ClassNotes 1 August 2012

21
01 st  August 2012 Day 18 *** Azkaar e Nafia *** Muawwizatain ka parhna aur fazaeil : -page 62 Muawwizatein mei aaooz lafz chupa hai, aein waao zaal = kissi ki panah mei aana Muawwizatein= wo 2 cheezein jin ki waja se hum panah mei aate hain Zindagi mei bohat mushkilaat, fitne, sheytaan hain tu 2 suratoan ko inn ke ehmiyat ki waja se muawwezatein kehte hain;  SURAH AL-FALAQ  SURAH AN-NAAS Fail aur Maf’ool ka faraq: Muawwazatein: 2 tahaffuz/panah mei di gayii cheezein  Yaha hai muawwizatein: 2 panah dene waali sooratein  Sawaal aur panah talab karne ke liye be-misaal hain ye sooratein Koi talab – ya beemaari, dukh, pareshani, sheytaan – jis se bhi Allah ki panah mei aana chahein tu ye sooratein bohat khoobsurat hain! Daleel: Imam Nisaayi ne Uqba bin Amir r.a se rawayat ki ke unnhoan ne bayaan kiya; Mei Rasool Allah s.a.w ke saath jaa raha tha tu Allah ke Nabi ne kaha;  ‘  Ae Uqba, kaho’ . Mei ne arz kiya ‘Allah ke Rasool, kiya kahoon’? Aap khamosh rahe, phir farmaya; ‘Uqba, kaho’. Mei ne arz kiya ‘Allah ke Rasool, kiya kahoon?’. Aap s.a.w ne sakoont ehtyaar ki. Mei ne dil mei kaha Ae Allah Nabi s.a.w ko meri taraf matawwaje farymaaiye. (Nabi ne mujhe 2 baar kehne ko kaha aur mei ne nahi kaha, tu Aap khamosh ho gaye. Aap ke dil mei mere bare mei koi bura guman na aaye). Allah ke Nabi s.a.w ne farmaya; ‘Ae Uqba kaho’. Mei ne arz kiya ‘Allah ke Rasool, kiya kahoon’? Phir Aap s.a.w ne farmaya; ’Qul aaoozubi Rabbil falaq’. Mei ne iss surat ko aakhir tak parha tu Aap ne farmaya; ‘Kaho’. Mei ne arz kiya ‘Ae  ALLAH ke Rasool, mei kiya kahoon?’. Aap ne farmaya; ‘Qul aaoozubi Rabbin- naas’. Mei ne surat ko akhir tak parha tu Aap s.a.w ne farmaya; ‘Kissi sawaal karne waale ne in aisi 2 cheezoan ke saath sawaal nahi kiya, aur kissi panaah talab karne waale ne aisi 2 cheezoan ke saath panaah talab nahi ki’. (Tawajju ka andaaz dikh raha hai, ho sakta hai pehli dafa kaha tu unn ki tawajju na ho)  Allah ke Nabi s.a.w pe jaadoo hua tha jo aik yahoodi Laqeeb bin Asim?? Ne apni betiyoan ke zariye kissi tarah Aap s.a.w ke baal haasil kar ke karwaya. Unn baaloan mei girhein lagayein, zarwal naam ke kunwe’ ke ander unn ko chupaa diya. Iss ka asar Allah ke Nabi s.a.w ki yaad daasht pe ho gaya, lekin deen ke muamale mei nahi. Aap taharat ke kuch masayeil bhoolne lage yaani ye yaad nahi rehta tha ke mei ne gussal karna hai ya nahi. Sheytaan ka yehi pasandeeda raasta hai ke logoan ko ganda rakhta hai taake wo deen se door rahein aur gandi baatein unn ke diloan mei daalta hai.

description

ClassNotes 1 August 2012

Transcript of ClassNotes 1 August 2012

01st August 2012Day 18*** Azkaar e Nafia ***

Muawwizatain ka parhna aur fazaeil:-page 62

Muawwizatein mei aaooz lafz chupa hai, aein waao zaal = kissi ki panah mei aanaMuawwizatein= wo 2 cheezein jin ki waja se hum panah mei aate hainZindagi mei bohat mushkilaat, fitne, sheytaan hain tu 2 suratoan ko inn ke ehmiyat ki waja se muawwezatein kehte hain; SURAH AL-FALAQ SURAH AN-NAAS

Fail aur Mafool ka faraq:Muawwazatein: 2 tahaffuz/panah mei di gayii cheezeinYaha hai muawwizatein: 2 panah dene waali sooratein

Sawaal aur panah talab karne ke liye be-misaal hain ye sooratein

Koi talab ya beemaari, dukh, pareshani, sheytaan jis se bhi Allah ki panah mei aana chahein tu ye sooratein bohat khoobsurat hain!

Daleel: Imam Nisaayi ne Uqba bin Amir r.a se rawayat ki ke unnhoan ne bayaan kiya; Mei Rasool Allah s.a.w ke saath jaa raha tha tu Allah ke Nabi ne kaha; Ae Uqba, kaho. Mei ne arz kiya Allah ke Rasool, kiya kahoon? Aap khamosh rahe, phir farmaya; Uqba, kaho. Mei ne arz kiya Allah ke Rasool, kiya kahoon?. Aap s.a.w ne sakoont ehtyaar ki. Mei ne dil mei kaha Ae Allah Nabi s.a.w ko meri taraf matawwaje farymaaiye. (Nabi ne mujhe 2 baar kehne ko kaha aur mei ne nahi kaha, tu Aap khamosh ho gaye. Aap ke dil mei mere bare mei koi bura guman na aaye). Allah ke Nabi s.a.w ne farmaya; Ae Uqba kaho. Mei ne arz kiya Allah ke Rasool, kiya kahoon? Phir Aap s.a.w ne farmaya; Qul aaoozubi Rabbil falaq. Mei ne iss surat ko aakhir tak parha tu Aap ne farmaya; Kaho. Mei ne arz kiya Ae ALLAH ke Rasool, mei kiya kahoon?. Aap ne farmaya; Qul aaoozubi Rabbin-naas. Mei ne surat ko akhir tak parha tu Aap s.a.w ne farmaya; Kissi sawaal karne waale ne in aisi 2 cheezoan ke saath sawaal nahi kiya, aur kissi panaah talab karne waale ne aisi 2 cheezoan ke saath panaah talab nahi ki.

(Tawajju ka andaaz dikh raha hai, ho sakta hai pehli dafa kaha tu unn ki tawajju na ho)

Allah ke Nabi s.a.w pe jaadoo hua tha jo aik yahoodi Laqeeb bin Asim?? Ne apni betiyoan ke zariye kissi tarah Aap s.a.w ke baal haasil kar ke karwaya. Unn baaloan mei girhein lagayein, zarwal naam ke kunwe ke ander unn ko chupaa diya. Iss ka asar Allah ke Nabi s.a.w ki yaad daasht pe ho gaya, lekin deen ke muamale mei nahi. Aap taharat ke kuch masayeil bhoolne lage yaani ye yaad nahi rehta tha ke mei ne gussal karna hai ya nahi. Sheytaan ka yehi pasandeeda raasta hai ke logoan ko ganda rakhta hai taake wo deen se door rahein aur gandi baatein unn ke diloan mei daalta hai. Allah Tallah ne ye 2 sooratein naazil keen aur aik aik ayat ke saath aik aik girah khulti gayii. Uss ke baad kabhie koi aisa asar ya kissi pe koi jadoo tona hota tu Allah ne Nabi issi ke zariye ilaaj karte the.

Inn sooratoan mei Allah ki tawheed-e raboobiyat, aloohiyat, asma o siffat hian tu sheytaan tu aik dafa Allah ka naam sunn ke door bhaag jaata hai tu jaha itni dafa Allah ka naam aaye gaa tu wo kaise thehr sakta hai?Yaqeen shart hai, iss ke begair kaam nahi ho gaa!

Muawwizaat ka subah sham 3 baar parhne ka har cheez se kifayaat karna

Daleel: Imam Bukhari, Tirmidhi, Nisaayi ne Abdullah bin Habeeb r.a se ye rawayat naqal ki, unnhoan ne bayaan kiya ke hum aik baarish aur shadeed tareeki waali raat mei Rasool Allah ki talaash mei nikle taake wo hame namaz parhayein. Unnhoan ne bayaan kiya; pass mei ne anhazrat s.a.w ko dhoond liya tu Aap ne farmaya; kaho. Mei ne kuch na kaha, Aap ne farmaya; kaho. Mei ne kuch na kaha. Aap ne phir farmaya; kaho. Mei ne arz kiya; mei kiya kahoon? Aap s.a.w ne farmaya; Qul, qul huwallahu ahad aur jab tum sham karo aur subah karo tu Qul huwallahu ahad aur muawwizatein 3 martaba parho. Aisa karna tumhe har cheez se kifaayat kar de gaa.

*** Daura Quran 2012 - Para 14 - Surah Hijr ***

Theme of Para: Na shukriyoan ka rawayya

-Poora Para aur khaas tor se Surah Nahl shukar aur na-shukri ke rawayyoan ko zaahir karta hai-Surah Hijr, Ayah 2 mei na shukri ke asbaab dekhein ge qomoan ke-Surah Nahl mei bunyadi mazmoon - shirk ki nafi-Uss basti ka haal jis ne Allah ki nematoan ki na shukri ki aur azaab ka shikar ho gaye

ACTIVITY: Jaha bhi na shukri ki baat aaye, note kar lein aur apna muhasba karein

Questions answered in this Para: Na shukri ki bunyadi waja kiya hoti hai? Shehad ki makhi ko kiya wahi ki gayi thi? Sitaroan ko banane ka kiya maqsad hai? Aik tawheed parest aur aik mushrik ke aqeeda mei kiya faraq hota hai? Jab insan ko maut aaye gi tu farishte iss ke paas aa ker kiya kahein ge? Najoomiyoan ki baat ko maan na shirk ke kis daairey mi ata hai? Aasmaan o zameen aur iss ke darmayaan mei aqal walon ke liye kiya kiya nishaniyaan hain? Jab asbab aur wasaeil jawab de dein tu kon kaam aata hai? Dawat aur tableegh kis tareeqay say karnay ka hukum hai ke zyada se zyada log uss ko maan sakein? Betiya rehmat hain ya zehmat, Islam iss bare mei kiya kehta hai? Betoan ko lene ke liye dar dar ki thokrein khana behter, ya Allah se dua karna?*** Surah Al-Hijr ***

Tarteeb se 15th Surah, Tarteeb-e Nazool se 54th Makki Surah

Pichli qomon kay tazkeray hain. Makkah ke us dor ki hai jab Allah ke Nabi s.a.w ko jhutlaane ka silsala barhta jaa raha tha tu pichli qomoan ke qisse suna ker yaad dilaya gaya ke tumhare saath bhi wo ho sakta hai jo pichli qomoan ke saath hua kyoun tumhara rawayya bhi nabi ke saath waisa hai jaisa unnka apne nabiyoan ke saath tha!

15:18Ashab ul Hijr Hijr aik basti ka naam hai aur pathar ko bhi kehte hain.

Ayah 1is ko yeh soch ker sun-na kay yeh breaking news hain

Ayah 2Kaash hum nay nabyion ke baat mani hoti aur Allah ke nezer may bara aur khud ko chota banaya hotaaisay logon kay sath kia mamla kero, Allah bata rahe hain;

Ayah 3-5Allah insaan ko uski ghalflet aur khush gumaniyoan ke tilsam say nikal rehay hainkay aj mazay ker lo, wo waqt door nahi kay apnay ap ko tum Allah ke is naimet say door ker kay khushqismet ya mutmain samjho kafir khawaish keray ga kay kash may muslim hota, wo din door nahi Baaz kehte hain kafir apni maut ke waqt har kaafir azaab ko dekh ke ye khawahish karta hai.

Rawayat milti hai ke Allah Tallah jab qayamat ke din jannat aur jahannum de dein ge tu wo log jo the musalman lekin gunahgaar the, tu agar Allah chahein ge tu unn ko saza ke tor per jahannum mei daalein ge jahan kafir bhi hoan ge. phir muslim aik waqt kay baad nikalay jain gay , kafir sochain gay kay ab humain be nikala jaye ga , us waqt unki ye ghalat fehmi door ki jaye ge kay nahi ab nahi us waqt kafir khawhish keray gay kay kash hum muslim hotay!

Duniya mei agar islam apni gaalib kaifiyat pe ho tu har musalman ko dekh ke kafir ke khayal mei ye zaroor aana chahiye ke kash mei musalman hota.Kiya hum apne aas paas rehne waloan ke liye aisa role model dikhte hain? Kiya hamare chehre pew o itmenaan aur hamare dil mei wo khushi dikhti hai ke kafir hame dekh ke hasrat kare??Aaj tu musalman kehte hain lau kaanu kafireen! Sochne ki baat hai!!!

ager muslims mehnat kerain aur apni zindasgi ko baa maqsad banayin tu aaj bhe kafir kehain gay kay kash may muslim hota!is liay Allah humain paighaam deta hai kay apni identity pehchaano!jub muslims ghairon kay kapray pehanta hai, rang dhang, bol chaal har cheez mei tu wo humain dekh ker khush hotay hain ke hamari utran hi pehte ho, hum se impressed ho!Aaj humain yaqeen ho jaye kay Allah ny humain behtreen banaya hai!Kafir kay pass zindagi ka koi maqsad nahi , is liay is he duniya may khata peeeta hai na wo gor o fikar karta hai, na tadabbur - na uss ki jannat na jahannum! Eat, drink, be merry!HIGHLIGHT - ya kulu , yatamataooo , yulhihhimFa saufa yalamoon tu agar kal unn ko pata chal jaaye gaa aisa karne pe tu agar aaj hum musalman iss tarah hoan ge tu hame nahi pata chalay gaa? Pata tu chaley ga jab hum bedaar hoan ge. Hadees ka mafhoom hai ke log so rahe hain, pata tab chaley ga jab inn ki aankh khule gi.Aur aankh tab khulti hai jab hum apni zuban mei kehte hain ke fulaa ki aankh band ho gayii.

Ayah 6 kis ko keh rehay thay ? nabi s.a.w ko!HIGHLIGHT: innaka la majnooonaj humain kehain tu hum kyoun ghebratay hain?

Hum sub jannet kay raahi hain! aik rastay per janay walay tamaam logon kay rastay may same milestones aatay hain. Issi tarah jannat ke raaste mei bhi kuch milestones aate hain aik jaise, chahe wo Nooh a.s ka ho ya Nabi s.a.w ka - sacha raasta mukhalafatoan ka hai sabar, ilzamaat, majnoo, fanatic, bigre huey wageira wageira! agar ye milestone na dikhein tu kuch masla hai, sahi raaste pe nahi hain!jo log deen ke raaste mei short cuts lete hain tu bohat kuch kam ho jata haiNabi s.a.w majnoo kehlaaye gaye, aaj koi kuch keh de tu khush hoan

Ayah 7be jaa mutaalbe!

Ayah 8-9HIGHLIGHT Ayah 9Jab tak Allah na chahein, log iss quran ke zabar zer mei bhi tabdeeli nahi kar sakein ge!kisi ne baatil nazrayat ko phelaane ke liye Quran istemaal kiya tu jhat patt khatam ho gayemusalman iss kitaab pe amal kare tu koi isse tabdeel karne ka mutalba nahi kare ga! Logoan ne tareekh mei sar tor koshishein kii ke kissi tarah Quran ko duniya se badal dein.Aik baadshah tha, uss ne itna zulm kiya, hukm diya saare Quran ke nushay jala do. Karindoan ne yehi kiya, jaa jaa ke gharoan se aur har jaga se quran jala diye. Aik din baadshah ko chalet huey kissi ki Quran parhne ki awaaz aayi, gussa aaya karindoan pe ke tum sab ne mujh se jhoot bola, tum ne kaha jala diye magar mei ne fulaa jaga awaaz suni hai iss ki. Phir unnhoan ne kaha ke Quran ke nushay jalaane ko kaha hai, aap ko kiya pata ke ye Quran tu iss qom ke seenoan mei hai! Tareekh mei sab se pehle Qurra ko, hafizoan ko, deen ke muballigh qatal kiye gayeke log iss kitaab ke dushman hainDua: Allah meri zaat, amal, soch, tor tareeqe se logoan ko Quran dikhe - Ameen

Ayah 10-11pehle majnoon, doosra yastahziyoonna shukri ke rawayye - Nabi rahmat ban ke aata hai Allah ka deen sikhane ke liye. Allah ke deen sikhane waale rehmat bante hian, Aalam-e deen, aima karam, imam masjid, hafiz, qurra hazraat ye kissi shehr ke liye bohat bari nemat hote hain lekin log hawishoan mei hote hain tu dushman ho jaate hainpehle deewana mas'hoor karte hain, phir mazaaq uraate hianke iss se bohat se yaani mazaaq urwaane ke darr se log deen se kuch hadd tak peeche ho jaate hainkitni der Allah ke raaste ko chorein ge mazaaq urwane ke darr se?

Ayah 12 - HIGHLIGHT - Ayat e Tadabburjis tarah gosht pakte huey kisi salakh ke ander dala jaata hai, issi tarah se quran salakhoan ki tarah ghusta aur chubhta hai kafir aur jhutlaane waaloan ke dil meiQuran ki mehfil mei khud ka dil check kiya kareinDua: Allah ye Quran hamare dil ka noor ban jaaye Ameen

Ayah 13-18Aaj kuch log sitaroan se qismat ka haal maloom karte hain jo shirk hai.Sitaroan ko banane ke maqasad;1) Allah Tallah iss se sheytaanoan ko bhagaate hain - 172) Zayyan-naha Lin-nazereen - 16- beautify kiya gaya aasmaan , raat ko kale aasmaan pe sitaare na hoan tu kitna khauf aaye3) Allah ne iss mei khushki aur tari ke raaste rakhe huey hain

Aap ne farmaya Iss ke ilawa jo sitaroan se qismat ka haal maloom kare, haath dikhaaye, najoomi ke paas jaaye aur uss ki baatoan ko maan le tu uss ne uss cheez ka inkaar kar diya jo Muhamadun Rasoolullah s.a.w le kea aye.40 din tak ibadat qabool nahi hoti haath ki lakeer sirf dikhaane se, ya aisi jaga jaane se - chahe usse maneine ya nahi

Ayah 19-22kabhie hawa, baarish, oxygen, sooraj ki roshni ka tax/bill aya ghar pe? Duniya pe tu har har cheez ka tax lagta hai!Aaj insaniyat ka jeena muhaal hai taxes sarr nahi uthaane deteAllah kehte hain agar hum ne ye khazane logoan ko diye hote tu pata nahi kiya haal ho jaata shukar hai ke paharoan aur hawaoan ke khazane Allah hi ke haath mei hian

Ayah 23marne pe tax nahi lekin kharche pe kaafi tax hai, jo thori qabar ki jaga aur funeral arrangements wageiraAllah ne hamare liye kitna kuch rakaDua: Allah hame apni qadar karna sikha de - AmeenYe surah Allah ki nematein dikha ke tawheed seekhaati hai, lekin log na-shukray hote hian!

Allah zulm nahi karte kissi pe issi liye kaha;Ayah 24Allah ko sab pata chal raha hai, sab ke gunaah sawaab!

Ayah 25insan ko janjhora gaya yaha tak ab aage asal dikhanyii jaa rahi hai insaan ki;

Ayah 26 matti sarri hui, puraani ke sookhe gaare se insaan banaya gaya hai!hama - keechar jis mei jaraseem paida hoan.Insan ko jab banaya gaya tha tu pehle matti ko goondha gaya tha, phir jab uss mei jaraseem yanai zindagi ke asraat paeida huey tu insan ki shakal mei dhaala gaya. Ayat-e Tadabburaaj kis baat ki akar hai mujhey?mumkin tha insan soney se banta, jis Rabb ne paharoan ki tahoan mei itna sona rakh diya jo abhi tak daryaaft nahi hua tu Innallaha ala kulli shayin qadeer!lekin agar hota tu hota kiya, kiya zameen pe sajda karta?matti ka ban ke kitna akarta hai aur agar soney, chandi, here ka hota tu kiya hota?bara ban-ne ko dil chahe Allah ki baat ke muqable mei tu ye ayat yaad kar lein!ACTIVITY: mirror mei iss ayat ke tarjume ko likh ke laga lein urdu mei

Ayah 27-29Allah ki shan - kamzor makhlooq ke aage itni bari makhlooq ko jhukaaya gayamatti ki bohat khoobiyaan haiAllah ne insanoan ki naslein chalani thein, iss liye matti se paida kiya matti ke wajood mei growth hai, issi liye har cheez jo matti mei jaati hai tu aur cheezein ugti hain!Phal ka aik bheej zameen mei jaata hai, bail ugti hai aur phir poora darakht jo phal se bhara hota hai Allah ke hukam se!

Ayah 30-36iman bil akhira sheytan ka bhi hai

Ayah 37-41HIGHLIGHT - 41 - Ikhlaas ka raasta aise shakhs pe sheytaan ka bass nahi chale gaa!ikhlaas wo raaz hai jo farishtoan ko bhi pata nahi chaltajis niyyat se hum koi kaam karte hain koi nahi janta Allah ke siwaAllah ke nabi ne bataya ke sab ke saath sheytaan hai. Log heraan huey ke Allah ke nabi aap k abhi sheytaan hai? Kaha haan lekin Allah ne uss ko musalman kar diya hai ke wo mujhey ab burayii ki dawat nahi de sakta!

Sab ke saath aik sheytaan aur aik farishta laga hua hai, sheytaan hame burayi ka hukam deta hai aur farishta naiki ka Hum aik dafa farishte ki maan lein ge tu aahista aahista farishte se dosti ho jaaye gi, phir baaqi naikiyaan asaan ho jaati hain.jis ki manein ge wo raasta asaan ho jaaye ga. Mukhlis banda bilakhir sheytaan ke chungle se azaad ho jaata hai!39 - mera rabb - tawheede raboobiyat

Inn 10 cheezoan se sheytaan ko door kar sakte hain jo khulle aam keh raha hai hame jannat se door kare ga; Aaoozubillah kasrat se parhne se Muawazzatein parhne se Ayat ul kursi ki kasrat se tilawat Surat al baqarah poori ya last 2 ayahs parhne se Sone ke azkaar Hadees mei aata hai ke 100 baar la illaha illallahu wahdahu la shareekalahu lahul mulkoo wahuwa ala kulli shayin qadeer subah uth ke parhne se insan sheytaan ki chungle se azaad ho jaata hai Zikr e ilaahi Hadees mei aata hai ke insan ke dil pe sheytaan ne apni thothani rakhi hui hai. Aik aur Hadees ka khulasa hai ke Aap s.a.w ne farmaya; sheytaan machar ke dank aur aik hadees mei aata hai haathi ki soondh ki tarah insan ke dil pe nazar rakhta hai aur junhi banda zikr se gaafil hota hai tu uss per hamla kar deta hai. Zikr karne pe sheytaan door bhaagta hai aur gaafil hone pe waswase daalta hai. Ba wazu rehna aur aur 5 waqt ki namaz ada karna Fazool khaane se parheiz karna Bekaar baatoan se parhaiz

4 cheezoan se sheytaan insaan ko mareez bana deta hai; zyada khaana zyada nazroan ka dorana yaani chaka chaki zyada socialise karne se, ghar rehne se insan secure hota hai zyada baatein karne se

Agar ye dekhna chahte hain ke mere ander sheytaan ka asar hai ya nahi? Tu apna dil check karein, jo hamara zameer hai. Momin ka tarazoo ki tarah hota hia, aik palra bhi idher se udher jhuke tu usse pata lag jaata hai.ita'at , ibadat,. Muamalaat har waqt momin inn ko check karta rehta hai! Zara 19/20 aaye tu pata chal jata hai iman ka level low haiwalaoogwiyyanhum ajmaeen - sab ko kidnap karne ki dhamki de raha hai sheytaan

Ayah 40 - 41Dua: Allah hame ikhlaas de dein AmeenIkhlaas na ho tu din ba din insan deen se door hota hia!

Ayah 42-43Ye darwaze gunahoan ke, masiyat ke hain jin pe chalk e insaan galat kaam karta hai! Maslan, Jo Allah ko nahi manta tu wo dehriyat ke darwaaze se jaaye gaa, koi nifaaq ke darwaze se, koi fisq ke, koi fajoor ke, koi zina ke, koi sharaab ke naajaane kitne darwaze hain jin se bach ke guzarna hai! Yehi taqwa hai.

Hazrat Umer r.a se kissi ne aik moqa pe poocha ke taqwa kiya hai? Tu kehne lage kabhie tum kisi jungle mei se jis mei dono taraf kantoan wali shahein ho guzre ho? kaha haan , poocha kaise guzarte ho?Kehne lage bohat daman samait ke, kaprey lapait ke, idher se udher bachte bachaate guzarte hian. Tu kaha yehi taqwa hai!Duniya itni haqeer aur gandi, lekin attraction!! sheytaan ka kaam: gande ko khoobsurat karnasabse pehle na shukri iblees ne ki, yehi karne pe insan ko maeil karta hai!

Ayah 45-46Allah hame inn mei kar dena - Ameen

Ayah 47-48Baaz dafa 2 naik logoan ki bhi aapas mei nahi lagti. Tu Allah Tallah farmaa rahe hain; Wa nazana maa fii soodoorehim.Hadees mei aata hai ke Jannat se baahir aik nehare hayewaan hai. Allah jab uss mei mominoan ko daalein ge tu dil dhul jayein ge. Saaf sheeshe ke dil Niyyat karein - Aaj apne diloan ko paak karna hai inshAllah, Bara na shukra pan hia ke insan wo dil jis mei Allah ki muhabbat hai waha gandagi jama rakhe.Allah ke liye doosroan ko muaf karein. Dil saaf aur khush ho ga tu khud mei wussat payein ge!Allah ke Nabi ne aik moqe pe kaha ke jo shakhs idher se guzre gaa wo jannati hai. Log soch mei parr gaye kon guzre gaa. Phir dekha aik sahabi guzre, wazu ka paani unn ki daari se tapak raha tha. Sahabi ko tajassus hua. Unn ke ghar gaye aur kaha kissi waja se qasam khaa betha hoon apne ghar nahi rahoo gaa 3 din, aap meri madad karein. Uss ne kaha shoq se rahiye . 3 din ke baad jab jaane lage tu sach bata diya ke Allah ke nabi se aap ke bare mei suna tha tu aap ka wo amal dekhna chah raha tha jo jannati hai. Lekin mujhe aap ke saare amal wohi dikhein hain jo mere bhi hain. (uss mei tahajjud ka tazkara bhi tha). Tu kehne lage bhai mere paas koi amal nahi, bus aik baat ke mei kabhie kisi doosre momin ki koi nemat koi khoobi dekh ker dil mei hasad mehsoos nahi karta.

Ayah 49jo mehnat karni hai iss duniya mei hi kar leinthori se mehnat, kitna rehna hai yaha?

Ayah 50 - Ayat e tadabbuttakraar se ye ayatghaffor raheem kis ke liye ALLAH swt?jo gunah kar ke tauba kar ke palat aaye aur phir naikiyoan pe jama raheaur na qadri karein tu duniya o akhirat ke azaab

Ayah 51-56shukar aur na shukri ke tanazur se qissa suneinna shukra insan Allah se mayoos ho jaata hai, kehta hai kuch milna tu hai nahi, yahi mauj kar loon

Ayah 57-60Loot ki beewi peeche reh gayii!!!uss ki attachment khandaan aur qom ke saath thishohar ke nabi hone ka koi benefit na mila

Ayah 61-72wahid yaha Allah apne NABI ki jaan ki qasam khaa rahe hian

Ayah 77hajjaz se sham jaate huey raaste mei ye ilaaqa aata haiShukar jab maalik ki khilaaf ho tu shirk mei badal jaata haijo aik Rabb ki qadar na kare wohi doosroan ko saath milata haijo mard apni jaiz beewiyoan ko chor ke doosroan ke paas jayein tu na shukrebeewiyaan bhi haqq na dein shoharoan ka tu na shukrina shukraa insaan humaisha apna nuqsaan kerta hai shukar guzaar rehna hai nahi tu nemat chin jaati hai

aeka = jungle - 78 onwardsqom-e madyan = as'haabe aeka

80- surah hijr ka naam is waja se

Ayah 83-84Allah ne iss qom ko taqat di thi, physically bohat taqatwar the. umarein 200/300 saal hoteen theen. Chooney matti ke ghar mei rehte tu wo inn ki zindagi mei puraane ho jaate the tu Allah ne inn ke nahunoan ko itna sakht kar diya ke ye unn ke saath carving kar ke pathroan mei ghar banate. Innhoan ne na-qadri aur na-shukri ki.Aaj hame Allah ne kitni skills deen, nematein deen, lekin kiya kaam mei laa rahe hain ya Allah se doori ke liye istemaal kar rahe hain?

Ayah 85-92purpose of life- kainaat maqsad pe banayii gayiihaqq: insan iss duniya mei akhirat ko paane ke liye bheja gayaiss duniya mei rehte huey Allah ko Al Haqq samajhte huey uss ke bataye baatoan pe amal karein aur Jannat tak pohanch jayeinba maqsad insan ko doosroan ki fikrein nahi hoteengreat minds discuss ideas, logoan ko nahiaverage minds discuss people

aaj hum average ho chuke?fashion ki baat, khane peene ki baatzindagi ka maqsad pehn-na orhna bana liya!!

87 - Surah fateha ke baare mei 88- HIGHLIGHT sirf wo karein ge jo Allah ke hukam se bazaabta tor pe Quran se jure huey hain. Jo jaha bhi beth ke Quran ki taleem le raha hai, Allah message de rahe hain ke ab doosroan ki cheezein dekh ke impress nahi hua karo. Hadees ka khulasa aur mafhoom- jisse Allah ne quran ki nemat di aur iss ke baad wo duniya waaloan ki cheezoan ko dekh ker mutasir ho tu uss ne Quran ka na qadri ki. Jis ne Quran paa liya, uss ke paas tu wo hai jo doosroan ke paas nahi hai!

Ataya jaa raha hai ke munasib waqt ka intezaar kar ke sathiyoan ki galtiyoan pe tokojahannum mei jana asaan hai, jannat mei jaana mushkil!!naiki mei average pe qayeib rehna bhi relatively asaanexcellency ko paana sab se mushkil ye k2 ko sarr karne ke barabar hai!toote huey diloan ko aur nahi torna - balke naye dene ki taraf aane waloan ko bohat muhabbat dein koi pata nahi kiya kiya chor ke deen ki taraf aaya hai!Agar naye aaye hain Islam mei ty: Fa asfahis-safhal jameel aur agar jamm chuke tu La Tamud-danna ainaika illa maa mattana beehii azwaja.leader ko message: aap itna na kurheinmakkah waale budhu the, Allah ke nabi ki kamyabai - unn ko adab seekha diyakhair aur sabar!!!quran ki nemat ki qadar karo***quran ko tukre tukre kar liyaaaj logoan ne aur firqoan mei batt gaye

Ayah 94 - phir Nabi ne khullam khulla tableegh shuru kar di - zimedaari ka ehsas bohat barh gaya

Ayah 95hamare pyare Nabi ka mazaaq uraya jaata tha

Ayah 96 Aise log mazaaq uraate the

Ayah 97Dil ko takleef tu hoti hai lekin gussa nahikyounke deen ka kaam apne liye nahi, Allah ke liye hai

Ayah 98Aisoan ka ilaajApne RABB ki hamd ke saath tasbeeh aur sajda!aur akhri ghari tak RABB ki bandagi!! aur akhirat pe yaqeen!logoan ki baat pe dil dhukhe tu SubhanAllah - aur phir sajda jaha Allah ke siwa koi nazar nahi aataakhri damm tak ibadatyaqeen se muraad maut - marte dam tak ibadat ki halat mei raho

*** Surah Nahl ***

Surah ka aik aur naam = Surat un Nem = Nematoan waali suratTarteeeb se 16th surah aur Tarteeb-e nazool se 70th Makki Surah!

Iss Surah mei inn cheezoan ki khaas tor se dawat aur tazkara: Tafakkur karo Nematoan ko dikhaya jaa raha hai ke aik khair kis tarah doosri khair ko faaida deti hai, kainat ki cheezoan jo doosroan ko faida de rahi hai Shirk ki nafi aur Tawheed ka asbaat Na-shukri ke rawayye

Nahl - shehad ki makhi, uss ka tarze amal dikhe gaa ke faida sab ke kaam mil ker karne mei hai! Team Work!

Ayah 1Allah ka faisla ; hijrat ka faisla!Makah waale sata chuke jitna satana tha, AAP s.a.w ki maut ki tayariyaan mukammal theen, itne mojaze dekhe lekin na maane tu Allah ka hukam aa gayahar nabi se wada - nabi logoan mei rahe aur rawayye na shukri ke hoan tu hijrat aur azaab ka faisla Allah swt kaNabi ka wajood kisi qom may rooh ke terhan hai , nabi nikal jaye tu qom berbaad ho jati hai Nabi ki hijrat = qom ka azaab!!!

Ayah 2bande ko na shukri se taqwa rokta hai, Allah ki nematoan ka ehsas bhi taqwa ki aik qism haiphir insan gunahoan se bachta aur naikiyan karte darta hai ke haqq ada nahi kiya

Ayah 3haqq yaani maqsad se paida kiyaAllah ko shirk se faraq nahi partashirk = na shukriAllah ka kuch nahi bigarta, nuqsan apna

Ayah4Insan ki auqaat Ae insan tu kis cheez se paida kiya gaya?jis Rabb ne bolne ki taqat di, hum ussi se jhagarne lagetakabbur!!!kabhie insan apne mohsinoan ki na shukri kar ke khair nahi paaye gaJo apne mohsinoan ka haq ada na karein, wo tabah o barbaad ho jaate hain!

Ayah 5 - Ab janwaroan ki takhleeq Poshaak = leather jackets/skinHoraak = meat

Ayah 6Kabhie socha ye chote janwar Allah ki chalti phirti factories hain!aik aik cheez insaniyat ke faidake liye janwaroan meiSheep/bher; jism ki aik aik cheez insaniyat ko faaida de rahi hai!Macharoan ke faaide - wabaein paida hone se rokte hain - khaas qism ke bacteria ko kha jata hai jo otherwise hum mei beemaariyaan laata hai!

Allah ki banayii sab cheezoan aur makhlooq mei jamaal aur kamaal aik saath hai khoobsurat bhi aur faaida mand bhi!Hamari banayi cheezoan mei ya tu kamal hai ya Jamaal!

Ayah 7hamara kitna wazan uthaate hai ye gadhe, hamara masla ke hum fitrat se door ho gayejo insan ki banayi duniya mei rahe ga usse insanoan se pyar ho ga, fitri mahol mei rehne waale Allah se qareeb hote hian Activity - open air mei so ke dekheinGor o Fikar ki adat dekhin, phir dekhein Allah se kitna pyaar ho gaa!

Ayah 8bata diya aik waqt aaye ga ke kitna kuch ho ga; gaariyaan, jahaaz wageira, Tab koi nahi aanta tha inn ke bare mei aur aaj hum nahi jaante kal kiya kiya ban-ne wala hai - kal gadhe the, aaj gaari jahaz aur kal hum nahi jaante kiya!!

Ayah 9Allah hi seedhe raaste pe laata hai - lagta hai?ird gird kitni distractionsAllah ki shaan ke sab mei se nikaal ke kitaab ki mehfil mei le aata haishukar karein aur dua ke jo Allah in raastoan pe laya, wo inn hi pe chalate rakhe ameen

Ayah 10-11 - ACTIVITY: fruit chaat banate huey ya fruit kaat-te huey ghar waaloan ko saath mila ke gor karna haifruits ke rang dekh ke Allah ko nahi pehchante?duniya black and white hoti tu bore ho jaateAllah pe gor karein har cheez meihame nafa mand ban-na hai - yehi shukar guzari ka aala muqaam haikainaat bol bol ke baa rahi hai nafe waale banoaaj musalman manzar se hatt gaye ke kissi ke liye nafa mand nahi rahe

Ayah 12-13 - gor o fikarkhirki se baahir dekhein kitne rang nazar aate hainaasmaan ko dekhein - kitne rang, esp jab soorajh doob raha hobaadil urr rahe hote hainqayamat aaye gi tu aasmaan surkh ho jaaye gahar colour ka mood pe asar hota haiblue = calmgreen = soothingred = emotionsskin colour = thehraaokhush ho ke kapre pehnein , shukar karein aur Allah ki raah mei aur kaam karein

Ayah 14sea food, pearlshukar karna hai - sab nematein istemaal kar kekhoob khayein, pehnein lekin shukar - Allah ko nahi bhoolnadene waale ko bhoolein ge tu ye cheezein wabaal banti hain

Ayah 15pahar = nails/mekhein iss zameen ki!qayamat ke din pahar uthein ge tu zameen hil jaaye gi aur nizam talpat ho jaaye ga

Ayah 16zameen mei alamatein = khushki/tarr ke raste , raigistaangoro fikar karein ge tu faaidasitaroan ka 3rd purpose hai iss ayah mei hame raasta dikhaate hain

Ayah 17Allah hum se sawaal kar rahe hainbarabar ho sakte hain? Nahi

Ayah 18aik nemat bhi ginn na chahein Allah ki tu hargiz nahi gin saktekisi ke sar ke baal gin sakte hain?aangan mei lage aik darakh ke patte gin sakte hian?shaam ko pakne waale chawaloan ke daane gin sakte hain?aik nemat nahi gin sakte, nematen kaise ginein ge? tu akar kyoun? na shukri kyoun?? dil khol lo!gunahoan pe pakar nahi ho rahi abhi forum ke darguzar aur bakhshne wala hai Allah swt!

Ayah 19 - Allah sab jaante hain!!!!!itna jaan-ne wala muaf kare tu kitna raheem hai woACTIVITY: Abhi se le ker kal tak har kaam ko shaoori sochna hai ke chahti hoon iss kaam ka doosroan ko pata chale? aur sochna ke Allah jaante hain mei kar rahi hoon

Ayah 20-21khud qabar mei jaa chukka, zinda nahi murda haiye tak nahi jaanta ke kab doobara uthaya jaaye ga!!!koi naik bazurgh jis ka mazar dikhta hai aaj - bebas shakhs - aaj uss ki qabar pe jaa ke kuch maangoon tu sochein meri awaaz uss ne suni hai??jo sun nahi sakta, matti hata ke khud ko bahir nahi kar raha, tu hame kaise kuch de gaa??

Ayah 22-23 Tu maan jaao ke Rabb tu aik hi hai!Aur agar akhirat mei imaan nahi tu takabbur mei pare huey hain aise log!

un logoan ki batein jiko Quran acha nahi lagtta ooper ki gayeen Jab Nabi s.a.w haqq ki dawat dete makkah mei aur baat phelne lagi tu log poochate ye nabi kiya baatein karta hai? Ye jo Quran ka itna shor sun rahe hain tu ye kiya hai?tu aisoan ke jawaab' Ayah 24Ayah 24 - aasaaterul awwaleen - puraani baatein aaj ked or mei Quran se kuch nahi mile gaa! quran ki value nahi pehchante the wo.aur dar tha ke aa ke nabi ki batein na sun lein ke maan na jayein tu kehte bas aise hi hai, aap ki haisiyat kam karne ki koshish karte.

Ayah 25-26 - nadamat ki baatein ke aise log nadaan hainzimedari = doosroan ko hidayat se door karne ki

Ayah 27- HIGHLIGHT aeyna shurakaai yallazeena kuntum tushaaq-quna feehim... batao kidher hain wo shareek jin ke bare mei haqq waaloan se jhagre karte the?

Ayah 28 - 29 aise zaalimoam ka maut ka waqt!zindagi pasand ki, maut ke waqt ka muamala - farishtoan ko dekh ke sulah karna chahein gezindagi mei Allah se door, uss waqt kuch qabool nahi kiya jaaye gaaab inn ke baraqs logoan ki baatein:

Ayah 30 onwards Allah ke mutaqqi logoan se sawalaat pooche jaate hain, Jawab: - HIGHLIGHT Khairaa - behtareeen cheez utari hai

Ayah 31Akhirat ka khoobsurat tareen ghar!!hamesha qayaam ki jannateinsab khawahishoan ke mutabiq!

Ayah 32- Mutaqqi logoan ke maut ka waqt!tayyabeen ki baat hui yaha.

Kon log tayyab hain? Allah ne un ki baat ki jin ki maut se pehle unn ko Allah ka Quran bohat khoobsurat lagta tha Innki zindagi pakeezgi ki halat mei guzri thi

Zindagi paak hoti hai;Kalma tayyab parhne waale ki zindagi pakeeza hoti haiBanda momin pakeeza hota hai tu zindagi mei halal aata hai, jhooti batein nikal jaati hain, sochein paak hoti hain, aur pichli zindagi ke gunaah istaghfar ki kasrat se naikiyoan mei badal jaate hain.aas paas waloan ko nafa deta hai momin! Iman mazboot hota hia tu amal bhi mazboot!Banda tayyabbanta hai; doosroan ko naiki ka hukam kar ke aur burayi se rok ker!Jo shakhs duniya mei aazmaishoan ki aandhi pe jama raha, qabar mei munkar nakeer ke sawaloan pe bhi jame ga! Kalma Tayyab ki jarein dil mei jaati hain!

Jitna talluq billah mazboot, utne zyada hum deen mei kaam karne waale hoan ge. Aaj islam ko pakeeza darakhtoan ki zaroorat hai, deen se jurna!Jis ke paas j oho, wohi doosroan ko deta hai! log darakht ko pathar maarte hain, jawab mei phal milta hai

Quran ka peghaam = khud ko paak kar losharaab pasand nahi ke soch gandi hoti haikalma tayyab = zuban se le ke dil aur dil se le ker har uzw ko paak kar deta hai

Ayah 33 - 34 - maut ke farishte

Ayah 35shirk ka ilzaam Allah pe laga rahe haintaqdeer hukam nahi ilm hai

Ayah 36Apne taghootoan ko khud dhoondana hai

Ayah 37Nabi s.a.w ke tarap ka tezkra Log hidayat chor ke aaleeshaan zindagi bhi guzaar lein, sakoon nahi mile gaa!Allah farma rahe hain Nabi aap na jala karein, inn ki apni zindagi ki maeeshat e zen he bataye ge kay yeh kis galat rastay pe hainCain aaj issi liye nahi hai! Maza nahi mila, na sharaab mei, na parties mei, na kaproan mei ye miley ga tu Allah ki hidayat mei hi miley ga aur hidayat maangne se mile gi!Allah kehtay hain may jis ko hidyata deta ho us ko he milti hai! Allah Al-Hadi hai, hum qadar na karein tu wo qadar karna chor de ga. Ayah 38 -40 aqeeda bil akhira kamzor aisoan ka!Allah qudret wala hai pakar ke bhi deen ki taraf laa sakta hai lekin aisa nahi kaha! Jism ke ander ka aik aik uzw khud kaam kar raha hai Allah ke hukam se, tu berooni uzw hamare ehtyar mei aazmaaish ke liye de diyeyeh choice ke baat hai , Allah ko us banday per piyar ata hai jo khushi say ata haijo khud ko pity feel kerta howa ata hai , us ke tu shaid namaz bhe qaboool nahi hoti, apnay dil say aye!Allah kehte hain you are intelligent. tumhain pata hai kay tumhara kis may faida hai, jo beshak issi raah mei hia. Aur ab agar marzi se aa gaye ho tu qurbaniyoan ke liye tayaar raho.Ab agay phir hijrat ki baat; Ayah 41-42her banda jis ko khawahish hai jannat ki, us ko mushkilaat say guzerna peray gajo pressure berdasht nahi ker sakta wo precious nahi ban sakta!hum sub carbon hain, humain pressure berdasht kerna hai tu diamond ki tarah precious banein ge.

hidayat kay rastay may hijret sab se bara milestone haiAik buzurg thuk gaye tu kaha, aye dunya , may ne tujhay talaq di, mei tujhey teen tallaqein deta hoon, tu mujhay chor day!Agar deen ke raste mei sab hamari marzi ka ho tu deen bin nafs kiya hai? Phir kon nahi kare gaa? Deen ka raasta saree zindagi ka phase hai, mushkilaat ka safar!aaj ki masjid e nabwi koi dekh ker assume nahi ker sakta kay jub barish hoti thee tu 3 days tuk pani tapakta rehta tha hamare paas tu aisi koi kami nahi haan na-shukri zaroor hai! Asal kaam shukar hai Allah swt paak kertay hain mushkilat say Munafiq pe mushkil aaye aur wo ilam se nikal jaaye tu wo Allah Tallah islam ko aise logoan se paak kar rahe hote hian.

Sirf inspiration say kaam nahi hoga , sabar or mushkil k liye tayyar ho jayye kuch to azzmaish ay gi Ashaab-e suf mei the Abu Huraira r.a bhook pyaas sab bardaasht ki deen ke liye!!Kuch log nabi saw k saath 23 saal say thay , woh utna na ley sakay jitna 3 saal main Hazrat Abu Huraira r.a nay le liya aur aaj Ameerul Momeneen fil Hadees hain!Ae Allah mujhey ilm dost bana de Ameen.tawakkal , hijrat main sabar ki zaroorat Aaj dora e quran ker rahay hain hum , aaj nisf tak pohchay hain , agay bhi barhay gai , lekin asal baat hai k is k baad humara shoq or jazba kaha jay ga Allah nay subul as salam ki shakal main humaray liye moqa diya hai , pehlay say hum planning ker lein

Ayah 43-44Kitne badqismat log jo Allah k nabi say taleem nahi letay hain Inn ayat mei Allah ke nabi ustaad ke roop mei dikhte hainNabi saw k paas kitney log thay, lakhon ki basti magar chand 100 k ashaab e suffa hi thay deen thore logoan se shuru hota hai.1, Waldain 2,Ustaad .... in do ki jo izzat nahi keray ga , woh kabhi bhi agay izzat nahi pa sakay ga Nashukri nahi , ustaad o waldain hain to un ki izzat ker k shukar guzar banein

Ayah 45-47main Ayaat e Tadabbur3 mukhtalif qisam k azaabon ki kaifiyat bata di; asman say , neechay say aur kerwaton say Kon apnay aap ko itna bara samjhta hai , Allah k azaab k agay ?Allah hum ko haqq ki mukhalfat say bacha, nashukri say

Ayah 48-50Itnay piyaray Rabb ko chor k logon ka mamla agay bataya ja raha hai ab Ayah 51Aik ho ya 1000 , Allah ka kisi bhi taarha shareek na banao , Allah wahid hi hai

Ayah 52-55Dukh hota hai kitna ziyaada jab mushkil ay hui ho , jaisay hi mushkil khatam hui to Allah ko bhool gay Mushrikeen ka amal tha yeh, sochte the bazurgh jab faut ho jata hai tu Allah se dosti ho jaati ahi aur kaamoan mei nadad karwaate hain naoozubillah!! Phir unn ki qabr pe charhawe charhane jaate Kehte har nemat unn ki dein hai jink o Allah ke saath shareek karte the.53 ... HIGHLIGHT; Wa ma bikum minnaimatim fa min Allah54- Shirk bil tasarruf

Main topics till now ; Allah ki nashukri , waldain ki nashukri , ab agay olaad ki na shukri Ayah 56-60Beti ki paidaaish , is ko bura samjhna insaan ki dil ka bukhal Aaj bhi log beti ki paidaaish p khush nahi hotay , abort kerwa detay hain pehlay hi Nabi saw ka rawayya dekho k kaisa tha apni betiyon k saath kitna pyaar tha fatima ra say un logon ka riwaj : kay aik lerki ke shadi ho aur saas ka inteqaal ho jaye tu sochtay kay yeh lerki manhoos hai aur maa ko kha gai , 2. phir ager pehli baiti paida hoti tu talaaq day ker torture kertay Sab Allah ka hai yeh soch k khashyat nahi ati kia ?logon ki factories or business say impress hotay ho , magar Allah ki to aik makhlooq poori factory hai Sirf aik zaat hai jo hum say har haal main muhabbat kerta hai , Allah AL wadoodSachi mwahid wo jo Allah se darne waala bhi ho!

Ayah 61 - 62HIGHLIGHT .... 62 Anna lahumunnaaar wa annahum mufratoonAllahumma la taj'alna minhum - Aameen Ayah 63-64Mujhay lagti hai yeh kitab rahnuma hidayat ?

Ayah 65- Qudrat ki nishaniyaanSunnay walay sirf kaan say nahi dil say

Ayah 66 Ghor kerain doodh kaisay saaf shaffaaf milta hai itni gandgi main say bacha k khoon ki ragain bhi hai , pishaab ki nalian bhi usi main hain , gobar say ladi hoti hai bhens , lekin doodh ! SubhanAllah safaid bilkul clean Rabbana ma khalaqta haza batila, subhanaka faqina azabannar. Activity: doodh kay dabbay per sticker chipka dain aisa jjumla likh ker kay Allah yaad aa jayeAllah itni saaf nemat detay hum ko , hum is ko ley k kitnay ganday kam kertay hain

Ayah 67 Sharaab ka mozo pechay 3 bar guzar chuka hai yeh pehla ishaara tha sharab k haram honay ka, aqalmand sahaba foran samajh gay thay ke sharaab haram hone waali haiTU Jab sharaab pee nahi sakte tu na bana sakte hain, na bech sakte hain!An Nahl ka aik or message; pakeezgi , safai kerna khud ki

Ayah 68-69 Kia hum ko shehaed acha lagta hai?Hadees mei aata hai 2 cheezoan mei shifa hai, shehad aur Quran, dono ko laazim pakro.Honey bees main;*Planning *Team hoti hai , aik malka, baqi workers destination aur kaam aur raaste set hotey hain* Aik shahd ki makhi 50 000 miles chal k jaati hai ras lenay aik tsp shehad banana ke liye* Kuch makhiyan chajja banati hain mom se, kuch sanchay bana k phir us main aik aik drop dalti hain phir dosri team us k ooper cap laga deti hain kuch bees thanda kerti hain us shahad ko hawa dey k kuch bees aik boundary banati hain ta k doosray keeron say bachain "Aik spoon honey ka itnay marahil say guzar ker milta hai "

Ayah 70 - 71Kia tum mulazmoon ko apni aadhi jaydaad dey daytay ho ?to Allah ki hasiyat kaisay kisi or ko detay ho?

Ayah 72 hafada = pota Only grandmothers HIGHLIGHT . 72 ... Hafadah : )Batil; Materialistic Ayah 73 Islam A to Z

Shirk sheen raa kaafShirk = shirakat , partner ship Mushrik kehta hai Allah tu hai lekin saath koi doosra bhi hai, zaat mei, siffat mei, koi madadgaar hai!Wo kaam jo sirf Allah kar sakta hai, uss ko Allah ke saath kissi doosre ke naam pe kar dena shirk hai!2 baree qismain , shirk e akbar , shirk e asghar -shirk - akbar : Allah kay sath kisi ko bhe shamil karna , khulla shirk Allah ki aboobiyat, aloohiyat aur asma o siffat mei kissi zinda, murda, jaandaar aur be-jaan ko Allah ke barabar karna!Shirk-e akbar ki 3 qismain :-shirk fil ilm Allah jo kuch janata hai , koi dosra bhe janta hai , kisi buzurb , peer , wali ko yeh pata chal jaye kay kon kia ker reha hai , yeh shirk e akber haiAllah kay baray may kisi ka yeh sochna kay may door baith ke kisi ko pukaron ga tu wo meray samnay aa jaye ga tasawwuf.2 . shirk fil tasarufsarafa say : apna hukm jaree kernakoi yeh samjhay kay koi wali etc kay pas yeh eikhtyar hai kay wo kisi ko mar day ya zinda kar de ya kuch day day , yah kuch rok day maslan rizq wageira3. shirk fil ibaadaatjo Allah kay liay ibaadet hai wo kisi aur kay liay kernamaslan , uskay naam ka qayaam, roza, namaz, uskay gher kay taqaf, uskay liay qurbani , manatain , us ke chokhat kay agay duain mangna , sub say berh ker wahan ja ker unsay dua mangna. Hadees mei aata hai ibadat ki behtareen qism dua hai.

-shirk e asghar : (shirk-e khafi)shirk akber jaisay kisi ko heart ke disease ho jaye aur shirk e asgher kaisi ko cancer ho jayeaisa shirk jis ka bazahir shirk hona wazeh hi na ho aisa shakhs baaz dafa galti se, baaz dafa la-ilmi se aise karta hai, baaz dafa us ko pata he nahi chalta

1. qoli shirk, zaban say maslan gair Allah ki qasam khaa lena Daleel: Tirmidhi 1135,Gair Allah ki taraf nisbat rakh ke naam rakhna, maslan Abdul Uzzah, Peeran ditta, nabi bakhsh, kaneez Fatima, Daleel: Abu Daood, Ibne Maja Ye kehna ke jo Allah chahein aur jo aap chahein Silsalatul ?, Mustand AhmedKhud ko baadshah kehnaMalik ke liye Rabb aur naukar ke liye abd ka istemaal karna - BukhariHalaat o waqiyaat ki nisbat gair Allah ki taraf kar dena, Sahi MuslimSitaroan ka apni zindagi mei asar maan-na

2, faili shirk, jism say koi aisa kaam Maslan:Bad shagooni lena, kaali billi raasta kaat gayi tu ab haadsa ho gaa, mujhe peeche se nahi bulaanaTaweez latkaanaKahin ya aaraaf ke paas jaana

3. qalbi shirkRayakaaree, Mustand ahmad 17270naik kaamoan ko duniya kef aide ke liye karna, Bukhari, Ibne Maja

20 points ager shirk kar liya tu mere liye ye nuqsaan; Shirk karna haram hai, anaam 151 araaf 33 zulm e azeem, luqman 13 , muslim 327 shikr na qable maafi jurm hai, maida 72 nisa 48 , 116 shirk azaaab ka sabab, momenoon 117, shura 213 halaak karne waala gunaah, bukhari 2766 shirk kabeera gunah hai, bukhari 4477, muslim 86 mushrik Allah kay deedar say mehroom ho gaa, kahf 110 musrik aasmaan se girne waale ki tarah hai, hajj 31 bad haal aur bay yaaro madad gaar ho gaa, bani israiel 22 mushrik kay naik amaal zaya , Al anaam 28 Jannat haram, maida 72 jahanami , bani israel 39, anbiya 98 astaghfaar nahi ho sakti, tawbah 113 shifaat nahi, al-aetqaad 7 najes hota hai, tawbah 28 mushrikoan ke hilaaf jung ka ailaan, tawbah 5 mushrik ki qabar per usse aag mei jaane ki ke waeed sunnai chahiay, Ibn maja 1573 mushrik ko kissi nabi ki rishtedaari bhi faida nahi de gii , sahi bukhari 3350 qayamat ke roz inn kay maabood faida na dain gy, saba 40, 41 hamesha jahannum mei rahein ge, maida 73, muslim 269

Dua: Ae Allah hame baatil se hata ke haqq pe jama de Ameen.

Ayah 74 - 75shirk ke practical exampleMatlab ye ke shirk kernay wala aur momin aik jaisay nahi ho saktay

Ayah 76 - aik aur misaal; mominaur mawahidmushrik gher gher ka dhobi, aur momin aik rabb kaDua: Ae Allah zahri, batani, qalbi saare shirk hamare muaf kar dein Ameen.

Ayah 77Allah hi humaray sub ghamm door keray ga, ussi se lau laga lein!!!

Ayah 78 Poori surah mei Allah, Allah, log phir bhi kyoun haqq ada nahi karte?apnay bachpan ko , paidaish ko zehan may rekhain.kis liay diya sub? takay shuker kero Allah ka, Allah ko naraaz karne ke liye nahi! Ayah 79 Allah insan ke saath saath parindoan ko bhi thaam huey hai iss kainaat ki har she ki tarah nahi samjho ge?

Ayah 80 81 - Home sweet home Allah naimet day laikin Allah ke nafermani na kerain naimet paa kerAllah insan ko nemat dete hian, aur insan mei nazakat aur takabbur aa jaata hai. Sardiyoan, garmiyoan ke kapre alag alag Allah ne diye kiya garmiyoan ke kaproan mei khud ko sahi se chupaate hian?Sab pehnein lekin haqq ada kar ke, jaisey Allah ne hukam diya!Nematein milti hain taake hum farma bardaar ho jayein. Ae Allah humain muslim bana day, Ameen.

HIGHLIGHT Ayah 83 Ayat e tadabburAe Allah hame aise logoan mei na karna, Ameen.Mei nemat ko pehchaan rahi hoon Allah ki? Unn se phir munkar tunahi hoti? Na shukri tu nahi hoti?naimet may sub say baree naimet = Quran, isse pehchaan tu liya, inkaar tu nahi karte iss ke ehkamaat se?

Ayah 84-88 Qayamat ke din ke muamalaat medaan e mahshar mei shirk karne waaloan ke saath! shirk ke qismain zehan may rekhainkia hoga us din jab aik doosre ko bura bhala kahein ge log Allahumma La Tajalna Minhum Ameen.

Ayah 89 Allah ke Nabi s.a.w qayamat ke din medaan mei bulaaye jaa rahe hain!Kitni hoobiyaan hai iss kitaab ki!

Ayah 90-93Usman bin Mozzoom iss ayat ko sun ker musalman huey the aur Umer bin Abdul Aziz ne iss ayah ko jumma ke khutba mei shamil kiya tha Jo musalman bhai har jumma ko namaz se pehle ye ayat sun kea ate hian, aaj unn ke muamale kaise hian! Samajh na aaye tu baat ooper se guzar jaati hai!90- 3 cheezoan ka hukm aur 3 se roka gayayeh commitments nibhanay per hai kay waday kerkay toro nahi92- aise ki misaal jo naikyaan kare aur zaya kar de - kehte hain Makkah mei aik deewani aurat thi, saara din charkha kaat-ti, dhaage ban jaate tu sham ko sab kaat deti yaani apni mehnatoan ko zaya na karo aur khaas tor se wade kar ke toro nahi!kuch log mehnat kerkay naiki kertay hain phir apnay he amaal say usko khatam ker daitay hain

Ayah 94-96Ayah 96 - Ayat e tadabur - HIGHLIGHT Kiya kuch hai hamare paas? Maal, daulat, ghar, job, status, carrier Allah keh rahe hian ye sab khatam ho gaa!!!Wama endallahi baaqin = Baqiyat- us Sualehaat! Baaqi rehne waali naikiyaan! Aur Allah swt ki marzi!Haan ye mushkil tu hai lekin bata diya ke sabr karein aur behtareen ajar milein ge!

Ayah 97 koi gender discrimination nahi! Shart bus ye hai ke momin hoan!HIGHLIGHT - fala nuhyeyannahu hayatan tayyaibaDuniya mei pakeeza zindagi! Gandagi door, gandi mehfelein door, gandi sochein door

Ayah 98 jub naiki kernay lagay tu shaitan rajeem se Allah ki panaah maang lo ke jab naiki karne lagein, tab tab wo paas aaye ga.Quran ke safar mei kasrat se taooz parha karein! Ayah 99 -102 Puhta ho raha hai imaan?

Ayah 103 - Allah apne nabi ko tassalliyaan de rahe hain. Nabi ked or mei log negative comments dete the haqq ko dek ker! Ye na kaha karein kaash hum nabi ked or mei hote, abu jahal bhi tut ha tab. Asal nabi ke muhabbat mangiye, zindagi ke har muamale mei, tareeqoan mei sunnatoan aur zaat ki!

HIGHLIGHT- Ayah 104 Ae Allah hame maan-ne waala bana de, Ameen.

Ayah 105 107 - phir na shukri ki baatKufr: akhirat ke muqable mei duniya ki zindagi ko foqiyat dena! Aur na shukri!

Ayah 108 110 HIGHLIGHT; mim badehaaHum kehte hain min qable ke na hijrat karein, na sabr karein,a jihaad karein Allah hame pehle hi bakhsh de!

Ayah 111 kissi pe zarra bhar bhi zulm nahi kiya jaaye gaa!

Ayah 112 - 113- ab aik Makkah ki basti ki misaal, lekin apna shehr zehan mei rakh ke suneinJis nemat ka hum shukar nahi kerain gay woh hum say chin jay gi, kufraan-e nemat!!!

Ayah 114-117 phir shukar aur tayyab 114Bata diya ke duniya mei sab halal sawaye 4 cheezoan ke!Allah hame duniya ke dhokoan mei laa ker akhirat ke azaab ka shikaar na kar de Ameen.

Ayah 118 - Yahood ke baat ...pahlay surah maida aur surah al anaam may ziker howa inka

Ayah 119Mimbadehaa ko HIGHLIGHT kerain - yaha aa gaya tauba, islaah behter ho jaaye tu Allah muaf kar dein ge!

Ayah 120-122 yaani jo kaam poori ummat nahi kar paati, Ibraheem a.s ne akele kar diya!Ibrahim a.s focused thay121- HIGHLIGHT Shakiral-li anoomihii Bata diya kin se nematein chinti hain aur kon ko milti hain!

Ayah 123 Allah hame bhi haneef kar de deen mei Ameen.Focus ho k hi acha kaam ho sakta hai

Ayah 124 - un logon ka ziker jin ko bander banaya gaya

Ayah 125-128 Allah ke Nabi ke naate se aik akhiri hukam tableegh ka ahsan tareeqa sikhaya gaya!127 ye mushkilaat Allah ke raaste ki hain, aur badla bhi Allah hi dein ge.Ae Allah hame bhi muttaqi bana, ehsaan pea mal karne waala bana aur shukar karne waala bhi Ameen.

Rabbana Taqqabbal Minna Ameen.