12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea...

22
1 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko kisko Imam Bola gaya Bismillah Ar rahmaan nir Raheem Allah humma swalle Alaa Muhammdiun wa aale Muhammed Al Aayemma wal Mahdiyeen wa sallam tasleemann kaseerann kaseera. Ash hado an laa Ilaaha IllAllah Ash hado anna Muhammadan Rasool Allah s.a.w.a Ash Hado Anna Ameerilmomineena wa Imaam Al Muttaqeena Ali yun waliullah wa wasi e Rasool Allah wa Wa khaleefatahu bila fasl wal aayemma min wuldehi hujjajullah. Ash hado Anna Imam Hassan Al Mujtaba alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Hussain alaihis salaam Ash Shaheed e karbala Hujjatullah Ash hado Anna Imam Ali ibn Al Hussain alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Muhammed Baquer Al uloom alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Musa e Kazim alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Ali Al Raza alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Muhammed Taqi alaihis salaam Hujjatullah Ash hado Anna Imam Ali An Naqi alaihis salaam hujjatullah Ash hado Anna Imam Hassan Al Faazil alaihis salaam Hujjatullah Ash Hado ann Al Mahdi wal Mahdiyeen Min wuldehi Hujjajullah Ash hado anna Imam Ahmed AlHasan Min wuldehi Hujjajullah.

Transcript of 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea...

Page 1: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

1

12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko

kisko Imam Bola gaya

Bismillah Ar rahmaan nir Raheem

Allah humma swalle Alaa Muhammdiun wa aale Muhammed Al Aayemma wal Mahdiyeen wa sallam tasleemann

kaseerann kaseera.

Ash hado an laa Ilaaha IllAllah

Ash hado anna Muhammadan Rasool Allah s.a.w.a

Ash Hado Anna Ameerilmomineena wa Imaam Al Muttaqeena Ali yun waliullah wa wasi e Rasool Allah wa Wa

khaleefatahu bila fasl wal aayemma min wuldehi hujjajullah.

Ash hado Anna Imam Hassan Al Mujtaba alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Hussain alaihis salaam Ash Shaheed e karbala Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Ali ibn Al Hussain alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Muhammed Baquer Al uloom alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Musa e Kazim alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Ali Al Raza alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Muhammed Taqi alaihis salaam Hujjatullah

Ash hado Anna Imam Ali An Naqi alaihis salaam hujjatullah

Ash hado Anna Imam Hassan Al Faazil alaihis salaam Hujjatullah

Ash Hado ann Al Mahdi wal Mahdiyeen Min wuldehi Hujjajullah

Ash hado anna Imam Ahmed AlHasan Min wuldehi Hujjajullah.

Page 2: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

2

Imam Al Mahdi alaihis salaam aur AAP a.s k wasi o rasool

– Imam Ahmed AlHasan ka haq bayan karne k liye ye ek koshish ki gayi hai k log

ek ehem sawaal zehen mea rakhte hai k 12 Imam k alaawa kisi bhi Hujjat ko Imam

kaise bola jaa sakta hai. Lehaaza jahan jahan per Imaamat k taalukh se bataaya gaya

ho k 12 Imam k alaawa jo koi Adam se leke aakhri Hujjat hai unmea se kisko kisko

aur kahan kahan per fardan fardan Imam kaha gaya, ya jamaah taur per Aayemma

ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua

mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan ye waazey hojaata hai Haan 12 Imam k

alaawa bhi aese dunia mea kayyi hujjat e ilaahiya guzre hai jinhe Allah a.z.w.j ne

Imam chuna hai, Maanah hai Kaha hai aur kehne k liye bola hai.

Aur issi k zariyea hum ye bataana chahte hai k jiss tarah 12 Imam se pehle

Hujjat ko Imam maana gaya , kaha gaya bola bhi gaya , ussi tarah 12 Imam k baad

Mahdi e awwal aur deegar mahdiyeen (Allah ki jaanib se hujjat) ko Imam kahan

maanah gaya aur kahan bola gaya.

Hazrat Musa a.s k zamaane k 12 Imam Aur

Muhammed s.a.w.a k zamaane k 12 Imam ka tazkera

Muhammed Rasool s.aw.a ne Salmaan se farmaya :

Aye Salmaan Allah z.w.j ne jiss Nabee ya rasool ko maboos farmaaya uske 12 Naqeeb qaraar paaye.

Salmaan ne kaha: Ji Haan ya Rasool Allah ye baat hamey nasaara ya yahood dono Ahle kitaab se maalum hui hai.

Ref: bihaarul anwaar vol 12 page 719 urdu version

Note : Lehaaza her Nabee k 12 Naqeeb zaroor hote hai, aur Musa alaihis salaam k baad Yusha bin

Noon unke wasi rahey jinke baad 11 Aayemma taahereen moujood they (Yusha + 11 Aayemma) 12

Imam Musa alaihis salaam k Jiss tarah k quran mea bhi paaya jaata hai

Page 3: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

3

(Neechay Scan page mea jo aayat dikhaayi gayi hai usmea lafz e Aayemah ka istemaal kiya gaya hai

Musa ki Ummat mea Imam k liye jo Daoud alaihis salaam se pehle moujood they)

Muhammad Rasool Allah s.a.w.a ne iss taweel hadees mea farmaaya:

Wo Aayemma jo Yusha bin Noon k wasi baney wo gyaarah (eleven) jo 400 saal tak

hukumat kiye they aur jinse unkey zamaane k log unse milaa karte they take unse hidaayat

haasil karey. Jab Aakhri (eleventh yusha ka wasi Aur 12th Imam Musa k baad) ka waqt aaya

Page 4: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

4

to wo logoun se ghayb hogaye aur Zahoor kiye to Daoud alaihis salaam ki khush khabri

diye. Ref: Kamaaluddin Vol 1 Page 162

Note: Kamaaluddin ki Kitaab mea saaf saaf bataaya gaya hai Aap Arabi ibaaraat mea jahan

red line se mark kiya gaya hai wahan dekh sakte hai k 11 Aayemma (11 Imams ) ka tazkera

ho raha hai jo Musa k wasi Yusha bin noon a.s k baad 400 saal tak hukumat kiye.

Ab sawaal k kia wo Imam nahi kehlaaye gaye they ?

(beshak kehlaaye gaye they)

Kia wo Allah ki taraf se chuney huye 12 Imam nahi they?

(beshak Allah ki taraf se they jiski daleel Quran se bhi hai.)

Kia Log unhe Imam maante aur bolte they ?

(Beshak – jiss tarah 12 Imam Muhammed s.a.w.a k baad ko Shia ne Ali Imam maante hai

ussi tarah 12 Imam Musa a.s k baad Imam maane gaye aur Bole gaye yahaan tak k Musa k

baad 12th Imam ghaybat mea gaye bilkul ussi tarah jiss tarah Muhammed s.a.w.a k baad

12th Imam ki ghaibat hui hai)

Bass ye ek Quran ki aayat aur hadees kaafi hai samajne k liye.

Lehaaza Hadeesoun mea jiss tarah paaya jaata hai k Yamaani uthega aur Imam Al Mahdi

alaihis salaam ki taraf hidaayat karenge aur jo koi unka saath nahi diya wo jahannumi hai.

ussi tarah tha k Musa a.s ki Ummat k 12th Imam ne Dawood alaihis salaam ki khush khabri

diye.

Ab iske baad jo koi Muhammed k baad 12 Imam Ali alaihis salaam se leke Imam Al Mahdi

alaihis salaam tak hee ko Imam manne aur bolne ka aqeeda rakhta hai wo dar asal unhe

mehdood kar raha hai unki azmat o darajaat se jo ba khoul e aayemma hamaare

khayaaloun mea bhi nahi aa sakte. Jisse Qayamat mea dikhaaya jaayega aur Ambiyaa o

mursaleen jisse dekh ker rashk karenge yahaan tak k Shia ne Aale Muhammed k darjaat ko

dekh ker rashk karenge.

Page 5: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

5

Ibrahim ki imaamat se Afzal koi darja nahi hai

Hishaam bin Al-Hakam ne Abaa Abdullah Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam se Allah k

kalaam “Mea tumhey Imam un Naas banaaonga” k baare mea kehte sunah k AAP alaihis

salaam ne farmaaya:

Agar Allah k pass iss (imam un naas) se barha koi naam hota to wo hamaare liye qaraar deta

Ref: Tafseer Al Ayaashi 1:58\90

Awaalim mea likha hai Abaa Abdullah Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam ne farmaaya:

Log Imam e muftaraz Al itaayat ka inkaar karte hai aur in k munkir hai. Wallah ! Allah ki Nazar mea

Imam e Muftaraz al itaayat se barha rutba kisi ka nahi hai. Janaab Ibrahim per Allah k ehkaam ek

zamaane tak naazil hote rahey aur wo muftaraz al itaayat they yahan tak k Allah ne in ki izzat o azmat

mea izaafa ye kehker farmaaya

“ Mea tumhe logoun ka Imam Banaane waale hun. Janaab Ibrahim ne Imaamat ki fazeelat ko jaan liya

aur farmaaya Ya Allah! Meri zurriat mea se bhi ! irshaad hua ye ohda zaalim ko nahi milega”

Abaa Abullah ne farmaaya: isse Muraad ye hai k tumhaari zurriath mea to hoga aur in k siwaa kisi ko

na milega

Ref: Awaalim

Ref: Kitaab Al Mubeen topic 593 Hadees 4

Page 6: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

6

Ismail bin Ibrahim Imam e Moujood they

Abaa Abdullah Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam ne farmaaya k:

Ismaail bin Ibrahim khaleelullah k paas ek chota sabkha tha jisko wo bohhot Mehboob rakhtey they aur inki

khwaahish bhi yahee thi k wo in k baad Nabi ho, lekin Allah ne iss baat ko gawaara nahi kiya aur farmaaya, Aye

Ismaail ! Amr e Naboovat ka falaan haqdaar hai.

Jab Allah ne inka waqt Poora kiya to maut ka waqt a pohoncha aur inke wasi aaye to Ismail ne farmaaya Beta! Jab

tumhaari maut ka waqt aaye to tum bhi issi tarah karna jaisa k mea ne kiya hai ! issi liye k jab Imam e Moujood ka

waqt poora hojaata hai to Allah iski wahi karta hai k kisi ko wasi banaaye.

Allah a.z.w.j ne Musa a.s k liye lafz e Imam e Zamaana ka istemaal kiya.

Tafseer e Imam Hassan Askari alaihis salaam mea moujood hai

K Allah s.w.t ne Nabi Musa a.s se kaha : Agar tum meri taraf kisi ek bhatke huye ko hidaayat k zariyea

waapas le aaogay to ye amal mujhey 100 saal ki ibaadat karne se behtar hai jismea her din roza rakha

aur her shab ibaadat mea guzaari ho.

Musa a.s ne poocha : Mere Allah , wo kaun hai jo tujhe chor sakta hai ?

Allah ne kaha : wo jo meri naa farmaani karta hai

Musa a.s ne poocha : wo kaun hai jo teri raah se bhatak gaya ho?

Allah ne farmaaya : wahi jisne Imam e zamana ka inkaar kiya hai, jisne usse shariat sikhaayi aur

ibaadat ka saleekha bataaya , jiske zariyea wo sirf Allah ki khushnoodi chahta tha.

Page 7: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

7

Ref: An Najam us saaqib page 1152 (English version) ;

Ref: Tafseer e Imam Hassan Askari page 342

Ref: Munyatul mureed fee aadaabal mufeed al mustafeer Page 116 ;

Ref: Al jawaaherul saaniyyah fee ahaadeesil qudsiyya page 77 ;

Ref: Bihaarul Anwaar vol 2page 4

Screen Shot Arabic

Note :Agar hum thori dere k liye bhi sonch le k yahan Imam e zamana se Muraad Musa alaihis salaam

nahi hai to deen se fauri khaarij hojaayenge kyun k Hujjat mea se kisi ek ka bhi inkaar karo to deen se

khaarij hojaate hai. To iss hadees mea Pukaarne waala Khud Allah hai

Musa ki sunnat hai k Imam ka ghusl Imam deta hai

Al Husain bin Muhammed ne rivaayat kiya Mu’alla bin Muhammed se unhone rivaayat kiya Muhammed bin jumhur

se unhone kaha k Abu Mu’ammar ne kaha k main eek baar Imam Ali Al Raza alaihis salaam se iss amr k baare mea

poocha k “Imam ka ghusl o kafan sirf Imam hee dega.

AAP a.s ne farmaya : Ye sunnat e Musa Bin Imran alaihis salaam mea se hai.

Ref: Al Kafi H994 ch92 h 2

Note: Agar Imam ka ghusl Imam deta hai to Daur e Musa alaihis salaam mea Imam kaun they jisko ghusl diya gaya,

lehaaza manna hee parhega k Musa alaihis salaam k daur mea bhi imaamat chali hai.

Yahya alaihis salaam ki Imaamat

Hazrat Yahya alaihis salaam ki shahadat pehle Allah ne Hazrat Yahya ko wahi kiya k wasiyyat o Imaamat ko

Shaamun ki Aulaad mea qaraar de Aur hawaareen e Isa aur as-saahab e Isa ko hokum de k in ke saath rahein

Ref: Kamaaluddin vol 1 page 250 (urdu) Scan page k saath jo aage hai.

Page 8: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

8

Shia-e-Ali ne Muhammed s.a.w.a ko Imam Al Muttaqeen bhi

pukaara hai

Imam Muhammed Baquer alaihis salaam ne apne Khutba e Jummah mea parha hai :

Allah humma swalle alaa Muhammed abdika wa rasulika sayyed al mursaleen wa imam al muttaqeen wa rasool e

Rabbul aalameen

Al Kafi : Jild 3 page 423

Note : Lehaaza iss khutbe ko beshak Daur e ghaibat se pehle Salaat al Jummah mea parha jaata tha jahan Muhammed

s.a.w.a ko logoun ne Imam Al Muttaqeen kehkar salwaat parha hai

Page 9: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

9

Muhammed s.a.w.a Imam Al Muttaqeen aayat e Quran phir Moula

Ali alaihis salaam ki tafseer

Muhammed s.a.w.a Imam Al Muttaqeen hai

Aye hamaare parwardigaar humko hamaari azwaaj ki taraf se aur hamaari aulaad ki taraf se

ankhoun ki thandak inaayat ker aur humko muttaqiyoun ka Imam banaade.

Sureh Furqaan Aayat 74

Waja alna Lil muttaqeena Imaama k baare mea Imam Ali alaihis salaam ne farmaaya k: Isse

matlab yeh hai k jo muttaqee hum se pehle guzar gaye hai unki to hum iqteda karein aur jo

muttaqee hamaare baad hone waale hai, wo hamaari iqteda karein.

Page 10: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

10

Quran Translation – Maqbool Ahmed

Para 19th Page 583 Sureh Furqaan Aayat 74

Ye Tafseer Jo Imam Ali alaihis salaam ne ki hai wo neechay k scan page per saaf parhi jaa

sakti hai, lehaaza Imam Ali ka kehna k humse pehle waale Muttaqee Imam ki iqteda hum

karte hai daleel hai k Muhammed s.a.w.a Imam hai jiski iqteda ki jaati.

Muhammed Rasool Allah Imam hai Phir Ali Imam hai:

Imam Jaffer As sadiq alaihis salaam ne farmaya :

Aye Logou , Rasool Imam hai , aur unke baad Ali ibn Abutalib Imam hai Phir Hassan Phir Hussain Phir Ali ibn Al

Hussain phir Muhammed bin Ali aur phir mea.

Ref: Al Kafi Jild 4 page 466

Page 11: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

11

Page 12: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

12

Imam Hassan Askari a.s k (teen ya teen se zyaada) bete

deen k Khalifa hai

Yaani Imam Hassan k bete Imam Al Mahdi aur phir nasl se 12 Mahdiyeen

Mashaariqul anwaar mea Imam Hassan Askari alaihis salaam ne farmaya:

“Hamaare Aane waale bete(teen ya teen se zyaada bete) deen k Khalifa aur rabbul aalameen

k khaas hai”

NOTE : Bete k liye jo Arabi Lafz istemaal hua hai wo hai “Asbaat”. Aur ye lafz ussi waqt

istemaal hota hai jab teen ya teen se zyaada betoun ki baat ho rahi hai.

Hadees 1

رائق بأ عالم عن اجملليس قال : وجد خبط الإمام ايب محمد العسكري )ع( عىل ظهر الكتاب ) قد صعدان ذرى احلقائق بأ قدام النبوة والولية وذران س بع ط -

ومصابيح ال مم ومفاتيح ادلين القومي يف الآجل أ س باطنا خلفاءياث الندى وفينا الس يف والقمل يف العاجل ولواء امحلد الفتوة والهداية وحنن ليوث الوغى وغ

168ص 12بشارة الإسالم ب… ( الكرم

Hadees 2

Iss Hadees mea jahan lafz bete likha hua hai wahan bhi lafz e Asbaat ka istemaal hua hai

yaani teen ya teen se zyaada bete jo 12 Imam k baad Nasl e 12th Imam se 12 Mahdiyeen k

Khalifa hone ki daleel hai.

Page 13: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

13

12th Imam se pehle Aayemma aur baad k aayemma alag alag hai

Note: Iss tafseer e 12th Imam Al Mahdi alaihis salaam jo farmaa rahey hai k “Guzishta aur

Aayenda aayemma”

Guzishta Imam daleel hai k Imam Al Mahdi se pehle koi Aur Imam hai (jaise k aapke

waalid e mohtaram aur phir silsila jo ooper ki taraf jaata hai Ali ibn Abutalib alaihis salaam

tak) aur aayenda Imam kehna hee daleel hai k guzishta Imam se alag ye koi Imam hai, jo

digar Nasl e Imam Al Mahdi mea aane waale 12 Mahdiyeen jisko Imam kayyi hadeesoun

mea bataaya gaya hai uski nishaandehi hai. Agar Guzishta hee aayenda Imam hote to do

baar kehne ki ehtiyaaj na hoti.

Page 14: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

14

Hazrat Saleh a.s ki Ghaibat mea Imam bheje – ye Misaal

Qaim ki hai

Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam ne farmaaya:

Allah ne Ghaibat e Hazrat Saaleh alaihis salaam mea ek zamaane k baad Imam bheje lekin

Ummat atal rahi iss baat per k Zahoor Saaleh hee ka hoga to tashreef laayenge. Yahee

Misaal Hamaare Qaim ki hai.

Ref: Sheikh Sadooq alaihir rehmaa ki kitaab “Faslul khitaab”

NOTE:

Lehaaza iss Hadees mea jo do baatein hai jo misaal e Qaim banti hai , ek ye k Hazrat Saaleh ki ghaibat

mea ek zamaane tak Allah ne koi Imam nahi bheja jiss tarah Qaim alaihis salaam ki Ghaibat e Kubra

mea 4th safeer k baad Yamaani k aane tak kisi k pass nass nahi Ahlebait a.s se.

Dusri baat ye k Ghaibat e Saaleh mea Zahoor se pehle Allah ne Imam bheje, Aur issi tarah Ghaibat e

Qaim mea Allah ne Ahlebait e Mahdi se aane waale Imam ko bheja hai. SubhaanAllah o taala.

Page 15: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

15

Jisko hamaari Miraas dee jaati hai usko Imaamat jaati hai

Imam Jaffer As sadiq alaihis salaam ne farmaya :

Jahaan Hamaari Miraas jaati hai usko hamaari Imaamat jaati hai

Ref: Al Kafi H631 Ch 39 H 1

Imam Al Mahdi ki zindagi mea Miraas dedi jaayegi (yaani

Imaamat zindagi mea farzand ko dedi jaayegi)

Imam Hussain alaihis salaam ne farmaaya : Ummat ka Qaim meri Aulaad mea se 9th hai wo saaheb e ghaybat hoga

aur uski miraas ko taqseem kiya jaayega jab k wo zinda hoga

Ref: Falsafa e ghaybat page 172 – Sheikh Sudooq Note: Jab Imam Al Mahdi alaihis salaam ka zahoor hoga uss waqt tak Imam Al Mahdi a.s k jaanib se aapke Wasi o

rasool Imam Ahmed AlHasan alaihis salaam k saath dena chahyea jo ummat ko Imam Al Mahdi a.s ki jaanib

hidaayat karenge.

Imam Al Mahdi Muhammed ibn Al Hasan ki Nasl mea Imaamat

Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam farmaate hai: Aye Allah, apne wali k liye, jo tere amr

ko lekar zahir hoga, Muhammed ibn Hassan (a.j.t.f) uske Ajdad per salaam aur rehmat is

waqt aur her waqt , Saathi, Muhaafiz, wali, fatehmand, shahid aur saathi,jab tak aapko

zameen per himaayat na miljaati, usko zameen k tul aur arz per uski hukumat ho Aur unki

zurriyat mea Imam ataa ker aur unke wirse mea iss hukumat ko rakhde.

Arabic Ref: Bihaar ul anwaar vol 49 page 349

Page 16: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

16

Ref : 2 Hadees

Rasool Allah s.a.w.a ne jab Mahdi k baare mea farmaaya aur wo kuch jo Allah unhe apni

rehmat se ataa karega aur unke haathoun fatah karega. To kisi ne poocha Aye Allah k

Rasool (s.a.w.a) kia ye sab kuch Mahdi k liye jamaah hojaayega ?

Muhammed Rasool Allah s.a.w.a ne farmaya : Haan , Aur jo kuch unki zindagi mea aur

unke dinoun mea naa hoga wo unke baad unki Nasl se aane waale Imaamoun k waqt hoga.

Ref: Sharh Al Akhbaar Vol 5 page 42.

Abul Abbas Anta Imam un naas

Imam Ali alaihis salaam ne jab Kufa mea Mahdi alaihis salaam k zahoor k baare mea

khutba bayaan kiya farmaaya :

Wo kitaab kholega aur jawaabaad dega, Ya Abul Abbas tum Imam un naas ho

Ref: Ilzaam Al Naseb vol 2 – Yazdi Al Haeri ki kitaab

NOTE: Lehaaza Abul Abbas lakhab Imam Al Mahdi alaihis salaam ka nahi hai balke Mahdi e Awwal

ka lakhab hai aur wo hai Ahmed AlHasan alaihis salaam aur unke Farzand ka naam Abbas hai.

Lehaaza unki kuniyyat Abul Abbas hai.

Imam AL Mahdi k haq mea Dua aur zikr e Aal e Mahdi mea Nasl se

Imam.

Kitaab An Najam us saaqib mea jo Imam Al Mahdi alaihis salaam k haq mea dua bataayi gayi hai wo

mukammil Imam Al Mahdi k liye hai aur ussi mea zurriath e Imam Mahdi mea Imaamoun ka tazkera

Page 17: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

17

Hadees 1

كتاب الغيبة ، والش يخ الطويس يف روى الش يخ النعامين )تلميذ ثقة الإسالم اللكيين( يف

ن كتاب الغيبة بس ندين معتربين عن املفضل بن معر قال : مسعت أ اب عبد هللا يقول )اإ

ويقول لصاحب هذا ال مر غيبتني أ حدهام تطول حىت يقول بعضهم مات ويقول بعضهم قتل ،

ل نفر يسري ل يطلع عىل موضعه أ حدًا من بعضهم ذهب ، حىت ل يبقى عىل أ مره من أ حصابه اإ

ودله ول غريه اإل املوىل اذلي ييل أ مره( النجم الثاقب ج2 ص69

Sheikh Numaani (ghaibat an numaani kitaab mea) jinke ustaad seeqatul islaam sheikh

kulaini hai aur Sheikh Toosi apni kitaab Ghaibat e toosi mea dono ne rivaayat e Sahi

hadees darj ki hai Mufazzal ibn Omer se unhone kaha k Abaa abdullah Imam Jaffer As

Sadiq alaihis salaam ne farmaya :

Bil yakheen , Saaheb Al Amr ki do ghaibat hai , unmea se ek dusre se taweel hogi yahan

tak k log kahenge k wo khatl ho gaye, ya intekhaal kar gaye, aur kuch log kahenge k wo

kahin chale gaye , yahaan tak k unka amr unke as-haab tak bhi saabit na hui magar bohhot

kam logoun mea, aur na koi ghair aur na unki aulaad mea se bhi unka muqaam e rihaayesh

nahi jaante Siwaaye wo moula jo unke Amr ki itaayat karte hai.

Ref: An Najmuth Saaqib vol 2 page 69

Ref: Ghaibat An Numaani page 171

Ref: AL-Ghaibah Sheikh Toosi P161

NOTE: Koi aesa hai jo Moula bhi hai aur Imam Al Mahdi ki itaayat mea bhi hai , aur wahi Yamaani k baare mea

kaha gaya aur Mahdi e Awwal jo unke wasi rahenge.

Page 18: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

18

Hadees 2

الليل بدار روى الش يخ الطويس وجامعة بأ سانيد متعددة عن يعقوب بن يوسف الرضاب الاصفهاين انّه جح يف س نة احدى ومثانني ومائتني فزنل مبكة يف سوق

ليه دفرتاً واكن تسمى دار خدجية، وفهيا جعوز اكنت واسطة بني الش يعة وامام العرص عليه السالم، والقصة طويةل، وذكر يف أآخرها انّه عليه السالم ارسل اإ

ذا أ ردت أ ن تصيّل علهيم فصيّل علهيم هكذا وهو مكتوب فيه صلوات عىل رسول هللا صىل هللا عليه وأ هل وسمّل وابيق ال مئة وعليه صلوات هللا عليه، وأ مره اإ

:طويل، ويف موضع منه

مجيع أ هل ادلنيا ما تقّر به عينهاللهم أ ْعِطِه يف نفسه وذريّته وش يعته ورعيّته وخاّصته وعاّمته وعدّوه و " :ويف أآخره هكذا." ...

واعالم الهدى، ومنار (3)ومجيع ال وصياء مصابيح ادّلىج (2)اللهم صّلِ عىل محمد املصطفى، وعيل املرتىض، وفاطمة الزهراء، واحلسن الرضا، واحلسني املصفى

آماهلم التقى، والعروة الوثقى، واحلبل املتني، والرصاط املس تقمي، وصلِّ عىل وليّك وولة عهده والامئة من ودله، ومدّ يف أ عامرمه، وزد آجاهلم، وبلّغهم أ قىص أ يف أ

دينًا ودنيا وأآخرة انّك عىل لّك يشء قدير

Ooper ki rivaayat Imam Al Mahdi alaihis salaam se bataaya salwaat hai jisse parhne ki

taakid ki gayi aur wo salwaat ye hai :

Aye Allah rehmat Barsa Muhammed Al Mustafa per, Aur Ali Al Murtaza per, Aur Fatima

tuz Zehra per, Aur Hassan Al Raza per, Aur Hussain Al Masaffa per , Aur hidaayat k

parcham aur Taqwa k minaaroun per , aur wo saare chiraagh e hidaayat jiss per bharosa

kiya jaa sakta jo k mazboot rassi hai aur siraat e mustaqeem hai, Aur Rehmat barsa tere

Khaas Wali per aur unki nasal se aane waale Aayemma per jiski hifaazat ka tuu ne Ahad liya

hai unheapni makhlookh me aam karde aur unke maqsad ko poora ker aur unke khayalaat

jo deeni aur duniyawee masloun k baare mea hai aur aakhrat k baare mea unko door

daraaz muqaam aur dunia k chaaro koney mea phaylaade aur tuu her shayy per khaadir

hai.

Ref: Najmuth Saaqib page 622 (english version)

Page 19: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

19

Hadees 3

آخر كتاب )مزار( حبار ال نوار عن كتاب )مجموع ادلعوات( لهارون بن موىس التلعكربي سالماً وصالة طويةل لرسول هللا وواحد واحد من الامئة الرابع: نقل يف أ

ىل ولة عهد احلجة عليه السالم وعىل الامئة من ودله ودعا هلمصلوات هللا علهيم، وبعد ذكر سالم وصالة عىل احلجة عليه السالم ذكر سالماً وصالًة ع :

آجاهلم وأ عّز نرصمه ومتم هلم ما أ س ندت من أ مرك، واجعلنا هلم أ عواانً وعىل " آماهلم وزد يف أ السالم عىل ولة عهده، والامئة من ودله، اللهم صّل علهيم وبلّغهم أ

أ راكن توحيدك ودعامئ دينك وولة أ مرك، وخلصائك من عبادك، وصفوتك من خلقك، واوليائك وسالئل دينك أ نصاراً فاّّنم معادن لكامتك وخزائن علمك و

." أ وليائك وصفوة أ ولد أ صفيائك وبلّغهم منّا التحيّة والسالم، واردد علينا مهنم السالم والسالم علهيم ورمحة هللا وبراكته

حدى فقراهتا هذا ادلعاء بعد صالة تكل الزايرة وهواخلامس: نقل الس يد ابن طاووس رمحه هللا وغريه زايرة هل : عليه السالم واإ

Kitaab Mazaar Bihaarul Anwaar se jo Majmu-ud dawaat se hai k Harun bin Musa talakabari ne ek taweel salwaat

Rasool Allah s.a.w.a per aur her ek Imam per bhejte huye aakhir mea Hazrat Hujjat Saaheb us zaman k liye kaha :

Salaam ho aap per aye hujjat e dauraan jo haakim hai, aur unki Nasal se Imamoun per ………………..

Page 20: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

20

Hadees 4:

Bihaar ul anwaar mea Allama Majlisi ne ulema e deen se ek qadeem rivaayat e hadees

naqal kiye, jismea Fardan fardan Muhammed wa aale muhammed per salwaat bhejte huye

Saheb e Zamaan Imam e Asr tak pohonch ker ye parha hai, jahan Zurriath e Imam e Asr

mea Aayemma ka tazkera kiya gaya.

Page 21: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

21

Hadees 5:

Ye ek taweel dua hai jo rivaayat e Sahi ki buniaad per Sheikh Toosi a.r ne Misbaah

Motahajjid ki kitaab page 409 se leke 411 mea likha hai aur Sayyed Ibn Tawoos a.r ne apni

kitaab Jamaalul usboo mea page 310 se leke 317 k darmiyaan mea likha hai Jisko Yunus bin

Abdur Rahmaan ne Imam Ali Al Raza alaihis salaam k hukm se Saaheb ul amr ka haq mea

tehreer farmaayi. Aur issi dua ka ye jumla hai k Salaam ho aap per aye hujjat e dauraan jo haakim hai,

aur unki Nasal se Imamoun per Ref: An Najmuth Saaqib Page 1076 English version

Hadees 6:

Page 22: 12 Imam k alaawa Adam se leke aakhri hujjat tak kisko ... · ka lafz istemaal karke hadeesoun mea yaad kiya gaya ho, aur kahan per kiss dua mea ye jumla istemaal kiya gaya ho jahan

22

Agar Nasl e Mahdi mea Imam hai to hamey pehle se khabar kyun na

hui? Imam Ali Al Raza alaihis salaam ki zindagi mea unke chahne waale ne ro ro ker poocha k aapka wasi kaun hai?

Imam Ali Al Raza a.s ne kaha k abhi bataane ka waqt nahi aaya.

Shaks ne kaha k aapko to pata hai k 7th Imam ki shahadat per unke baad aapko Imam maanne mea kitni dikhatoun

ka hamey saamna karna parha.

Imam Ali Raza alaihis salaam ne kaha : koi andesha waali baat nahi, jiss baat ka tumhe khatra hai iss silsile mea mere

pass aisee daleel hogi jis k zariyea mea haq ko tumhaare ooper aur deegar afraad per bhi waaze kardunga. Kia tumhe

khabar nahi hai k Allah ne hum per waajib kiya hai k jab wafaat ka waqt qareeb aaye to wo aayenda waale Imam k

baare mea waaze daleel pesh kare. Chunaanche Allah ka irshaad hai.

Allah kisi khoum ko hidaayat k baad gumraah nahi karta jab tak in per waaze karde k inhe kin cheezoun se bachaana

chahyea sureh touba aayat 115

Ref: Kitaab AL Mubeen topic 422 Hadees 1

Note: Lehaaza her cheez k bataane ka ek waqt hota hai, jaisa k ooper ki hadees mea Imam Ali Al Raza alaihis salaam

ne apne jaanasheen ko bataane mea waaze kardiya hai.

Aur wo waqt ab aagaya hai jahan Wasi e Rasool e Imam Al Mahdi ki pehchaan Imam Al Mahdi alaihis salaam ne

apne shiyoun ko karwaayi hai, Quran o Wasiyyat e Muhammed Aur deegar Hadesoun ki mazboot daleel k saath,