Love is a waste of time (hindi) story by- ajit sahoo

52
Story By:- Ajit Sahoo

Transcript of Love is a waste of time (hindi) story by- ajit sahoo

Page 1: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Story By:- Ajit Sahoo

Page 2: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

“This is my 1st ever story, actually ye mera ek dream hai, ek writer banne ka, aur actually me Chetan Bhagat se inspire hua hun. Jab mene 2states dekha tha theatures me 18th April ko, usi din hi mene soch liya tha ke me bhi ek writer banunga, wo date mere life ka bahut khas date he. Par kabhi socha nahi tha itne jaldi ye kaam start karunga, socha tha pehle me bhi bahut sara paisa kamaunga phir ek writer banunga, par zindagi kab konsa mod pe le jaye kya pata. Mere soch jaise mujhe dhakka de rahe hain ab, shayad yahi sahi time he kuch apne tarike se likhne ka… ”

So hope you all like this story…

Page 3: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Love is a waste of time, ye baat shayad hum sab jante honge. Fir

bhi hum sab apna time waste karna chahte hain, kyun ki ye ek aisa

anokha jazbaat hai jiske aur hum na chahte hue bhi khinche chale jate

hain, Ye itni dilkash cheez hai jiske karib jaate hi humare dimag ke

sare soch apna pata bhul jati hain, Ye toh wo laddu hai jisne khaya wo

bhi pachtaya aur jisne na khaya usne bhi pachtaya…

Kehte hai jodiyan upar bhagbaan likh ke bhejte hai, aur hum to

sirf uske kirdaar ko nibhate hain. Aur jab humara kirdar khatam ho

jata he to humari story bhi wahin khatam ho jati hai.

Humari zindagi mein aisi kain suni ansuni kahaniyaan hai. Har

story main ek hero hota he, aur ek heroin, aur ek villan bhi, to

oviously is story me bhi hein. Ye ek pyar ki kahaani hai, “Pyar”, Jo

kabhi bhi kisi ko bhi kisi se bhi ho sakta he, Par har kahani ka the end

happy nahi hota, kyun ke real kahaniyon ko rab likhta hai aur unke

director to wahi Bhagbaan hote he.

Is kahani ka hero hai Chandra aur heroin he Moon..

Page 4: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Ye kahani suru hoti hai dono ke Engineering padhne ke time se,

Chandra aur Moon, dono hi ek college me padhte the.

Hum mein se kain logon ne pyar kiya hoga, Ek anjaan rishtey se

pyar tak safar te karne ke liye hum aksar bich mein dosti ke sahara

lete hain.. So Friendship ke bagair kanhi na kanhi pyar adhoora hai.

Fir dono ke bich friendship hui, fir…..

“ Uske aage ki story aapko khud Chandra hi batayega…”

Chandra:-

Main Chandra hun, main West Bengal ke ek chote se town se hun.

Main bhi unhi ladko main se tha jo pyar sabd ka Mazak udata

tha,mujhe lagta tha iss jhuti duniyaan mein “Love is only the waste of

time”, Shayad maine kabhi mehsoos nahi kiya tha uss leher ko, par

jab moon ko pehli baar dekha to bina kuch soche hi ek toofan sa utha

dil main, wo sare soch jo pyar ke liye the mere man mein, jaise ek pal

main badal gaye, uski aankhon mein kuch tha aisa jo ek pal me mera

dil uska hogaya..

Page 5: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Main pehli bar moon ko college ke lab pe dekha, class khatam hone

ke baad jaane ke time moon mujhe boli ‘side please’. Usne mujhe

dekha hi nahi thik se aur wo mere aankhon se ojhal hone tak main

usko wanhi khada hua dekhta raha, Ye tha mera uske sath pehla

mulaqat.

Uss pehli mulakat me hi mujhe moon pasand aa gayi thi, Main usko

chor ke kuch bhi soch nahi pa raha tha, ek ajeeb sa pagalpan Chaya

hua tha, ‘Wo kitni khoobsurat hai’ main bas yahi soch raha tha…

Phir ek din tution me maine moon ko dekha, phir main apne ek

friend ko bola ki Moon mujhe bohot achi lagti hai, ‘usse pataunga’.

Kuch din baad mujhe pata chala ki Moon ko bahut ladke line maar

rahe hen. Man hi man main pyar kar lena aasan hai lekin use anjam

dena utna hi mushkil, competition tough tha.

Phir exam ke baad pehli baar hum dono ke bich baat hui, Moon

tution ke baad boli ‘hii’..

Aisa lag raha tha banzar zameen pe ek arshe baad kanhi phool khila

ho, Lekin ye ek ummid ki kiran thi mere liye,

Muskura ke mainebhi bola, ‘hiii’..

Moon boli, ‘tumhare paas kuch notes hain kya ?’

Page 6: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Main bola, ‘haan he..aur kuch note sir dene wale hen..’

Wo boli, ‘apna number de sakte ho?, note mile to dena’

Phir maine usse apna number diya.

Phir kuch din baad raat ko achanak ek sms aaya note ke liye, jisko

dekh ke khushi se nach ne laga, aur main reply sms bheja aur hum

chatting b karne lage uske baad.

Hum dono ka same group tha, to Moon college me uske paas mere

liye bhi ek jagah rakh deti thi.

Mujhe lag raha tha ke uski sayed kisi aur ke sath koi setting he, par

jab baat chit badhi to maine usse ek baar uss bare main pucha, to wo

boli ki wesa kuch nahi he.

Aise hi kuch din chalta raha to mere doston ne mujhe chidana suru

kar diye, toh mera bhi feelings badhne laga.

Ye dost logo ka hath pyar main bohot jyada hota hai, kabhi pyar na

hoke bhi inka asar aisa hota hai ki pyar ho jata hai, inka bas chale toh

banzar zameen pe bhi ghas ugwa le humse.

Page 7: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Dhire dhire mera feelings aur jyada badhne laga, aur main bas

mauka dekh raha tha ke kaise uske paas baithu, kaise use jyada baat

karun, kaise uska deedar karun.

Kuch din ke baad main pehli baar uske ghar gaya tha, usse note

deneke liye, aur uske gharme main sabse mila, ek acha mahol tha, sab

log ache the uske ghar main, Phir uske baad uske ghar jana suru ho

gaya..

Aise hi thoda jyada milna julna suru hogaya tha, kuch din baad

mere gharwalon ko bhi ye pata chal gaya ki mera uske sath geheri

dosti hai.

Wo mathematics pe kamjor thi, toh wo mujhe bolti thi ki usko

maths pe meri help chaiye, to mein usse help kiya. Aur phir agle

semester main math ka sab paper uski clear ho gayi.

Phir wo mujhe thanks boli.

Main bola, “thanks kis liye..”

Wo boli, “math me mujhe help karne ke liye.”

Main bola, “friendship me no sorry, no thanks.”

Page 8: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Thoda filmy hogaya, wahi saharukh wale dialouges, jispe aaj ki har

ladki ek smile to jaroor de deti hai.

Mere dost mujhe comment marne lage, aur mera feelings bahut

jyada badh gaya tha. Uski ek close friend thi, jiski naam poonam

he,usse bhi pata tha ki mera uske liye feelings he, to poonam mujhe

boli ki “dekho aisa nahi ho sakta, uske gharme uske liye already

marriage fix kar chuke he, uske ghar wale sab raaji hein, to wo bhi

majbur he raaji hone ke liye.” Ye sunke ek pal ke liye jaise mere

ummidon ko halki si thokar lagi.

Kuch din baad wo bhi humare ghar aayi, aur uske baad uski bhi

humare ghar aana jaana suru ho gaya. Hum dono ke ghar main hum

dono ke milne julne main koi dikkat nahi tha, sab kuch jaise bohot

aasan tha.

Aise hi 4 saal chalta raha, dhire dhire main din me 2 baar uske

ghar jaane laga. Har din sham ko main uske ghar jaata tha.

Aunty mere liye pokode banake mujhe khilate thi, uski choti

behen yani meri saali mere liye chawmin bana ke khilati thi. Aisa

mehsoos hota tha jaise ki mein unke pariwar ka hissa tha.

Page 9: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Ek din ki baat hai, Baarish ke mahine ka time tha, ek din hum saare

dost plan banae ke paas me ek museum hai, wanha ghumne jayenge

with all friends. Moon barish me bhig gayi thi aur ekdum mast lag rahi

thi. Usse dekh meri ankhe kanhi aur dekhne se inkaar kar rahi thi.

Maine bola “ek photo le lun tumhari?”

She said “no”

Wo aur sabhi ke sath photo uthayi, siwaye mere.

Maine use pucha “Mere sath kyun nahi?”

Wo boli “sab dekh rehe hein”

Mere mann me sawal aye aur thoda shak hua, “something

something…” Miane socha kuch toh baat hai, jo mujhe nahi pata hai.

Dhire dhire wo bahut jyada ghulne milne lagi thi mere sath, uske

baad uske ghar aur humare ghar me aana jana aur bhi badh gaya tha..

Wese is story main aur ek character he, uska naam Rohit he. Uske

ghar wale aur Moon ke ghar wale un dono ke shadi unke choti umr se

hi teh kar chuke the. Aaj ke waqt main bhale hi aisi cheese Mazak lage

lekin ye ek bohot hi bada turning point tha. Isliye Moon us ladke se

Page 10: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

bich bich baat karti thi, kyun ki uske ghar wale te kar chuke thee, toh

uski majburi thi.

Usi bich Exam bhi khatam ho gaya, aur usi time jyada tar moon ki

phone waiting aane lagi, maine socha ki wo dono raaji hain.

Maine poocha Moon se, “kya tum bhi raazi ho marriage ke liye?”

Moon ne kahi, “no, wo dekhne me bahut kala he, par ladka acha he.”

Uske iss jawab se jaise dil baith gaya, Maine socha chalo mera pyar

one sided tha, rehne hi deta hun yaar, aise zindagi bhar.

Mere sabhi dost mujhe bolne lage, kya yaar itna pyar karta hai use,

ek baar usse “I Love You” nahi bol sakta?

Kanhi na kanhi mujhe dar tha usse kho dene ka, Main uski dosti

khona nahi chata, usse alag rehna shayad mujhe manzur tha lekin uski

nafrat shayad main kabhi nahi jhel pata.

Issliye Maine bola, “jo ab mumkin nahi he, usse rehne dete he,

Friendship is the best relation…”

Exam khatam ho gaya tha, aur uske baad us ladke ke sath Moon ki

marriage bhi finally cancel ho gaya, mujhe pata nahi kya reason tha

lekin shayad unn dono mein koi problem tha.

Page 11: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Collge life khatam ho chukka tha. Then ek din usne achanak se

kaha, “mujhse wada karo koi nasha wali chij nahi khaoge.”

Maine bola, “ok”.

Engineering to khatam ho gayi, ab hum sochne lage ke kya

karenge? finally maine ek 6 month ka course karne ka faisla kiya, wo

bhi boli mere sath course karne jayegi. Maine admission le liya

Kolkata ke ek institute me, par kuch financial problem ke wazah se wo

admission nahi le payi.

June ka mahina tha, aur ye time mere life ka sabse khusnaseeb

waqt tha.

Ek din sham ko uski call ayi, aur maine call back kiya, aur bola,

“Kya hua moon?”

Usne kaha, “mujhe bahut tension lag rahi hai, kya karun kya nahi..!

Tum bhi chale jaoge ab, main toh puri akeli ho jaungi.”

Then wo achanak se rone lagi.

Main bola, “kya hua re.”

Wo boli, “kuch nahi, bas I miss you.”

Page 12: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Maine bola, “ohoo… main to chala jaunga, tum yahan koi coaching le

lo, ek saal ke andar tumhari marriage bhi ho jayegi, phir tum bhi toh

mujhe bhool jaoge.”

Wo boli, “main shaadi nahi karungi kisi se, khus nahi reh paungi kisi

ajnabee ke sath.”

Maine bola, “toh kiske sath shaadi karoge, ya phir shaadi nahi

karoge.”

Usne Kaha, “Tumse”

I was speechless at that time, achanak se meri saansein jaise kuch

pal ke liye ruk gaye, dimag ek dum se khali hogaya, kya sochu, kya

kanhu kuch samajh main nahi aa raha tha. Ek lamhe mein jaise

hazaron sawal the mere andar,Phir kuch second baad maine bola,

“kyun???”

Wo boli, “Mujhe pura yakeen hai ke main sirf tumhare sath hin khush

rahungi”

Maine bina kuch soche hi boldiya, “ok”

Uske baad main aur kuch nahi bol paya, bas bola kal baat karenge.

Saasein tez thi Par andar hi andar main itna khus tha ke bayan nahi

Page 13: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

kar sakta. Aisa lag raha tha jaise corodo khushiyaan ek sath

angdaiyaan le rahi thi mere daman mein.

Main bahut khus tha, agle din maine Moon ko “I Love You” bol

diya.. Usne pucha kya tum bhi mujhe pyar karte ho? Maine kaha aaj se

nahi balki “main engineering life ke pehle din se hi deewano ki tarah

tumhe chahta hun, bahut pyar karta hun.”

Wo boli, “pehle se kyun nahi bole ye baat haan!”

Maine bola, “yahi sochta tha ke, sayed tum mujhse naraj ho jati,

shayad waise milne na aati ya phir bat hi nahi karti. Phir tumhari

shaadi bhi teh ho gayi thi, upar se tumhare ghar main bhi sayed bura

maan jate, sochte ke ghar aa ke ladki ko fasaya. Itne sare parishani thi

mere samne, main kya karta. Tum soch bhi nahi sakti kitni takleef hoti

thi mujhe aise roz pass hoke tumse door rehne main.”

Aise hi humari love story ki suruwat hui thi, ab toh hum aur bhi

jyada milne lage the. Pehle jab milte the tab kuch alag tha, ab uski

aankhon main ek alag sa chamak thi. Uske aankhon main mere liye wo

pyar dekhke Mujhe iss duniya ka sabse khusnaseeb insaan jaisa

mehsoos hota tha.

Uske baad main kolkata chala gaya, aur Moon yahan coaching lene

lagi apne home town main hi.

Page 14: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Dhire dhire humara pyaar aur bhi gehra hota gaya. Main din me

class jata tha, bich main jab bhi waqt milta tha hum chat karte the, har

din ki padhai khatam hone ke baad hum raat ko 10 baje ke baad baat

karte he, karib 1-2 baje tak. Kehne ko meri zindagi meri thi lekin

uske siwa maine kabhi jeene ka socha bhi nahi tha. Wo mere pass nahi

thi lekin din se raat tak aisa koi waqt nahi tha jab wo mere khayal main

nahi thi.

Phir wo har waqt puchti rehti thi ke kab aaoge yanha, aaoge kab?

To main har mahine ek baar kisi bhi bahane se jaane laga usse milne,

phir dhire dhire mahina 15 din hone laga. Mere padhai se jyada

baicheni usse milne mein hoti thi. Aisa lagta tha kabhi kabhi ke bas

uske pass hi reh jaun, ek lamha bhi uske bina jaise chubhta tha.

Main jab bhi uske paas jata tha, wo mujhse apne Bf nahi balke apne

pati ki tarah pesh aati thi. Jaise ek alag sa rishta tha humare bich, iss

janha ke sare rishton se khas, kuch jyada gehra. Wo humsha mujhe

bolti thi, “tumhare liye ye banaya hun, wo banaya hun, khao.”

Pata hai jo jo chiz main apne zindegi main kabhi khana toh door,

chakha bhi nahi hun, wo sab bhi main kha leta tha, bas uske pyar ke

khatir, uski khusi ke liye toh mujhe zeher bhi manzur tha.

Page 15: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

“pyar mein deewangi honi chahiye, jisse bhi pyar

karo usse itni siddhat se pyar ke wo zindegi bhar

ke liye tumhara deewana ho jaye…”

--- “ AJIT ”

Ek din main uske sath chat kar raha tha, par wo uss waqt humare

ghar aayi thi,par mujhe nahi pata tha.

Phir wo achanak mere sms ka reply nahi di, kuch der baad maine usse

kain baar phone kiya, par wo phone ka bhi jawab nahi di, main thoda

ghawra gaya.

Phir ek sms kiya, “kahan ho moon, thik ho to?”

Par wo sms mere gharwale dekh liye, phir mere ghar se phone aaya

aur mujhe sab chidane lage, main thoda sa sharmane laga then maine

baat ko manage kar liya. But mein sochta tha ghar main sab jan chuke

hain phir bhi koi mujhe kuch kehta kyun nahi tha? Shayad gharwalon

ko koi dikkat nahi thi mere rishtey se?

Page 16: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Humara itna milna julna dekh kar unke ghar me bhi hum dono ka

shadi ka khayal aya tha. Kyun ki hum dono kuch iss tarah milte the

jaise dono bas ek dusre ke liye bane the.

Wo kabhi kabhi bolti thi ke,“tumne mere gharwalon pe koi jadoo

kar diya hai kya? Har waqt bas tumhari baatein karte rehte hain.

Mummy toh jaise tumhe apni Damnad banane ke liye uchal rehe he.”

So main khush tha, kyun ki sab rishtey main jo sabse badi

parishani hoti hai wo mere rishtey main tha hi nahi, kehte hai shadi

sirf ladki se nahi uske gharwalon se bhi karni padti hai fir jake milta

hai pyar. Mera rashta ek dum saf tha, maine apne suhane zindagi ke

sapne bhi bunne suru kar diye the, bas mere job ho jane ka intezar

tha.

Ab hum dono ka ye jo pyara sa bandhan tha woh aur bhi gehra ho

gaya tha, hum apna har baat ek dusre se share karte the, har waqt

phone ya sms pe baat karte the. Ek dusre ke bina ek pal bhi jeena jaise

na mumkin ho gaya tha. Doori jaise bohot choti lagne lagi thi hume.

Aise hi chalta raha humari pyar ki kahani. Mujhe uski gaalon ko

pakadna bahut acha lagta tha, aur usko mere balon ko sehelana.

Humari dastaan kuch aisi thi jaisa na maine kabhi socha tha na suna

Page 17: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

tha. Mere liye moon duniya ki sabse haseen ladki thi aur humari

kahani sabse achi pyar ki kahani thi.

Dushera ka time tha, aur kolkatta me to dushera bahut shaan se

manaya jata hai. To uske family aur mere family mil ke kolkatta

ghumne jaane ka plan banaye.

Main to Kolkata me tha, so paas me ek hotel me sab ghar wale

ruke, phir do din pura din bhar hum sabhi ghume lag gaye, agle din

ghar wale bole ki wo thak gaye he, aur ghumne nahi jayenge, to moon

aur main dono ghumne gaye aur bahut masti kiye. Ye sab jaise mere

liye sapna tha. Kisi bhi ladke ke liye aisi zindagi kisi sapne se kam nahi

tha.

Phir agle din main moon ko wahan ke mere kuch doston se milane

le gaya, humare institute me hum 6 logon ka ek group tha, jisme do

couple the aur baki ke ek ladki thi jo ki bahut sundar thi par wo mere

piche padi thi.

Par ye baat maine moon ko nahi batayi thi, isliye kyun ke wo bekar

me parishan ho jati aur jyada sochne lag jati. Pyar chahe kitna bhi

gehra ho lekin jab koi ladki bardast nahi kar pati hai ki uske pyar ko

koi aur chahe. Chahe jitna viswas ho usko uske pyar pe lekin ek ladki

ke zehen main humesha ek dar hota hai uske pyar ko kho dene ka, koi

Page 18: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

apna pyar baantna nahi chahta. Par us din moon ko pata chal gaya ki

wo ladki mujhse pyar karti thi.

Phir laut te waqt moon mujhse baat nahi ki, maine kaha ki, “tum

bekar me hi jyada soch rahi ho, isiliye nahi bataya tha.”

Wo gushe wali awaz main boli, “kuch bhi ho, mujhse chupaye

kyun.”

Phir agle do din tak wo mujhse baat nahi ki, bohot naraz thi wo, aur

ye do din mein mujhe uske bina jeena kitna muskil he ye ehsas hua.

Phir agle din maine phone kar ke usse sorry bola, aur bahut muskil

se manaya.

“ Pyar ko aaj tak koi nahi samajh paya, kabhi ye

hasata he, to kabhi rulata he, par kabhi kabhi

bahut satata he. Par hum sab ka jeene ki wajah

bhi yahi pyar batata he …”

--- “ AJIT ”

Page 19: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Diwali pe main ghar aya tha, hum dono unke chatt ke upar the.

Main achanak se Moon ke hath ko pakad liya, aur mujhe 440v ka

jhatka laga wanha.

Wo boli, “haat kyun pakde ho?”

Maine bola, “aise hi”

Wo boli, “Agar aaj iss hath ko pakde ho, toh phir bich main kabhi ye

hath chod mat dena.”

Ek din usne kaha ke, “Ki wo mujhse Bohot pyar karti hai, Mere bina

uske jeene ka koi wajood nahi”

Aur main uss din utna khush tha, ke mere ankhon se lekar mere dil

tak banaye janha pe jaise mein udd raha tha…

October last me usse ek jagah pe job mil gayi, wo mujhe boli to

main bhi khus ho gaya, kyun ki job uska ek sapna tha aur uske khush

hone par aisa lag raha tha jaise mera koi sapna sach hogaya tha. Wo

join ki, training ke liye, aur post niklte hi job pakka tha.

December me ek exam tha kolkata me, wo boli, “tum ghar aao,

main tumhare sath jaaungi.”

Page 20: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

So main ghar aaya tha, phir exam ke ek din pehle raat ko hum bus

main jaane wale the.

Phir bus me paas me baithe the, light off ho gaya tha, Hum baat kar

rehe the humare ane wale kal ke bare main. Bich bich me main uski

gaal pakad ke bolta tha, “chigi wigi, parishan mat ho sab thik hoga..”

Wo boli, “aaj bahut sare baatein karenge.”

Maine bola, “ok”

Phir hum bahut saare baatein kar rehe the, suddenly usne mera

hath pakad liya, and again I feel 440v ka jhatka.

Maine bola, “tum aaj mere hath pakde ho, chodogi toh nahi na!”

Wo boli, “main kya pagal hun jo tumhara hath chor dun, kabhi bhi

nahi.. tum agar shadi nahi kiye na toh bahut marungi tumhe, par

bilkul nahi chodungi tumhara hath.”

Suddenly I feel so happy and so special.

Page 21: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

“Pyar ek aisa chiz he, jisme humein apne aap ko

kisi aur ke liye special feel hota hai.. aur agar wo

feelings na ho to wo pyar sacha nahi hota…”

--- “ AJIT ”

Phir exam khatam hone ke baad hum wahan ke ek mandir gaye the,

main bhagbaan se bola, “thanks bhagbaan mere zindegi ko khusiyon

se bhar dene ke liye, mujhse kabhi bhi meri moon ko alag mat

karna…”

Agle din hum ek sath ghar aaye. 2din ke baad main phir se kolkata

chala gaya.

Kuch din baad uski aur ek exam thi, wo boli, “aao, warna mujhe akele

hi jaani padegi.”

Main socha, kya karun yaar, kuch hi din pehle ghar se aaya hun,

abhi phir kaise jaaun? ghar me bolenge baar baar kyun itne dur se aa

raha he.

Phir majburan ghar me jhut bolna pada, maine ghar me bola ke

kuch document lana he, ek interview he.

Page 22: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Ghar pe us din mama ji ke ghar janewale the, main us din subha 5

baje ghar pahuncha aur naha dho ke 6 baje uske ghar pahunch gaya,

par ghar me bol diya tha ke main kolkata wapas chala jaunga. Uss

waqt ko maine kaise sambala tha ye sirf mujhe pata hai.

Uski exam dusre ek town me tha, so hum 10am ko unke ghar se

nikle.

Phir uski exam khatam hone ke baad waha 1 ghanta ghume aur

phir raat ko 8 baje ghar wapas pahunche.

Mujhe agle din subha jana tha, so main ek dost ko bola ke raat ke

liye mere rehne ka intejam karne ko.

Par raat ko 8 baje uske ghar pahunch ke waha khana kha ke aate

aate 10 baj gaya the, friends ke room aakar dekha to door close ho

gaya tha. Phir kya karun, majburan raat ko wapas Moon ke ghar jana

pada, aur wahan pe raat pe ruka.

Agle din subha uth ke wapas chala gaya. Thandi ka mausam tha,

bahut thand bhi lag raha tha.

15 days ke baad new year tha.

Usne kaha, “Ye humara pehla new year hai, aur ye new year mujhe

tumhare sath bitana hai…”

Page 23: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Main socha ab kya karun, phir se kaise ghar jaun? maine mana kar

diya. Badi durbidha thi. Pyar bas lagta meetha hai par akhri waqt tak

kitne kaanton se guzarna padta hai ye sirf maine dekha tha.

New year ke din, raat ko maine phone kiya, waise main usse sabse

pehle wish karta hun, main jab tak wish nahi karta hun tab tak wo kisi

aur ki phone bhi nahi uthati hai.

Main raat ke 12 baje phone kar ke wish kiya aur baat kiya, usne

phir se pucha ek gambhir awaaz main, “aaoge ke nahi ”.

Maine bola, “nahi”

Wo boli, “agar aaoge to baat karungi warna nahi ”

Subha wo phirse phone kar ke puchi, “aaoge ke nahi”

Main bola, “nahi”

Par tab tak maine ghar jane ka plan bana liya tha, aur usse surprise

dene ka program bhi bana liya tha.

Phir main karib 4.30 baje ghar pahuncha aur phir thoda fresh ho

ke 5 baje uske ghar pahunch gaya.

Ja ke dekha to wo gusse se apni muh phula ke bethi he, Bilkul aise

hi surprise deen ka plan tha mera, Jaise hi usne mera chehra dekha

achanak se sukhe se chehre pe jaan ayegi, muskurane lagi, bohot badi

Page 24: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

khushi thi ye uske liye, phir uske baad uski nautanki suru ho gayi, par

main uski gaal pakda aur usse mana liya.

Waise ye ladkiyon ki nautanki karne ki aadat nahi jaegi. Chahe aap

kuch bhi karlo. Ye unke khoon main hota hai, par uski wo

nautankiyaan mujhe bohot pyari lagti thi.

Phir wo aur main ek park gaye ghumne ke liye.

Wahan pe hum bahut sare photo liye apna aur jhule me baith ke

jhula bhi jhule.

Moon boli, “chalo boating karte hein”

Phir hum boating bhi kiye.

Phir hum park me ghum rehe the, achanak wo boli, “thoda edhar

aao toh”

Main bola, “han bolo”

Wo boli, “I am lucky to have you, and you are my lucky star. Tumhe

paake aaj aisa lag raha hai jaise main poora ho gayi”

Suddenly I feel so happy, aur ye wo pal tha jise main kabhi bhul

nahi sakta, kyun ki meri zindagi main aise hi kuch pal he jisse me

zindegi bhar kabhi nahi bhul sakta. Ye pal mujhe mere hone ka ehsaas

dilate hain..

Page 25: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

“ Humare life me kuch pal aise aate hain, jo aate aur

chale jaate hain, par wo pal humare dilon main kuch

aise bas jaate hain, jo aakhri saanse tak hume yaad

rehte hain…”

--- “ AJIT ”

Aise hi time bit ta gaya, wo office jaati thi aur aate time mujhse

phone pe baat karti thi, office ke baare me sab baaten bolti thi. Kuch

din ke baad main kolkata se wapas home town aa gaya, aur yahan pe

competitive ka preparation suru kar diya.

Pehle jab main Kolkata me rehta tha aur jab bhi ghar aata tha, to

wo bahut khus hoti thi, par jis din wapas Kolkata jata tha uss din jaate

waqt uske sari khushiyaan usse jaise khafa ho jati thi, wo gumsum

rehti thi aur uski aankhon ke aansuon ko dekhta tha toh aisa lagta tha

jaise ankhon se nikal ke wo mere dil ko rok rahe hain na jaane ke liye.

Par ab main apne home town pe wapas aa gaya tha to hum dono

phir se roz milne lage, aur wo bhi bahut khus thi.

Page 26: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Phir kuch din baad wo ek section se dusre ek section me gayi,

experience ke liye. Ye shayad uske zindagi ke liye bohot zaroori tha

lekin iss kisse ne meri puri zindagi badal ke rakh di. Uss din ki hawane

meri zindagi ka rukh humesha ke liye badal diya. Then my life changed

forever…

“Hawa, pani aur zindegi, iss duniya main kuch bhi

humesha thehrta nahi hai, zindagi ka modd kabhi

bhi badal sakta he, yeh waqt kabhi bhi apna muh

mod sakta he, so har lamhe ko khulke jio, muskurao

aur mehsoos karo…”

--- “ AJIT ”

Uske baad story main ek naya character aaya, jiska naam tha

Yoshbant, wo mere life me ek villain ki tarah aaya tha aur meri zindagi

ka rukh meri aankhon ke samne hi mud gaya..

Page 27: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Wo ladka moon ko us dusri section me mila tha, aur suru se hi uske

piche pad gaya.

Moon us ladke ke section me uske guidance mein kaam sikhne gayi

thi.

May ka mahina tha, jab yoshbant pehli baar moon ke ghar aaya

tha, ye baat sunke mujhe thoda ajeeb laga. Main parishan hone laga.

Us din uske ghar walo ko pata chala ke agar wo ladka chahe toh

asani se moon ka promotion ho sakta hai, yoshbant ki pohonch upar

level officer tak ki thi, jo moon ka promotion karwa sakte the.

Ye baat moon ke ghar wale janne ke baad moon ko uss ladke ke

sath thoda milne ko bole aur bich bich me usse ghar bhi bulane lage.

Ye sare cheese meri aankhon ke samne ho rahi thi phir bhi chup

tha. Kyun ki kanhi na kanhi ek aisi majboori thi jo mujhe rok rahi thi.

Moon unki ghar ki badi beti thi, aur uski koi bhai bhi nahi the, so uske

upar pure ghar ki jimedari thi. Na chahte hue bhi ye sab bardast karna

meri mazboori thi. Main bas Moon ki khushi chahta tha, kyun Moon ke

liye yeh job bahut important thi.

Page 28: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Dhire dhire wo ladka hafte main 2-3 din moon ke ghar aane laga,

aur unka milna julna badh gaya.

Moon mujhe bolne lagi ki, yoshbant usse sms kar raha he to usse

bhi majburan ek do sms karne pad rahe hain. Meri zameer ko chot

pohonch rahi thi, ye kaisa kausati hai janha main itna majboor hun.

Mera bas chalta toh Moon ko kabhi ye job karne hi na deta.

June mahine me dhire dhire humare bich jhagde suru hone lage,

kyun ki mujhe acha nahi lag raha tha moon us ladke ke sath bebazah

itna jyada baat kar rahi thi.

Jab koi ladka kisi ladki se sacha pyar karta hai tab wo uske pyar ko

kisi aur ke sath itna waqt bitate nahi dekh sakta, nahi baant sakta hai.

usse bhi jalan mehsoos hoti hai ye dekh kar. Par ladkiyan is baat ko

nahi samajhte hain aur ladko ko mean minded samajhti hain. Lekin jab

ye baat khud unke upar aati hai tab hume hi dosh deti hai. Zindagi bhi

kitne ajeeb lagte hain aise halat main.

Dhire dhire mere paas moon ke sms es bhi kam aane lage.

Page 29: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Main usse puchta tha to wo bolti thi ki, “10 am to 2 pm office jati

hun, 4pm to 6pm tuition phir sham ko khana bhi banana padta hai,

phir raat ko to sms karti hun”

Ye jawab kanhi se bhi sahi nahi tha toh Maine bola, “pehle bhi to

wahi office, ghar ka kaam, sab kuch wahi tha, phir bhi hum log 24

ghante sms pe baat karte the, phir aaj sab kuch kyun badal gaya.”

Waqt jaise badal ne laga tha, itne sare sawal the mere andar jinka

koi jawab nahi tha. Itne sare uljhan ke bich wo sari khushiyon ke

yaadein jaise dhhere dheere ojhal ho rahi thi. Agar Ek insaan kabhi

badalta nahi tha aur achanak se halat aur waqt ke sath uska rawaiya

badalne laga hai, to yun samajh lo ki baat tumhari haat se nikal rahi

hai, wo mujhse door ja rahi thi, aur main kuch nahi kar pa raha tha.

Agar do insaan ek hi raashtey pe sath chal rehe ho, aur unme se koi

ek achanak se apna rashta mod le, to us insaan ko phir se apne pass

lana almost namumklin hota hai.

Aise hi baaton baaton me humare bich jhagda badhne laga. Ek

din ki baat he, main apna coaching band kar ke uske ghar gaya. Wo

bhi us din office nahi gayi thi. Mujhe uski phone ki password pata tha,

to maine check kiya, aur achanak se shock ho gaya. Moon ke phone

me uss ladke ke sath raat ke chatting sms history tha. Tabhi main

Page 30: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

samjha gaya tha ki isiliye wo mujhe raat ko jaldi bolti thi ke usse nind

aa rehi he.

Main uss din bahut roya, uss din mujhe laga maine usse pura kho

diya he.

Wo mere saamne aayi, aur boli, “please don’t cry, sorry aisi galti

phir se nahi hogi, main kya karti, wo itne bade officer he, mujhe

ehmiyat de rehe he, unko din me time nahi hota he, so raat ko

message karte he.”

Main bola, “Its ok, but ye chatting karne ka waqt nahi he, wo tumhara

boyfriend nahi hai, kuch cheeze sirf mere liye hain.”

Wo muskurane lagi aur kehne lagi ke aaj pata chal gaya ke tum

mujhse kitna jyada pyar karte ho, thank you so much my chandra.

1 hafte ke baad wo boli ki, “meri sms pack khatam ho gayi he.”

Main bola, “ok, sms pack dalne ke baad sms karna.” Maine socha itni

bhi baat nahi hoti ke uska sma pack khatam ho jaye, mujhe thoda shak

hua.

Phir main uske ghar gaya tha aur chupke se uski phone check kiya,

dekha ki 250 sms he, maine kuch nahi bola, phir market gaye the

Page 31: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

dono, market se laut te waqt maine usse pucha sms pack hai? Wo boli

nahi hai, main firse pucha, wahi same jawab mila.

Main bola apna phone dikhao, wo boli nahi, main uske haat se

phone jabardasti le aaya, toh dekha to wo apni password change kar

li thi. Kitna takleef hota hai uss waqt, jab aap ko lage ke jiske upar aap

ka sabse jyada haq hai wahi aap pe bhorosha hi nahi karti.

Maine phir se pucha sms pack he ke nahi, wo boli nahi.

Main bola, “sim nikal ke check karun?”

Wo boli, “thoda sa he”

Main bola, “usse sms karke baat kar rehi ho, par mere liye sms nahi

hai.”

Gusse se main uski phone ko phenk diya, par by mistakenly phone

ja ke uski sarr me laga.

Wo achanak rone lagi, aur boli, “Tum kitne mean ho, kisi aur ke

sath baat karna pyar nahi hota, unke liye kya ladki kam he, wo to

mujhe apna naukrani bhi nahi rakhenge. Wo unke jagah hein, aur tum

tumhare jagah, main to sirf job ke liye unke sath ghul mil rahi hun.

Main to tumse hi shadi karungi bol rahi hun, tum kyun itna jyada soch

Page 32: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

ke parishan ho rahe ho, padhai thik se karo aur job karo phir rishta

lekar aana, warna mujhe majburan kisi aur se shaadi karni padegi.”

Uske iss jawab ne jaise mera dil hi tod diya tha. Jo cheez main usse

sapne main bhi sun nahi sakta wo usne muhn pe bol diya. Dheere

dheere samajh raha tha main zindagi ke badlab ko, par haalat bhi toh

mere sath nahi tha, kya karta main, sunke bhi chup tha uss din.

Main kaha, “kya job hi sab kuch he, pehle sirf mujhse baat karte the,

aur kisi se bhi nahi, par ab mujse muh fer rahi ho, aur pehle sirf mere

sibah kisi aur se shaadi nahi karogi bol rehe the, par ab majburi me

shaadi karni padegi.” Kya hai ye moon?

Yeh ladkiyaan aise hi hai, wo apne pyar ke liye kuch bhi karenge,

par jab baat unki kalki aati he tab wo sirf apne zindagi ke bare me

sochte he.

Main moon se bola, “tum yoshbant ko bata kyun nahi dete ke tum

mujhse pyar karte ho.”

Page 33: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Wo boli, “nahi, aise mein wo galat samjhenge mujhe. Ek baar

promotion ho jaye phir to wo apne raaste aur hum apne, tum parishan

mat ho.”

Isme galat samajhna kya, agar koi kisi se sacha pyar karti ho to

duniya se chupana kya. Jab humare gharwale jante hain toh wo kaun

hain jisse tum dar rahi ho.

Par yoshbant ke rawaiye se pura pata chal raha tha ki, wo moon se

pyar karta tha.

Wo ladka ab roz moon ke ghar aa raha tha. Ye sab dekh ke mera

parishani khatam hone ka naam nahi le raha tha. Kisi aur cheez pe

mera man hi nahi lag raha tha.

Mera ek bohot hi khas dost hai, jiska naam je Soumyajit. Main apni

parishani uske sath baantli. To soumyajit ne kaha, “aare bhabi ko bol

ke job ke liye uske sath mil rehe he thik he, par kuch had toh rehena

chahiye, bhabi ko thoda samjha, warna ek kaam kar, tu bhi kisi ladki

se baat kar, sayed unhe bhi jalan mehsoos ho aur unko tumhare baat

samajh me aa jaye.”

Main bola, “main chahta to wese kar sakta tha, par mujhe koi

shok nahi he kisi aur ladki se baat karne ka.”

Page 34: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Soumyajit bola, “kuch bhi ho, par ye jo raat me baat karne ka

tarika bilkul bhi thik nahi he, aur bhabi tumhe jo jhut bol rahi hain wo

bhi thik nahi he.”

Phir main soumyajit ke girlfriend yani mere bhabi se bhi baat kiya,

unhe bhi bataya sabkuch, wo bhi bole ke, “thoda samjhao unko, ya

phir tum dono kahin akele jao aur ye problem ko suljhao. Aur tension

mat lo sab thik ho jayega.”

Phir kuch din baad humare hometown mein ek tyohar tha, jo ki

10-12din chalta he, har saal hum sath me iss tyohar pe ghumne

jaate the.

Main apne behen ke ghar gaya hua tha, waha se lauta to 3-4 din

bacha tha uss tyohar ko khatam hone main. Par iss baar wo mujhe ek

baar bhi nahi boli ke chalo ghumne jayenge, par uss ladke ke sath jaa

ke ghum chuki thi wo. Maine bola ek baar toh chalo, tyohar khatam ho

jayega, hum har saal sath ghumte hain aur iss baar mere sath ek baar

bhi nahi gayi.

Dhire dhire maine dekha wo mujhe avoid karne lagi he, aur bahut

jhut bhi bolne lagi, aisa lag raha tha jaise uske zindagi main ab meri

koi jagah nahi thi.

Page 35: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Ek din dekha moon uske sath office se laut rehi he, Jo jo chiz ke liye

wo mere sath waqt bitati thi, ab wo sab kuch badal chuka tha. Aise

mein roz humare bich jhagda hone laga, aur na koi samajh thi, nahi

thik se baat chit ho rahi thi. Kya ho raha tha kuch samajh main nahi aa

raha tha.

Kuch din baad uski ek exam thi, wo boli office ke gaadi se jaegi aur

aayegi bhi.

Main bola, “ok, barish bhi ho raha he in dino, to thik he chali jao.”

Exam ke din subah ko wo sms ki, “aao thoda, mujhe bus stop tak

chodd dena.”

Main sms kiya, “ok, aur waha pahunch ke bata dena ke tume lane jaun

ke nahi.”

Wo sms ki, “ok”

Phir main usse mere bike pe baitha ke uske ghar se bus stop ja raha

tha, raste pe yoshbant ka phone aya ke wo bus stop pe he.

So moon mujhe thoda door par rukne ke liye boli, par maine pucha

kyun? Maine uski baat nahi mani aur ja ke bus stop pe ruka. Yoshbant

hum dono ko sath dekh ke gusse se moon ko kuch bola, to moon thodi

Page 36: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

parishan si lag rahi thi. Maine usse bola, “main agar kuch problem kar

raha hun to bolo, mujhe ye sab acha nahi lag raha.”

Phir wo bus se chali gayi, main wait kar ke raha uski call ya sms ka,

phir main bus stop gaya dekhne ke liye wo aayi ki nahi, phone bhi nahi

utha rahi thi wo.

Phir mujhe jhatka sa laga ye dekh kar ki Moon aur wo ladka ek sath

aa rahe the.

Uske baad phirse jhagda hua uss baat par, maine kaha, “tumhare

personal life main wo kyun ghush raha hai, kyun bata rahi ho apni niji

zindagi ke bare main usse. Wo tumhara office staff he, to usse office

staff ke tarah rehne do. Boss hoga wo tumhara office main, lekin

office ke baad tumhari mere liye kuch jimmedari hain. ye koi office ke

kaam se to tum nahi gaye the, kya tumhari personal kaam pe bhi wo

tumhe lane jayega. Usse mana nahi kar sakte the.”

Wo boli, “kaise mana karti.”

Main apne aap sa kaha, choro yaar, usne apne dimag aur irada

dono badal diya tha.

Idhar mera bhi 4-5 exam sab barbaad ho gaya uski iss parishani

ke bich, saalon ki padhai aur mehnat sab bekar ho rahe the. padh bhi

nahi paa raha tha, pagal jaisa lag raha tha, ye sab dekh ke.

Page 37: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Main ye sab baat soumyajit ko bola, wo bola, “chod yaar tension

mat le, ye sab baat jitna sochega utna hi bura lagega, dekh ab wo

tumhara kuch bhi baat nahi maan rehi he, toh tu bas chup chap reh ja,

aur kuch mat bol, agar wo tumhari hogi to usse tumse koi nahi chin

sakta, aur agar na ho to….”

“Duniya me sab koi aazad hai, tum kisi cheez ko

pakad ke zabardasti apne pass nahi rakh sakte. so jo

jahan jana chahte he jaane do, agar wo apni hogi toh

kho ke bhi wapas laut aayegi, aur agar wapas nahi

aayi to ye soch lena wo tumhari kabhi thi hi nahi...”

--- “ AJIT ”

Phir main bhi chup chap rehne laga, usse kuch bhi nahi bola, thoda

aaram se baat kiya, par mann se parishani nahi gayi thi, waisi hi

ghabrat ro rahi thi, wahi dar tha.

Moon jhoot ke upar jhoot bolti rahi, har baat ko batangad banane

lagi, aur bolne lagi, “tum aise ho, tum waise ho.” Tum ye nahi karte,

Page 38: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

tum woh nahi karte, ek tarah se jo pehle tha wo jaise khatam ho

chukka tha. Main usse pehchan nahi pa raha tha ki ye wahi ladki hai

jo kabhi mujhse beinteha mohabbat karti thi. Kya ye wahi hai?

Maine kaha, “ok, kaun acha he aur kaun bura he, kaun kiske saath

kya kar raha hai yeh baat aaj nahi to kal pata chal hi jayega. Mujhe

pata he tumhare zindagi main mera ab koi ehmiyat nahi bacha, shayad

tumhara pyar khatam ho chukka hai mere liye…” andar hi andar jaise

ro raha tha main uss waqt.

Wo thodi chidd gayi aur boli, “ohooo, no. we are just friend…”

Maine bola, “haan, office staff se dosti, aur dosti se pyar hone me

kitna waqt lagta hai. Aaj mere paas naukari nahi he isiliye aise kar rehi

ho, par ek din jaroor iss baat ko soch ke pachtaogi, ki uss job se jyada

kimti zindagi ki khushiyaan hoti hai, wo rishtey hote hain aur unke

sache maine hote hain, jo humare sath rehke humare hone ka ehsaas

dilate hain, uss din sochogi ke mere sath tumne kya kiya”

Kuch din baad mera Janamdin tha, raat ke 12 baje maine wait kiya

tha, par uski koi phone nahi aayi. Subah moon ki phone aayi par

maine receive nahi kiya, phir wo humare ghar aa ke pahunchi.

Mere liye ek shirt gift layi thi, uss shirt ko dekh ke main thoda khus

hua tha ke nahi phir se jaise mari khusi mujhse chin gaya, jab wo boli

Page 39: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

ki wo shirt uss ladke ne pasand kiya tha. Ye sab cheeze mujhe jaise

pagal bana rahe the, itna jyada badlav jaise main jhel nahi pa raha tha.

Mere birthday ke din bhi wo pareshan lag rehi thi aur achanak apne

ghar chali gayi. Maine usse pucha bhi nahi kyun? Kisliye?

Mere liye itna khas din tha par pura din bhar mere liye thoda sa bhi

waqt nahi tha uske paas, sham ko hum log hotel gaye the, wahan bhi

wo chup chap thi. Jaise wo khush nahi thi. Harshal jaise ek ronak hota

tha uske chehre pe wo nahi tha bilkul bhi uss din.

Maine pucha, “kya hua”

Par wo boli “Kuch bhi nahi”.

Maine bola, “OK chodo, mere birthday pe main kuch jyada nahi bolna

chahta, ye din aaya he jisme main tumhe khone wala hun.”

Wo kuch nahi boli.

Aise hi mera birthday bhi ab tak ke sabse kharab birthday ban

gaya, mujhe pata tha ke mera love story khatam hone wali thi aur

main apna pyar ko humesha ke liye khone wala hun. Kyun ki badlav

kuch iss kadar tha janha se bapas lautna Moon ke liye namumkin tha.

Kal tak jin chizon ke liye main Moon ke sath rehta tha, aaj wo ladka

tha meri jagah unn sab hisson main. Roz roz ek ahista ahista ek

Page 40: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

dardnak maut mar raha tha main, apni aankhon ke samne usse

mujhse door jate hue dekh raha tha main, tadap raha tha par meri

wo awaz uss tak nahi phonch rahi thi.

Dhire dhire Moon uske ghar walon ke samne aise dikhawa karne

lagi jaise main usko parishan kar raha hun, usko tang kar raha hun.

So uske ghar wale bhi sabhi mujhe bura samajhne lage, Rishta na

rehna alag baat hai lekin jinke sath ek pariwar ki tarah raha unse

bebazah bhorosha kho dena mujhe bohot takleef de rahi thi, bura lag

raha tha mujhe. Kis tarah wo sare rishton ko todne lagi hai.

Mere aankhon ke saamne wo mujhe avoid karne lagi aur kisi aur ke

sath ghulne lagi, ye sab na hi main dekh paa raha tha na hi seh paa

raha tha.

Wo bhi mujhe boli ke, “us ladke ko lekar uske ghar wale bhi bahut

khush hain aur usse khona nahi chahte.”

Ye sabkuch dekh kar mujhe pura yakeen tha ki moon bhi us ladke

ko chahti hai, warna wo mere alaba kisi aur ko soch bhi nahi pati.

Duniya se lad jati par aisa kabhi nahi kehti. Maine dekha ki moon uske

sath humesha khus reh rehi hai, aur mere sath bas Parishan.

Page 41: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Finally maine ek din teh kiya ke uski khusi ke liye main apna khusi

chor dunga, aur usse bahut door chala jaunga, ta ki wo apne zindagi

mein khush reh sake. Mein humesha usse khush dekhna chahta tha,

chahe wo mere sath ho ya phir kisi aur ke sath. Dard toh bohot ho

raha tha lekin uski khushi ko barbaad karke main usko hasil kar bhi

lunga toh bhi main khud kabhi khush nahi reh paunga.

Kuch din baad hum dono ka kolkata mein ek exam tha, main soch

raha tha ki hum dono ek sath jayenge par pata tha ki wo mere sath

jane se mana kar degi. Sare halat kis tarah badal rahe the main dekh

ke heran tha.

Admitcard nikalne ke baad main bola, “exam ke ek din pehle

jayenge”

Wo boli, “main nahi bata sakti kaise jaungi kiske sath jaungi, pehle

se koi wada nahi kar sakti.”

Mujhe pata tha ki wo mere sath nahi jayegi, maine socha ki yehi

sahi time hai uske life se door chale jane ka.

Page 42: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Pehle main sochta tha ki iss pyar main kabhi nahi padunga, ye sirf

waste of time hai, par pata nahi kaise ho gaya, phir bhi main aaj

sochta hun ke, “I love this waste of time, kyun ke moon ke sath jo

waqt maine gujare hain wo waqt mere zindegi ka sabse kimti waqt

he…”

Uske do din baad moon ke sath aakhri baar mulaqat hui thi meri.

Wo jitni khush thi utna hi udass tha main apne andar se.

Phir agle din subah 8 baje maine sms kiya, par koi reply nahi tha.

Phir 8.30 baje phone kiya to usne receive kiya.

Main bola, “hello, kahan ho!”

Moon boli, “raaste pe.”

Main bola, “bus stand ja rehi ho kya, bus kitne baje hai?”

Moon boli, “nahi, Kolkata pahunchne wali hun”

Main bola, “sms ek bhi nhi kiye, subah bhi nahi bole, pehle bhi nahi

bole ki aaj jaane wali ho.”

Moon boli, “hmm, phone rakhti hun, bye.”

Wo phone utha nahi rahi thi fir bhi maine 2 baar koshish ki, uske

baad 3rd time pe wo phone receive ki.

Page 43: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Maine bola, “aaj ke baad mujhe phone ya sms mat karna, tum

tumhare raaste aur main apne raaste. Tum mere bina khush ho, toh

koi zaroorat nahi mere sath ye jabardasti ka rishta rakhne ki. Tum

azaad ho, mere sath ghut ghut ke parishan rehke kisi rishtey rakhne ki

jaroorat nahi, kyun ke aise dikhawe ke bandhan main mujhe tum ko

nahi bandhna, nahi aisa rishta mujhe chahiye.”

Hum dono ne milke ye rishta iss liye banaya tha kyun ki iss rishtey

main pyar tha, meethas tha, ek dusre ke liye jeene ka wada tha, jab

wohi nahi raha toh kya faida. Tum azaad ho. Bye

Wo boli, “kya hua pagal, aise kyun ho rehe ho, ruko mujhe ulti aa

rehi he main pohunch ke phone karungi.”

Maine bola, “koi jaroorat nahi, its over, thank you & take care,

bye.”

Wo karib 7 din ke baad phone ki mujhe, sms bhi ki, par maine

pehle koi reply nahi diya, phir bas sms me kuch aise likh ke bheja

usse, jaise ki woh mujhe nafrat karegi aur mujhse door chali jayegi aur

khus rehegi.

Aisa hi hua, kuch din baad wo boli, “aaj se main tumhare liye mar

gayi hun.”

Page 44: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

Uss din ke baad phir na hi wo mujhe yaad kiya aur na hi uske ghar

wale. Ek bacha hua dhaga tha jisse maine apne hatho se kat diya.

Ek waqt tha, jab agar main ek din bhi uske ghar nahi ja pata tha to

aunty mujhe daante the, bolte the daily 5min hi sahi, par daily aana.

Sabne ek pal main jaise paraya kar diya tha, bilkul akela ho gaya tha

main apne zindagi main.

Us din ke baad maine bahut roya hai, 1 saal bahut muskil se gaya

he, har waqt pagal jaisa lagta tha. Koi mere sath nahi tha, bilkul akela

ho gaya tha.

Chal ke mere ghar se uske ghar tak jata tha roj, ek kone main chup

ke khada ho jata tha sirf uski chehre ko ek baar dekhne ke liye. Us ki

ek jhalak se jaise mere andar ka insaan bohot khush ho jata tha. Chup

chup ke dekhta tha aur phir chala aata tha. Subah ho ya sham bas uski

ek jhalak pa ne ke liye main pagal ki tarah bhagta tha.

November khatam hone ja raha tha, mujhe ek acha job ka offer

aaya. Maine socha ki main sayed galat samjh raha hun, Job ho jaye to

phir se uske ghar jaunga aur maafi mangunga sabse aur phir shaadi ki

baat karunga.

Page 45: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

December me achanak Moon ki phone aayi. Aur Phone pe uska

naam dekh kar main bahut khus ho gaya, aur phone receive kiya.

Moon boli, “kal ek bahut bada decision le li”

Main bola, “kya”

Wo boli, “unko shaadi ke liye mana kar di”

Main bola, “kisko?”

Wo boli, “Uske aur yoshbant ke bich koi jhagda ho gaya hai, aur

pariwaron ke bich bhi achi samajh nahi ban rahi hai, so maine usse

mana kar diya, par yoshbant mujhse pyar karte hein par unke

gharwalon ke against jana nahi chahte”

Main thoda dheemi awaz main pucha, “ohooo, kabse wo aur Tum?”

Wo boli, “haan”

Suddenly jo thoda sa asha mere mann me jaag utha tha wo phir se

mujhse chin gaya. Maine socha mera kismat bilkul bhi mere sath nahi

he. Mere ummiden shayad bas tootne ke liye hi bane hain.

Page 46: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

“Being loved by someone is most beautiful feeling in

the world & being dumped by that someone is the

most painful feeling in the world…”

--- “AJIT ”

Phir wo boli, “pata nahi kasie ye sab ho gaya, tumhare sath ek din

bhi baat na kar ke reh nahi pati thi, par unke liye tume avoid kar liya.”

Phir wo rone lagi aur boli, “please Chandra, ho sake to mujhe maaf

kar dena, maine tumhare sath jo kiya bohot hi bura kiya, aaj mujhe

pata chal rehi he ki sach me kitna dard hota he kisi ko kho ke.”

Sab feel karte he ki kitna dard hota hai jab unko apna pyar nahi

milta, jab apne pe bit ti hai toh andaza hota hai ke aankhon ke samne

pyar khona kya hota hai. Usse pehle koi nahi samajh sakta ye dard.

Us waqt main kuch bolne ke haalat me nahi tha.

Kuch second ke baad bola, “mere sath aise kyun kiye, kya mere

chahat main koi kami thi ya mujhse koi shikayat thi tumhe, ek baar

Page 47: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

muh khol ke bata deti ki tum kya chahti ho. Aakhri waqt tak itna

ghatiya bartaab kiye, jhut bole, hurt kiya, kya mila tumhe ye sab

karke… Ok chodo, bhagbaan tumhe humesha khus rakhein.”

Wo mujhe ek baar boli thi, “agar tum mujhe sach main pyar karte

ho to mujhe kabhi galat mat samajhna aur mere jazbaton ko

samajhna.”

Mujhe pata hai, mera pyar saccha tha aur rahega, mujhse koi bhul

hua ho to mujhe maaf kar dena Moon.

Uske baad main humesha ke liye uski zindagi se chala gaya, bahut

door chala gaya, janha wo kabhi mujhe dhoond na paye. Tab mujhe

mehsoos hua maine apni zindagi ki wo sare waqt jo ek sache

mohabbat ke liye de diya wo sare waqt ab mujhse hi muh mod liye

hain. Kyun hota hai aisa? Meri kya galti thi? Kya iss duniya mein pyar

hota hai? Bas sawal the jo mujhe parishan kar rahe the.

Ye meri apni sachi kahani hai, suruwat jitna hi khushnuma tha

khatam usse bhi jyada dardbhara tha. Uske baad main jeene ki wajah

dhundne laga.

Main jaanta tha yeh jo waqt chal raha tha, wo mera nahi tha, isiliye

mere sath kuch bhi sahi nahi ho raha tha, main jo bhi chahta tha wo

mujhse dur ho jata tha, kismat bhi mere sath nahi tha. Maine apne

Page 48: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

pyar ke sath sath sab kuch kho diya tha. Woh job ka jo offer bhi mere

pyar ke sath hatheli se ret ki tarah fisal gaya.

Usse to main kabhi bhula nahi paunga, aaj wo mere sath nahi he,

par mere dil ke kone se usse mujhse koi nahi chinn sakta. Aaj bhi

kanhi uski yaadon meri subah hoti hai aur sham bhi usi ke ehsaas ke

sath. Usko mere dard ki bhanak bhi na ho lekin mere chahat khush he.

Chalo sayed ab waqt he is duniya se kahin door ja ke phir se

sambhalne ka, jitna bhi muskile aayi usse samna karna hai ab. Ab na

koi complain na koi demand he bhagban se.

Par ye waqt wapas palat kar mere paas ayega, jarur ayega… kyun

ki agar mera acha waqt palat ke mujhe iss tarah tabah kar sakta hai

toh kyun khushiyon ki wo gunz kyun mera hath nahi tham sakte.

Page 49: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

2 years later:-

Ab main Sikkim mein hun, uske baad main ghar se yahan chala

aaya, 2 saal ho gaye hain abhi.

Kuch din pehle suna ki Moon ki shaadi ho gayi hai kisi dusre ladke

ke sath, aur wo ab Delhi me rehti he.

Main yahan aa ke apna ek nayi zindagi suru kiya hun, par aaj bhi

main usse yaad karta hun, miss karta hun. Wo aaj bhi iss zehen main

taza hai. Itne salon baad bhi piche mud ke dekhta hun toh bhi aisa

lagta hai jaise sab kuch kal ki hi baat hai, naya lagta hai sab kuch aaj

bhi. After all 1st love humesha 1

st love hota he, kyun ki isme ek

anokha jazbaat hote hain, ek ajeeb sa nata hota hai.

Aisi hi hai meri kahani, aur uska the end…

“Hum insaan hain, Humein zindegi me bohot

mehnat karne padte hain aur bahot kuch sehne padte

hain…”

--- Mere ek dost ne mujhe bola tha, “AJIT”

Page 50: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

AJIT :-

Ye tha Chandra ka kahani, amazing bhi tha aur painful bhi.

Actually main is story me 2 chije dikhane ke try kiya he.

1st of Chandra ka love story kitna khubsurat tha and 2

nd of ye ke waqt

kitni jaldi badal ta he aur uske sath insaan bhi. Kanhi na kanhi iss

story ka real writer waqt hai aur villan bhi. Par zindagi me chahe kuch

bhi ho jaye hume unn sab gam ko bhula kar aage badhna hi padega.

Aise koi bhi dil nahi he jo kabhi bhi toota nahi ho, par agar hum

wahan pe ruk gaye to life bhi wahin pe ruk jayegi. Kehte hain raasta

kitna bhi muskil ho agar kisi apne ka sath ho to har raaste aasan ho

jate hen, par agar wo apne humare sath na ho to bhi hume aage

badhne padenge. Kyun ki chalti ka naam zindagi hai.

Mere khayal se Chandra ne end pe sahi faisla liya ke, duniya ke

bhid me kya khoya kya paya ye sab mat socho bas apne liye koi aisi

jagah dhund lo, jahan pe na khusi, na hi koi gam ho, bas sukun ho.

Aankhein chahe nam ho par honton pe muskurahat lana padta

hai.

Page 51: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

“Sometimes its better to stay silent and stay away

from this world..”

--- “ AJIT ”

Har rishtey me agar dono ek dusre ke liye deewane, aur ek dusre

ke sath puri zindegi bitana chahte ho, to duniya ki koi bhi taqat unhe

alag nahi kar sakta. Halat, waqt kanhi na kanhi ek bahana hai apne

aap ko samjhane ka par sachai ye hai ki shayad unn dono main waisa

pyar nahi tha, rishtey 2 log banate hain, koi ek rishta nahi bana sakta.

This is all about my first ever story…

“Love is a waste of time”…. Chahe ho jaye waste of time, ek baar ho

waste of time, I love this waste of time…

Page 52: Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo

2 logon ko tehe dil se sukriya karna chahunga jinhone iss kahani

ke akhri anzam tak sath diya aur iss kahani ko mumkin banaya aap tak

pohonchane main.

Special Thanks To: -

Chandra & Abhisek Jena

Story, Written, Quotes & Designed by:- AJIT SAHOO

Eddited By: - Abhisek Jena

Send your feedback:-

[email protected]

FINISH