Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat Sheikh Talib Ur Rehman - YouTube (Autosaved)

5
Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat 1_6 Sheikh Talib Ur Rehman – YouTube Time 12.19 Fiqh hanafi raddul muhtar jild 1 page no.140 Agar kisi sakhs ki naksir footi hai usne surah fatiha ko khoon ke saath apni peshaani par aur naak par likh liyaa hai to yeh ilaaj ke liye jaayez hai isi tarah surah fatiha ko peshaab se bhi likhna jaayez hai.agar usko is baat ka ilm ho jaaye ki is kaam karne me shifa hai to koi harz nahi aur isi par fatwa hai. Time 13.19 Quran ki tazleel aur ek jagah par ki jaa rahi hai Hanafi book al asbah wan nazair pg 720

description

HANAFI

Transcript of Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat Sheikh Talib Ur Rehman - YouTube (Autosaved)

Page 1: Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat Sheikh Talib Ur Rehman - YouTube (Autosaved)

Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat 1_6 Sheikh Talib Ur Rehman – YouTube

Time 12.19

Fiqh hanafi raddul muhtar jild 1 page no.140

Agar kisi sakhs ki naksir footi hai usne surah fatiha ko khoon ke saath apni peshaani par aur naak par likh liyaa hai to yeh ilaaj ke liye jaayez hai isi tarah surah fatiha ko peshaab se bhi likhna jaayez hai.agar usko is baat ka ilm ho jaaye ki is kaam karne me shifa hai to koi harz nahi aur isi par fatwa hai.

Time 13.19

Quran ki tazleel aur ek jagah par ki jaa rahi hai

Hanafi book al asbah wan nazair pg 720

Agar koi sakhs namaz padhte waqt quran majid dekhe to uski namaz baatil ho jaati hai.(quran majid ko dekh kar padhne ki wajah se) aur agar aurat ki sharmgaah sahwat se dekhe to baatil nahi hoti.

Time 14.19

Ek aur mas’la bukhari sharif page 162 sajde ka tareeka nabi s.a.w ne bayaan kiya . hazrat Abdullah ibn abbas is

Page 2: Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat Sheikh Talib Ur Rehman - YouTube (Autosaved)

hadith ke raavi hai farmate hai ki nabi s.a.w ne farmaya “mujhko hukam diya gaya ki mein sajda karu saat haddiyo par.

(1)peshani par aur ishara kiya apni naak ki taraf (peshani aur naak dono ko ek hi shumaar kiya gaya)

(2 aur 3)aur dono haatho par

(4 aur 5)aur do gutno par

(6 aur 7)aur dono kadmo (paav) par

(Aur is tarah nabi s.a.w ne apne badan ke saat aaza ginwaye)

Aayye dekhte hai ki iske bar aksh hanafi fiqh kya batlati hai

Time 16.28

Fatawa aalamgiri jild 1 page no.70

Agar koi sakhs dono hath zameen par sajde ke liye na rakhe aur dono gutne zameen par na rakhe sirf naak aur peshani rakh le aur dono kadam rakhle is tareeke se agar who namaaz me sajda karey uski namaz jayez hai aur is par ijma hai.(ijma allah ke nabi aur sahaaba ka nahi hai magar in hanafiyo ka hai ki is tareeke se cartoon banker woh sajda karte hai aur ise jayez kehte hai)

Page 3: Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat Sheikh Talib Ur Rehman - YouTube (Autosaved)

Isi tarah ek aur hadith hai bukhari sharif ki shafa no.158 par hazrat abu hurrairah radiallahu anhu kehte hai ki ek masjid me ek sakhs daakhi hua usne namaz padhi fir aapko salam kiya aapne jawab diya fir aap s.a.w ne farmaya jao jaakar namaz pasho tumne namaz nahi padhi. Usne namaz padhi fir aakar salam kaha allah ke nabi s.a.w ne farmaya jao jakar namaz padho tumne namaz nahi padhi.teen martaba aise hua woh zaat jisne haq ke saath aapko maboos kiya hai allah ke nabi s.a.w mujhko tareeqa to sikhlayye ki mein kis tarah namaz ada karu.aap s.a.w ne farmaya ki “jab tu namaz ke liye khada ho to allahu akbar keh phir tujhko jo quran aata hai wah padh phir tu ruku kar hatta ki itminan ke sath ruku kar phir tu khada ho aetedal ke sath phir tu sajda kar itminan ke sath phir tub eth aur itminan ke sath beth phir sajda kar aur apni puri namaz aise hi ada kar.

Fiqh hanafi fatawa aalamgiri jild 1 page no.71

Is par ijma hai kauma me ruku ke baad khade hone mein jo aetedal kiya jata hai who wajeeb nahi hai aur isi tarah sajde ke baad jalasa karna aur bethna aur itminan ke saath bethna yeh wajeeb nahi hai.

(Allah ke nabi s.a.w to yeh kahe ki hukm de ki tu is tarah namaz padh aur yeh ulema kahe ki kauma aur jalsa me itminan ke saath khade hona wajeeb nahi hai. Is par aap andaza lagaye ki jo yeh kehte hai ki fiqh hanafi

Page 4: Hanafi Fiqh Ki Asal Haqeeqat Hanafiyat Sheikh Talib Ur Rehman - YouTube (Autosaved)

quran aur sunnat ka nichod hai woh kitni galat baat kehte hai)

Bukhari ki ek hadith jo mashur hadith hai la salata liman lam yaqra bi fatihatil kitaab

uske baarey me ahnaaf yeh kehte hai ki yeh hadith muqtadi ke liye nahi hai munfarid ke liye hai aur imam ke liye hai .yaani munfarid ki namaz aur imam ki namaz surah fatiha ke bagair nahi hoti.yeh baat aise bhi unki galat hai ki unke najdik chhote se chhoti aayat agar padh li jaaye aur usko farsi me bhi padh li jaaye jaisa ki hidaya awwalain me yeh baat mojood hai.