Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki...

13
www.livequraneverymoment.org Juz 5 (Question And Answers)

Transcript of Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki...

Page 1: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

www.livequraneverymoment.org

Juz 5 (Question And Answers)

Page 2: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 2

JUZ 5(24-56) PART 1 Q1. Muhsinat Kaun Si Aurtein Hai ? A1. ح ص ن Ka Matlab Hai Qila.Muhsinat Woh Aurtein Hai Jo Khandan Ke Qile Me Ho Yani Qaandani Aurtein Ya Phir Nikaah Ke Qile Me Yani Shaadi Shudha Aurtein. Q2. Ayat 24 Nikaah Ke Maqasid. A2. 1) Mard Ke Liye Maal Kharch Karna(Jab Zimmedari Ke Qabil Ho Aur Mehar Dene Ki Istetat Ho). 2) Ghar Basana, Nasl Badana. 3) Badkari Ke Liye Nahi Ya Shahwat Ke Liye Nahi. Q3.Mehr Ki Aadaygi Main Kya Kami Peshi Ki Jaa Sakti Hai? A3. Shohar Biwi Baham Razamandi Se Kami Peshi Kar Sakte Hai Jaise Kuch Ya Sab Kuch Maaf Kar Dena, Ya Shohar Badha Kar De Ya Jaise Nagad Me Tay Hua Ho To Uske Badle Sona Ya Zameen De. Q4. Mehar Ki Adayi Farz Hai. Daleel. A4. Ji Haan Farz Hai . Surah Nisa Ayat 24 :

نه ََأَ َفَ ُه َجهوه ةَ َُتاوهُنه َأ ف ِهيض

Q5. Ayat 25 : Agar Koi Khandani Aurat Se Shaadi Karne Ki Istetat Nahi Rakhta Ho To Use Kya Karna Chahiye.? A5. Pahle Darje Par Sabr Karna Chahiye(Rozon Ke Zariye).Agar Use Gunaah Me Mubtela Hone Ka Dar Ho To Wo Ghulam Aurat Yak KAm Status Wali Aurat Se Bhi Shaadi Kar Sakta Hai. Q6. Ayat 25 : Bandi Se Nikah Par Unke Mehr Ki Adaygi Kisko Hogi? Nikaah Ke Liye Kin Sifaat Ko Dekhna Chahiye? A6. Khud Aurat Jisse Nikah Ho Raha Ho(Bandi Ko) Use Hogi.

1) Mominah. 2) Pakdaman. 3) Badkari Karne Wali Na Ho. 4) Uske Chipe Dost Na Ho. 5) Un Aurto Ki Niyat Ghar Basane Ki Ho.

Q7. Agar Bandi Badkari Kare To Use Kitni Saza Hai Aur Kyun? A7. ½ Saza Jaise 50 Kode. Kyun Ki Use Tarbiyat Nahi Mili Jaise Khandaani Aurat Ki Tarah.

Q8. Ayat 26: Allah Apne Ehkamat Khol Khol Kar Kyun Bata Rahe Hai ? A8. Hamari Rehnumayi Ke Liye. Ye Allah Ki Meherbaani Hai.

Page 3: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 3

Q9. Khaheshaat Ki Pairwi Karne Wale Kaun Hai? Wo Kya Chahate Hai? A9. Jo Shehwat Ki Buniyad Par Faisla Karte Hai. Jo Nikah Aur Shariat Ke Ahkamat Par Yakeen Nahi Rakhte. Wo Chahte Hai Ki Hum Bhi Jhuk Jaye Ya Gumrah Ho Jaye. Q10. Ayat 29 : Baatil Tareeqe Se Maal Khanna Kya Hai.Usme Kya Kya Aata Hai Chand Likhiye. A10. Dhoka, Fareb, Jhooth Bolkar, Jhooti Kasam Khaa Kar,Yateemon Ka, Bewaon Ka Maal Hadapna, Gabn Karna, Haram Cheezo Ki Tijarath, Saamne Wale Ki Majboori Ka Fayda Uthakar,Kaam Pura Na Karna Lekin Ujrat Puri Lena, Naaptol Me Kami, Kutton Ki Fahesha Ki Kamayi, Nujoomi Ki Ujrath Ki, Bazaron Me Maal Ki Khilllat Karke Daam Badhana. Q11.Ayat 29 : Apne Nafson Ko Qatl Karne Se Muraad? A11. 1) Khud Kashi. 2) Musalman Bhai Ka Qatl Karna. Q12. Khud Kashi Karne Wale Ke Liye Kya Saza Hai? A12. Jis Cheez Se Khud Kushi Karega Wo Qayamat Ke Din Tak Hardin Us Cheez Se Saza Diya Jayega. Q13. Kabeera Gunaah Kaun Kaun Se Hai? (1`) Jisme – Had Jaari Ho. 2) Laanat Ho. 3) Jahannum Ki Wayeed ho. Shirk.,Aulaad Ka Qatl( Abortion).,Zina,Qatl,Walidain Ka Nafarmani,Jhooti Kasam Khana,Jhoot,Sood.,Jadu.,Yateemo Ka Maal Khana.,Masoom Aurat Par Ilzam Lagana,Jihad Se Peeth Pherna.,Sharab.,Farz Namaz Chod Na. Q14. Ayat 32 : Allah Ne Kaise Baaz Ko Baaz Par Fazilat Di Hai? A14. Maal Me, Khobsurti, Ilm, Quwwat, Martaba, Mukam, Mard Aur Aurat Ki Taqleeq Me. Q15. Ayat 32 : Tamanna Kya Cheez Hai Aur Kis Ki Nahi Karna Chahiye? A15. Tamanna Aisi Khahish Hai Jiska Pura Hona Namumkin Ho. Khayal, Aarzoo – Jise Allah Ne Baaz Ko Fazleelat De Hai. Q16. Ayat 33 : Me Akhadat Aimaanukum Kaun Hai? A16. Jinse Haleefani Talluqaat Ho Jinse Kuch Dene Ka Wada Kiya Ho. Q17. Ayat 34 : Aurton Ke Upar Mard Kaise Qawwaam Hai? A17. Hifazat, Nigeban, Imam, Nigedaash, Established Heads-

1) Deen Qayam Karne Ki Zimmedari. 2) Saari Zimmedariyon Ka Jaise Rizq, Kapda Wagairah Ka Khayal Rakhna.

Page 4: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 4

Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar.

1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Q19. Ayat 34 : Me Hifazat Kaun Kaun Se Cheeze Shumar Hota Hai? A19. 1) Maal 2) Izzat 3) Raaz 4) Bachon. Q20. Ayat 35 : Mard Ko Sarkash Aurat Ke Saath Kya Mamla Karna Chahiye? A20 1) Mohabbat Se Nasihat.

2) Bistar Alag Karna. 3) Halka Marna – Miswak Se. 4) Dono Taraf Se Ek Munsif Ko Bitha Kar Faisla Karna Sulah Ka. 5) Talaaq.

Q21 Ayat 36 : Kin Kin Ke Saath Ehsan Ka Hukoom Hai? A21 1) Walidain. 2) Ristedaar. 3) Yateem. 4) Miskeen. 5) Padosi Rishtedar. 6) Door Ke Humsaye.7)Pehlu Ke Saathi. 8) Musafir. 9) Ghulam (Jandar Naukar). Q22 Ayat 37 : Kin Ke Liye Ruswa Karne Wala Azaab Hai? A22 Jo Bukhl Karte Hai, Logo Ko Bhi Bukhl Ka Hukm Dete Hai Aur Jo Unke Pass Allah Ka Fazl Hai Usko Chupate Hai. Q23 Ayat 39 : Shaitaan Kis Ka Saathi Hai? A23 Bukhl Aur Riyakaari Karne Walo Ka. Q24 Ayat 41 : Kaun Kiske Khilaf Gawah Hoge?

A24 Tammam Rasool Unki Ummat Ke Khilaaf Aur Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Unki Ummat Ke Khilaaf. Q25 Namaz Kin Halat Me Nahi Padhna Chahiye? A25 1) Nasha 2) Janabat 3) Haiz 4) Nifas.

Q26 Tayammum Kin Halaat Me Kiya Ja Sakta Hai? A26 1) Mareez Ko ( Aisa Marz Jisse Jaan Ki Halakat Ya Marz Badhne Ka Andesha Ho. 2) Safar Par Ho Aur Pani Na Ho. 3) Muqeem Ho Aur Pani Na Ho. Q27 Tayammum Ka Tarika Likhiye. A27 1) Hath Ko Matti(Gard) Par Mare. 2) Usko Phooke. 3) Chehre Par Masa Kare. 4) Hathon Par.

Page 5: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 5

Q28 Ayat 46 : Yahood Par Kyun Lanaat Hai? A28 Kalam Me Tehreef Karne Ke Liye Aur Allah Ki Nafarmani Karne Ke Liye Yahood Par Lanaat Hai. Q29 Shirk Kya Cheez Hai? Kuch Misaalon Se Samjhaiye. A29 Allah Ko Kisi Ke Saath Shareek Karna Shirk Hai. 1) Buth. 2)Suraj 3)Chand 4)Janwar 5) Jin Aur Shaitaan. 6) Farishte. 7) Nabiyon 8) Alim – Zinda Ya Murda 9) Khahish E Nafs Q30 Ayat 51 : Jibt Se Muraad Kya Hai? A30 Be Fayde, Be Asal,Khayali Cheeze – Jaise Shagun, Jadu,. Faal Nikalna, Badshaguni, Tone-Totge, Taweez Gande Etc Hadith : Ibn Umar Se Riwayat Jibt Sehr Hai Aur Taghoot Shaitan Hai. Q31 Ayat 56 Jahannum Ke Azab Ki Kaisi Tasweer Hai? A31 Jab Khalein Pak Jayegi To Dobara Badal Di Jayegi. Q32 Hasad Aur Buql Kya Hai? A32 Hasad – Tamanna Kare Ki Samne Wale Ki Nemat Chali Jaye – Chin Jaye.

Buql – Jahan Kharch Karna Lazim/Wajib Hai Waha Na Kare.(Ilm, Maal Eg – Zakat Kisi Cheez Ko Rok Lena)

JUZ 5 SURAH NISA(57-86) PART 2.

Q1 Jannat Me Kin Tarah Ki Nehre Hogi? A1 Jannat Me Char Tarah Ki Nehre Hogi:

1) Doodh Ki. 2) Paani Ki. 3) Shad Ki. 4) Sharab Ki.

Q2 Jannat Ke Saye Ke Bare Me Aap Kya Jante Hai? A2 Jannat Ke Saye Itne Bade Aur Ghane Honge Ki Ek Ghudsawar Ko Paar Karne Ke Liye 100 Saal Lagege.

Q3 Ayat 58 : Me Kaunsi Amaanaton Ka Zikr Hai? A3 1) Amaanat Jo Ek Shaqs Doosre Shaqs Ke Paas Rakhwaye.

2) Deen Jo Amanat Hai. 3) Amanat Ahl – Jo Shaqs Kaam Ke Kabil Hai Usko Dena. 4) Zimmedari.

Q4 Amanat Kya Cheez Hai ? A4 Kullu Waseeyatun Amaanah.

Har Supurt Ki Gayi Cheez Amanat Hai.

Page 6: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 6

Q5 Ayat 59 : Kin Kin Ki Itaat Ka Huqm Hai? A5 Allah, Rasool(Saws) Aur Ulil Amr.

Q6 Allah Ki , Rasool Ki Aur Ulil Amr Ki Itat Main Kya Farq Hai? A6 Allah Aur Rasool Ki Itat Ghair Mashroot Hai. Ulil Amr Ki Itat Mashroot Hai- Inke Hukm Allah Aur Rasool Ke Huqm Ke Khilaf Na Ho.

Q7 Kisi Maamle Me Tanaza Ho To Kya Karna Chahiye. A7 Allah Aur Rasool Ki Taraf Pherna Chahiye.Quran Aur Sunnat Ke Mutabiq Faisla Karna Chahiye.

Q8 Ayat 60 : Me Kiska Zikr Hai. Isme Tagoot Kaun Hai? A8 : Ayat 60 Me Un Logo Ka Zikr Hai Jo Iman Ka Dawa Karte Hai Lekin Apne Faisle

Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ke Bajaye Taghoot Se Karwate Hai. Khaas Context Me Kaab Bin Ashraf Aur Aam Context Me Wo Musalman Jo Allah Aur Rasool Ki Itat Na Karne Wale Hai.

Q9 Jab Munafiqon Ki Munafaqat Khul Jate To Wo Kya Karte Hai? A9 Qasm Khate Hai Ki Unka Irada Ahsan Ka Tha Aur Musalmano Aur Gair Musalmano Ke Beech Muafiqat Ka Tha.

Q10 Ayat 63 Munafiqoon Ke Saath Momin Ko Kya Mamla Karna Chahiye? A10 Airaz Barathna Chahiye Aur Pahuchne Wali Yani Dil Ko Asar Karne Wali Nasihat Karni Chahiye.

Q14 Galti Hone Par Hame Kya Karna Chahiye. A14 Baqshish Mangna Chahiye.

Q15 Doosre Ke Liye Dua Karne Par Ek Hadees Likhiye. A15 (Hadees Ka Mafhoom)Jab Koi Shaqs Kisi Momin Ke Liye Kuch Mangta Hai To Allah Uske Liye Ek Farishta Muqarrar Kar Deta Hai Aur Wo Farista Yeh Dua Karta Hai Ki – Jo Ye Banda Uske Liye Maang Raha Hai Tu Isko Bhi Ata Kar.

Q16 Ayat 65 : Is Ayat Me Momin Hone Ki Kya Shart Batayi Gayi Hai?

A16 1) Munsif Banaye – Koi Bhi Iktelaaf Me Nabi(ملسو هيلع هللا ىلص) Ko Munsif Banaye.

2) Aap(ملسو هيلع هللا ىلص) Ke Faisle Ke Baad Dil Nahi Tang Karna Hai. 3) Poore Faisle Ko Apne Upar Apply Kar Lena- Maan Lena.

Q17 Munafiqon Par Kaun Si Cheeze Bhaari Hai? A17 Itat –E – Rasool, Qital(Jihad), Hijrath.

Q18 Ayat 69 : Kis Ki Tafseer Hai? A18 Surah Fatihah – “An Amta Alaihim”

Page 7: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 7

Q19 Allah Ne Kin Kin Par Inaam Kiya Hai? Yeh Kaun Hai ? Inki Tareef Likhiye? A19 1) Nabi – Ambiya – Har Daur Me Alag Alag Waqt Par Alag Alag Qaum Me Aye Jo Tawheed Ka Paigaam Lekar Aye. 2) Siddiqeen – Sache Amal Se Imaan Ki Tashdeeq Karne Wale Jaise Sahaba. 3) Shaheed – Jung Me Allah Ka Kalima Buland Karte Hue Jaan Dene Wale. Gawah – Ummat E Musalmaan. 4) Saliheen – Har Daur Me Nek Log Jog Apni Ghaltiyon Ki Isla Karte Hai.

Q20 Ayat 72,73 – Jab Momin Ko Koi Museebat Milti Hai To Munafiqon Ka Rawayya Kaisa Hota Hai, Aur Fazl Milta Hai Toh Kaisa Hota Hai? A20 Jab Museebat Aati Hai To Kehte Hai Ki Yeh Allah Ka Inam Hua Ke Hum Unme Nahi The. Jab Fazal Milta Hai To Kehte Kaash Hum Bhi Unke Saath Hote.

Q21 Ayat 75 : Kin Par Jung Ki Targheeb Dilayi Ja Rahi Hai? A21 Jo Mard, Aurtein, Kamzor Aur Bachche Peeche Re Gaye Jinpar Kaafir Zulm Karte. Q22 Duniya Aur Akhirat Ki Zindagi Ke Bare Me Aap Kya Jante Hai? A22 Akhirat Ki Zindagi Daime(Hamesha Ke Liye) Aur Behtar Hai - Jo Taqwa Karte Hai Unke Liye. Duniya Ki Zindagi Kuch Waqt Ke Liye Hai. Akhirat Ki Zindagi Chahiye To Duniya Ki Zindagi Allah ko Razi Karne Guzarna Hoga.. Q23 Ayat 78,79 Har Nemat Aur Takleef Kis Ki Taraf Se Hoti Hai? Munafiq Iske Bare Me Kya Kehte Hai? A23 Har Nemat Allah Ki Taraf Se Hai. Munafiq Kehte Hai Nemat Allah Ki Taraf Se Hai

Aur Takleef Rasool(ملسو هيلع هللا ىلص) Ki Taraf Se Hai. Q24 Rasool Ki Itat Lazeem Hai Ki Nahi. Daleel Dijiye A24 Rasool Ki Itat Lazeem Hai. Ayat 80. Q25 Ayat 82 Quran Me Tadabbur Ko Samjahaiye. A25 Kam Ke Anjam Ko Sonchna.

Q26 Ayat 83 : Agar Koi Khabar Mile Toh Kya Karna Chahiye. A26 Rasool Aur Ulil Amr Ki Taraf Lautna Chahiye.

Q27 Kisi Ko Jhoota Hone Ki Kya Nishani Hai? A27 Nishaani Ye Hai Ki Wo har Suni Sunayi Baat Ko Agey Pahuchana Shuru Kar De.

Q28 Kisko Qital Ka Hukm Diya Gaya Hai?

A28 Rasool(ملسو هيلع هللا ىلص) Ko Qital Ka Hukm Diya Jaa Raha Hai. Allah Ki Madad Jab Ayegi Jab Khud Uthenge.

Page 8: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 8

Q29 Ayat 85 Neki Aur Baurai Ki Taraf Bulaane Ke Bare Me Kya Kaha Gaya Hai? A28 Neki Par Bulane Par Isme Bhi Hissa Milega.Burai Par Bulane Par Isme Hissa Bhi Milega Aur Iski Zimmedari Bhi Hogi.

Q30 Salam Ka Jawab Kaise Dena Chahiye ? A30 Jo Salam Karta Hai Usse Behtar Jawab Dena Chahiye.

PARA 5 PART 3 SURE NISA 86- 113 Q1 Ayat 88 : Me Kaunse Groho Ka Zikr Kiya Gaya Hai? A1 Musalmano(Sahaba Ikram) Ke Do Groho Ka Zikr Hai Jinke Munafiqeen Ke Baare Me Do Raay The. Ek Giroh Chahta Tha Ki Unke Saath Musalmano Ke Jaisa Sulook Kare Aur Dusra Giroh Chahta Tha Ki Unke Saath Kafiroon Jaisa Sulook Kare. Q2 Ayat 89,90,91 : Me Munafiqeen Say Jung Ke Liye Kin Baton Ka Qayaal Rakhna Chahiye? A2 1) Agar Wo Aisi Qaum Ko Belong Karte Hai Jinse Musalmano Ka Ahad Hai To Unhe Chod Dena Chahiye. 2) Agar Wo Sulah Karna Chahe – Jung Na Karna Chahe To Unhe Chod Dena Chahiye. 3) Agar Sulah Na Karke Kafiron Ki Qaum Se Milkar Wo Musalmano Se Jung Karna Chahe To Unko Mat Chodo. Q3 Qatle Qata, Amad Aur Shubha Amad Me Kya Farq Hai? A3 1) Qatle Qata : Jo Qatl Galti Se Ho Jaate Hai Bina Irade Ke Jaise Koi Accident Ya Factory Me Hadsa. 2) Qatle Amad : Jo Qatl Jaan Boojhkar Kiya Gaya Ho Use Qatle –E- Amad Kehte Hai Jaise Murder Jo Pakke Irade Se Kiya Jata Hai. 3) Qatle Shubha Amad : Nuqsan Poohchane Ka Irada Karna Lekin Qatl Ho Jana. Irada Qatl Ka Na Tha. Q4 Qatle Qata Par Kya Hukm Hai? A4 1) Ek Ghulam Azad Karna + Diyyat 100 Oonth. 2) Agar Gulam Azad Nahi Kar Sakte To Do Mahine Musalsil Roze Rakhna Aur Diyyat Bhi Dena Ya 60 Miskeen Ko Khanna Khilana. 3) Agar Dushman Qaum Se Ho Toh Diyyat Nahi Sirf Kaffara. 4) Agar Aisi Qaum Se Ho Jinse Muayada Hua Ho To Diyyat Bhi Aur Kaffara Bhi. Q5 Qatle Shubha Amad Aur Qatle Amad Par Kya Hukm Hai? A5 Qatle Shubha Amad Bhari Diyyat (Kaffara Hai) Jaise Ki Qatle Amad Lekin Qisas Nahi Hai(Jaan Ke Badle Jaan) Qatle Amad – Bhari Diyyat Hai Ya Qisas Hai – Saza E Maut. Qatl E Amad Ke Liye Saza Jahannum Hai – Allah Ka Ghazab Hai- Allah Ki Lanat Hai- Bada Azab Hai.

Page 9: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 9

Q6 Kya Abortion Karwana Jayiz Hai? Kin Halaat Me Jayiz Hai? Kisi Se Yeh Jurm Hojaye To Kya Hukm Hai? A6 Nahi, Abortion Jayiz Nahi Hai. Sabse Pehle Ye Qatl E Amad E Hoga Jiske Liye Jahannum Ka Azab Hai. Sirf Us Halat Me Jayiz Hai Jab Maa Ki Jaan Ko Khatra Ho Aur Tammam Ilaj Karwane Ke Baad Bhi Jaan Bachane Ka Koi Rasta Na Ho. Agar Kisi Se Yeh Zulm Hojaye To 5 Ooth Diyyat Dena Hoga. Q7 Ayat 94: Agar Koi Sirf Dikhawe Ke Liye Islaam Zaher Kare To Hame Unke Saath Kis Jaisa Maamla Karna Chahiye. A7 Musalman Ke Tarah Mamla Karna Hai Kyu Ki Iman ki Jagah Dil Me Hai aur Ham Kisi ka Dil Nahi Tatol Sakte Q8 Jihad Kise Kehte Hai? A8 Jaddo Jahad Koshish Karna Jihad Hai.(Utmost Struggle) Q9 Baithne Wale Aur Mujjahidoon Me Kya Farq Hai ? Misaalon Ke Saath Samjhiye Un Dono Me Kya Farq Hai? A9 Allah Ke Pass Darjo Me Farq Hai. Baithney Wale Namaz Padhte hai, Roze Rakhte Hai, Nek Amal Karte Hai Bus Allah Ke Huqooq Ada Karte Hai.Lekin Mujahid Wo Hai Jo Khud Amal Karte hai Aur Doosro Ke Liye Bhi Koshish Karte Hai Aur Deen Ki Tableeq Ke Liye Daud Dhoop Karte Hai. Q10 Ayat 97 Kin Logo Ka Zikr Hai Jinhone Hijrat Nahi Ki? Hijrat Kya Hai Aur Kin Logon Ne Karna Chahiye A10 Hijrat : Bilad E Kufr Se Bilad E Islam Ki Taraf Jaana Hai.Sirf Allah Ke Deen Ke Liye Hi Karna Hai. Jinhone Hijrat Nahi Ki Chahe To Kar Sakte The Lekin Apne Muqam Ki Wajah Se Ya Aise Hi Koi Aur Wajah Se Jaise Apne Log, Apna Watan, Apna Maal Nahi Choodna Chahte. Hijrat Unlogo Ko Karna Chahiye Jahan Deen Par Amal Karne Se Roka Jaa Raha Ho – Waha Rehna Nahi Hai. Q11 Qasr Ki Namaaz Kya Hai? Kaisey Ada Ki Jayegi? A11 Safar Ki Halat Me Namaz Ko Choti Karke Padhne ko Qasr Karna Kehte Hai. Shaher Ki Abaadi Se Door Jaaney Ke Baad Fajr – 2 Zuhr -2 Asr- 2 Magrib – 3 Aur Isha Ki – 2 Aur Witr -1. Q12 Namaze Khauf Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai? A12 Halate Khauf Me Ho Ya Muqeem Ho Ya Musafir. Muqeem Jo Khauf Me Ho To 2 Rakat Hai. 2 Iman Ke Peeche Aur 2 Jung Ke Maidan Me.

Page 10: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 10

Musafir Ke Liye Jo Khauf Me Ho To 2 Rakat Ada Karna Hai.1 Rakat Imam Ke Peeche Aur 1 Rakat Maidan E Jung Me. Q13 Ayat 105, 106 Ka Shane Nuzool. A13 Ansar Ka Ek Kabila – Banu Zafar Ka Ek Shaqs Ne Apne Humsaye Ke Ghar Se Do Cheezein Churaiye – Aata Ka Thaila Aur Zirah – Churakar Ek Yahoodi Ke Ghar Rakh Diya. Humsaye Par Shak Hua Lekin Usne Inkaar Kiya. Aate Ka Thaila Phatta Tha Jisko Dekh Kar Humsaya Yahudi Ke Ghar Pahucha. Yahudi Ne Kaha Ye Kisi Ki Amanat Hai.

Chori Khul Gayi Aur Mamla Aap(ملسو هيلع هللا ىلص) Tak Pahucha. Q14 Kya Allah Sab Jagah Maujood Hai? A14 Nahi, Allah Har Jagah Maujood Nahi Hai. Allah Ta’ala Arsh Par Hai Lekin Apne Ilm Aur Nazar Se Har Jagah Maujod Hai. Q15 Ayat 113 Allah Ka Fazl Kya Hai? A15 Quran Ka Ilm Aur Sunnat.

Q16 Ayat 113 Agar Hame Munafiqon Ke Chaal Me Nahi Phaasna Hai To Kya Karna Chahiye? A16 Quran Aur Sunnat Ko Mazbooti Se Pakadna Hai. Q17 Ayat 105,106 Ka Shane Nuzool

A17 Chor Ke Qabile Ne Uska Saath Diya – Nabi(ملسو هيلع هللا ىلص) Qabile Ke Haq Me Faisla Karne hi Wale The Ki Yeh Ayat Nazil Hui Wahi Ke Zariye.

PARA 5 PART 4 SURE NISA 114 – 147

Q1 Kya Sarghoshiyaan Acchi Cheez Hai ? Kin Tarah Ki Sarghoshiyaan Acchi Hai? A1 Nahi, Sarghoshiyaan Acchi Cheez Nahi Hai. Sarghoshiyaan Do Kism Ki Hoti Hai – Neki, Sadaqat Aur Logo Ki Islah Waghairah Ke Liye Ki Gayi To Acchi Hoti Hai Lekin Galat Kaam Ya Kisi Ke Khilaf Ki Jaye To Buri Hoti Hai.

Q2 Ayat 115 : Kis Ke Liye Jahannum Ki Saza Sunaiyi Jaa Rahi Hai?

A2 Hidayat Wazeh Hone Ke Bad Jo Rasool(ملسو هيلع هللا ىلص) Ki Mukhalifat Karega Aur Momino Ka Tareeqa E Zindagi Ko Chodkar Doosra Tareeqa E Zindagi Apnaye Use Jahannum Ke Saza Sunaiyi Jaa Rahi Hai.

Q3 Ayat 116 Shirk Kya Hai? Jo Insaan Shirk Kare Wo Kaisa Hai? A3 Allah Ke Rab Aur Ilah Hone Mein Kisi Ko Bhi Shareeq Thehrane Ko Shirk Kehte Hai.Woh Door Ki Gumrahi Me Bhatka Rehta Hai.

Page 11: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 11

Q4 Ayat 118 Allah Ne Kis Par Laanat Ki Hai? Kaun Mukarrar Hissa Lene Ka Wada Kar Raha Hai? A4 Allah Ne Iblis Par Laanat Ki Hai. Iblis Mukarrar Hissa Lene Ka Wada Kar Raha Hai

Q5 Shaytaan Kya Kya Wadey Kar Raha Hai? A5 Insano Ko Bhatkane Ka, Ummeede Dilane Ka Aur Insan Ko Jaanwaro Ke Kaan Kaatne Ka Aur Is Cheez Ka Huqm Dene Ka Ke Insan Allah Ki Taqleeq Ko Badal De.

Q6 Allah Ki Taqleeq Badalne Ka Kya Matlab Hai?Misaalen Dijiye. A6 Khud Ko Taqleeq Pasand Na Ho To Usme Tabdeeli Laye Jaise Cosmetic Surgery, Sex Change, Eyebrows Banana,Cheek Implant, Nakli Baal Lagana.

Q7 Ayat 120, 121: Shaytan Ka Wada Kaisa Hota Hai Aur Uski Pairwi Karne Walo Ka Anjaam Kya Hai? A7 Shaytan Ka Wada Dokhe Ka Hota Hai.Uski Pairwi Karne Wale Ka Anjaam Jahannum Hai Jo Bohat Bura Thikana Hai.

Q8 Deen Me Zyada Ache Log Kaun Hai? A8 Jo Apne Chehre(Zaat) Ko Allah Ke Liye Supurt Kar De, Nekokar Ho, Jo Ibrahim(As) Ki Millat Ki Pairvi Kare.

Q9 Ayat 128 Agar Koi Aurat Mard Ki Sarkashi Se Pareshan Ho To Use Kya Karna Chahiye? Mard Kis Tarah Sarkash Ho Sakta Hai? Uske Wajoohat Kya Ho Sakte Hai? A9 1) Kuch Terms Par Razi Ho Jaye. 2) Talaq, Berukhi Kare, Bura Sulook Kare, Uski Biwi Hone Ka Haqq Na Ada Kare. A) Ek Se Zyaada Biwiyan Ho Aur Uska Jhukao Doosri Ki Taraf Ho. B) Aurat Boodhi,Daaimi Mareez Ho. C) Dono Ka Mizaj Na Milta Ho. Q10 Ayat 128 Maujood Rakha Gaya Bukhl Ko? Samjhayiye A10 Sulah Aasan Nahi. Sulah Ke Waqt Insan Ko Apna Haqq Chodna Aur Dil Bada Karna Mushkil Hai.

Q11 Ayat 129 Moallaqa Kaun Hai ? Inke Bare Me Kya Hukm Hai? A11 Moallaqa – Na Shadi Shuda Ke Usko Huqooq Mile, Na Wo Talaq Shuda Ho. Mard Ke Liye Hukm Hai Ki Wo Kisi Bhi Biwi Ko Moallaqa Na Chode, Usse Islah Kare Aur Unke Bare Me Allah Se Dare.

Q12 Ayat 130 Agar Shohar Biwi Alag Ho Jaye To Kya Gunnah Hai? Agar Ho Jaye To Kya Hoga? A12 Agar Islah Ki Koi Gunjaish Na Ho To Alag Ho Jaye To Koi Gunah Nahi – Jabke Ye Sabse Napasandeeda Cheezo Me Se Hai.Allah Apni Wussat Se Dono Ko Ghani Kar Dega(Behtar Saathi Denga Aur Intezam Karega).

Page 12: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 12

Q13 Kya Allah Ko Hamari Taqwe Aur Iman Ki Zaroorat Hai? A13 Nahi Hai. Isme Hamara Apna Fayda Hai. Allah To Khud Ghani Aur Tareef Wale Hai.

Q14 Ayat 133 Allah Ke Liye Kya Mushkil Nahi ? A14 Allah Ke Liye Mushkil Nahi Ki Wo Insaan Ko Poori Tarah Khatam KarDe Aur Unki Jagah Ek Nayi Maqlooq Le Aye.

Q15 Ayat 135 Gawahi Ke Bare Me Kya Ehkamaat Hai? A15 1) Insaf Par Dena Hai. 2) Sirf Allah Ke Liye Dena Hai. 3) Khud Ke Walidain Aur Rishtedaro Ke Khilaf Ho To Bhi Dena Chahiye. 4) Kisi Bhi Wajah Se Kisi Ke Ameer Ya Gareeb Hone se Unke Haqq Me , Kisi Ke Saath Na Insafi Karte Hue Nahi Dena. 5) Adl Karne Me Haqq Par Qayam Rehna Aur Na Ki Apne Khahish Ke Mutabiq Karna. 6) Gawahi Me Baat Ko Pench Nahi Dena Hai. 7) Gawahi Se Mooh Nahi Modna Hai.

Q16 Ayat 136 : Iman Walo Kin Kin Cheezo Par Iman Lane Ka Hukm Diya Jaa Raha Hai? Wazahat Ke Saath Samjhaiye? A16 1) Allah Par Iman – A) Wajood B) Sifaat C) Roboobiyat- Rab Hona. D) Uloohiyat. 2) Farishto Par – Beshumar Hai Aur Allah Ki Ibaadat Ki Ibaadat Karte Hai. 3) Kitabe – Quran, Taurat, Injeel, Zaboor Aur Jinka Hame Ilm Nahi Hai. 4) Rasoolo Par. 5) Yaum E Akhirat : Qayamat Ek Din Qawan Hogi Aur Momin Kii Zindagi Ka Maqsad Us Din Ki Kamyabi Honi Chahiye.

Q17 Ayat 139 – 143 Munafiqon Ki Alaamat. A17 Momin Aur Kafiro Ke Beech Daavadol Hote Hai. Izzat Ke Liye Kafiro Ko Dost Banate Hai. Aayato Ka Mazak udatey Hai. Jinki Fatah Hoti Hai Unke Saath Mil Jate Hai.Allah Ko Dhoka Dete Hai. Namaz Ke Liye Jab Khade Hote Hai To Susti Karte Hai. Allah Ka Zikr Nahi Karte, Agar Karte Bhi Hai To Bahut Thoda. Q18 Munafiqon Ka Anjam ? A18 DarkiIl Asfal – Jahannum Ka Sabse Nichla Hissa.

Q19 Ayat 146 – Ajre Azeem Pane Ke Liye Kya Karna Hoga? A19 Tauba, Islah, Allah Ko Mazbooti Se Thamna. Apne Deen Ko Sirf Allah Ke Liye Khaas Kar Dena.

Q20 Allah Ke Azab Se Bachne Ke Liye Kya Karna Chahiye? A20 Iman Aur Shukr.

Q21 Is Pare Se Aapne Kya Sikha? A21 Shaadi Ka Maqsad Sirf Nasl Badhaney Aur Pak Damani Ke Liye. Zina Haram Hai. Baatil Tareeqe Se Kisi Ka Maal Nahi Khanna. Kabeerah Gunah Se Door Rahe.

Page 13: Juz 5 (Question And Answers...Juz 5 : Questions and Answers P a g e | 4 Q18 Ayat 34 Salihah Aurat Ki Sifat. A18 Shauhar Ki Farmabardar. 1) Farmabardar. 2) Ghaib Ki Hifazat Karne Wali.

Juz 5 : Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org P a g e | 13

Tamanna Aur Hasad Na Kare. Ghar Ki Duniya Me Mard Leader Hai – Qawwam Hai Aurat Muhafiz Hai. Achchi Nek Biwi Ki Khoobiwo Ke Bare Me Clearly Pata Chala. Sabse Ahsan Karna, Bukhl Na Kare. Namaz Aur Wudu Ka Sahi Tareeqa. Taghoot Aur Jibt Se Door Rahe. Amanato Ki Hifazat Karna Hai. Munafiqeen Ki Alamate. Jung Sirf Allah Ke Khatir Karna Hai. Salam Ki Ahmiyat. Qatl Kabeerah Gunah Hai. Jihad Farz E Kifaya Hai. Qasr Namaz Aur Namaze Qauf.

Q22 Tauba Kis Tarah Ki Hoti Hai? A22 Past – Ahsas(Sharminda Hona), Present – Chod Dena, Furture – Repeat Na Karna.Kasrat Se Astagfar Karna.

Q23 Munafiqeen Par Kaun Si Namazein Bhaari Hoti Hai? A23 Fajr Aur Isha.

Q24 Kaun Deen Ka Mazak Udaate Hai? Misaal Dijiye. Unki Mehfiloon Me Hame Kya Karna Chahiye. A24 Kafir Aur Munafiqen Deen Ka Mazak Udaate Hai. Jaise Parda, Dadhi Rakhna, Namaz Panda,Arkane Hajj Wagairah. Unki Mehfiloon Me Se Hume Unhe Choodkar Uth Jana Chahiye Jab Tak Wo Koi Aur Baat Me Mashgool Na Ho Jaye.

Q25 Sohbat Ka Humpar Kya Asr Hota Hai? A25 Achchi Sohbat Se Accha Asar Hota Hai Jaise Musk Bechne Wala – Unki Khushboo Pahooch Jati Hai Hum Tak. Buri Sohbat Se Bura Asar Hota Hai Jaise Bhatti Jhokne Wala.