Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath...

10
Juz 2 (Summary) www.livequraneverymoment.org

Transcript of Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath...

Page 1: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Juz 2 (Summary)

www.livequraneverymoment.org

Page 2: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Juz 2 – Sayqul : Surah 2 – Al Baqarah

Aage Aane Waali Kayi Aayato Me Qible Ki Tabdeeli Ka Hukum Hai.

Jab Muhammad ملسو هيلع هللا ىلص Makkah Me The To Unki Khahish Thi Ki Qibla Khane Kaaba Ki Taraf Ho Naa Ki Baitul Maqdis Ki Taraf ,To Wo Wahan Aise Namaz Padhte Ki Baitul Maqdis Ki Taraf Rukh To Karte Lekin Khana Kaaba Ki Taraf Bhi Rukh Ho, Lekin Hijrath Ke Baad Ye Mumkin Na Tha.

Hijrath Ke 16 Mahine Baad Khane Kaaba Ki Taraf Rukh Karke Namaaz Padhne Ka Hukum Aaya.

Baitul Maqdis:- Jagah Ka Naam Hai. (33 Acres Of Land)

Masjid E Aqsa:- Ek Masjid Hai.(Baitul Maqdis Ka Ek Hissa Hai.)

Ruku 17 Ayat 142-147(In Ayat Me Qible Ki Tabdeeli Ka Zikr Hai)

Yahud, Munafiq Aur Mushrik Jinko Bewakoof Kaha Jaaraha Hai Musalmano Ko Kehte Ki Kyun Inka Qibla Change Hogaya?Har Taraf To Allah Hi Ka Hai,Hidayath Jisko Milti Hai Wo Allah Ke Hukum Ko Maanleta Hai Lekin Jisko Hidayath Nahi Milti Wo Ispe Hujjath baazi Karta Hai.

Ye Qibla Isliye Change Hua Kyunki Allah Tala Ne Yahudiyo Aur Nasarah Ko Bohot Saare Nematon Se Nawaza Aur Unko Logon Par Tarji Di Lekin Inlogon Ne Allah Taala Ki Nafarmani Ki Isliye In logo Se Ye Sharf Lekar Ummate Muhammadi(S.A.W) Ko Diya Aur Unku Ummate Wasath Banaya Gaya,Taake Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ka Message Hum Aage Tak Pohchaayen(Gawaah Bane) Aur Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Humare Oopar Gawah Bane. Qible Ka Change Hona Sabke Liye Bohot Badi Azmaish Thi Lekin Jinko Allah Ne Hidayath Di Unke Liye Mushkil Na Thi,Sahaba Akram Ko Ye Doubt Aaya Ki Kya Humara Pehle Baitul Maqdis Ki Taraf Rukh Karke Padhna Galat To Na Tha Ya Us Tarah Padhi Gayi Namazein Zaya to Nahi ho gayi, To Allah Farmate Hain Ki Galat Nahi Tha,Unka Ajr hai Aur Allah Taala Shafqath Aur Rehem Karne Waale Hai. Wasath:-

1. Central(Beech Waale). 2. Moderate.(Motadil)

Aap (S.A.W ملسو هيلع هللا ىلص) Asmaan Ki Taraf Baar Baar Palatkar Dekh Rahe The Ki Koi Wahi Aaye Aur Qibla Change Hone Ka Hukum Aaye Aur Qibla Khana Kaaba Hojaaye,Aur Hukum Aagaya Qibla Ki Tabdeeli Ka Aur Ahle Kitaab Ki Kitabo Me Bhi Iska Zikr Tha Ki Aakhri Nabi Jab Aayenge To Qibla Khana Kaaba Hoga.

Ahle Kitab Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ki Pairwi Nahi Karenge Kyunki Unko Zid Thi Ki Aakhri Nabi Bani Ismail Me Se Kyun Aaya Aur Bani Israel Me Se Kyun Nahi Aaya,Allah Taala Hukum Derahe Hain Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Ki Aap Inki Baat Nahi Maanenge Aur Unke Qible Ki Taraf Nahi Paltenge Aur Inka Aapas Me Hi Ikhtelaaf Tha Qible Ko Lekar,Allah Yahan Warn Kar rahe Hai Ki Agar Ahle Kitab Ki Baat Maani Wahi Aane Ke Baad To Zalimo Me Shumaar Honge.

Ahle Kitab Ki Kitabo Me Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ka Kasrath Se Zikr Tha,Ye Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Apne Beton Ki Tarah (No Confusion) Pehchante The Lekin Phir Bhi Inkar Kardiya,Lekin Unke Ulama Ne Haq (Aap ملسو هيلع هللا ىلص Quran Aur Qible Ka Change Hona) Ko Chipaya.

Ye Haq Allah Ki Taraf Se Hai To Aap Isme Bilkul Shak Mat Kariye.

Ruku 18 Ayat 148-152

Har Ek Ka Ek Side Hai, Yaani:- 1. Har Ek Groh Ka Ek Side Hai Jaise Koi Church Me Ek Taraf Karke Ibadath Karta Hai Aur Koi

Mandiron Me Ek Taraf Karke Ibadath Karta Hai Jaise Mushrikeen E Makkah Apne Buthon Ki Taraf Karke Ibadath Karte,Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Kaha Jaaraha Hai Ki Aap Khane Kaaba Ki Taraf Palatkar Ibadath Kijiye .

2. Har Ek Ka Center Of Life Hota Hai Aur Ek Ambition Hota Hai, Musalman Ka Ambition: Neki Me Pehel Karna.

Page 3: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Jahan Bhi Ho Safar Par Ya Ghar Par Apna Chehra Masjid E Haram Ki Taraf Pherne Ka Hukum Aagaya .Tumhara Center Of Life Kya(Aim of life) Hai Aur Kis Taraf Rukh Karke Tum Ibadath Karte Ho Wo Allah Khoob Jaante Hai.

Jahan Bhi Ho Apna Chehra Masjid E Haram Ki Taraf Karlo Taake Logon Me Koi Doubt Na Rahe Koi Musalaman Kisi Taraf Rukh Karke Namaz Padhta Hai Aur Koi Kisi Taraf, Sab Musalmano Me Unity Honi Chahiye.Aur Zalim Log Baatein Banayenge Hi Banayenge To Unse Nahi Darna Hai Sirf Allah Se Darna Chahiye.Qible Ka Change Hona Ek Nemath Hai Musalmano Ke Liye.

Rasool Ka Aana Bhi Ek Nemath Hai Jo Hame Quran Aur Hikmath(Sunnath) Ki Taleem Dete Hai,Humara Tazkiya Karte Hai Aur Isko Amal Kaise Karna Hai Khud Practically Batakar, Jo Tum Nahi Jaante The. Hikmath:-Right Time Par Right Decision Lena.

Agar Hum Chahte Hain Ki Allah Ka Rehem Humpar Barqaraar Rahe To Allah Ka Zikr Kabhi Bhi Nahi Bhoolna Chahiye,Shukr Ada Karna Hai Aur Nashukri Nahi Karna Hai.Example:-Namaz,Quran Aur Har Kaam Karne Se Pehle Ye Sonchna Ki Allah Is Amal Se Humse Raazi Honge Ya Naaraaz…

Ruku 19 Ayat 153-162

Sabr Aur Namaz Ke Zariye Madad Maangne Ko Kaha Jaaraha Hai.Sabr Karenge To Allah Saath Rahega.

Sabr Ke Lafzi Mayne:- Nafs Par Kaabu Paana.Rokna , Thaamna

Jo Allah Ke Deen Ko Establish Karne Apni Jaan Gawaate Hain Unko Murda Mat Kaho,Balke Wo Zinda Hain Aur Allah Taala Ne Unhe Bohot Sharf Waali Jagah Pe Rakha Hua Hai Isliye Unhe Murda Nahi Kehsakte Jiska Tumhe Shaoor Nahi Hai.

Hadees Ke Mutabiq:-Allah Ke Rasool(S.A.W) Farmate Hain Ki;Jo Shaheed Hote Hainunki Roohe Sabz Parindo Ki Shakl Me Allah Ke Arsh Ke Neeche Jo Qhadeele Hote Hain Uske Neeche Rakhi Jaati Hain Aur Wo Jab Chaahe Jannath Ki Sayr Karte Hain Aur Phir Wapis Un Qandeelo Me Aajaate Hain.

Allah Taala Hamey Kayi Tarah Se Azmaayenge : Khauf Se, Bhook Se Maal Aur Nafson Ke Nuksaan Se, Aur Phalon Se(Kheti Or Result) Aur Jab Sabr Kare To Unke Liye Khushkhabri Hai.

Sabr Karne Waalon Ke Sifaat:- Museebath Aane Par Kehte Ki Har Cheez Allah Ki Taraf Lautne Waali Hai. Allah Ki Nawazishen, Rehmaten Aur Hidayatiyafti Log Hain.

Yahan Par Safa Aur Marwa Ka Zikr Hai.Inke Darmiyaan Sayee Ki Jaati Hai Aur Yeh Hajj Aur Umrah Ka Hissa Hai.

1. Daure Jahiliyath Me Safa Aur Marwa Ki Pahadiyon Par 2 Buth Rakhe Gaye The (Isaaf Aur Nayla)Makkah Me In Buthon Ko Log Maante Aur Inki Pooja Karte To Jab Log Imaan Lekar Aaye Aur Shirk Se Bilkul Rokdiya Gaya To Sahaba Akram Ko Ye Confusion Hua Ki Safa Marwa Ke Beech Chakkar Lagani Chahiye Ya Nahi Aur Agar Lagayenge To Kya Ye Shirk To Nahi Hoga.

2. Jo In Buthon Ko Maante The Wo Log Inki Ibadath Karte The Aur Jo Log Inko Chodke Manaath Ke Poojari The Wo Log Iske Beech Me Chakkar Nahi Lagate The Specially Jo Makkah Ke Baher Se Aate The.

Yahan Ye Bataya Jaaraha Hai Ki Jo Safa Aur Marwa Ka Chakkar Lagata Hai Wo Buthon Ke Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar Kisi Bhi Tarah Ki Neki Karo To Allah Qadardaan Hai.

Allah Ki Kitab Me Jo Bayan Kiya Gaya Hai Usko Chipaate Hain To Unpar Allah Ki Aur Tamaam Logon Ki Laanath Hai.

Page 4: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Kin Kinpar Laanath Nahi Hai Allah Ki:- 1. Jo Tauba Karte Hain. 2. Jinhone Islah Kiya. 3. Ilm Logon Me Baanta.(Logon Ko Bata Diya)To Allah Inpar Meherban Hoga.

Ayat 161-162:-Wo Log Jo Allah Ki Ayat Ko Chupaya Ya Inkar Kiya Aur Kufr Ki Halath Me Margaye To Inpar Allah Ki Aur Farishto Ki Laanath Hogi,Aur Inse Jahannum Ka Azaab Na Kam Kiya Jayega Aur Na Hi Halka Kiya Jayega.

Ruku 20 Ayat 163-167(In Ayat Me Allah Ko Pehchaanne Ka Zikr Hai)

Allah Ek Hi Hai Aur Uske Siwa Koi Aur Supreme Authority Nahi Hai.

Zameen Aur Asmaan Ki Paydaish, Raat Din Ka Aana Jaana, Kashtiyan Jo Samandar Me Chalti Hain Humare Faydo Ke Liye, Asmaan Se Barish Jisse Murda Zameen Ko Zinda Kiya Jisse Usme Payda Hue Jaandaar Aur Humare Liye Rizq, Hawaon Ka Chalna Ispe Gaur Karo Allah Ko Pehchano Aur Allah Ke Saamne Jhuk Jao.

Kayi Log Apne Nafs Ki Apne Khahishath Ki Maante Hain Aur Mohabbat Karte Hain Jaise Allah Ko Maanna Aur Mohabbath Karna Chahiye Actually Me Imaan Ka Taqhaza Hai Ki Sabse Zyada Allah Se Muhabbat Rakhna Hai Aur Kaash Mushrik Jaante Ki Allah Ke Liye Hai Saari Quwwath Aur Allah Saqht Azaab Dene Waale Hai Unko Jo Shirk Karte Hain.

Jo Log Duniya Me Allah Ko Chodkar Jinke Peeche Bhaagte The Ye Samajhkar Ki Inko Ye Log Bachalenge, Lekin Ye Log Apne Followers Se Bezar Honge Qayamath Ke Din, Aur Tamam Asbaab kat Jayenge.

Qayamath Ke Din Followers Kahenge Ki Kaash Duniya Me Jaane Ka Ek Chance Milta To Hum Inse Bezar Hote Jis Tarah Ye Humse Aaj Bezar Horahe Hain Aur Allah Inke Amal Batayega Aur Ye Aag Me Honge.

Ruku 21 Ayat 168-176.

Allah Taala Logon Ko Halaal Aur Paak Khane Ka Hukum Derahe Hain, Aur Shaitaan Ki Pairwi Se Roka Jaaraha Hai.

Har Qism Ki Burayi Ka Shaitaan Humko Hukum Deta Hai Har Tarah ki Burayi ka (Jaise Sharaab Ka, Juye Ka, Gheebath Ka, Logon Ko Nuksaan Pahunchane Ka) Aur Behayayi Ka Aur Ye Hukum Deta Hai Ki Allah Ke Baare Me Aise Baaten Karo Jo Allah Ne Nahi Kahe( Yaani Aise Kaam Jo Allah Ne Humko Karne Deen Me Nahi Hukm diya ya Allah ki Auladein hai etc).

Aaba O Ajdaad Ki Pairwi Karte hai wo Jab Ki Wo Hidayath Par Nahi Hai.

Jo Insan Kufr Karta Hai Wo Ek Jaanwar Ki Tarah Hota Hai,Jo Sun To Sakta Hai Lekin Samajh Nahi Sakta, Amal Nahi Karta Aur Dekh Nahi Sakta Allah Ki Nishaniyaan.(Quran) Haq Na Sunsakte Na Bolsakte Aur Na Dekhsakte.

Ayat 172-173 : In Ayato Me Allah Farmate Hai Ki Halaal Aur Paakeeza Cheezen Khao Aur Shukr Ada Karo.

Haraam Cheezen :- Murdaar, (Behta)Khoon, Khinzeer Ka Gosht, Allah Ke Naam Ke Ilawa Kisi Aur Ke Naam Par Zubah Kiya Gaya Ye Sab Haraam Hain.Siwaye Unke Jinko Zabardasti Khilaya Gaya Jo Use Pasand Nahi Tha Ya Phir Majboori Me Khaaye To Inpar Koi Gunah Nahi Hai.

Thode Paiso Ke Liye Allah Ke Kalaam Ko Chupana Uske Meanings Ko Change Kardena Inse Allah Kalaam Nahi Karega Aur Wo Paise Inke Peton Me Aag Ki Tarah Honge Qayamat Ke Din Aur Allah Inko Paak Nahi Karenge Aur Inke Liye Dardnaak Azaab Hai.

Jab Ki Inko Ye Pata Hai Ki Is Kaam Se Peton Me Aag Hogi To Kaise Ye Amal Kar Rahe Hain Kaise Sabr Se Burayi Par Jame Huye Hai.

Allah Taala Haq Nazil Karte Hai Lekin Ye Log Haq Se Bahut Door Chale Gaye Ikhtelaaf Ki Wajeh Se.

Ruku 22 Ayat 177-182(In Ayato Me Waseeyath Aur Qatl Ka Zikr Hai)

Page 5: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Jab Qibla Tabdeel Hua To Log Is Baare Me Itna Discussion Karrahe The Ki Dusri Cheezen Peeche Rehgaye The To Allah Taala Farmarahe Hain Neki Ye Nahi Hai Ki Qibla Change Hone Par Tum Qibla Rukh Hojao(Ye Main Maqsad nahi) Balke Neki To Allah Par, Yaume Aakhirath Par, Farishton Par, Kitab Par, Aur Nabiyon Par Imaan Laana hai Aur Allah Ki Raah Me Maal Kharch Karna Rishtedaron Par, Yateemo Par,Miskeeno Par Musafiro Par, Sawaal Karne Waalon Par, Ghulamo Ko Azaad Karne Waalon Par,Namaz Qayam Karna Hai, Zakath Ada Karna Hai Aur Ahad Ko Pooora Karna Hai(First Allah Se Ahad Laa Ilaaha Illallah Aur Secondly Hum Jo Logo Ke Saath Waada Karte Hai)Tangdasti Me Sabr Karte,Takleef Me Aur Jang Ke Waqt Sabr Karne Waale Hain , Ye Log Apne Imaan Ka Sabooth Apne Amal Se Dete Hai Darasal Muttaqi Log Hain.

Yateem :- Wo Nabaligh Bacha Jiska Baap Faut Hogaya Ho.

Qatil :- Jisne Qatl Kiya Maqtool:- Jo Maaragaya.

Yahaan Par Qatl Ke Baare Me Aaya Hai.Qatil Ke Saath Maqtool Ke Relatives 3 Qism Ka Maamla Karsakte Hain :-

Qatl Ke Badle Qatl. Qatl Ke Badle Blood Money (Deeyath). Maaf Karsakte Hain.

Qisaas :- Badla Lena. Hukum :- Azaad Badle Azaad Ke(Azaad Ke Badle Ghulam Ko Qatl Nahi Kiya Jaasakta) Ghulam Ke Badle Ghulam(Ghulam Mard Ho Ya Aurat) Aurat Badle Aurat Ke.

Yaani Kisi Shaqs Ke badle Qisas me(Qatl ke Badle Qatl me) Kisi aur ko aage ya pesh nahi kiya jaa sakta hai. Jisne Qatl kiya Usi Ki Jaan Li Jayegi.

Ya Agar Maaf Karde To Jitna Deeyath Fix Hua Hai Wo Ache Tareeqe Se Dena Hai Aur Ye Allah Ki Taraf Se Asaani Hai Aur Jo Deeyath Bhi Lele Aur Qatl Bhi Karde Qatil Ka Toh Usko Dardnaak Azaab Hoga.

Ye Ayat Wasiyath Ke Baare Me Aayi Hai. Ye Wasiyath Ka Hukum Cancelled Hogaya Kyuni Allah Taala Ne Surah Nisa Me Detail Me Ehkamaat De Diye hai.Albatta 1/3rd Maal Me Se Kiya Jaasakta Hai Jo Warison Ke Liye Nahi Hoga.Maal Ke Alawa Par Wasiyath Ki Jaasakti Hai Jaise Koi Mashwara etc

Jo Waseeyath Ko Badalna Chahta Hai Jab Ki Allah Ka Hukum Aagaya To Uske Liye Bohot Bada Gunah Hai.

Agar Waseeyath Gunah(Gair Sharayi) Ke Kaam Karne Par Kiya Ho To Us Waqt Waseeyath Badal Di Jaasakti Hai,Usme Koi Harj Nahi Hai Allah Unpar Gafoor Ur Raheem Hai Jo Waseeyath Ko Sahi Tareeqe Se Badle.

Ruku 23 Ayat 183-188

Rozon Ke Baare Me Aaya Hai Ki Roze Pehle Ke Logo Par Bhi Farz The Aur Rozo Ka Asal Maqsad Taqwa Ikhtiyaar Karna Hai

Ye Gine Chune Din (Yaani 29 Or 30 Days) Honge Jiske Agar Choot Jaaye To Inke Qhaza Poore Karna Hai, Mareez Ho Ya Musafir Ho.Agar Roza Na Rakh Sako To Ek Miskeen Ko Khana Khilana Hai, Aur Jo Roza Rakhne Ki Istetaat Rakhta Hai To Wo Roza Rakhe Na Ki Fidya Dekar Jaan Chudaale.

Ramazan Ka Mahina Isliye Bhi Ehmiyath Rakhta Hai Kyunki Usme Quran Nazil Hui Jo Logo Ke Liye Hidayath Ka Zariya Hai Aur Usme Roshan Dalail Bhi Hai,Aur Ramzan Me Sab par Roza Farz Hai.

Pichli Ayat Mansooq Hokar Ye Ayat Aayi Hai Ki Jo Koi Mareez Ho Ya Musafir To Baad Me Apne Qhaza Roze Rakhle.Ye Allah Ki Taraf Se Rukhsati Hai Jo Allah Ne Hume Di Hai Aur Hume Ispar Bahut Shukr Ada Karna Hai.

Page 6: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Allah Taala Ko Kisi Aur Mediator Ki Zaroorath Nahi Hai Wo Apne Bande Ki Pukar Ko Sunlete Hai Sirf Humare Pukarne Ki Der Hai.

Roze Ki Halath Me Miya Biwi Ka Milna(Sexual Intercourse) Mana Hai Lekin Raat Ke Waqt Kiya Jaasakta Hai.Wo Ek Dusre Ke Liye Libaas Hai.

Kyunki Rozo Par Poori Tarah Se Ye Clear Nahi Tha Ki Roze Ki Halath Me Rafas Karsakte Hain Ya Nahi To Kuch Sahaba Akram Isko Apne Oopar Haram Karliya Tha, Kuch Ne Isko Makrooh Samjh Liya Tha Aur Kuch Sabr Nahi Karsakte The Aur Apni Biwiyo Ke Paas Chale Jaate To Yahan Par Iska Zikr Hai, Ki Allah Taala Unpar Meherbaan Hue Aur Unhe Maaf Kardiya Yaani Raat Ke Waqt Rafas Karne Ki Ijazath Di.

Yahan Allah Taala Talaash Karne Ko Kehte Hain: Isme 2 Mayne Aayenge 1. Biwi Ke Saath Rafas- Aulaad Ke Liye. 2. Allah Ne Jo Rukhsath Di Hai To Uska Sirf Biwi Ke Saath Sirf Rafas Karne Me Busy Nahi Hona

Balke Laylatul Qadr Ko Bhi Talash Karna Hai.Khao Peeyo Jab Tak ke Asmaan Me Pehli Raushni Nazar Nahi Aati.(Fajr Se Pehle Tak/Pau Phatna/Dawn)

Aitekaaf Me Bhi Apni Biwi Ke Saath Sohbath Karna Mana Hai.Aitekaaf Sirf Masajid Me Hi Kiya Jaasakta Hai Jahan Par 5 Waqt Ki Namaz Bajamaath Padhayi Jaati Hai Na Ki Ghar Me

Aapas Me Galat Tareeqon Se Yaani Rishwath Dekar,Sood Lekar Maal Mat Khao,Hakim Ko Maal Dekar (Rishwat)Logon Ka Haq Maarna Ya Galat Faisla Karwana Bohot Bada Gunah Hai

Ruku 24 Ayat 189-196

Chand Se Hame Dino Aur Hajj Ka Pata Chalta Hai (Calendar Hai).Ahle Makkah Ke Yahan Riwaaj Tha Ki Hajj Me Kisi Kaam Se Ghar Aate To Pichle Darwaaze Se Aate Aur Isko Neki Samajhte The Lekin Allah Taala Is Amal Ko Galath Qaraar Dekar Farmate Hain Ki Isme Koi Neki Nahi Hai.

Hajj Ke 3 Types Hai:- 1. Hajj E Tamatto:-Qurbani Lazmi,Makkah Se Baher Waalo Ke Liye 2. Hajj E Qiraan:-Qurbani Lazmi,Ek Hi Ehram Me Umrah+Hajj 3. Hajj E Ifraad:-Qurbani Nahi,Makkah Waalo Ke Liye.

Hajj Ke Mahine:-Shawwal, Zilqada And Zilhajj.

8 Zilhajj Yamut Tarwiyah

9th Zilhajj Yamul Arafah

10th Zilhajj Yaumun Nahr

11,12,13 Zilhajj Ayyame Tashreeq

Jang Ke Sharaith:- 1. Allah Ke Raste Me Karna Hai And Not For Territorial Expansion,Power Ke Liye Infact Allah Ka

Kalma Buland Karne Ke Liye Karna Chahiye. 2. Jang Initiate Nahi Karo Lekin Jo Tum Se Lade Aur Deen Ke Dushman Hai Unse Lado. 3. Jang Me Zyadati Bhi Mat Karo.(Logo Ke Kaan Naak Kaatdiye Ya Dead Bodies Se Behurmati

Karna)

Maidan E Jang Me Kahin Bhi Kafir Ko Paao Wahan Par Qatl Kardo,Jis Tarah Ye Tumko Makkah Se Nikale The Usi Tarah Tum Inko Inke Gharo Se Nikaalo Aur Qatl Kardo Taake Fitna Na Rahe.

Inlogo Ne Jo Fitne Waala Kaam Kiye Deen Ke Aur Rasool Ke Qilaaf,Isliye Inke Saath Jang Karne Ka Hukum Diya Jaaraha Hai.

Kuffar Se Momino Ko Masjid E Haram Me Nahi Ladne Ko Kaha Jaaraha Hai Lekin Agar Wo Ladne Aayen To Defend (Bachao Me Jang) Karna Hai.

Phir Agar Wo Baaz Aajayen To Chod Do Jung Mat Karo.

Jab Takke Fitna Na Khatam Ho (Unka Muslims Ko Darana, Dhamkaana)Unse Ladte Raho Jab Takke Allah Ke Liye Deen Khalis Na Hojaaye, Aur Zyadati Mat Karo.

Page 7: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Hurmath Waale Mahine :-Ziqada, Zilhajj, Muharram, Rajjab:- Daure Jahiliyath Se Ab Tak Ye Hurmath Waale Mahine Hain Aur In Mahino Me Ladayi-Jhagda, Jung Karna Mana Hai.Agar Kuffar In Mahino Me Bhi Tumse Jhagda Kare To Chup Na Baitho Defend Karo.

Ziqada And Zilhajj Me Log Hajj Ke Liye Nikalte The.

Muharram And Rajjab Me Kasrath Se Umrah Kiya Jaata Tha.

Yahan Jihad Ka Zikr Aaya Hai.Deen Establish Karne Ke Liye Maal Kharch Karna Pade To Kharch Karna Hai.Maal Kharch Karne Me Tum Itna Busy Mat Hojao Ki Jihad Aur Deen Ke Kaam Me Peeche Hojao Aur Agar Aisa Karoge To Nuksan Me Honge.Ehsan Ke Saath Do.

Hajj Aur Umrah Allah Ke Liye Karo Aur Agar Kisi Wajeh Se Nahi Karpao To Ek Qurbani Dena Hai Aur Sar Tab Tak Nahi Mundwaana Hai Jab Tak Qurbani Na Hojaye.Agar Sar Nahi Mundwa Sakte To :- 1. 3 Roze Rehna Hai Ya 2. 6 Miskeeno Ko Khana Khilaana Hai.Ya 3.Fidya Ke Taur Par Ek Qurbani.

Hajj E Tamatto Ke Baare Me Zikr Hai.Umrah Karne Ke Baad Ehraam Utaarkar Dubara Hajj Ka Ehram Baandhna Hai.Is Hajj Me Qurbani Laazim Hai.Agar Qurbani Na De Paaye To 3 Din Roza Rehna Hai Aur Ghar Lautne Ke Baad 7 Roze Rakhna Hai.

Ruku 25 Ayat 197-210

Things Not Allowed During Hajj:- Rafas Nahi Karna. Koi Gunah Ke Kaam Nahi Karna. Jhagda Nahi Karna.

Jo Bhi Karenge Allah Taala Usko Jaante Hai.Hajj Ke Liye Zaroori Saamaan(Zaderah) Le Liya Karo.Sabse Behar Saamaan Taqwa Hai, Aur Allah Se Daro.

During Hajj Shopping Ya Business Karsakte Ho,Arafath Se Jab Muzdalifah Aao To Wahan Par Allah Ka Bahut Zikr Karo.Allah Ne Tumhe Raah Dikhayi Isse Pehle Tum Bhatke Hue The.

Arafath Se Palto Aur Muzdailifah Aao To Allah Se Baqhshish Maango.

Hajj Hone Ke Baad Mina Me Stay Ke Dauran Allah Ka Zikr Karo Na Ki Dusro Ka(kisi aur ki badhayi ya bekar batein). Aur Jo Duniya Ke Liye Maangega Use Duniya Hi Milegi.

Momin Log Allah Se Duniya Ke Saath Aqkhirath Ki Bhalayi Ki Dua Bhi Karte Hain Aur Aag Se Panah Maangte Hain.

Jo Jitna Kamaya Use Utna Milega , Allah Se Dua Karna + Koshish Karna.

Ayyaame Tashreeq :- Mina Me 2 Din Ya 3 Din Rehne Par Koi Gunah Nahi Hai Lekin Allah Ka Zikr Karte Rehna Chahiye.

Duniya Me Baaz Logo Ki Baatein Humko Bahut Achi Lagta Hai Lekin Peeche Wo Saqht Jhagdalu Hota Hai Logo Ke Baare Me Bura Sonchta Hai.(Aqnas Bin Shuraiq)

Aqnas Bin Shuraiq Jab Makkah Se Jaaraha Tha To Kheti, Jaanwaro Ko Maarte Hue Gaya.

Aisa Shaqs Apni Ego Me Allah Ke Saamne Nahi Jhukta, Aiso Ke Liye Jahannum Hi Thikana Hai.

Lekin Jo Allah Ki Raza Chahne Apne Nafs Ko Chod Deta Hai To Allah Aise Bando Ke Saath Acha Maamla Karte Hain.

Momino Se Kaha Jaaraha Hai Ki Islam Me Poore Ke Poore Dakhil Hojao.Dheere Dheere amal karna Ya Kuch Par Amal Karna Kuch Ko Nazarandaaz Karne Ka Option Nahi Aur Shaitaan Ki Pairwi Nahi Karna Hai Kyunki Wo Dushman Hai.

Agar Sab Kuch Jaanne Ke Bawajood deen Par Chalne Se Phisal Gaye To Allah Pakadne Waale Hai.

Qayamath Ka Scene Bataya Jaaraha Hai Ki Aur Poocha Jaaraha Hai Ki, Islam Me Dakhil Hone Ke Liye Tum Qayamath Ka Intezar Karrahe Ho Jis Din Faisla Hojayega Aur Sab Kaam Allah Ki Taraf Lautenge.

Ruku 26 Ayah 211-215

Page 8: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Bani Israel Ko Nemat DI Gayi, Lekin Unhone Qadr Nahi Kiya, Allah Ka Azaab Aaya

Kaafiro Ke Liye Duniya Ki Zindago Khoobsoorat Hai Aur Wo Log Iman Walo Ka Mazaaq Udaate Hai Lekin Qayamat Ke Din Taqwa Walo Ka Mukaam Oopar Hoga

Pehle Sab Ek Hi Ummat The, Yaane Sab Nabi Ek Hi Deen Lekar Aaye, Ek Hi Allah Ki Ibadat Ka Hukm Diye Lekin Logo Ne Apna Apna Deen Alag Karliya

Ahle Kitaab Ne Haq Jaan Ne Ke Baad Ikhtilaaf Kiya Zidd Ki Wajah Se (Ke Aakhri Nabi Bani Israel Me Se Nahi The) Lekin Iman Wale Hidayat Paa Gaye

Jannat Ko Paana Itna Asaan Nahi Hai, Pichle Imaan Walo Ko Bhi Bahut Saqtiyo Ka Saamna Karna Pada

Sahaba Poochrahe Hai Ke Kya Kuch Wo Kharch Kare, Jawab Hai Ki Jo Bhi Bhalayi (Maal Ya Uske Alawa Kuch Bhi) Kharch Karo Wo Waldain , Kharabad Daar, Yateem , Miskeen Aur Musafir Par Kharch Karo Ayah 216-Ye Madani Soorat Hai, Yaha Par Jang Karna Farz Kardiya Gaya , Sahaba Makkah Me Jang Karna Chahte Kyu Ke Waha Zulm Hota, Lekin Madina Me Aman Me The, To Nahi Chahte Ke Jang Ho Lekin Yaha Kaha Jaa Raha Hai Ke Jang Karo (Kyu Ke Khaane Kaaba Ko Shirk Se Paak Karna Tha)

Ruku 27 - Ayah 217 - 221 Ayah 217-218

In Ayato Me Masjide Haram Me Jang Ke Baare Me Sawal Ho Raha Hai Ki Wahan Kaise Jang Karenge (Kyu Ke Wo Aman Wali Jagah Hai), Lekin Jo Waha Hua Hai Wo Jang Se Bhi Badi Baat Hui Hai Allah Ke Raste Se Rokna Aur Masjide Haram Me Kufr Karna Waha Ke Rehne Walo Ko (Muhammad ملسو هيلع هللا ىلص Aur Sahaba) Ko Waha Se Nikalna Fitna (Aise Halaat Payda Karna Ke Musalmano Ko Iman Par Rehna Mushkil Hogaya Tha)

Isliye Ab Jang Karna Zaroori Hai, Warna Wo Deen Se Logo Ko Pher Denge

Jo Deen Se Phir Gaya Aur Isi Kufr Ki Halat Me Mar Gaya To Uske Liye Jahannum Hai

Allah Ki Rehmat Milne Wale Log Jo Iman Laye Jo Hijrat Aur Jihaad Kiye (Sirf Allah Ke Raste Me)

Ayah 219

Sharaab Aur Juwa Bazaher Lagta Hai Fayde Hai Duniya Ke Lekin Inme Bahut Bada Gunaah Hai (Ye Haram Hai)

Sawal Sahaba Ka Ke Kya Kuch Kharch Kare?

Jawab Hai Ke Zaroorat Se Zyada Jo Hai Wo Kharch Kare(Ye Maximum Limit Hai Kharch Karne Ki, Compulsory Nahi Hai)

Ayah 220

Yateemo Ke Baare Me Sahaba Bahut Darte The To Unke Baare Me Kaisa Mamla Kare, Unke Maal Ko Bilkul Alag Rakhte The Ke Kahi Kuch Pakad Na Ho, To Jawaab Hai Ke Unke Saath Acha Maamla Karo, Aur Unke Mamle Me Islah Ki Neeyat Rakho, Unke Khane Peene Ko Apne Saath Mila Lene Me Koi Harj Nahi , Allah Sabke Neeyato Ko Jante Hai, Agar Bilkul Alag Rakhoge Sabkuch Ya Aisa Alag Rakhne Ka Koi Hukm Aaye To Mushkil Ho Jayegi

Ayah 221

Mushrikah Aurat Se Nikah Haram Hai Yaha Tak Ke Wo Iman Laaye

Mushrik Mard Se Bhi Apni Betiyo Ka Nikah Karna Haram Hai

Ghareeb Momin Se Nikah Behtar Hai Musrik Se Karne Se Kyu Ke Mushrik Hame Aag ki Taraf Bulate Hai.

Ruku 28 Ayah 222 – 228 Ayah 222

Page 9: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Haizah Ke Bare Me Sawaal (Aurat Jo Menses Me Ho)

Haiz Ek Aurat Ke Liye Takleef Hai

Haiz Me Sexual Intercourse Mana Hai (Fondling Aur Baaki Doosre Cheezein Miya Biwi Ke Beech Allowed Hai)

Khoon Band Hone Ke Baad, Jab Aurat Ghusl Karle, Uske Baad Miya Biwi Me Jamaa( Sexual Intercourse) Jayaz Ho Jaata Hai

Sex Sirf Vagina Se Jayaz Hai, Aur Yahi Paak Tareeka Hai- Anal Sex Haram Hai Ayah 223

Aurtein Mardo Ke Liye Kheti Hai Qeemti Cheez Hai Khet Ki Tarah Khet Ko Abaad Rakha Jaata Hai Ye Nahi Ke Nikah Kar Ke Shauhar Ghafil Na Ho Aur Bewi Se

Ghafil Ho Jaye Kheti Ki Nigrani Ki Jaati Hai Jaise Shohar Bewi Ki Hifazat Karta Hai. Khet Me Jakar Insaan Khush Hota Hai To Shohar Ke Liye Biwi Khushi Ka Sabab Hai. Kheti Ek Milkiat Hoti Hai To Shauhar Ke Liye Biwi Bhi Khaas Hoti Hai. Khet Se Phal Lena Hota Hai Isi tarah Bewi Aulaad Deti Hai Ayah 224-225

Allah Ke Naam Par Qasmein naa Kaho Ke Apni Jhooti Baat Ko Sach Saabit Karo

Jhooti Qasmo Ki Pakad Hai Ayah 226 Is Ayat Me Eela Ka Zikr Hai

Eela Yaane Shohar Ka Biwi Se Gussa Hona Aur Usko Muallaqa Chod Dena Taake Na Wo Shadi Shuda Ho Aur Naa Talaq Shuda

Is Tarah 4 Mahine Se Zyada Koi Apni Biwi Ko Nahi Chod Sakta Hai

Aurat Ko Yaa To Talaaq De De Yaa Ruju Karle, Is Tarah Chodna Jayaz Nahi

Ruku 29 & 30 (Ayat 229-242)Yaha Se Aage Ki Aayatein Talaq Ke Bare Me Hai Talaaq Ka Sahi Tareeka

Sirf Halate Tohr Me

1 Waqt Me 1 Talaq

Iddat Biwi Shohar Ke Ghar Me

Iddat Ke Dauran Shohar Ko Ruju Ka Haq

Agar Iddat Ke Dauran Ruju – To Naye Nikah Ki Zaroorat Nahi (Lekin Zindagi Bhar Is Talaq Ka Shumar)

Agar Iddat Ke Dauran Ruju Nahi To Aurat Azaad (Mazeed Doosri Aur Teesri Talaaq Ki Zaroorat Nahi)

Agar Iddat Ke Baad Ruju Karna Chaho To Naya Nikah Aur Naya Mehar (Ye 3 Talaq Ke Baad Mumkin Nahi)

Teesre Talaq Ke Baad Wahi Mard Se Nikah Jayaz Nahi Yaha Tak Ke Kisi Aur Mard Se Us Aurat Ka Nikah Ho aur Us Se Bhi Talaaq Ho Jaye (not on contract basis)

Halaalah On Contract Basis Ke Pehle Shohar Se Nikaah Jayaz Ho, Is Tarah Haraam Hai Khula

Aurat Ki Taraf Se Talaq Ki Maang

Kuch Maal Ka Chodna Ya Wapas Dena

Shohar Ko Ruju Ka Haq Nahi Iddat

Talaaqi Yaafta- 3 Haiz

Bewa-4 Mahine 10 Din

Khula-1 Mahina

Page 10: Juz 2 (Summary)Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajrah Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Aur Jab Wahan Jaakar

Hamela -Till Delivery

Jisko Haiz Naa Ata Ho-Mahino Ka Hisaab Kuch Aur Important Points

Bache Ko Doodh Pilane Wali Maa Bache Ko Doodh Pilane Ki Muddat 2 Saal Is Dauran Talaaq Ho Jaye To Bache Ke Walid Par Doodh Pilane Wali Maa Ke Khane Aur

Kapde Ki Zimmedari Agar Walid Faut Ho Jaye To Waris Par Doodh Pilane Wali Maa Ka Kharch Agar Walid Aur Waldah Apsi Razamandi Se Kisi Aur Se Doodh Pilwana Chaho To Kar Sakte

Hai

Bewa Ko Iddat Ke Dauran Payghaame Nikah Nahi Bhej Sakte Hai Lekin Isharatan Izhaar Kar Sakte Hai

Nikah Ke Baad , Ruksati Se Pehle Talaq Ho Jaye To Aadha Mehar Dena Hai Ayah 227-Salatul Wusta Yaane Asr Ki Namaz Ki Hifazat Karo Aur Khauf Ke Waqt Bhi Namaz Na Chodo

Ruku 31-32 Ayah 243 -252

In Ayaat Me Bani Israel Ke Sumoel Nabi Ke Waqt Ka Waqeya Hai

Amaleqa Ki Qaum Ne Unpar Zulm Kiya Aur Gharo Se Nikala

Unko Jang Karne Ka Hukm Hua Aur Maal Se Bhi Madad Karne Ka

Unlogo Ne Jang Ke Liye Sipa Salaar Muqarrar Karne Ko Kaha

Allah Ki Taraf Se Taloot Ko Sipe Salaar Chuna Gaya Kyu Ke Wo Ilm Wale Aur Taqatwar The

Ye Hukm Allah Ki Taraf Se Hai Uski Nishani Ye Thi Ki Taboot Unke Paas Wapas Aajayega Taboot Ek Box Tha Bani Isirael Ka Jisme Moosa A.S Ki Asa, Mann Ki Bottle Aur Taurat Ki

Takhtiyaa Thi, Amaleqa Bani Israel Se Lekar Chale Gaye The. Amaleqa Ki Qaum Par Beemariya Aane Lagi To Is Taboot Ko Wo Log Manhoos Samjhe, Bayl

Gaadi Par Rakh Kar Rawana Kar Diya To Farishto Ki Nigraani Me Wo Bani Israel Ke Paas Wapas Aagaya

Jab Taloot Ke Saath Wo Jung Ke Liye Nikle To Unko Raste Me Ek Nehar Se Azmaya Gaya, Ke Nehar Ka Paani Sirf Chullu Bhar Piyenge Zyada Nahi

Bahut Saare Log Aazmayash Me Kaamyaab Na Hue

Kaamyaab Hone Wale Hi Aage Chale Jo Apne Kam Log Hone Ki Wajah Se Darr Rahe The, Lekin Kuch Ne Himmat Dilayi Ke Allah Saath Denge, Pehle Bhi Kam Log Allah Ki Madad Se Kamyaab Hue Hai Aur Allah Sabr Karne Walo Ka Saath Dete Hai

Unki Dua

قدامنا و ا وثب ت أ رغ علينا صب

فناربنا أ فرين ٱلقوم لع ٱنصر ٢٥٠ ٱلك

Dawood A.S Unhi Me Se The (Jihad Karne Wale Momino Me Se), Unhone Jaloot Ka (Amaleqa Ka Sipe Salar) Qatl Kiya aur Is Tarah Zameen Us Waqt Fasaad Se Paak Hui

Ye Waqeya Allah Taala Jibrael A.S Ke Zariye Muhammad S.A.W Tak Pahunchaye Hai Kyu Ke Aap Allah Ke Rasool Hai