Kya Nabi (ﷺ) Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain…? Wa...Rasoolullah ﷺ har jagha hazir nazir nahi...

18
The Way Of Salafiyyah.com Kya Nabi () Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain…?? The Way Of Salafiyyah.com

Transcript of Kya Nabi (ﷺ) Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain…? Wa...Rasoolullah ﷺ har jagha hazir nazir nahi...

  • The Way Of Salafiyyah.com

    Kya Nabi (ملسو هيلع هللا ىلص) Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain…??

    The Way Of Salafiyyah.com

  • Kya Nabi (ملسو هيلع هللا ىلص) Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain?

    Tehreer: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer

    Amanpuri Hafidahullah.

    Romanised: Syed Ibraheem Salafi.

    Source:

    http://www.romanquranohadees.com/index.php?

    threads/kya-nabi-har-jagha-hazir-wa-nazir-

    hain.1175/#post-4524

    ___ _ _ _

    ○ الرحيم الرحمن هللا بسم ○

    http://www.romanquranohadees.com/index.php?threads/kya-nabi-har-jagha-hazir-wa-nazir-hain.1175/#post-4524http://www.romanquranohadees.com/index.php?threads/kya-nabi-har-jagha-hazir-wa-nazir-hain.1175/#post-4524http://www.romanquranohadees.com/index.php?threads/kya-nabi-har-jagha-hazir-wa-nazir-hain.1175/#post-4524

  • Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص har jagha hazir nazir nahi hain, hayaat-e-tayyaba

    mein bhi nahi thhey aur ab jab ke Aap ملسو هيلع هللا ىلص Allah ke paas jaa chuke

    hain, tab bhi nahi hain_ nusoos Qur'an wa Sunnat aur ayimma-e-

    salaf ki tashrihaat se yehi sabit hain_ dalayil mulhaiza hon:

    QUR'AANI DALAYIL:

    ① Allah(هلالج لج) ka farmaan hain:

    يختصمون إذ لديهم كنت وما مريم يكفل أيهم أقالمهم يلقون إذ لديهم كنت وما

    "(Aye Nabi!) jab log maryam ki kifalat ke liye qura'andazi kar rahe

    thhey, tab aap unke paas nahi thhey_ na hi aap us waqt unke paas

    thhey, jab wo jhagad rahe thhey." (Aal Imran: 44)

    Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah farmate hain:

    كأنّك ذلك على هللا أطلعك بل جرى، عّما معاينة عنهم فتخبرهم محّمد يا عندهم كنت ما :أي

    يكفلها أيّهم مريم شأن في اْقترعوا حين أمرهم، من كان لّما ّوشاهدا حاضرا كنت .

    "Aye Muhammad (ملسو هيلع هللا ىلص)! aap unke paas nahi thhey ke is waqiye ka

    aankho dekha haal bayaan karte, balke Allah ney aap ko bata diya,

    goya aap us waqt unke paas maujood thhey, jab wo maryam (aalihis

    salaam) ke ma'aamle mein qira'andazi kar rahe thhey." (Tafseer

    Ibne Kaseer: 42/2)

    ② Farmaan-E-Bari'Ta'ala hain:

  • الشاهدين من كنت وما األمر موسى إلى قضينا إذ الغربي بجانب كنت وما

    "(Aye Nabi)! aap kohe toor ki maghribi janib hazir na thhey, jab

    humne Musa (aalihis salaam) ko nabuwat aata farmayi thi, na tou

    aap maujood thhey aur na aap dekh rahe thhey." (Al Qasas: 44)

    Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah farmate hain:

    إليك حاه أو هللا ولكنّ لّذلك، حاضرا ماكنت :أي

    "(Aye Nabi)! aap us waqiya ke waqt hazir na thhey, balke Allah ney

    aap ko iski ittelaa ba'zariya-e-wahi di hain." (Tafseer Ibne Kaseer:

    240/6)

    ③ Farmaan-E-Bari'Ta'ala hain:

    قبلك من نذير من أتاهم ما قوما لتنذر ربك من رحمة ولكن نادينا إذ الطور بجانب كنت وما

    يتذكرون لعلهم

    "Jab humne awaaz di thi, tab aap toor ki taraf nahi thhey, balke ye

    aap ke parwardigaar ki taraf se ek rahmat hain, is liye ke aap in

    lougon ko hoshiyaar kar dey, jinke paas aap se pehle koi darane

    wala nahi pohcha aur wo nasihat hasil kar ley." (Al Qasas: 46)

    ④ Farmaan-E-Ilahi hain:

    مرسلين كنا ولكنا آياتنا عليهم تتلو مدين أهل في ثاويا كنت وما

    "(Aye Nabi)! aap madyan mein muqeem nahi thhey ke un par

    hammari aayaat tilawat karte, balke ye khabren hum hi (aap tak)

    pohchane wale hain." (Al Qasas 45)

  • ⑤ Irshaad-E-Bari'Ta'ala hain:

    يختصمون إذ األعلى بالمإل علم من لي كان ما

    "(Keh dijiye ke) mujhe un buland qadr fariston ki baat cheet ka koi

    ilm nahi, jab wo takra rahe thhey." (Saad: 69)

    ⑥ Farmaan-E-Bari'Ta'ala hain:

    يمكرون وهم أمرهم أجمعوا إذ لديهم كنت وما إليك نوحيه الغيب أنباء من ذلك

    "Ye ghaib ki khabren hain, jo hum aap ki taraf wahi karte hain_

    aap Ikhwaan-E-Yusuf ke paas na thhey, jab unhune (Yusuf (aalihis

    salaam) ko koowan mein phenkne ka) pokhta azm kar liya tha, wo

    makr kar rahe thhey." (Yusuf: 102)

    Imam Ibne Jareer Tabri Rahimahullah (310-224 hijri) likhte hain:

    على عزائمهم وصّحت آراؤهم، واتّفقت أجمعوا، إذ يوسف، إخوة عند حاضرا كنت وما يقول؛

    الجبّ غيابة في يوسف يلقوا أن

    "Allah Ta'ala ney Nabi-E-Kareem ملسو هيلع هللا ىلص se farmaya ke aap us waqt

    Yusuf (aalihis salaam) ke bhaiyon ke paas hazir nahi thhey, jab

    unhune Yusuf (aalihis salaam) ko gehrey koowan mein phenkne ka

    poora irada kar liya tha aur is bareme in ki aaraa muttafiq hogayi

    thi aur inke azm pokhta ho gaye thhey." (Tafseer Al-Tabri: 98/13)

    In dalayil se sabit hota hain ke Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص har jagha hazir wa

    nazir nahi hain, iske bawajood baaz loug Nabi-E-Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ka har

  • jagha hazir wa nazir hona Qur'an wa Hadees se sabit karne ki

    koshis karte hain, jabke sahaba, tabayeen aur ayimma-e-deen mein

    se koi bhi ye aaqidah nahi rakhta tha, sawaal hain ke kya Aslaaf-E-

    Ummat in dalayil se waqif thhey?

    Agar thhey aur yaqinan thhey, tou aakhir inhune in dalayil ki

    roushni mein aaqidah hazir wa nazir sabit kuy nahi kiya, jabke wo

    sab se badh kar Kitaab wa Sunnat ko samhjne wale aur iske

    mutabiq aaqidah bananey wale thhey_ unka ye aaqidah aqtiyaar na

    karna is baat ki wazeh daleel hain ke aaqidah hazir wa nazir

    gumrah'kun aaqidah hain_

    Faham-e-salaf-e-saleheen ki mukhalifat wahi kar sakta hain, jo

    aaqidah-e-ahle'sunnat se munharif hoga_

    Baaz loug Nabi-E-Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ke har jagha hazir wa nazir hone par

    ye aayat paish karte hain:

    الفيل بأصحاب ربك فعل كيف تر ألم

    "(Nabi!) kya aap jaante hain ke tere Rab ney hathi walon ka kya

    hashr kiya.?" (Al Feel: 1)

    Ruyiat do tarha ki hoti hain, basri aur ilmi, mazkorah aayat mein

    ruyiat-e-ilmi hain, jabke baaz ahbaab yahan ruyiat-e-basri muraad

    letey hain aur bawar karne ki koshis karte hain ke Nabi-E-Kareem

    ney hathi walon ki halakat ka mushaahidah kiya hain_ ye qur'an ملسو هيلع هللا ىلص

    ki wazeh tehreef hain_

    Imam Bukhaari Rahimahullah ney "Alam Tara" ka ma'na "Alam

    Ta'lam" kiya hain_ (Sahih Bukhaari: Qabl Al Hadees: 4700)

  • Lehaza yahan ruyiat-e-ilmi muraad hain, zara is Farmaan-E-

    Bari'Ta'ala par bhi gaour kijiye:

    مبين خصيم هو فإذا نطفة من خلقناه اأن اإلنسان ير أولم

    "Kya insaan jaanta nahi ke humne usse ek haqeer nutfey se paida

    kiya aur ab wo khullam khulla jhagadta phir raha hain." (Yaseen:

    77)

    Kya koi yahan "yara" ka ma'na "dekhna" kar sakta hain? yaqinan

    yahan ruyiat-e-ilmi muraad hain_

    Kya is aayat mein bhi ruyiat-e-basri hi muraad li jayegi?:

    قرن من قبلهم من أهلكنا كم يروا ألم

    "Kya wo (kuffaar) jaante nahi ke humne inse pehle kitni qaoumon

    ko halaak kiya." (An'aam: 6)

    Koi hain, jo yahan bhi ruyiat-e-basri muraad ley kar kuffaar-e-

    makkah ke har jagha hazir wa nazir hone ka aaqidah paish karega?

    Is jaisi aur behat se aayaat maujood hain, har aayat mein ruyiat-e-

    ilmi hi muraad hain_

    HADEESI DALAYIL:

    ① Sayyidah Aisha (Radhi Allahu Anha) bayaan karti hain:

    فالتمسته الفراش، ّمن ليلة وسلّم عليه هللا صلّى هللا رسول فقدتّ

  • "Maine ek raat Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ko bistar se gom paaya, tou Aap ملسو هيلع هللا ىلص ko

    talaash karne lagi___." (Sahih Muslim: 192/1, Hadees: 486)

    ② Sayyiduna Abu Qatadah (Radhi Allahu Anhu) bayaan farmate

    hain:

    نبيّهم فقدوا وقد النّاس، أصبح

    "Subha huwi, tou lougon ney Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ko gom paaya." (Sahih

    Muslim: 239/1, Hadees: 681)

    ③ Sayyiduna Abdullah Bin Masood (Radhi Allahu Anhu) farmate

    hain:

    اغتيل، أو استطير فقلنا؛ والّشعاب، األودية في فالتمسناه ففقدناه ليلة ذات هللا ولرس مع كنّا

    رسول يا فقلنا؛ قال؛ حراء، قبل ّمن جاء هم إذا أصبحنا فلّما قوم، بها بات ليلة بشرّ فبتنا قال؛

    قوم بها بات ليلة بشرّ فبتنا نجدك فلم فطلبناك فقدناك هللا،

    "Hum ek raat Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke sath thhey, aap kahin gom hogaye,

    humne aap ko wadiyon aur ghatiyon mein talaash kiya_ phir humne

    socha ke aap par jinno ya insano ney hamla na kardiya ho_ wo saari

    raat humne pareshani mein aur aaziyat mein basr ki_ subha huwi

    tou Aap ملسو هيلع هللا ىلص ghaar-e-hira ki janib se tashreef laaye_ humne arz kiya:

    Allah ke Rasool! hum aap ko talaash karte rahe, lekin aap na mile,

    poori raat pareshani aur aaziyat mein guzri___." (Sahih Muslim:

    184/1, Hadees: 450)

    ④ Sayyidah Aisha (Radhi Allahu Anha) bayaan karti hain:

  • ثمّ فتحّسست نسائه، بعض إلى ذهب أنّه فظننت ليلة، ذات وسلّم عليه هللا صلّى النّبيّ تّ افتقد

    أنت االّ إله ال وبحمدك سبحانك يّقول؛ ساجد أو راكع هو فإذا رجعت،

    "Ek raat maine dekha ke Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص apne bistar par nahi thhey,

    maine samjha ke aap kisi biwi ke ghar chale gaye hoge_ maine

    talaash kiya, phir wapas lauti tou Aap ملسو هيلع هللا ىلص ruku ya sajdeh mein ye

    dua padh rahe thhey: subhaanaka wa bihamdika laa ilaaha illa

    anta." (Sahih Muslim: 192/1, Hadees: 485)

    ⑤ Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte

    hain:

    الّصلوات بعض في أناسا فقد وسلّم عليه هللا صلّى هللا رسول إنّ

    "Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ney ek namaz mein kuch lougon ko gom paaya."

    (Sahih Muslim: 232/1, Hadees: 651)

    ⑥ Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte

    hain:

    عنها فسأل وسلّم، عليه هللا صلّى هللا رسول ففقدها شابّا أو المسجد تقمّ كانت سوداء امرأة إنّ

    مات فقالوا؛ عنه، أو

    "Ek siyah faam aurat ya nawjawaan masjid mein jhaadou diya

    karta tha_ Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ney usse gom paaya, tou uske bareme

    dariyaafth farmaya_ sahaba kiraam ney arz ki: uski wafaat ho

    gayi." (Sahih Muslim: 309/1, Hadees: 906)

    ⑦ Sayyiduna Aanas Bin Malik (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte

    hain:

  • لك أعلم أنا هللا، رسول يا رجل؛ فقال قيس، بن ثابت افتقد وسلّم، عليه هللا صلّى النّبيّ إنّ

    رأْسه منّكسا بيته، في جالسا فوجده فأتاه علمه،

    "Nabi-E-Akram ملسو هيلع هللا ىلص ney Sabit Bin Qais (radhi allahu anhu) ko gom

    paaya_ ek aadmi ney arz kiya: Allah ke Rasool! main aap ko unke

    bareme aaghahi deyta hon_ wo shaksh aaya tou dekha ke wo apne

    ghar mein sar jhukaye baithey hain." (Sahih Bukhaari: 510/1,

    Hadees: 3613)

    ⑧ Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte

    hain:

    فذهب فانسلّ جنب وهو المدينة، طرق ّمن طريق في وسلّم عليه هللا صلّى النّبيّ لقي إنّه

    هريرة؟ أبا يا كنت أين قال؛ جاءه فلّما وسلّم عليه هللا صلّى النّبيّ فتفقّده فاغتسل،

    "Main madina-e-munawwara ke ek raaste mein Nabi-E-Akram ملسو هيلع هللا ىلص se

    mila_ us waqt main janabat ki halat mein tha, lehaza chopke se

    wahan se chala gaya aur jaa kar ghusl kiya_ Nabi-E-Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ney

    mujhe gom paaya, main jab wapas aaya tou Aap ملسو هيلع هللا ىلص ney farmaya:

    Abu Huraira! aap kahaan thhey?" (Sahih Muslim: 162/1, Hadees:

    371)

    ⑨ Sayyiduna Qurrah Bin Iyas (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte

    hain ke ek ansari sahabi ka Nabi-E-Akram ملسو هيلع هللا ىلص ke paas aana jaana

    tha_ unke sath ek bachcha bhi huwa karta tha_ ek din Nabi-E-

  • Akram ملسو هيلع هللا ىلص ney unse farmaya: kya aap isse muhabbat karte hain?

    sahabi ney arz kiya: ji han, Allah ke Rasool!_

    ابنه مات !هللا رسول يا فقالوا؛ عنه، فسأل وسلّم، عليه هللا صلّى النّبيّ فقده

    "Nabi-E-Akram ملسو هيلع هللا ىلص ney usse gom paaya, tou us ke bareme dariyaafth

    farmaya_ sahaba kiraam ney arz ki: Allah ke Rasool! uska beta fout

    hogaya hain." (Musnad Al-Tayalisi: 145, Musnad Al-Imam Ahmed:

    436/3, Sunan Al-Nasaa'i: 1871, Al-Mustadrak Ala Al-Sahihain Lil

    Haakim: 384/1, Wa Sanadahu Sahih)

    Is hadees ko Imam Ibne Hibbaan Rahimahullah (2947) ney "sahih"

    kaha hain.

    Imam Haakim Rahimahullah farmate hain:

    اإْلسناد صحيح حديث هذا

    "Is hadees ki sanad sahih hain."

    Hafiz Zehbi Rahimahullah ney bhi isse "sahih" qaraar diya.

    Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ney iski sanad ko "sahih" kaha

    hain." (Fath Al-Bari: 361/3)

    ⑩ Sayyiduna Abu Barzah Aslami (Radhi Allahu Anhu) bayaan

    karte hain:

  • هل ألصحابه؛ قال عليه هللا أفاء فلّما قال؛ لّه، غزوة في وسلّم عليه هللا صلّى هللا رسول خرج

    ال، قالوا؛ أحد؟ من نفقدون هل انظروا قال؛ فالنا، ّونفقد فالنا نفقد قالوا؛ أحد؟ من تفقدون

    قتلهم، قد سبعة جنب إلى فوجدوه فطلبوه قال؛ القتلى في فاطلبوه قال؛ جليبيبا، أفقد لكنّي قال؛

    قتلوه ثمّ

    "Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ek ghazwe mein nikley_ jab Allah(هلالج لج) ney aap ko

    maal-e-ghanimat aata kiya tou Aap ملسو هيلع هللا ىلص ney sahaba se farmaya: koi

    sahabi yahan se ghaib tou nahi? sahaba ney arz ki: falaan aur

    falaan nahi hain_ farmaya: dekho, kya koi aur bhi hain jo mil na

    rahen hon? sahaba ney arz kiya: nahi, Aap ملسو هيلع هللا ىلص ney farmaya: julaybib

    nazr nahi aa rahen? inhen makhtoleen mein talaash karo_ sahaba

    kiraam ney talaash kiya tou unhen saat kuffaar ke pehlo mein

    paaya, jinhen Julaybib (radhi allahu anhu) ney khatl kiya tha, phir

    kuffaar ney unhen shaheed kar diya tha." (Musnad Al-Imam

    Ahmed: 422/4, Sahih Muslim: 2472)

    In dalayil se wazeh taur par maloom ho raha hain ke Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

    apni hayaat-e-mubaraka mein bhi har jagha hazir wa nazir na

    thhey_ Aap ملسو هيلع هللا ىلص sahaba kiraam se aur sahaba kiraam Aap ملسو هيلع هللا ىلص se gom

    ho jaya karte thhey_ aagar Aap ملسو هيلع هللا ىلص har jagha hazir wa nazir thhey

    tou aisa kuy hota tha?

    ⑪ Sayyiduna Mughirah Bin Shobah (Radhi Allahu Anhu) bayaan

    karte hain:

    فانطلق فأخذتها، اإْلداوة، خذ !مغيرة يا فقال؛ سفر، في وسلّم عليه هللا صلّى النّبيّ مع كنت

    حاجته فقضى عنّي، توارى حتّى وسلّم، عليه هللا صلّى هللا رسول

    "Main Nabi-E-Akram ملسو هيلع هللا ىلص ke sath ek safar mein tha_ Aap ملسو هيلع هللا ىلص ney

    farmaya: Mughirah! (pani wala) bartan pakdou_ maine bartan

  • pakad liya_ phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص chaltey gaye hatta ke mujh se chop gaye aur

    qaza-e-hajat se farigh huwe." (Sahih Al-Bukhaari: 52/1, Hadees:

    363, Sahih Muslim: 133/1, Hadees: 274)

    Kya jo shaksh doosron se itna door ho jaye ke inki aankho se oujhal

    ho jaye, wo har jagha hazir wa nazir hota hain? aqli taur par bhi

    mahaal aur namumkin hain ke Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص har jagha hazir wa

    nazir hon, kuy ke har jagha mein tou gandagi aur ghalazat wali

    jaghen bhi shamil hain, neez lougon ki khalwat'gha hain aur aisi

    jaghen bhi shamil hain jinko ek aam musalmaan bhi dekhna pasand

    nahi karta_ kisi musalmaan ke liye kaise mumkin hain ke wo Aap ملسو هيلع هللا ىلص

    ke apne paas hazir wa nazir hote huwe apni zindagi ke saarey

    maamlaat ko anjaam dey sake, behat se jaiz maamlaat aise hain ke

    ek musalmaan mar tou sakta hain lekin in ko kisi doosren

    musalmaan bhai ke saamne bhi anjaam nahi dey sakta che'jaye'ke

    Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke hazir wa nazir hote huwe wo aisa kare?

    ⑫ Sayyidah Aisha (Radhi Allahu Anha) bayaan karti hain:

    كنت؟ أين فقال؛ جئت، ثمّ العشاء، بعد ليلة وسلّم عليه هللا صلّى هللا رسول عهد على أبطأت

    فقام قالت؛ أحد، من وصوته قراءته مثل أسمع لم أصحابك، ّمن رجل قراءة أستمع كنت قلت؛

    الّذي هلل الحمد حذيفة، أبي مولى سالم هذا فقال؛ إلّي، التفت ثمّ له، استمع حتّى معه وقمت

    هذا مثل أّمتي في جعل

    "Maine Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke zamane mein ek raat ishaa ke baad deer

    kardi, phir aayi tou Aap ملسو هيلع هللا ىلص ney pouchaa: kahaan thi aap? arz kiya:

    main aap ke ek sahabi ki qiraat sun rahi thi, maine na uski qiraat ki

    tarha koi qiraat suni hain, na uski awaaz ki manid koi awaaz_ phir

    Aap ملسو هيلع هللا ىلص khade huwe aur main bhi aap ke sath khadi hogayi hatta ke

  • Aap ملسو هيلع هللا ىلص ney qari ki qiraat suni, phir meri taraf tawajju ki aur

    farmaya: ye Abu Huzaifa ke aazaad karda ghulaam saalim hain_

    tamaam tareefen ussi Allah hi ke liye hain jisne meri ummat mein is

    tarha ke loug paida kiye hain." (Sunan Ibne Maajah: 1338, Musnad

    Al-Imam Ahmed: 165/6, Musnad Al-Bazzaar: 2694, Al-Mustadrak

    Ala Al-Sahihain Lil Haakim: 225,226/3, Wa Sanadahu Sahih)

    Is hadees ko Imam Haakim Rahimahullah ney bukhaari wa muslim

    ki shart par "sahih" qaraar diya hain_ hafiz zehbi ney inki

    muwafiqat ki hain_

    Hafiz Haishmi farmate hain:

    لّصحيحا رجال ورجاله

    "Is ke rawi sahih bukhaari wale hain." (Majmu Al-Zawaid: 300/9)

    Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah ney iski sanad ko "jayid" kaha

    hain_ (Muqaddamah Tafseer Ibne Kaseer: 63/1, Bitehqeeq Abdur

    Al-Razzak Al-Mehdi)

    Hafiz Busiri Rahimahullah kehte hain:

    ثقات رجاله صحيح، إسناد اهذ

    "Ye sanad sahih hain aur iske saare rawi siqa hain." (Misbah Al-

    Zujajah: 534/1)

  • ⑬ Nabi-E-Akram ملسو هيلع هللا ىلص ney farmaya:

    مكانك؟، في التمستك فقد اللّيلة، كنت أين !هللا رسول يا فقال؛ عنه، هللا رضي بكر أبو أتاني

    اللّيلة المقدس بيت أتيت أنّي أعلمت فقال؛

    "Abu Bakr (Radhi Allahu Anhu) mere paas aaye aur kehne lagey:

    Allah ke Rasool! aap kahaan thhey? maine aap ko aap ke ghar mein

    talaash kiya tha_ maine kaha: kya aap ko maloom hain ke main aaj

    raat baital maqdis gaya tha?" (Al-Maujam Al-Kabeer Lit Tabraani:

    283/7, Hadees: 7142, Tehzeeb Al-Aasaar Lit Tabri: 2775, Musnad

    Al-Bazzaar: 3484, Dalayil Al-Nabuwa Lil Bihaqi: 107-109/2, Wa

    Sanadahu Hasan)

    Imam Bihaqi Rahimahullah ney is ki sanad ko "sahih" kaha hain_

    ⑭ Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ney gazwa-e-uhad ke mauqe par Saad Bin Abi

    Waqaas (Radhi Allahu Anhu) se farmaya:

    ياسعد اليوم كنت أين !

    "Saad! aaj aap kahaan thhey." (Al-Mustadrak Ala Al-Sahihain Lil

    Haakim: 26/3, Hadees: 4314, Wa Sanadahu Hasan)

    Qarayeen kiraam! Aap in quraani aayaat-e-mubaraka aur sahih

    aahadees-e-nabawiyah par gaour karen aur kudh faisla kare ke

    Rasoolullah (ملسو هيلع هللا ىلص) ke hazir wa nazir hone ka aaqidah quran wa sunnat

    ke muwafiq hain ya mukhalif? Allah(هلالج لج) ney kudh Aap (ملسو هيلع هللا ىلص) ke

    mukhtalif maqamaat par hone ki nafi ki hain, is tarha kudh Rasool-

  • E-Akram (ملسو هيلع هللا ىلص) sahaba kiraam se istefsaar farmate thhey: "aap

    kahaan thhey?", neez sahaba kiraam bhi Aap (ملسو هيلع هللا ىلص) se pouch leyte

    thhey: Aap (ملسو هيلع هللا ىلص) kahaan thhey? aagar Nabi-E-Akram (ملسو هيلع هللا ىلص) har jagha

    hazir wa nazir hote, tou aap ko aur sahaba kiraam ko ye kehne ki

    kya zarorat thi?

    phir hazir wa nazir ka aaqidah rakhen wale yehi hazraat ilm-e-

    ghaib ka aaqidah bhi rakhte hain_ bhala jo kisi jagha maujood hon,

    wahan ki baat uske liye ghaib kaise huwi? ilm wa aamal ka kya

    taqaza hain? quran wa hadees kis taraf rehnumayi karta hain? aur

    haq wa insaaf ki kya pukaar hain? faisla aap par hain!!!

    Dua hain ke Allah(هلالج لج) humme rahe haq par gaamzan farmaye_

    Aameen….!!!

    Mazeed Articles ke Liye Hamara Blog Visit Karen The Way of Salafiyyah.com

    Hamare Face Book PAGE ko Visit Karke LIKE Karen

    LINK : https://www.facebook.com/thewayofsalafiyyah/

    Aapka Face Book APP mein Hamare PAGE Aisa Search Karen :