Dekho Bachchon Iss Dharati Par

download Dekho Bachchon Iss Dharati Par

of 14

description

m

Transcript of Dekho Bachchon Iss Dharati Par

Dekho bachchon iss dharati par, vriksh hare leharaatein. iss par baithe pakshi meethe meethe raag sunaate. inke niche roj savere, chhoti hirani charati. rang birangi dharati bachcho, rang birangi dharati.

Unche-unche parvat nadiyaan, sabki baat niraali. inaki shaan badha deti hai, jangal ki hariyaali. buddhi naani iss jungal ki, hardam raksha karti, rang birangi dharati bachcho, rang birangi dharati.

Jangal ka dharti se bachchon, bada puraana naata. Baagh, Singh, Gainde, Haathi ko, saara jangal bhaata. paani aur hawaa jangal ki, sabki peeda harati. rang birangi dharati bachcho, rang birangi dharati.

Hare-bhare leharaane waale, jangal ko mat kaato, maar janglee jeevon ko tum, maut na sabko baanto. jeev, janglon ke mitate hi, saari duniya marati, rang birangi dharati bachcho, rang birangi dharati.

god ne hame ek beautiful environment diya hai hame is khubsurat nature se payar karna hoga. jab aap apni dharti, nadi, ped, talab, panchhi, janwar, prakriti ki koi v bastu ko nukshan nahi karte us se payar karte hai tab aap is earth ek bahut hi khubsurat inshan ban jate hai

parkriti..se pyaar kare. ise god ne bhaut khubsurat banaya hai..apne nature ko krib se janne ki koshish kare..AC ko chhor khuli hawa me aayeTV ko chhor parwat, nadi, jangal ko dekhe, western music ko chhor kabhi birds ki madhur aawaj ko sune yakin manye agar aap nature se pyaar karte hai to aap pr dhuk aur gum kabhi hawi nahi ho payega aur aap hamesa parkriti ki tarah haste rahege.

Parvat se hi nikal rahi hai, saras neer ki dhaar nadi. pashu-pakshiyon, ped maanav se, karti sachcha pyar nadi.kal-kal chhal-chhal karati rehati, chhede meetha raag nadi.

Sabhi phalon ka raja aam, achha lagata taaza aam. waah! aam ke naam anek, nyaare swaad ek se ek.malihaabaadi, langada aam, chhota koi tagada aam. aamra, rasaal, amrit,Hindi Poems on Nature

Parvat se hi nikal rahi hai, saras neer ki dhaar nadi. pashu-pakshiyon, ped maanav se, karti sachcha pyar nadi. kal-kal chhal-chhal karati rehati, chhede meetha raag nadi. varsha ke mausam mein karti, kaisi bhaagambhaag nadi.

***************

Aasmaa ke deepak pyaare, thirkein-naache jhilmil taare. Bhaanti-bhaanti ke nabh par saare, daud lagaate hilmil taare. hanste rehate ban ujiyaare, khela karte khil-khil taare. aate-jaate rehate saare, neel gagan mein mil kar taare. dikhtein hai sab ek-se pyaare, chalte hain jab ghulmil taare.

***************

Mara bas ma agar hota Hata ka chand taron ko

Ma neela asmanon per tari ankhain Shajar hota to tara nam

Likh likh kar patoon per Tara shehar ki janib hawaon ma utra data

************

Kitab sada raha gi kab tak Kabhi to agaz bab ho ga

Jinho na basti ujar dali Kabhi to un ka hisab ho ga

Woh din gai jab har sitam ko Ada-i-Mehboob keh ka chup tha

Utha gi ham pa eent koi To us ka pathar jawab ho ga Sakoot-i-Sehra ka basna walo Zara rooton ka mizaj samjoo

Abhi to itni ghutan barha gi Ka sans lana azab ho ga

************

Woh sahil sa agar aa kar Zara bhi muskara deta

Bhanwar ghabra ka mujh ko Khud kinara per laga deta

Khabar hoti agar ya jaal haKismat ki sazish ka

Tu apna hath ki Sari lakerain khud mita deta

************

hame es summer vacation ne badal diya paane ki jis boond se ham bhaga karte the

na nahane kay liye jo bahana banaya karte the 40 degree ke taapmaan ne hamare dil ko pigla diya

hamare na nahane kay faisley ko badal diya. woh bhi ka din the jab hamare gharwale hame data karte the

roz subah nahane ke liya hame prerna diya karte the kuch baat bante nahi thi to bacha samaj ke chod diya karte the.

************

Ek Naya Mausam Aaj Phir Aaya Hai Aaj Phir Kisi Ne Aankhon Se Ashk Bahaaya Hai

Chhup Gaye Aansoo Aaj Phir Baarish Mein Dil Mein Phir Gham Ka Sailaab Aaya Hai

Chhupaaye Chal Diye Hum Toh Baarish Mein Koi Hamein Kabhi Kya Samajh Paaya Hai

Aansoo Ban Kar Aayi Yaad Jo Teri Ussi Yaad Ne Hamein Hansaaya Hai

Bas Kaash Agar Saath Hote Tum Toh Mausam Yeh Bhi Sau Rang Laaya Hai

************

nae gagan men, naya sooraj jo chamak raha hai, ye vishal bhookhand, aaj jo damak raha hai,

meri bhi aabha hai isamen !

************

din kee fursat ke failav-bich uge ek ped ke tane se

pith tika kar jab tum ek prem-patra likhana shuroo karate ho

kuchh sochate aur muskurate hue tumhen achanak lagata hai

koee tumhen pukar raha hai kaun hai - kidhar, is sooni dopahar men

tum mudakar vritha dekhate ho ki koee haule se tumhara kandha thapathapata hai

aur tum dekhate ho tanik chaunke-se ped hai, ek patte kee anguli se chhoota tumhen.

ek shararati dostana tahoka aur tum us ped ko shamil hone dete ho apane sambaodhan men

sambaodhan chinh kee jagah.

************

sooraj kee kirane,har sham, apani aakhari sasen ginati hain,

apane hare bhare jag ko, sundar ped, sundar sadak,

aur tript vatavaran ko, dekhati hai virah duhkh ke sath.

samapt ho jatin hai tab, meri sari adhoori ichchhaen,

aur hota hai mujhe, kshanik,

kshanabhangura sukh ka ehasas.

************

Posted by : MOHIB TAHIRI on 29-Dec-2012 Total Views : 446

AY MAALIK MERE, AY DAATA MERE YE ZAMEEN AASMA,CHAND,TARE TERE IS KAAYENAT KA EK KHALIQ TUHI HUM INSAANO KA HAI MAALIK TUHI ZARRA ZARRA ME TU,TAPTI SAHRA ME TU IN HAWAAON ME TU,IN FIZAAON ME TU HAR TARAF HAI AYAAN TERI HI NEAMATEN BAHR O BAR ME NEHAAN TERI HI NEAMATEN KOYAL KI GEET ME TERI HAMD O SANA PARWANE KI PREET ME TERI HAMD O SANA BAADLON KI GARAJ,BIJLIYON KI CHAMAK CHAND TAARE AUR SURAJ ME TERI DAMAK YE CHARINDO PARIND BHI KARE TERI BAYAN TERE HUKM SE HAR EK KI ZINDAGI RAWAN IN PAHADON ME TU,AABSHARON ME TU BAYABAANO ME TU,GULISTANO ME TU PAANI KI MOUJON ME HAI TERI HI SAD PAANI ME BHI TUJHHI SE KAI ZINDAGI BAQA RANG BIRANGE IN PHOOLON ME TERI MAHAK IN MOTIYON AUR JUGNUON ME TERI CHAMAK AB MAIN BHI KARU HAR PAL TERI SANA MUJHKO TAUFEEQ DE, NEK BANDAH BANA

khul gaya hoon main , dhup men dhan ke khet kee tarah

harsh se hara-bhara, bhitar-bahar lahara.

mujhe dekhata hai, mera hi virodhi vyaktitv,

lalachi nigahon se, katakar le jane ke lie,

hata men bechakar, paise kamane ke lie

************

yah jagah vahi hai jahan kabhi mainne janm liya hoga is janm se pahale

yah mausam vahi hai jisamen kabhi mainne pyar kiya hoga is pyar se pahale

yah samay vahi hai jisamen main bit chuka hoon kabhi is samay se pahale

vahin kahin thahari rah gayi hai ek kavita jahan hamane vada kiya tha ki fir milenge

ye shabd vahi hain jinamen kabhi mainne jiya hoga ek adhoora jivan is jivan se pahale.

************