheez Milti hai Maslan Moat Hzrt Izraaeel AS se ya Rizq Hazrat Mikaaeel AS se ALQURAN: "Tumhein Moat Daita hai Moat ka Farishta Jo Tum par Muqarar hai": Ref Sura Sajda Ayat 11>>"Aur Wohi Khuda Ghalib hai Apnay Bandon Par Nighaibaan Bhaijta hai": Ref Sura Inaam Ayat 617Agr Hum bhi Hzrt Ali AS ki tarah, Allah se Baraah e Raast Rizq Lenay ka Daawa kren to Hum Uss ki Makhlooq ko hi Allah Samajh Rahay hen Jo Hamain Baraah e Raast De Rahay hen. Imam k Qoal k Mutabiq Hum Milnay Waali Neamaton ko Raahnuma Bana kar Allah ko Uss ki Makhlooq k Baraabar Le aaey. Imam Ali Raza AS ne Farmaya: Khuda ne Baaz Logon ko Apnay Asmaa e Husna se Mosoom kar k Unhen Mohtaram Banaaya: Ref Ayun e Akhbar e Raza Urdu Shekh Suduq Jild1 Sfha 2558Khud Daikhain Asmaa e Husna men Razaaq bhi Shamil hai ALQURAN "WALLAH O KHAIR UR RAAZIQEEN": Ref Sura Juma Ayat 11>> Ye konsay Raaziqeen hen Jin men Allah sab se Behtar hai aur kya Ye Na Maan kar Hum Ayat ko Jhutla Nahi Rahay. Beshak har Cheez Pehlay Khuda se Milti hai Baad men Aagay Jaati hai. Wo Na daita, to Na Rizq hota Na Taqseem hota. Is Liay Allah se hat kr Sirf Masumeen AS ko Raaziq Maan'na sahi Nahi aur Rizq denay men bhi Wo Allah k Mohtaaj hen9Isi liye to Hazoor SAWW ne Frmaya: Hmen Khuda ki Makhlooq kehnay k Baad Hmari Jo Fazilat Bayaan krna Chaaho Bayaan karo Tum Hmaari Azmat tk Nahi puhanch sktay: Ref Alqatra Ayatullah Ahmad Mustnbaat Trjuma Mnaqibe Ahlebait Hisa 1 Sfha 68>>Jab Hm ne Unhain Allah ki Makhlooq Maan Lya to Makhlooq ko har Amal men khaliq ka Mohtaaj hona Parega Chahay Wo kitni hi Baa Kamaal kyun Na ho or Makhlooq k Kamaal ki Taareef Asal men Uss k Khaliq ki Taareef hi hogi . .10. . Jis ne Itni Baa Kamaal Makhlooq Paida ki. Issi Mozu pr Inshallah Masumeen AS k Samjhaaey huay Tassawur e Toheed ko Shekh Suduq ki kitab se dekhain gay>>Imam Sadiq AS ne Frmaya: Agar Hamain Ijaazat hoti k Jo Muqaam Hamaara Khuda k Nazdeek hai Wo Logon ko Bata sakain to Tum men issey Tahammul aur Qabool karney ki Taaqat Na hoti: Ref ALQATRATO MIN BIHAAR E MANAQIB E ALNABI WAL ITRAT Ayatullah Ahmad Mustanbaat Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Sfha 701Murdon ko zinda krna Hisa 2>>Quran men 2 Hastiyon ne Allah se Poocha k Wo Marnay k Baad kaisay zinda karaiga. 1 ko Allah ne Zinda krnay ka Ikhtiyaar dya doosray ko nhi dya. ALQURAN: "Aik Shaks us Basti say Guzra Jo Ulti pari thi. Wo kehnay Laga Maut k Baad Khuda isay kis tarah Zinda kray ga to Khuda ne Ussay Maar dya 100 Saal k Liye phr usay uthaya,Poocha kitni dair hui, kehney Laga 1 Din ya kuch Waqt, Frmaya tu 100 Saal tk soya: Ref Sura Baqra Ayat 2592Yehi Sawaal Jab Hzrt Ibraheem AS ne kya to Allah ne Unhen Aik Ikhtiyaar dya. ALQURAN:"Ibrahim ne kaha Aey Meray Parwardigaar! Mujhay dikha Tu Murdon ko kis tarah Zinda karay ga? (Allah ne) Farmaya kya Tumhen Imaan Nahi? Jawaab dya Imaan to hai Lekin Meray Dil ko Taskeen hojayegi Farmaya Chaar Parinday Lo Unn k Tuk'ray kr do aur har Pahaa'r par inn ka Aik Aik Tukr'a Rakh do Phr Unhen Pukaaro Tumharay Paas Dortay huye aa Jaaen gay: Ref Sura Baqra Ayat 2603Yahan Sura Baqra Ayat 259 ki taraah Allah ne Hzrt Ibraheem AS ko Maara nahi Balkay Unhen Ye Ikhtiyaar diya k Unn k Bulaanay pr Alag Alag Pahaaron pr paray Tukr'on men Taqseem Parinday Apni Takhleeq ki Tarteeb men aa kr Jur'ain aur Zinda ho Jaaen>>Imam Jaffar Sadiq AS ne Farmaya: Ibraheem Hazrat Ali k Shiyon main se hen: Ref Alqatrato Min Bihaar-e-Manaqib-e-Alnabi Wal Itrat Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira Trjuma Manaqibe-Ahlebait Hisa 1 Sfha 534Hzrt Ali AS Ka Shia Bulaaey to Tukron men Taqseem Murda Jism Apni Takhleeq ki Tarteeb men Wapis aa kr Zinda ho Jaaey aur Mazharul Ajaaib Ali Ibn e Abi Talib AS Ya Aema AS k Iss Ikhtiyaar ko Ghuloo Samjha Jaaey to Ye kitni Bari Bewaqoofi hai. Quraan ki 2 Ayaat Aik doosray se Ikhtilaaf Nahi Rakhteen>>ALQURAN: Jis (Rab nay) Tujhay Paida kya Phr Theek Thaak kya phr (durust) Baraabar Banaaya. Jis soorat mein Chaha Tujhay Jor dya: Ref Sura Infitaar Ayaat 6-85Allah Bata Raha hai k Wo hi Apni Marzi ki Soorat men Jor'ta hai Lekin Sura Baqra Ayat 260 men to Hzrt Ibraheem AS k Bulaanay pr Parinday Apni Asli Soorat men Wapis aa kr Zinda ho Rahay hen to phr wohi baat k Hazrat Ibraheem AS k Bulaanay pr Parindon ka Tarteeb e Takhleeq men Jur'na aur Zinda hona Asal men Allah ka Jor'na aur Zinda krna hi hai. Ab Quran se Saamri Jaadoogar ka Bani Israaeel k zaiwaraat se Gaaey ka Mujasma bananay ka Waaqiyaa paish hai.6ALQURAN: Phir Uss (Saamri) ne Logon k Liye Aik Bachray ka Mujasma Nikaalaa Jo Gaaey ki Awaaz men Bolta tha: Ref Sura Taaha Ayat 88>>Gaaey k Mujasmay se Zinda Gaaey ki awaaz kaisay Nikli>>ALQURAN: Musa ney Poocha Saamri Taira kiya Maajiraa hai. Uss ney Jawaab diya k Mein ne Wo Dekha Jo Logon ne Nahi Dekha. Mein ne Farishtay k Paaon k Nishaan say Aik Muthi Khaak Bhar Li aur Ussay Iss Mujasmay men daal diya: Ref Sura Taaha Ayaat 95,967Ghore Karain k Farishtay k Qadmon k Nishanaat ki Mitti men Allah ne itna Kamaal Rakha hai k Aik Mushrik ne Ussay Jab Mujasmay men daala to uss se Zinda Gaaey ki Awaaz Nikalnay Lagi to Uss Farishtay se kaheen Afzal Masumeen AS k Paaon ki Mitti ki kya Barkat hogi aur khud Masumeen AS k kya kya Iktiyaaraat o Kamaalaat hongay Aqal us tak Nahi Puhanch Sakti aur Aisi hastiyon ki Zara si Fazeelat ko Ghuloo kehna Yaqeenan Inn ki Shaan men Gustaakhi hai.8Maarna bhi Allah ka kaam hai lekin Quran men hai>>Tumhein Moat Daita hai Moat ka Farishta Jo Tum par Muqarar hai: Ref Sura Sajda Ayat 11>>to kya Hzrt Izraeel AS Khuda hogaey. Nahi kyun k Allah ne Unhen Ye Ikhtiyaar dia hai k wo Moat de Saken to isi Fazilat se Masumeen AS khuda k Baraabar kaisay aa gaey. Agr Hum Masumeen AS ko kisi Farishtay Ya Nabi se kam Ikhtiyaar waala Samjhain to Hum Muqassir ban Jaaen gay Jo Masumeen AS k Aqwaal k mutabiq Kaafir hai9Murday Zinda krnay ki Taaqat to Quran men bhi hai Magar har koi wo Taaqat Istemaal Nahi kr sakta>>ALQURAN: Agr koi aisa Quran ho Jis se Pahaaron ko Apni Jaga se Chalaaya Ja Sakay Ya Zameen k Faaslay kam ho Jaaen ya Murdon se Kalaam kia Ja sakay to Wo Yehi Quran hai: Ref Sura Raad Ayat 31 (Tarjuma Zeeshan Haider Jawadi)>>Hum aur Aap Quran se Murday Zinda Nahi kr saktay. Is ki Aisi Taaweel ko kon Jaanta hai Jis se Ye Sab kaam ho sakain Quran ne Bataaya .10ALQURAN:Is (Quran) ki Taaweel ko koi Nahi Janta Siwaey Allah aur Raasikhuna Fil ILm k: Ref Sura Aal-e-Imran>>Hzrt Ali AS ne Frmaya: Wo Loge kahan hen Jo Hmarey ilawa Raasikhuna Fil ilm honey ka dawa krtey hen. Wo Hum pr Jhut Baktey aur Ziadti krtey hen:Ref Sirf Aik Raasta Sfha 34 Sanad Yafta Ayatullah Syed Ali Naqi>>Yaani Allah k ilawa sirf Raasikhuna Fil ILm hen Jo Quran se Pahaar hila Sktay hen, Faaslay Samait saktay hen Ya Murday Zinda kr Sktay hen