Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer,...

30
www.sunniahlulbayt.wordpress.com Shahadate Imam Hasan Mujtaba RadiyAllahu 'Anhu Imam Hasan Aur Khilafate Rashida Ka Chautha Baab

Transcript of Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer,...

Page 1: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Shahadate Imam Hasan Mujtaba RadiyAllahu 'Anhu

Imam Hasan Aur

Khilafate Rashida

Ka Chautha Baab

Page 2: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

وسـلـمالمـو بدا ىصـل دآئـمـااخيـرعلـىحبيبك الخلقكلهـم

لهم التابعي حبثم واللوالص أهلالتقوالنقوالحلموالكرم

الل تعاىلعليهوعلآلهوأصحابهوباركوسلم﴾﴿صل

Page 3: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 3

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Fakhr-ul-Mudarrisin Jami’-ul-Ma’qool Wa-Al-Manqool

Hazrat Mufti Ghulam Rasool Jama’ati Naqshbadi Rahmatullahi

Ta’ala ‘Alayh Jab “Tazkira-e Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam”

Kee Tartib-o Taalif Se Faarigh Hu’e To Peere Tariqat, Rehbate

Shari’at, Baqiyyat-us-Salaf, Hujjat Al-Khalaf, Naabegha-e Rozgar

Mufakkire Islam Allama Peer Sayyid Abd Al-Qadir Shah Sahib

Gilani Damat Barakatuhum Al-Aaliyah Ne Aap Ko Farmaaya Ki

Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam Ke Faza’il-o Manaqib Aur

Haalaat-o Waaqe’at Ke Baare Me Bhi Likhna Chaahi’e. Chunanche

Mufakkire Islam Ke Irshad Par Aap Ne Yeh Kitab “Imam Hasan

Aur Khilafate Rashida” Tehrir Farma’i. Jis Kee Taqreez Peere

Tariqat, Rehbare Shari’at, Aali Janab Sahib-Zada Peer Sayyid

Sabir Husayn Shah Sahib Gilani Damat Barakatuhum Al-Aaliyah

Ne Likhi Hai. Is Kitab Ke Baab Chahaarum “Imam Hasan

Mujtaba Kee Wafaat Aur Banu Fatimah Ka Rasoole Paak Kee

Haqiqi Aulaad Hone Ke Bayaan Me, Safha: 184_201” Ko

Haalaat Ke Peshe Nazar Roman Urdu Me Naql Harfi

(Transiliteration) Kiya Gaya Hai.

Page 4: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 4

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Dar Mad'he

Jigar Bande Rasool, Noore Chashmaane ‘Ali Wa Batool

Khalifa-e Panjum, Mulaqqab Ba Ibni Hadha Sayyid

Hazrat Imam Hasan Mujtaba RadiyAllahu Ta’ala

‘Anhu Wa-Ardahum

Zamee'n Se Taa Ba Falak Har Taraf Sada-e Hasan Buland-o Bartar Wa Baala Hu'a, Liwa-e Hasan

Azal Se Mere Muqaddar Me Hai Wila-e Hasan Rahegi Saaya-e Figan Taa Abad Rida-e Hasan

Woh Zaate Paak Hai Ibn Ali Wa Sibte Nabi

Meri Nigaah Ka Surma Hai Khaak Paa'e Hasan

Khuda Ka Shukr, Mere Dil Dil Kee Zeb-o Zinat Hai Jamale Mustafa, Roo-e Dil Kusha-e Hasan

Labo'n Pe Zehre Halaahal Ka Ko'i Zikr Na Tha Utha Jo Darde Jigar Se, To Muskuraa'e Hasan

Yeh Haal Hai Mere Dil Ka Ba Faize Shaahe Huda Kabhi Husayn Pe Qurban, Kabhi Fida-e Hasan

Ho Kyoo'n Na Manzil Jazb-o Sulook Zere Qadam

Ki Ghwthe Pak Me, Aulaade Ba Safa-e Hasan

Naqibe Amn-o Amaa'n Ka Laqab Hu'a, Sayyid Fasaad-o Fitna Mitaana Tha Mudda'a-e Hasan

Page 5: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 5

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Rahe Khalifa-e Panjum Woh Chhe Mahine Tak Ali Ke Ba'd Hasan Ko Mili, Yeh Jaa'e "Hasan"

Banu Umayyah Zar-o Jaah Ke Haris Udhar

Idhar Yeh Haal, Ki Dunya Thi Zere Paa-e Hasan

Qaba-e Sabz, Sahadat Kee Ek Alaamat Thi Shajar Shajar Kee Zabaa'n Par Hai Maajra-e Hasan

Ghina-o Faqr, Qadam Bos Ho Ga'e Us Ke Muyassar Aa'i Jise, Daulate Wila-e Hasan

Ajab Nahin Ki Mujhe Khuld Me Jagah Hil Jaa'e

Ba Faize Sarware Kaun-o Makaa'n, Bara-e Hasan

Kisi Bhi Shai Kee Kami Hai, Na Aarzu, Na Talab “Nasir!” Fazle Khuda Se Hoo'n Mein, Gada-e Hasan(01)

Allāhumma Ṣalli ‘Alá Sayyīdinā Wa-Mawlānā Muḥammadinw

Wa-‘Alá Ᾱlihi Wa-Ṣaḥbihi Wa-Bārik Wa-Sallim

(01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e

Manaqib,/60_61.

Page 6: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 6

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Baab Chahaarum

Imam Hasan Mujtaba Kee Wafaat

Aur Banu Fatimah Ka Rasoole Paak Kee Haqiqi

Aulaad Hone Ke Bayaan Me

Page 7: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 7

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

“Imam Hasan Mujtaba Kee Wafaat Ke Muta’alliq Hafiz

Ibn Kathir Likhte Hain Ki Umayr Bin Is’haq Ne Bayan Kiya Ki

Mein Aur Quraysh Ka Ek Shakhs Hazrat Hasan Bin Ali Ke Paas

Ga’e To Aap Uth Kar Andar Chale Ga’e Phir Aap Baahar Aa’e Aur

Farmaya Ki Mere Jigar Ka Tukda Gir Pada Hai Aur Mein Ne Use Is

Lakdi Ke Saath Ulat-Pulat Kar Dekha Hai Mujhe Ka’i Baar Zehr

Pilaaya Gaya Mujhe Kisi Daf’a Is Se Ziyaada Sakht Zehr Nahin

Pilaaya Gaya.

Raawi Bayaan Karta Hai Ki Aap Ne Qurayshi Shakhs

Ko Farmaya Ki Mujh Se Puchh Lo Qabl Is Ke Ki Tum Mujh Se Na

Puchh Sakoge Us Ne Kaha Ki Mein Aap Se Kuchh Nahin

Puchhunga. Alla Ta’ala Aap Ko Sehhat Ata Farmaa’e. Jab Imam

Hasan Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Ek Tabeeb Ne Jo Aap

Ke Paas Aaya Karta Tha Kaha Imam Hasan Kee Aanto’n Ko Zehr

Ne Kaat Diya Hai Is Waqt Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Kaha

Ae Aboo Muhammad(Imam Hasan)! Mujhe Bataa’o Aap Ko Kis

Ne Zehr Diya Hai. Aap Ne Farmaya: Ae Bhaa’i Kyuoon, Imam

Husayn Ne Kaha: Khuda Kee Qasam! Mein Aap Ko Dafn Karne Se

Pehle Use Qatl Kar Dunga. Imam Hasan Ne Farmaya: Ae Mere

Bhaa’i Dunyadaar Faani Hai. Us Shakhs Ko Chhod Do Yaha’n Tak

Ki Mein Aur Woh Allah Ke Haa’n Mulaaqaat Kare’n. Imam Hasan

Ne Us Ka Naam Lene Se Inkaar Kar Diya.

0الحافظ اب كثير بسيد ال ع عنرا ب عبد اهلل قال سنعت بعض م يقول كا معاوية قد تلطف ببعض خد مهاخرج

ا يسقيه سنا اى الحس.

Page 8: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 8

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Ki Hafiz Ibn Kathir Ne Apni Sanad Ke Saath Imran Bin

Abdullah Se Riwayat Kee Hai Ki Mein Baa’z Ko Kehte Hu’e Suna

Hai Ki Hazrat Mu’awiyah Ne Apne Ek Khaadim Se Ehsaan Kar Ke

Kaha Ki Woh Hazrat Imam Hasan Bin Ali Ko Zehr Pilaa’e. Aur

Dusri Riwayat Me Yeh Hai:

(10)وهى اللتى اغراها معاوية بقتلة فقتلته بالسه

Ki Ja’dah Ko Hazrat Mu’awiyah Ne Is Par Bar Angekhta

Kiya Ki Woh Hasan Bin Ali Ko Zehr Pila De, Chunaanche Us Ne

Imam Hasan Ko Zehr Pila Diya Jis Se Woh Faut Ho Ga’e.

النغيره ع او موسى ا جعدة بيت االشعث ب قيس سقت الحس السه فاشتكى ميه شكاة. وع

Mughirah Ne Moosa Se Riwayat Kee Ki Ja’dah Bint

Ash’ath Bin Qays Ne Hazrat Imam Hasan Ko Zehr Pilaaya Jis Se

Aap Bimaar Ho Ga’e(Aur Zehr Se Aap Kee Wafaat Ho Gayi).

Abdullah Bin Ja’far Ummi Bakr Bint Miswar Se

Riwayat Karte Hain Ki Ummi Bakr Ne Kaha Ki Imam Hasan Ko

Ka’i Martaba Zehr Pilaaya Gaya Aur Aap Us Se Bach Jaate They.

Yaha’n Tak Ki Aakhiri Baar Zehr Se Faut Ho Ga’e Aur Banu

Hashim Kee Aurto’n Ne Aap Par Ek Maah Nauha Aur Maatam

Kiya.

وروى بعضهه ا يزيد ب معاوية بعث الى جعدة بيت أشعث ا سه الحس واىا اتزوجك بعضه ففعلت.

Aur Baa’z Ne Riwayat Ke Hai Ki Yazeed Bin Mu’awiyah

(01) Sulh Al-Hasan, Safha-25.

Page 9: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 9

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Ne Ja’dah Bint Ash’ath Ko Paigham Bheja Ki Woh Imam Hasan Ko

Zehr De De Aur Mein Us Ke Baa’d Tujh Se Shaadi Rachaa’unga To

Ja’dah Ne Imam Hasan Ko Zehr Pila Diya.(01)

In Dono’n Riwaayato’n Me Ki Ek Martaba Hazrat

Mu’awiyah Ke Khaadim Ne Zehr Pilaaya Aur Dusri Riwayat Hain

Ki Yazeed Ke Kehne Par Ja’dah Ne Zehr Pilaaya Ko’i Tazaad

Nahin Hai Kyoo’n Ki Zehr Aap Ko Bil-Ittefaaq Muta’addad

Martaba Pilaaya Gaya. Hazrat Mu’awiyah Ke Khaadim Ne Bhi

Pilaaya Aur Ja’dah Ne Bhi Pilaaya. Aakhirkaar Ja’dah Ke Pilaane

Se Imam Hasan ‘Alayh-is-Salam Faut Ho Ga’e. Aur Aap Kee

Wafaat Sin 49 Hijri Me Hu’i.

Abd Al-Haqq Haqqani Likhte Hain Ki Hazrat Hasan Ke

Baa’d Amire Mu’awiyah Hukoomat Karte Rahe. Baa’d Un Ke Un

Ka Beta Yazeed Badbakht Takht Nasheen Hu’a Us Naalaa’iq

Dunyaadaar Ne Is Khuf Se Ki Mabaada Hazrat Imam Hasan

Khilaafat Ka Da’wa Na Kar Baithe’n Ki Yeh Nabiyye Karim

SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Lakhte Jigar Hain. Un

Ke Roo-Baru Mujhe Kaun Puchhega. Hazrat Hasan Ko Zehr Dilwa

Kar Shaheed Kar Diya Aur Chand Saal Baa’d Imam Husayn Ko

Karbala Me Shaheed Kar Diya. Us Kambakht Ke Be Deen Hone

Me Kya Shak Hai.(02)

(01) Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/42,

Al-Halim Aali Al-Bayt, Safha-209,

(02) Haqqani Fi Aqa’id Al-Islam.

Page 10: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 10

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Shams Al-Haqq Azeemaabaadi “Awn Al-Ma’bood

Sharh Aboo Dawud” Me Likhte Hain:

رضى اهلل عيه مسنوما سنته زوجته جعدة باشارة يزيد ب معاوية سية تسح واربعي او بعدها. وكا وفاة الحس

Hazrat Imam Hasan Kee Wafaat Zehr Khuraani Ke

Zari’e Se Hu’i Aap Kee Biwi Ja’dah Ne Yazeed Ke Kehne Par Aap

Ko Zehr Diya. Yeh Sin 49 Hijri Ya Us Ke Baa’d Ka Waaqe’a Hai.

Allama Ibn Hajar Makki Likhte Hain Ki Yazeed Ne Ja’dah Ko Ek

Laakh Dirham De Kar Imam Hasan Ko Zehr Dilwaaya. Yeh Zehr

Khuraani Ka Waaqe’a Shah Abd- Al-Aziz Muhaddith Dihlawi Ne

Bhi “Sirr-ush-Shahadatayn” Me Isi Tarh Bayan Kiya Hai.(01)

Allama Ibn Sa’d Al-Mutawaffa Sin 230 Hijri, Hafiz Ibn

Kathir Al-Mutawaffa Sin 774 Hijr Aur Allama Suyooti Al-

Mutawaffa Sin 911 Hijri Likhte Hain Ki Imam Hasan Ne Khaab

Me Dekha Ki Aap Ke Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan لدادا أالوا اهلل

ه ل ق

Likha Hu’a Hai. Jab Aap Ne Yeh Khaab Ghar Waalo’n Ke Saamne

Zikr Kee To Sab Khush Hu’e. Jab Yeh Khaab Sa’iyd Bin Musayab

Ke Saamne Zikr Kee Ga’i To Unhone Kaha Ki Imam Hasan Kee

Wafaat Ka Waqt Nazdeek Ho Gaya Hai. Chunanche Us Ke Baa’d

Aap Chand Roz Zinda Rahe Phir Aap Kee Wafaat Ho Gayi.(02)

(01) Haytami Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa-Al-Dalal

Wa-Al-Zandaqah,/86,

E’terazat Ka Tajziya, Safha-355,

(02) Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/42,

Page 11: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 11

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Allama Kamal-ud-Deen Damiri Al-Mutawaffa Sin 808

Hijri Likhte Hain Ki Ibn Khallikan Al-Mutawaffa Sin 681 Hijri Ne

Kaha Ki Jis Waqt Imam Hasan Bimaar Hu’e To Marwaan Bin

Hakam Ne Hazrat Mu’awiyah Ko Ittela’ Dee Ki Imaam Hasan

Bimar Ho Ga’e Hain To Hazrat Mu’awiyah Ne Jawaab Diya Ki Un

Ke Inteqaal Kee Khabar Mujhe Fauran Bhej Dee Jaa’e. To Jis Waqt

Imam Hasan Kee Wafaat Kee Khabar Hazrat Mu’awiyah Ko

Ma’loom Hu’i To Baa-Aawaaze Buland Takbeer Kahi Jo Ki

Maqaame Khazra Tak Sunaa’i Dee. Is Takbeeer Ko Sun Kar Ahle

Shaam Ne Bhee Takbeer Kahi.

فقالت فاخة بيت قريفة لنعاوية اقرهلل عييك ماالذى كبرت الجله فقال مات الحس.

Yeh Baat Dekh Kar Fakhitah Bint Quraydah Ne Hazrat

Mu’awiyah Ko Kaha Ki Allah Ta’ala Tumhaari Aankh Ko Thanda

Rakhkhe Tum Ne Yeh Takbeer Buland Aawaaz Se Kyun Kahi Hai

To Mu’awiyah Ne Kaha Ki Hasan Ka Inteqaal Ho Gaya Hai Pas Us

Ne Kaha Ki Fatimah Ke Bete Ke Faut Hone Par Khushiya’n Ho

Rahi Hain. Na’re Lagaaye Jaa Rahe Hain. Hazrat Mu’awiyah Ne

Kaha Ki Imam Hasan Kee Wafaat Se Mere Dil Ko Aaraam Aur

Sukoon Haasil Hu’a Hai Jis Kee Waj’h Se Mein Ne Na’ra Buland

Kiya Hai. Isi Dauraan Abdullah Bin Abbas Tashrif Laa’e To Hazrat

Mu’awiyah Ne Ibn Abbas Se Kaha Ki Aap Ko Kuchh Ma’loom Hai

Haytami Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal

Wa Al-Zandaqah, Safha-139,

Suyooti Fi Tarikh-ul-Khulafa’, Safha-192.

Page 12: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 12

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Ki Ahle Bayt Me Haadesa Pesh Aa Gaya Hai To Ibn Abbas Ne

Kaha Ki Mujhe Kuchh Ilm Nahin Hai. Haa’n Yeh Baat Zaroor Hai

Ki Aap Bohat Khush Hain Aur Is Se Pehle Mein Ne Aap Kee

Takbeer Bhi Suni Hai. Hazrat Mu’awiyah Ne Kaha Ki Hasan Kee

Wafaat Ho Ga’i Hai. Yeh Sun Kar Ibn Abbas Ne Kaha Ki Allah

Ta’ala Aboo Muhammad Par Rahm Farmaa’e Phir Ibn Abbas Ne

Kaha: Ae Mu’awiyah, Imam Hasan Kee Qabr Tumhaari Qabr Ko

Nahin Bhar Sakti Aur Na Hee Un Kee Umr Tumhaari Umr Me

Izaafa Kar Sakti Hai Aur Agar Hame’n Is Waqt Sayyidinan Hasan

Kee Wafaat Se Taklif Pahonchi Hai To Us Se Pehle Imam-ul-

Muttaqeen (Hazrat Mawla Ali Shere Khuda) Aur Khatam-un-

Nabiyyin (RasoolAllah) SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Kee Wafaat Se Bhi Takleef Pahonch Chuki Hai. Allah Ta’ala Is

Haadesha Kee Talaafi Farma Kar Sukoon Naseeb Kare.(01)

Gharaz Yeh Ki Dunya Me Siwaa’e Allah Ta’ala Kee Zaat

Ke Kisi Ke Liye Dawaam Aur Baqa Nahin Hai. Har Shakhs Ne

Marna Hai Jab Ko’i Shakhs Mare To Us Par Izhaare Gham Aur

Ta’ziyyat Hukme Shar’iy Hai Lekin Kisi Ke Marne Par Izhaare

Khushi Karna Yeh Khushi Na To Khushi Karne Waale Kee Umr

Me Izaafa Karti Hain Aur Na Hee Us Ko Ko’i Deegar Faa’eda Deti

Hain. Hazrat Imam Hasan ‘Alayh-is-Salam Kee Wafaat Par

Tamaam Logo’n Ne Gham Ka Izhaar Kiya Lekin Hazrat

Mu’awiyah Ne Khushi Manaa’i, Qaabile Ta’ajjub Baat Yeh Hai Ki

Hazrat Mu’awiyah Itne Daanishmand Aur Sahabi-e Rasool Ho

Kar Nawasa-e Rasool Kee Wafaat Par Khushi Ka Izhaar Karte

(01) Kamal-ud-Deen Ad-Damiri Fi Hayat-ul-Haywan Al-Kubra, 01/58.

Page 13: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 13

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Hain Aur Nawasa-e Rasool Bhi Woh Jis Ne Tamam Dunyaawi

Hukoomat Hazrat Mu’awiyah Kee God Me Daal Dee Thi Aur

Hazrat Mu’awiyah Se Sulh Kee Aur Hazrat Mu’awiyah Ne Sulh

Kee Ko’i Shart Poori Na Kee Is Ke Baa-Wujood Imam Hasan Ne

Sulh Ko Barqaraar Rakhkha Agar Ko’i Aadmi Sulh Ke Khilaaf Baat

Karta To Imam Hasan Us Ko Man’a Karte Aur Yeh Irshaad

Farmaate Ki Mein Ne Sulh Musalmano’n Ke Khoon Ke Tahaffuz

Ke Liye Kee Hai Aur Allah Ta’ala Kee Riza Ke Liye Kee Hai. Yeh

Ko’i Ehsaan Kam Hee Nahin Tha Pehle Zikr Ho Chuka Hai Ki

Imam Hasan Ko Muta’addad Baar Zehr Diya Gaya.

Ek Riwayatr Me Hai Ki Hazrat Mu’awiyah Ke Khaadim

Ne Zehr Pilaaya Aur Ek Dusri Riwayat Me Hai Ki Yazeed Ke

Kehne Par Ja’dah Bint Ash’ath Ne Zehr Pilaaya Magar Allama

Ahmad Wakil Nabira-e Mufti Inayat Ali Musannife Tarikh Habib

(Ilaah) Ne Apni Kitab “Raf’a Al-Hijab ‘An Fasl Al-Khitab” Me

Likhkha Hai Ki Tarjih Is Qaul Ko Hee Ki Imam Hasan Ko Zehr

Hazrat Mu’awiyah Ke Ishaara Par Ja’dah Bint Ash’ath Ne Diya

Tha. Chunanche Isti’ab Me Hai Ki Hazrat Imam Hasan Ko Un Kee

Biwi Ja’adah Ne Zehr Diya. Aur Yeh Hazrat Mu’awiya Ke Hukm

Ke Mutaabiq Diya.

Mas’oodi “Murooj Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar”

Me Likhte Hain Ki Qatadah Ka Qaul Hai Ki Imam Hasan Ko Un

Kee Bibi Ja’dah Ne Zehr Diya. Yeh Hazrat Mu’awiyah Ka Hukm

Page 14: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 14

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Tha. Tabaqat Ibn Sa’d Me Hain Ki Hazrat Mu’awiyah Ne Imam

‘Alayh-is-Salam Ko Ka’i Martaba Zehr Dilwaya. Aboo Al-‘Aza’

Likhte Hain Jab Hazrat Imam Hasan Kee Shahadat Kee Khabar

Amire Mu’awiyah Ko Phunchi To Woh Bohat Khush Hu’e Aur

Sajda-e Shukr Baja Laa’e.

“Taysir-ul-Bari Sharh Sahih Bukhari” Muta’alliqa

Haashiya Kitab-ul-Fitan Me Hai Ki Hazrat Mu’awiyah Baa’d

Wafaate Hazrat Imam Hasan Izhaare Masrrat Kar Ke Yeh Bhi

Kaha Tha Ki Imam Hasan Ek Angaara They Jin Ko Allah Ne Bujha

Diya. “Tadhkirat Al-Khawass Al-Ummah” Me Aur “Sa’adat Al-

Kawnayn” Me Bhi Amire Mu’awiyah Ka Zehr Dilwana Maujood

Hai. Neez Tadhkirat Al-Khawass Al-Ummah Me Hai Ki Sha’bi

(Aamir Bin Sharahil) Ka Qaul Hai Ki Amire Mu’awiyah Ne Zehr

Dilwaaya. Yazeed Kee Taraf Is Amr Ko Suddiyy Ne Mansoob Kar

Diya.

Tarikhe Tabari Me Hai Ki Imam Hasan Ne Hazrat

Mu’awiyah Ke Zamaane Me Wafaat Paa’i Un Ko Zehr Diya Gaya.

Hazrat Mu’awiyah Ke Paas Kuchh Chize’n Thi’n Un Ko Khufya

Ja’dah Bint Ash’ath Zawja-e Imam Hasan Ke Paas Bheja Aur Yeh

Kehla Bheja Ki Agar Tum Un Ko Qatl Kar Dogi To Mein Tumhara

Nikaah Yazeed Ke Saath Kar Dunga.

Page 15: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 15

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Tarikhe Tabari Kee Is Riwayat Par Baa’z Logo’n

Jirah(Jarh) Kee Hai Magar Tabari Ke Yeh Riwayat Jayyid Aur

Mazboot Hai. Is Ke Raawi Muhammad Bin Humayd Razi Aur Ali

Bin Mujahid Thiqah Aur Sadooq Hain Aur Muhammad Bin

Humayd Razi Ke Baare Me Yahya Bin Mu’in Ka Qaul Hai Ki Yeh

Thiqah They. Aboo Uthman Kehte Hain Ki Yeh Thiqah They.(01)

Neez Is Se Aboo Dawud, Tirmidhi, Ibn Majah, Ahmad

Bin Hanbal Yahya Bin Mu’in Aur Muhammad Jarir Tabari Ne

Hadith Riwayat Kee Hai Aur Ali Bin Mujahid Kindi Ke Muta’alliq

Aboo Dawud Kehte Hain Ki Un Ke Baare Imam Ahmad Ka Qaul

Hai Ki Mein Ne Un Se Hadith Likhkhi Mere Nazdeek Un Me Ko’i

Haraj Nahin.

Ibn Hibban Ba Riwayat Ibn Mu’in Bhi Yehi Kehte Hain.

Tirmidhi Ka Qaul Hai Ki Yeh Thiqah They, Ibn Hibban Ne Un Ko

Thiqaat Me Shumaar Kiya Hai. Jab Yeh Raawi Thiqah Aur Qaabile

E’temaad Hain To Un Kee Marwi Riwayat Sahih Aur Durust

Hai.(02)

Is Se Saabit Hu’a Ki Imam Hasan Ko Zehr Ja’dah Bint

(01) Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib Al-Tahdhib Fi Rijal Al-Hadith,

09/127,

(02) Ahmad Wakil Fi Raf’a Al-Hijab ‘An Fasl Al-Khitab, Safha-202.

Page 16: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 16

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Ash’ath Ne Diya Aur Yeh Hazrat Mu’awiyah Ke Iyma Aur Iythaar

Se Hu’a Aur Sudday Ne Is Ko Yazeed Kee Taraf Mansoob Kar

Diya. Imam Hasan ‘Alayh-is-Salam Kee Wafaat Par Hazrat

Mu’awiyah Ne Khushi Ka Izhaar Kiya Jis Par Hazrat Mu’awiyah

Ke Ghar Se Ek Aurat Ne Hazrat Mu’awiyah Ko Kaha Ki Kya

Rasoole Paak Kee Beti Ke Bete Ke Marne Par Khushiya’n Ho Rahi

Hain. Na’re Lagaa’e Jaa Rahe Hain.

Ba-Har Soorat Hazrat Mu’awiyah Ka Yeh Zaati Amal

Hai Ham To Hazrat Mu’awiyah Ko Rasoole Paak SallAllahu

‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sahabi Hee Samajhte Hain. Aur

Un Ka Ehteraam Karte Hain Aur Is Mu’amala Me Apne Buzurgo’n

Ke Aqwaal Ka Itba’ Karte Hain Aur Allah Ta’ala Ham Ko Mazhabe

Ahle Sunnat Wa-Al-Jama’at Par Qaa’im Rehne Kee Taufiq Ata

Farmaa’e.”

Page 17: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 17

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Kee Wasiyyate’n

“Jab Imam Hasan ‘Alayh-is-Salam Kee Wafaat Qareeb

Hu’i To Log Aap Ke Paas Jam’a Ho Ga’e To Imam Hasan Ne

Farmaya Ae Haazireen Khaamosh Ho Jaa’o Aur Suno! Jo Mein

Tum Ko Kehta Hoo’n, . هذا الحسي اخى اماو بعدى فال اماو غيلره Yeh Husayn Mere

Bhaa’i Mere Baa’d Imam Hain In Ke Siwa Ko’i Aur Imam Nahin

Hai. Yeh Baat Haazir Ghaa’ib Ko Aur Waalid, Aulaad Ko Aur

Aazaad Ghulam Ko, Aur Mard Aurat Ko Pahoncha De Aur Yeh

Mera Bhaa’i Tum Par Mera Khalifa Hai Tum Me Se Ko’i Ek Bhi Un

Kee Mukhaalifat Na Kare Aur Ham Rasoole Paak Ke Khushbu-

Daar Phool Hain Aur Naujawaanaane Jannat Ke Sardaar Hain.

فلع اهلل م يتقدو او يقدو علييا اهدا

Us Par Allah Kee La’nat Ho Jo Ham Se Muqaddam Ho

Page 18: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 18

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Ya Kisi Aur Ko Ham Par Muqaddam Kare Phir Imam Hasan

Mujtaba Ne Apne Bhaa’i Muhammad Bin Hanafiyyah Kee Taraf

Dekha Aur Un Ko Farmaya Ki Ae Muhammad Bin Ali Tum Jaan Lo

Ki Meri Imaamat Ke Baa’d Husayn Bin Ali Imam Hai. Allah Ta’ala

Ke Ilm Me Hai Ki Tum Makhlooqaat Me Se Behtareen Ho Allah

Ta’ala Ne Hamaare Naana-Paak Ko Tamaam Makhlooqaat Me Se

Barguzida Kiya Hai Aur Huzoore Paak SallAllahu ‘Alayhi Wa-

Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali Shere Khuda KarramAllahu

Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Mukhtaar Kiya Hai Aap Ne Mujhe

Imaamat Ke Liye Pasand Kiya Hai Aur Mein Ne Imaamat Ke Liye

Imam Husayn Ko Pasand Kiya Hai. Phir Imam Husayn Ko

Farmaya: Ae Mere Bhaa’i Ab Mujhe Teesri Martaba Zehr Pilaaya

Gaya Hai Is Kee Tarh Pehle Nahin Pilaaya Gaya. Imam Husayn

‘Alayh-is-Salam Ne Aap Se Puchha Ki Kis Ne Aap Ko Zehr Pilaaya

Hai Magar Aap Ne Bataane Se Inkaar Kar Diya. Hazrat Imam

Hasan ‘Alayh-is-Salam Ne Wasiyyat Ke Aakhir Me Farmaya Ki

Allah Ta’ala Tumhaara Muhaafiz Wa Nigehbaan Ho Aur Farmaya:

عليكه السالو يا مالئكته ربى وردنة اهلل بركاته.

Sufyan Bin Uyaynah Se Marwi Hai Ki Jab Imam Hasan

‘Alayh-is-Salam Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Aap Ne

Farmaya Mujhe Baahar Shehn Me Le Chalo Taa Ki Mein

Aasmaano’n Ke Baadshaahat Me Ghaur-o Fikr Kar Saku’n.

Chunaanche Aap Ko Shehn Me Laaya Gaya To Aap Ne Apna Sar

Mubarak Aasmaan Kee Taraf Utha Kar Dekha Aur Farmaya: Ae

Page 19: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 19

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Allah! Mein Apni Zaat Ke Muta’alliq Tujh Se Sawaab Kee Ummid

Rakhta Hoo’n. Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Us Waqt Imam

Hasan Ko Dekha Ki Woh Kuchh Gabhraahat Mehsoos Kar Rahe

Hain Hala’n Ki Aap Apne Ahl Aur Qareebi Rishtedaaro’n Ke Paas

Jaa Rahe Hain To Imam Hasan Ne Imam Husayn Ko Farmaya Ki

Ae Mere Bhaa’i Mein Ek Aise Amre Ilaahi Me Daakhil Ho Raha

Hoo’n Jis Amr Me Kabhi Daakhil Nahin Hu’a Aur Mein Aisi

Makhlooq Ko Dekh Raha Hoo’n Jis Makhlooq Ko Mein Ne Kabhi

Nahin Dekha.

Fabaka Al-Husayn Raawi Ne Kaha Ki Yeh Sun Kar Imam

Husayn ‘Alayh-is-Salam Ro Pade.(01)

Is Tehqiq Se Saabit Hu’a Ki Imam Hasan ‘Alayh-is-

Salam Kee Wafaat Zehr Kee Waj’h Se Hu’i Hai Jo Ki Yazeed

Waghaira Ne Dilwaaya.Chunki Us Waqe’a Me Muta’addad Afraad

Shareeke-Kaar They. Ba’iyn Waj’h Imam Husayn Ne Jab Apne

Bhaa’i Imam Hasan Mujtaba Se Daryaaft Kiya Ki Aap Ko Zehr Kis

Ne Dilwaaya Hai To Imam Hasan Ne Muta’addad Afraad Me Se

Kisi Ka Naam Lena Munaasib Na Samjha. Yaha’n Baa’z Logo’n Ne

Ghalat-Fehmi Me Mubtala Ho Kar Kaha Hai Ki Imam Hasan Ko

Zehr To Diya Gaya Tha Lekin Kisi Ka Naam Muta’ayyan Karna Ki

Fula’n Fula’n Ne Zehr Diya Hai Ya Dilwaaya Hai. Yeh Durust

Nahin Hai Kyoon Ki Tarikh Kee Kisi Mo’tabar Kitab Me Nahin Hai

(01) Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/43,

Al-Halim Aal Al-Bayt, Safha-211.

Page 20: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 20

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Ki Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bataaya Ho Ki

Mujhe Kis Ne Zehr Diya Hai ya Dilwaya Hai. Jab Unhone Hazrat

Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bhi Daryaaft Karne

Par Nahin Bataaya To Bila Tehqiq Yeh Kehna Ki Fula’n Ne Zehr

Diya Fula’n Ne Zehr Dilwaaya Sab Baate’n Bila-Tehqiq Aur Ghalat

Hain Lehaaza Baghair Ilm Kisi Kee Taraf Aisi Nisbat Karna Jaaiz

Nahin Hai. Un Baa’z Logo’n Ne Yazeed Aur Us Ke Hawaariyo’n

Kee Himaayat Me Yeh Baat Kahi Hai Taa-Ki Yazeed Waghaira Ka

Tahaffuz Ho Sake Aur Kaha Ja Sake Ki Is Waaqe’a Me Yazeed

Waghaira Shareek Na They Aur Raha Yeh Ki Imam Hasan

Mujtaba Ne Muta’addad Afraad Me Se Kisi Ka Naam Lena

Munaasib Na Samjha Aur Sirf Yeh Farmaya Ki Mujhe Zehr Diya

Gaya Hai Magar Muhaddithin, Mu’arrikhin Aur Thiqah Raawiyo’n

Ne Waaqe’e Aur Haadesa Ke Peshe Nazar Yeh Saabit Kar Diya Ki

Yazeed Aur Us Ke Haamiyo’n Ne Zehr Dilwaaya Hai. Aur Fula’n

Fula’n Ne Diya Hai. Naamo’n Ka Bhi Ta’ayyun Wa Taqarrur Kar

Diya.

Mu’arrikhin Aur Raawi Tamaam Haqaa’iq Ko Qaraa’in

Aur Shawaahid Ke Saath Nafs-ul-Amr Ba-Taure Waaqe’a Saabit

Karte Hain Woh Bila-Tehqiq Hargiz Baat Nahin Karte. Tamaam

Riwaayaat Jo Pehle Zikr Hu’i Hain Un Se Saabit Hu’a Ki Yazeed

Waghaira Ne Hee Imam Hasan Mujtaba Ko Zehr Dilwaya Hai Jis

Se Aap Kee Wafaat Hu’i Hai. Zehr Waale Waaqe’e Me Yazeed

Waghaira Ke Naamo’n Ka Ta’ayyun Aur Suboot Usi Tarh Hee Hai

Jiase Ki Karbala Ke Waaqe’a Me Imam Husayn Ko Shahaadat Ke

Page 21: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 21

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Baa’d Mu’arrikhin Aur Raawiyo’n Ne Qatle Husayn Me Yazeed Ka

Shareeke-Kaar Hu’a Aur Aap Ke Qatl Ka Hukm Dena Aur Us Par

Raazi Hona Saabit Kiya Hai.

Chunanche Muhaqqiq Aboo Zahrah Misri Likhte Hain

Aur Yeh Yazeed Woh Tha Jis Ne Ibn Bint RasoolAllah SallAllahu

‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Qatl Kiya Tha Jo Un Dono’n

Bhaaiyo’n Me Se Ek They Jin Ke Liye RasoolAllah SallAllahu

‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hai: Yeh Dono’n

Jawanane Jannat Ke Sardaar Hain.

Neez Muhaqqiq Aboo Zahrah Misri Likhte Hain Ki

Yazeed Sharaabi Tha Jo Nashe Me Dhut Rehta Tha. Rehsmi

Libaas Pehnta Tha. Tamboora Bajaata Tha.(01)

Aur “Sharh Aqa’id” Me Hai: بعضهه اطلق اللع عليه لنا اىله كفلر دلي املر

(12)بقت الحسي.

Baa’z Ulama Ne Yazeed Par Mutlaqan La’nat Karna

Jaa’iz Qaraar Diya Hai Kyun Ki Us Ne (Imam) Husayn Ke Qatl

Karne Ka Hukm De Kar Kufr Kiya Hai. Mu’arrikhin Aur

Raawiyo’n Ne Imam Husayn Ke Qaatilo’n Me Jin Ka Naam Zikr

(01) Al-Sub’h Al-Sadiq Fi Fada’il Imam Ja’far Sadiq ‘Alayh-is-Salam,

Safha-185,

(02) Sharh Al-Aqa’id Al-Nasafiyyah Bama’a Al-Nibras, Safha-553.

Page 22: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 22

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Kiya Hai Woh Aqlan, Naqlan Qaatilo’n Me Shumaar Hain. Imam

Husayn Ke Qatl Se Yazeed Waghaira Kabhi Bhi Bari-uz-Zimmah

Nahin Ho Sakte Usi Tarh Mu’arrikhin Aur Thiqah Raawiyo’n Ne

Jin Ka Zikr Kiya Hai Ki Zehr Dilwaane Ke Waaqe’e Me Shareek

They Wohi Muta’ayyan Hain Yeh Bhi Us Se Kabhi Bari-udh-

Dhimmah Nahin Ho Sakte. Mu’arrikhin Aur Raawiyo’n Ne Tehqiq

Kar Ke Un Ke Naamo’n Ka Ta’ayyun Aur Zikr Kiya Hai Ki Unhone

Imam Hasan Mujtaba Ko Zehr Dilwaya Hai Jis Se Aap Kee Wafaat

Hu’i Hai. Is Waaqe’ Ke Suboot Ke Liye Yeh Zaroori Nahin Hai Ki

Imam Hasan Ne Khud Farmaya Ho Ki Mujhe Fula’n Ne Zehr Diya

Hai Balki Is Waaqe’e Ke Suboot Ke Liye Raawiyo’n Ke Qaul Ka

E’tebaar Hai Ki Fula’n Ne Zehr Diya Hai Aur Raawiyo’n Ne Jin

Naamo’n Ka Ta’ayyun Kiya Hai Wohi Muta’ayyan Honge.”

Page 23: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 23

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Imam Hasan ‘Alayh-is-Salam Ka Jannat-ul-Baqi’ Me Dafn

Kiya Jaana

“Imam Hasan Mujtaba Ne Apni Wafaat Se Qabl Imam

Husayn Ko Jo Wasiyyate’n Kee Thi’n Un Me Se Ek Wasiyyat Yeh

Bhi Thi Ki Mein Ne Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala

‘Anha Se Ijaazat Le Lee Hai Ki Meri Wafaat Ke Baa’d Mujhe

RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Hee

Dafn Kiya Jaa’e. Unhone Mere Saath Yeh Wa’da Kiya Hai Lekin

Phir Bhi Bawaqte Dafn Ijaazat Le Lena, Mera Ghaalib Gumaan

Yeh Hai Ki Jab Tum Iraada Karoge To Banu Umayyah Is

Mu’amala Me Tumhaare Saath Munaaza’at Aur Jhagda Karnege.

Agar Banu Umayyah Ne Jhagda Kiya To Phir Mera Janaaza Mere

Naana-Paak Ke Rawza-e Mubarak Ke Aage Le Jaana Aur Thodi

Der Mera Janaaza Waha’n Rakhna Taa Ki Mein Naana Paak Se

Tajdide Ahd Karu’n Phir Mujhe Baqi’ Me Dafn Kar Dena. Imam

Hasan ‘Alayh-is-Salam Ko Imam Husayn Aur Hazrat Aboo Talib

Ke Beto’n Ne Ghusl Diya Aur Imam Husayn Ke Hukm Se Sa’iyd

Page 24: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 24

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Bin Aas Bin Umayyah Ne Namaaze Janaaza Padhaa’i Kyun Ki

Woh Us Waqt Madinah Munawwarah Ka Haakim Tha Us Ke

Baa’d Imam Husayn Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala

‘Anha Ke Paas Ga’e, Unhone Kaha Ki Imam Hasan Ka Huzoor

SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Hee Dafn Hona

Munaasib Hai Jab Yeh Baat Marwaan Bin Hakam Ne Suni To Woh

Kehne Laga Ki Ham Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-

Sallam Ke Rawza-e Anwar Me Imam Hasan Ko Kabhi Bhi Dafn Na

Hone Denge Yaha’n Logo’n Ne Uthman Bin Affan Ko Dafn Nahin

Hone Diya To Ham Imam Hasan Ko Bhi Dafn Na Hone Denge.

Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Jab Yeh Sunaa To Aap Ko Sakht

Afsos Laga. Aap Chand Musallah Saathiyo’n Ke Saath Marwaan

Ke Haa’n Tashreef Le Ga’e. Marwaan Bhi Musallah(Hathyaar

Band, Asleha Saja’e Hu’e Tayyar) Ho Gaya. Ab In Dono’n Fariqo’n

Ke Darmiyaan Tanaazo’ Shuroo’ Hone Ka Khatra Hu’a To Aboo

Hurayrah Ne Marwan Ko Kaha Ki Tum Rawza-e Rasool Me Imam

Hasan Ko Dafn Nahin Hone De Rahe Hala’n Ki RasoolAllah

SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hasan Aur Husayn

Dono’n Se Famraya Tha Yeh Dono’n اہل النيتل يدا شلبا سل Ki Jannat Me

Jawaano’n Ke Sardaar Honge. Marwaan Ne Kaha Aboo Hurayrah

Aisi Hadito’n Ko Rehne Dijiye Ham Hasan Bin Ali Ko Yaha’n

Kabhi Bhi Dafn Nahin Hone Denge.

Phir Sa’d Bin Abi Waqqas, Jabir Bin Abd Allah Bin

Umar Aur Aboo Hurayrah Waghaira Ne Imam Husayn Kee

Khidmat Me Arz Kiya Ki Huzoor Aap Banu Umayyah Se Jhagda

Page 25: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 25

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Na Kare’n. Neez Imam Hasan Mujtaba Ne Khud Farmaya Tha Ki

Is Mas’ale Me Un Se Jhagda Na Karne Kee Zaroorat Nahin Hai.

Chunanche Imam Husayn Ne Apne Bhaa’i Imam Hasan Ko Baqi’

Me Jaha’n Aap Kee Daadi Saahiba Fatimah Bint Asad Kee Qabr

Hai Dafn Kar Diya.

Hazrat Imam Hasan Mujtaba Kee Sinne Wafaat Me

Baa’z Ne Kuchh Ikhtelaafe Zikr Kiya Hai Lekin Sahih Qaul Yeh Hai

Ki Aap 15 Ramdan Sin 03 Hiijri Me Paida Hu’e. Saat⁷ Saal Apne

Naana Paak SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath

Rahe Aur Tees³⁰ Saal Apne Waalid Giraami Ke Saath Rahe Aur

Un Kee Shahadat Ke Baa’d Nau⁹ Saal Zinda Rahe Aur Sin 49 Hijri

Me Inteqaal Farmaya. Is Hisaab Se Aap Kee Umr Mubarak

Chheyaalis⁴⁶ Saal Banti Hain. Alllahumma Salli ‘Ala Muhammad

Wa-‘Ala Aalihi Wa-Sallam.(01)

Hafiz Ibn Hajar Asqalani Ne Al-Mutawaffa Sin 852

Hijri Ne “Tahdhib Al -Tahdhib” Me Likhkha Hai Ki Tha’labah

Kehte Hain Ki Jab Imam Hasan Ko Baqi’ Me Dafn Kiya Jaa Raha

Tha Mein Waha’n Maujood Tha Logo’n Ka Itna Ijtema’ Tha Agar

(01) Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/44,

Kamal Al-Deen Al-Damiri Fi Hayat Al-Haywan Al-Kubra, 01/58,

Suyooti Fi Tarikh Al-Khulafa’, Safha-194,

Haytami Fi Al-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa-Al-Zandaqah, Safha-139.

Page 26: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 26

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Soo’i Phainki Jaati To Aadmiyo’n Ke Sar Par Girti Zameen Par Na

Girti. Aur Aboo Hurayrah Buland Aawaaz Se Keh Rahe They

Logo’n! Tum RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Ke Jis Farjzand Par Mitti Daal Rahe Ho Mein Ne Un Ke Baare Me

Khud RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se

Suna Hai Ki Jo Hasan Ko Dost Rakhta Hai Woh Mujhe Bhi Dost

Rakhta Hai.

Aur “Al-Halim Aal Al-Bayt” Me Hai Ki Imam Hasan Ne

Apne Bhaa’i Imam Husayn Ko Wasiyyat Kee Thi Ki Unhe’n

RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath

Dafn Kiya Jaa’e.

مع رسول اهلل صلى اهلل عليه واله وسله. وكا قد عهداىى اخيه ا يد ف

Ki Imaam Hasan(Mujtaba) Ne Apne Bhaa’i Imam

Husayn Ko Wasiyyat Kee Thi Ki Un Ko RasoolAllah SallAllahu

‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Dafn Kiya Jaa’e. Agar

Unhe’n Is Baare Me Jhagde Ka Khatra Ho To Baqi’ Me Dafn Kar

De’n.

Aur Ek Dusri Riwayat Me Hai Ki Imam Hasan Ne

Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Ijaazat

Lene Ke Liye Aadami Bheja Aur Hazrat Aaishah Siddiqah

(Salamullah ‘Alayha) Ne Ijaazat Dee Ki Imam Hasan Ko Rasoole

Paak SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hee Dafn

Kiya Jaa’e. Jab Imam Hasan Faut Ho Ga’e To Marwan Aur Banu

Page 27: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 27

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Umayyah Ne Kaha Ki Ham Imam Hasan Ko Rasoole Paak Ke

Saath Dafn Nahin Hone Denge. Marwan Bin Hakam Un Dino’n

Ma’zool Tha Aur Yeh Hazrat Mu’awiyah Ko Raazi Karna Chaahta

Tha Us Ne Kaha: Ham Kabhi Bhi Imam Hasan Ko Rasoole Paak

SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Dafn Nahin

Hone Denge. Marwaan Ne Kaha Ki Hazrat Uthman Baqi’ Me Dafn

Ho’n Aur Imam Hasan Rawza-e Rasool Me Dafn Ho’n Yeh Nahin

Hoga.

Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Aur Marwan Ke

Darmiyan Sakht Jhagda Hone Ka Jab Khatra Hu’a To Sa’d Bin Abi

Waqqas, Hazrat Jaabir Bin Abdullah, Hazrat Aboo Hurayrah Aur

Hazrat Ibn Umar Ne Hazrat Imam Husayn Ko Mashwara Diya Ki

Jhagda Aur Lada’i Ghair Munaasib Hai To Imam Husayn Ne Un

Logo’n Kee Baat Tasleem Kar Lee Aur Apne Bhaa’i Imam Hasan

Mujtaba Ko Baqi’ Me Dafn Kar Diya.

Aur Muhammad Bin Is’haq Ne Zikr Kiya Hai Ki Jis Din

Imam Hasan Faut Hu’e To Aboo Hurayrah Ne Janab Rasoole Paak

SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Masjid Me Khade Ho

Kar Buland Aawaaz Se E’laan Karna Shuroo’ Kar Diya Ki Ae Logo!

Aaj Rasoole Paak SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka

Mehboob Aur Pyaara Faut Ho Gaya Hai. Pas Tum Girya Karo Aap

Ke Janaaze Ke Liye Log Jam’a Ho Ga’e. Hatta Ki Baqi’ Me Kisi

Aadami Ke Samaane Kee Ko’i Gunjaa’ish Na Rahi, Mardo’n Aur

Aurto’n Ne Saat Roz Tak Aap Par Girya Kiya Aur Banu Hashim

Page 28: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 28

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Kee Aurto’n Ne Musalsal Ek Maah Tak Aap Par Nauha(Maatam)

Kiya Neez Banu Hashim Kee Aurto’n Ne Aap Par Ek Saal Tak Sog

Kiya Aur Mash’hoor Yeh Hai Ki Aap Kee Wafaat Sin 49 Hijri Me

Hu’i Hai.(02)

Shaykh Abd Al-Haqq Muhaddith Dihlawi “Jazb-ul-

Quloob” Me Likhte Hain Ki Jab Hasan Bin Ali Ke Inteqaal Ka Waqt

Qareeb Hu’a To Ek Aadami Hazrat Aaishah Siddiqah Ke Paas

Bheja Ki Agar Aap Ijaazat De’n To Imam Hasan Ko Hujra Ke

Andar Naana(Paak) Ke Pehlu Me Dafn Kare’n. Hazrat Aaishah Ne

Qubool Farmaya Aur Kaha Ki Aisa Hee Hoga Waha’n Par Ek Qabr

Kee Jaga Bhi Khaali Hai. Imam Hasan Ne Apne Bhaa’i Imam

Husayn Se Farmaya Agar Banu Umayyah Man’a Kare’n To Un Se

Jhagda Na Karna Aur Mujh Ko Baqi’ Gharqad Me Dafn Karna.

Marwan Bin Hakam Ne Jab Yeh Baat Suni To Woh Ladaa’i Ke Liye

Tayyar Ho Gaya Aur Kehne Laga Yeh Hargiz Nahin Ho Sakta Ki

Hasan Bin Ali Ko Rasoole Paak Ke Saath Dafn Kiya Jaa’e Aur

Hazrat Uthman Dafn Na Ho Sake’n.

Aboo Hurayrah Aur Dusre As’haab Jo Us Waqt

Madinah Munawwarah Me Maujood They Keh Rahe They wAllah

Yeh Saraahatan Zulm Hai Ki Hasan Ko Un Ke Naana-Paak Ke

Pehlu Me Dafn Hone Se Roka Jaa’e. Is Ke Baa’d Imam Husayn Kee

Khidmat Me Aa’e Aur Arz Kiya Ki Aap Ke Bhaa’i Ne Wasiyyat Kee

(02) Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/44,

Al-Halim Aal Al-Bayt, Safha-211.

Page 29: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 29

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Hai Ki Agar Ladaa’i Jhagde Kee Naubat Aa’e To Mujhe

Musalmano’n Ke Maqbare Me Dafn Karna. Aakhir-Kaar Un

Hazaraat Ke Kehne Ke Mutaabiq Imam Hasan Ko Baqi’ Me Dafn

Kar Diya. Imam Hasan Mujtaba Kee Qabr Ke Nazdeek Imam

Zayn-ul-Abidin Bin Imam Husayn (Aur Imam Muhammad Baqir)

Aur Imam Ja’far Sadiq Bin Imam Muhammad Baqir RadiyAllahu

Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Qabre’n Hain.(01)

Allama Mas’oodi Al-Mutawaffa Sin 346 Hijri “Murooj

Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar” Me Bayaan Kiya Hai Ki Imam

Hasan, Zayn-ul-Abidin, Muhammad Baqir Aur Ja’far Sadiq

Salamullah ‘Alayhim Kee Qabro’n Ke Paas Sin 322 Hijri Me Ek

Paththar Mila Jis Me Darje Zail Asma-e Giraami They.

Hasan Bin Ali, Ali Bin Husayn, Muhammad Bin Ali Aur

Ja’far Bin Muhammad ‘Alayhim-us-Salam, Gharz Yeh Ki Imam

Hasan ‘Alayh-is-Salam Rasoole Paak SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi

Wa-Sallam Ke Bete Aur Nawaase They Aap Ne Wasiyyat Farmaa’i

Thi Ki Mujhe Rasoole Paak SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-

Sallam Ke Saath Hee Dafn Kiya Jaa’e. Agar Jhagde Ka Khadsha Ho

To Phir Baqi’ Me Dafn Kiya Jaa’e Aur Hazrat Aaishah Siddiqah Ne

Bhi Farmaya Ki Imam Hasan Ko Rasoole Paak SallAllahu ‘Alayhi

Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rawza-e Anwar Me Hee Dafn Kiya Jaa’e

Magar Marwan Bin Hakam Jo Ahle Bayte Rasool Aur Banu

Hashim Ka Dushman Tha. Us Ne Kaha Ki Mein Imam Hasan Ko

(01) Abd Al-Haqq Fi Jazb Al-Quloob Ila Diyar Al-Mahboob,/185, 186.

Page 30: Aur Khilafate Rashida - sunniahlulbayt.files.wordpress.com · (01) Sayyid Naseer Al-Deen Naseer, Faize Nisbat Majmoo’a-e Manaqib,/60_61. Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam

Shahadate Imam Hasan Mujtaba ‘Alayh-is-Salam 30

www.sunniahlulbayt.wordpress.com

Rawza-e Rasool Me Dafn Nahin Hone Dunga. Chunanche Imam

Hasan Mujtaba Ko Baqi’ Me Dafn Kiya Gaya.”

۞ ۞ ۞

Ahle Bayte At’har Alayhim-us-Salatu Wa-Al-Salam Wa

Sahaba-e Kiram Ridwan Allahi ‘Alayhim Ajma’in Aur Aqa’ide

Ahle Sunnat Ke Muta’alliq Roman Urdu Me Padhne Aur Pdf Files

Ke Li’e Yaha’n Click Kare’n:

https://sunniahlulbayt.wordpress.com/

https://sunnisahabah.wordpress.com/

http://sawadeazam.wordpress.com/